॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

pujya maharaj ji ke Gurudev ka janmotsav – kuch ansune kisse

yadi Bhagwad prapti karni hai to ninda, apman aur avagya ko sammaan aur stuti man kar sah jao. “karat je anashan nindak tinhun pai anugrah karyau – sevak vani”. Bhagwan ki taraf jane wala marg sansaar aur vihaar se ulta hai. Yadi aapse koi pyar ka vihaar karta hai to aapki bhaun chadh jani chahiye. Aapko udasin rahna hoga. Kyonki jo aapko apna banana chah raha hai, usse sansaar mein phans jaoge. Koi aisa nahi hona chahiye jiska ham ekant mein chintan karen, ekant mein keval prabhu ka chintan hona chahiye.

ek bar maine sadgurdev bhagwan se kaha, maharaj ji, sevak vani mein likha hai, “hansi bolai bahu man dai”. Matlab shri Harivansh naam ka prichay prapt hone par upasak apne ko sabse chhota manne lagega aur sabka purn sammaan karte huye unke saath hans-hans kar batchit karega. Maine unse pucha, phir aap hamesha meri taraf gusse se kyon dekhte rahte hain, kabhi to pyar se baat karen. Unhone kaha, “ye to dusre logon ke saath kaisa vihaar karna chahiye uske liye likha hai, apne liye thodi likha hai”.

yah bahut hi gudh baat thi. Baad mein jab chintan hua to samjh aaya, Guruji kahna chahte the, “tum dusre ho kya, tum to apne ho”. Mahapurushon ke bhav ko samjhna bahut mushkil hai. Itna pyar, unhone mujhe apna kah diya. Gurujanon ke dwara apne janon ki taraf ruksha vihaar kiya jaata hai kyonki wo nirapeksh hote hain, isi se shishya ka kam banta hai.

kisi se apeksha nahi!

bhakt keval bhagwan se sambandh rakhta hai, sansaar ke kisi dani se nahi. Wo yah nahi sochte ki agar koi bhakt rooth gaya to hamara kam kaise chalega. Maharaj ji ladli kunj mein rahte the aur waha darwaze par tala kabhi nahi lagta tha. Aaj bhi waha lakdi aur chulhe se hi shriji ka bhog banta hai, pehle bhi vaisa hi tha. Ek din sham mein maharaj ji darshan karne gaye. Jab maharaj ji wapas aaye to koi bhakt maharaj ji ki kutia mein gas, chulha, silindar aur kukar rakh kar chala gaya.

main jab laut kar aaya to maharaj ji ne pucha, ye sab kya hai? Main jab andar gaya to dekha puri rasoi ekdam naye yantron se bhari hui thi. Maine maharaj ji se kaha ismen meri koi chal nahi, mera to koi aisa bhakt bhi pehchan ka nahi hai jo ye sab la sake. Maharaj ji ne kaha, uthao ye sab aur sab kuch parikrama marg mein rakh aao, jise lena hoga le jaega. Unhone lakdi jalakar usi purane chulhe mein shriji ka bhog banaya aur purane raj ke patr mein dalkar shriji ko arpit kiya.

aaj tak unhen kisi ki apeksha nahi. Aap unke paas roz jaiye, koi pareshani nahi, na jao to bhi wo kabhi puchenge bhi nahi. Maharaj ji nirpekshata ki murti hain. Ek bar koi dhani-mani purush aaya aur usne maharaj ji se milne ke liye kaha.

us samay maharaj ji ekant sevan kar rahe the to hamne kaha ki abhi maharaj ji se milna nahi ho payega. Ispar unhone apna card dete hue kaha ki maharaj ji se kahiye kisi bhi chiz ki zarurat ho to hamen yad kar len. Jab maharaj ji ko iske bare mein pata chala to unhone unhen wapas kabhi bhi waha ane se mana kar diya. Unhone kaha, hamari vyvastha shriji se chalti hai, kisi dhani purush ke fon number se nahi. Ham shriji ko yad rakhte hain, kisi sansari purush ko nahi.

nishparigrah – kisi se kuch na lena, na kisi chiz ka sangrah karna

ek bar ki baat hai, maharaj ji sunrakh (Vrindavan mein ek sthan) gaye aur khali kamdal lekar wapas aaye. Hamare yahan shriji ko raat mein doodh ka bhog lagta hai. Poochne par unhone bataya, “doodh wale ko kafi dino se kuch diya nahi to aaj himmat hi nahi hui jane ki, to main wapas aa gaya”. Yah sunkar mere hriday mein bahut kasht hua ki mere gurdev bhagwan ki shriji ke bhog ki vyvastha nahi ho pai.

us samay, mahine mein shayad 250 rupye ka doodh aata tha. Thodi hi der mein, ek vyakti aae aur unhone kaha, maharaj ji se milna hai. Maine pucha, is samay? Kya baat hai? Unhone kaha, ye 250 rupye unhen dene the. Phir sunrakh se doodh aaya aur shriji ko bhog laga. Aap bas prabhu ke ashrit ho jaiye, prabhu swayam us sambandh ka nirvah karenge.

maharaj ji kabhi kisi se kisi chiz ki apeksha nahi karte the aur bhari avyvastha mein rahte the. Us samay maharaj ji ki kutia mein bijli bhi nahi thi. Unki kutia ke samne Madan ter thi, jaha kide, makode aur bichhu aadi prakriti mein khule mein vichran karte the. Isse unhen koi farqa nahi parta tha. Maharaj ji nirpekshata ki sakshat murti hain.

unke darshan milna bahut durlabh hota tha. Yah to ham par aaj shriji ki kripa hai jo aaj sabko unka darshan, sambhshan aur charan raj itni asani se mil rahi hai.

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi