॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Sakhubaai ji ki kahani: bhagwan inke liye rassi se bandhe rahe!

maharashtra ke ek gaon mein ek brahmin rahte the. Unke ghar mein keval char log the – wo brahmin, unki patni brahmani, unka putr aur unki putravdhu. Unki putravdhu badi hi sadhvi aur bhakta thin jinka naam Sakhubaai tha. Wah bachpan se hi sant mahatmaon ka sang karke nirantar shri Krishna ke chintan mein tanmay rahti thin. Jaise gay kasai ke chakkar mein phans jae, waise hi sadhvi Sakhubaai ki shadi aise parivaar mein hui jaha unki sas, sasur aur pati tino unke virudh the. Unki sas unhen thappad marti thin aur galiyan bhi diya karti thin. Unke parivaar mein sab unke bhajan ke virudh the, lekin Sakhubaai ne kabhi kisi se kuch nahi kaha. Unke pati bhi unke anukul nahi the. Sakhubaai ko bahut kasht diya jaata tha, lekin wah ek pal ke liye bhi bhagwat vismaran nahi hone deti thin. Unhone itni pratikultaa ke baad bhi un tino se dves nahi kiya. Unka jeevan kleshmay tha par unhone kabhi kisi se kathor vachan nahi bole. Jo man-apman, labh-hani, jai-parajay, sukh-dukh ko saman bhav se sahte hue bhagwat smaran karta hai, bhagwan uske adhin ho jaate hain.

Sakhubaai ko unke parivaar wale bahut satate the!

Sakhubaai ko pita jaata tha, galiyan din jati thi, kleshatmak vihaar kiya jaata tha, lekin Sakhubaai ke hriday mein vitthal aise base hue the ki iska unke upar koi prabhav nahi parta. Sakhu bai ko phate purane kapde pahne ko milte the, rukha sukha khane ko milta tha, prati kshan daant-pitai hoti thi; lekin wah har samay shri Krishna ke chintan mein leen rahti thin. Sakhu ki dasha par gaon ke stri-purushan ko bahut tars aata tha par, kisi ki himmat nahi hoti thi ki koi unke parivaar ko samjha sake. Sakhubaai man hi man bhagwat kripa ka anubhav karte hue sochtin ki kitne kripalu hain shri Krishna! Yadi mere pati, sas ya sasur mujhse pyar karte to shri Krishna ke pyar mein badha par jati. Ek din kisi padosan ne Sakhubaai se pucha, tu itna dukh bhogti hai, tere mayke mein koi nahi hai kya? Na koi khabar lene aata hai, na koi tumhara sahyog karta hai. Sakhu ne muskurate hue kaha, janti ho mera mayka kaha hai? Pandharpur mein. Aur mere mayke wale kaun hain janti ho? Vitthal aur Rukmini ji. Aur sakhi unka bahut bada parivaar hai, asankhya santanen hain. Mujhe lagta hai ki wo asankhya santanon ki vyvastha mein mujhe bhule gaye hain. Isliye mujh garib ki khoj khabar lene wo nahi aa pa rahe. Par unki mujh par bahut kripa hai.

bhakton ki mandli ke saath bhag padi Sakhubaai

pandharpur maharashtra ka ek prasiddh dham hai. Yahan ekadshi ko bada mela lagta hai jismen bhagwan shri vitthal ji ke darshanartha lakho nar-nari dur-dur se naam kirtan karte hue, nritya karte hue utsahpurwak pandharpur ki yatra karte hain. Jab yatra ka din aaya to bhakton ki mandliyan kirtan karte hue, nachte hue pandharpur ke liye charon or dal bana-bana kar jane lage. Bhakton ko pandharpur jaata dekh Sakhubaai ke hriday ka baandh tut gaya. Vichar kiya kya karu? Mere pritam ka aisa bada utsav ho raha hai, yadi main sas se puchhungi to pitai hi hogi, unhone socha. Sas-sasur, pati koi jane to dega nahi. Sakhubaai ko pani bharne ke liye roz krishna nadi mein jana hota tha. Unhone ghada liya aur krishna nadi mein jal bharne ke bahane ghar se niklin. Premi bhakton ke sankirtana dal ko dekhkar sakhu ke hriday mein prem umda. Pandharpur jane ki prabal ichchha kar ke unhone ghada vahin rakh diya aur wah bhakton ki mandli mein chali gain.

unhen jaate hue ek padosan ne dekh liya, aur daud kar usne unki sas ko bataya ki uski bahu santo ki mandli ke saath bhag gayi hai. Ab sas aur pati ne bade-bade dande nikale aur unhone sakhu ko rokne ke liye daud lagai. Unhone dekha to Sakhubaai apne pritam ke darshan ke liye vishesh ichchhuk thin aur bhakton ke beech mein bhagwat prem mein unmatt ho rahin thin. Unki sas ne unke bal pakde, ghasit ke unhen bahar lai, aur wahin unhen dande se marna shuru kar diya. Ghar le ja kar tino ne milkar unki pitai ki. Sakhubaai sirf ha vitthal, ha Krishna, ha govinda kahti rahin! Unki sas ne kaha yah to mamuli mar hai, isse ye manne wali nahi hai. Aisa peeto ki ye chalne ke layak na rahe, varna ye phir bhag jaegi aur pandharpur ki yatra karegi. Aur abhi do saptah hai pandharpur ke yatra mein; isko jakad kar ke khambe mein baandh do aur do saptah tak na roti na pani aur roz iski pitai karo, tab ye manegi. Sas ki agyaa par Sakhubaai ko unke pati aur sasur ne baandh diya, unki pitai ki, aur unhen bhojan dena band kar diya.

dukh milne par kaisi honi chahiye ek bhakt ki sthiti?

unke hriday mein yah dukh nahi tha ki mujhe baandh diya gaya, mujhe mara gaya, mujhe gali di gayi. Unke hriday mein bas ek pida thi ki he shri Krishna, aapke bhakton ke beech mein mujhe kitna sukh mila. Pahli bar jeevan mein bhakt mandli mein mujhe nachne ko mila. Main aapke darshan ke liye ja rahi thi. Meri samarth nahi ki main is janm mein is narak se nikal sakun. He karunanidhan, kya aisa nahi ho sakta ki main is janm mein aapke darshan kar paun? Kya main aapke mandir mein akar aapke bhakton ke beech mein nahi nach sakti? Sakhubaai ansu bahate hue kah rahin thin ki he Krishna, aisa kuch upay karo ki main aapke darshan kar sakun. Main bahut patit hoon, din hoon, adham hoon, meri samarth nahi hai ki main aap tak aa sakun. He prabhu, aap kripa karo, bahut sundar avsar mila hai, bhakton ki mandliyan ja rahi hain. Aapke darshan karne ke liye bar-bar avsar nahi aayega. He nath, aap kripa karoge tabhi darshan ho sakte hain. Meri samarth nahi hai ki main is changul se chhut sakun.

Sakhubaai ke rup mein bandhe thakurji

Sakhubaai shri hari ka antarik chintan kar rahin thin. Jab bhakt takleef mein ho to hari ko chain kaise par sakta hai? Rukmini ji ne dekha to prabhu ke chehre pe udasi aur badi chinta thi. Unhone thakur ji ko pucha ki nath aap chinta mein kaise? Lagta hai koi bhakt kasht mein hai. Bhagwan ne kaha ha! Ek aisi bhakt hai, jisko bahut pita ja raha hai, klesh diya ja raha hai, wo mujhse milna chah rahi hai aur usko baandh diya gaya hai. Aapko thode din ke liye hamse virah sahna padega kyonki hamen kuch din waha rahna padega, tab hi baat banegi. Rukmini ji se aisa kaha aur prabhu tatkaal Sakhubaai ke samip gaye. Unhen na bhojan diya ja raha hai, upar se galiyan di ja rahi hai aur pitai ki ja rahi hai. Sakhubaai ki ankhon se ashru bah rahe the aur wo prabhu ke dhyan mein nimgn thin. Prabhu ne ek bahut sundar navyuvti ka rup dharan kiya aur bole Sakhubaai maine suna hai tum pandharpur jana chahti ho. Chalogi mere saath pandharpur? Sakhubaai ne aankh kholi aur kaha sakhi mujh papini ke bhagya mein aisa kaha ki main bhaktamandli ke saath pandharpur jaun. Tum dekh to rahi ho meri dasha. Stri rupi thakurji ne kaha bai tum janti nahi ho, main tumhe bahut samay se janti hoon. Tum meri bahut priy sakhi ho. Udas mat ho, main jiski sakhi hoti hoon, usko main kabhi udas nahi dekh sakti. Main tumhari rassi khol deti hoon aur tum bhago aur jao mandli ke saath. Sakhu bai ne kaha meri sas phir pakar legi. Prabhu bole bilkul nahi, iski to tum chinta hi mat karo. Thakurji ne Sakhubaai ko nikala aur swayam Sakhubaai ka rup dharan karke rassi mein bandh gaye.

thakur ji ki seva se aaya Sakhubaai ji ke parivaar ke swabhav mein parivartan

jinka naam smaran karne se maya ka bandhan tut jaata hai, jinko pana bade-bade yogiyon ke liye bhi durlabh hai, wahi bhagwan apni bhakt Sakhubaai ke liye ek sadharan stri ki tarah bandh gaye. Thakurji chup chap chante kha rahe hain. Thakur ji ko kai din ho gaye, bhojan nahi mila, pani nahi mila aur roz unki pitai bhi hui. Chaudah din bit gaye, prabhu bandhe rahe, roz dande aur galiyan kha rahe hain. Unke pati ko un par daya ai to unhone sakhubai ke rup mein jo thakur ji bandhe the, unko khol diya. Pati ki agyaa ke anusaar sakhu bhai rupi shri bhagwan ne snaan kiya, sundar rasoi banai aur sabko khilaya. Bhojan pane ke baad tino ke hriday mein bahut pyar uday hua. Sakhu rupi bhagwan ne apni seva aur sundar vihaar se pati,sas aur sasur, tino ke swabhav ko badal diya. Ab tino Sakhubaai swaroop shri bhagwan se bahut pyar karne lage.

pandharpur pahunchi Sakhubaai

udhar Sakhubaai pandharpur pahunch ke naam sankirtana karte hue nach rahin hain. Prabhu ke prem mein wo is baat ko bhul gain ki meri jagah koi aur sakhi bandhi hui hai. Anand mein vibhor hui Sakhubaai ne chandrabhaga nadi mein snaan kar ke mandir ke andar pravesh kiya. Wo mandir mein jakar shri hari ke darshan karke anand sindhu mein doob gain. Sakhubaai ka prabhu mein aisa man laga ki unhone prabhu ke samne pratigya kar li ki jab tak sharir mein pran rahenge, main pandharpur ki sima ke bahar nahi jaungi. Unhen kya pata tha ki unke badle pandhreenath ji waha bandhe hue hain. Sakhubaai pandurang ke dhyan mein sanlagna ho gain. Sakhubaai ke samne wo swaroop prakt hua ki Sakhubaai vihwal ho gain aur bhagwan ke saundarya ke darshan mein itna mugdh ho gain ki unke pran chhut gaye.

Sakhubaai ka antim sanskar aur punarjanma

ek brahmin us mandli mein aaya tha aur usne Sakhubaai ki lash ko dekha. Usne saathiyon ko bulaya aur sabne milkar Sakhubaai ke sharir ka antyeshti sanskar kiya. Idhar Rukmini ji ne vichar kiya ki thakur ji kah ke gaye the ki kuch hi dino mein wapas aa jaunga, aaj tak wapas nahi aae. Phir dhyan deke dekha ki jiske liye gaye the usne to sharir chhod diya aur uske sharir ka antim sanskar bhi ho gaya. Ab mere prabhu ko to bahu bankar waha rahna hi padega. Ab Rukmini ji ko badi chinta hui. Rukmini ji shmashan pahunchi, aur unhone Sakhubaai ki rakh, haddi wagairah ko ekatrit kiya aur prem drishti se dekha to Sakhubaai jivit ho gain. Sakhubaai ko aisa laga jaise wah gadh nidra se jagi hon. Raat ko swapna mein Rukmini ji ne Sakhubaai se kaha, dekho putri, tumhara pran pura hua. Tumne kaha tha ki jab tak is sharir mein pran rahenge, main pandharpur ki sima ke bahar nahi jaungi. Tumhara wah sharir to jal gaya. Ab tum laut jao, mere pritam tumhare rup mein tumhare ghar par hain. Adesh pakar Sakhubaai anandamgan hokar do din baad yatriyon ke saath wapas laut ain.

Sakhubaai ki vapsi

sakhu ko aata dekh, sakhu vesh dhari bhagwan pandhreenath, jo waha bahu rup mein the, unhone socha ki agar wo yahan aa gain aur main bhi yahan raha to gadbad ho jaegi. Thakurji ne tatkaal sas se kaha ki main pani lene ja rahi hoon. Unhone ghada liya, ghat par ain aur purv parichit sakhi ka vesh dharan kar Sakhubaai se milin. Unhen dekhte hi Sakhubaai ko sari baten yad aa gayi. Sakhubaai ne daud kar ke unhen hriday se lagaya aur kaha sakhi aapki kripa se mujhe pandharpur jane ko mila; mujhe mere thakur ji ke darshan hue. Unke charnon ko pakar liya. Bahan tumhen bahut kasht bhogna para hoga meri wajah se. Thakur ji ne kaha ki tum chinta mat karo, tum sukhi ho gayi na? Sakhubai ne kaha, ha. Thakur ji ne kaha mujhe koi kasht nahi hua, yadi tumhen sukh mila to har kasht mere liye sukhmay hai. Tum ye ghada lo, ismen jal bharo aur ghar jao. Sakhubaai ghada barkar apne ghar ko gain aur thakur ji antardhyan ho gaye.

Sakhubaai ki bhagvatik sthiti hui ujagar

Sakhubaai ghada utha kar ghar pahunchi aur swabhavic apne kam mein lag gain. Sakhubaai ko sas, sasur aur pati ke badle hue swabhav ko dekh kar bada ascharya ho raha hai ki itna pyar mil raha hai. Dusre din wo brahmin (jisne Sakhubaai ke sharir ka antim sanskar kiya tha) wapas aaya aur usne Sakhubaai ke ghar pahunch kar kaha ki main ek khabar dene aaya hoon. Tumhari bahu pandharpur gayi thi, jaha thakur ji ke darshan karke uske pran nikal gaye, aur ham sabne uske sharir ka antim sanskar kar diya. Parivaar walon ne kaha ki hamari bahu to ghar ke andar hai. Aawaz lagai, Sakhubaai samne aa gain. Us brahmin ke hosh ud gaye. Akhir brahmin ke bahut kahne par unhone sakhu ko apne paas bulakar pucha ki hamne tumhen yahan baandh rakha tha, lekin ye kahte hain ki tum pandharpur mein gayi aur waha mar gayi. Kaisi baat hai ye?

Sakhubaai ne kaha ye jo kah rahe hain bilkul satya hai. Jis samay aapne mujhe baandh rakha tha usi samay koi navyuvti stri ai thi aur usne meri sahayata ki. Mujhe khol diya. Main bhakton ke saath pandharpur gayi aur wo yahan bandhi rahi. Mujhe to waha bhej diya aur swayam aapka pratikul vihaar sahti rahi. Main pandharpur zarur gayi thi. Waha ek din mujhe behoshi bhi hui. Baad mein mujhe malum hua ki main mar gayi thi, aur mere sharir ko jalaya gaya tha. Par Rukmini ji ne mujhe punah zinda kar diya aur wapas bhej diya. Main jab nadi ke paas ai to wah yuvati jisne mujhe khola tha, wo mujhe ghada de kar chali gayi. Aap log jante hain wo yuvati kaun thi? Sas,sasur, aur pati ne kaha, hamen to pata nahi. Sakhubaai ne kaha jab wo chali gayi to mujhe pata chala ki wo mere pandurang vitthal hi the. Aap logon ka bada saubhagya hai ki aapko mere isht ke darshan ho gaye. Yah sunte hi Sakhubaai ke sas,sasur aur pati unke charnon mein gir pare, aur kaha ki hamne tumhen pahchana nahi. Hamare ghar mein aisi param bhakt, param sadhvi rahti hai, jiske adhin shri bhagwan hain , hamne tumhen bahut sataya, ham par kripa karo. Sant Sakhubaai ne sas, sasur aur pati ko bhakti ka updesh diya. Tino bhajan paraayan hokar Sakhubaai ki kripa se bhagwat dham ko prapt hue.

nishkarsh

yadi upasak bhakti marg mein age badh raha ho aur uske jeevan mein pratikultaa aae, to use aandit hona chahiye ki ab hari jaldi hi ane wale hain. Jab-jab pratikultaa kisi bhakt ke jeevan mein ai, to bhagwan ka aisa avatar hua, jo na to purannon mein likha hai aur na hi shastron mein. Hari hamen har kshan dekh rahe hain. Kabhi nirash mat hona. Chahe jitna dukh-klesh aae, aapko dukh-klesh dene wale vyakti ko kabhi klesh dene ka vichar mat karna. Aandit hokar sahna, to hari aap par kripa karke aenge aur aapko hriday se laga lenge. Isse hamara janm-janm ka dukh dur ho jaega.

margdarshak: shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj

shri hit Premanand ji maharaj Sakhubaai ji ki katha sunate hue

sambandhi video: YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi