॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

shri tripurdas ji ki kahani – bhakti mein vipattiyan aati hain, ghabraen nahi!

shri tripurdas ji ka janm Brajmandal ke shergadh mein hua tha. Unke pita rajmantri the. Bachpan se hi tripurdas ji mein bhakti ke sanskar the. Ek bar ve apne pita ke saath Agra se kisi karya ke liye giriraj Govardhan ji aae. Yahan unhone thakur Shrinathji ke darshan kiye aur unke sundar rup ko dekhkar bahut akarshit ho gaye. Unhone yah than liya ki ve ab wapas nahi jaenge, balki roz inheen ke darshan karenge aur inhi ke paas rahenge.

unke pita ne wahan apne kisi parichit se kaha ki yah balak hath kar raha hai, to ve use kuch dino ke liye apne paas hi rakh len. Ve apne putr ko wahin chhodkar wapas lautne ke liye nikal pare. Raste mein kuch shatru dal ke sainikon ne unhen gher liya aur unhen mar dala.

bhakton ke jeevan mein vipattiyan prayah prarambh se hi aati hain. Jab tripurdas ji ne suna ki unke pita ko shatru dal ne mar dala hai, to unhone Shrinathji ki or dekha aur kaha, “ab aap hi mere pita, mitra aur mera sab kuch ho. ” unke hriday mein gahra anand hua ki unka nammatra ka pita antardhyan ho gaya, lekin unka apne vastvik pita (jo anant janmon se unka saath dene wala hai) se sambandh ban gaya. Ab unka keval Shrinathji par hi vishwas tha, aur ve nishcint ho gaye. Ve roz prabhu ke samne bhav-vibhor hokar rote rahte the.

tripurdas ji ko mila mahaprabhu Vallabhacharya ji ka sannidhya

ek din jab Vallabhacharya mahaprabhu, jinhone Shrinathji ko prakt kiya tha, thakur ji ki seva mein aae, to unhone dekha ki yah balak thakur ji ko dekhkar rota rahta hai. Vallabhacharya ji ne apne anuyayiyon se pucha aur unhen bataya gaya ki wah ek rajmantri ka putr hai, jiske pita yatra ke dauran mare gaye aur wah Shrinathji mein bahut aasakt hai. Tripurdas ji ne shri Vallabhacharya ji ko sashtang dandvat kiya aur kaha, “prabhu, main ek anath balak hoon aur mere nath keval Shrinathji hi hain. Mujhe sweekar kar lijiye. ”

Vallabhacharya ji bahut prasann hue aur unhone tripurdas ji ko diksha de di. Ve kuch din tak tripurdas ji ko apne paas rakhte hue unhen seva, dhyan, aur bhaktimay jeevan jine ki shiksha dete rahe. Phir unhone unhen wapas jane ka adesh diya, saath hi ashirwad diya ki ve Shrinathji ki seva aur chintan karte hue jeevan vyatit karen. Guru agyaa ka palan karte hue ve wapas apne pita ki nagri mein chale gaye.

tripurdas ji ka sant seva ka vrat

shri tripurdas ji jab kuch bade hue, to raja ne unke pita ka pad unhen saump diya, aur ve rajmantri ban gaye. Shri tripurdas ji jante the ki dhan ki vastvik sarthakta yahi hai ki uska upyog santo ki seva mein kiya jae. Gay, sant, brahmarishi, bhagwan ke vigrah ki puja, aur kisi asahay vyakti ki madad karna, jo bimar ya asmarth ho, inme jo dhan kharcha hota hai, wah aapke bhagya ke bank khate mein jama ho jaata hai. Yah aapko byaj sahit wapas milega, aur hamare prabhu ke bank mein byaj bahut adhik hai—ek rupaye par lakho guna byaj. Jo aap dekhte hain ki koi bada pad prapt karta hai ya koi raja ban jaata hai, wah sab purv janm mein kiye gaye achhche karyo ka phal hai. Lekin aajkal is bank mein vishwas rakhne wale log bahut kam hain.

tripurdas ji ne yah nischay kiya ki rajmantri pad se jo bhi dhan prapt hoga, use ve keval santo ki seva aur Bhagwad seva mein hi upyog karenge. Unhone yah niyam liya ki har varsh sardiyon mein Shrinathji ke liye ratnnon aur heeron se susajit ek poshak banwakar bhejenge. Tripurdas ji ke ghar roz santo ki seva hoti—roz sant ate aur prasad prapt karte. Shrinathji bhi bahut khush hokar wah poshak dharan karte. Shri viththalnath ji (shri Vallabhacharya ji ke putr) yah dekhkar ashcharyachkit the ki jab ve thakur ji ko koi anya vastr pahnate to prabhu use sweekar kar lete, lekin jab tripurdas ji dwara di gayi poshak pahnai jati, to thakur ji vishesh prasann ho jaate. Yah darshata hai ki bhakt dwara prem se di gayi vastu ko bhagwan atydhik bhav se sweekar karte hain.

sab din hot na ek samana

shri tripurdas ji se dves karne walon ne raja se shikayat ki ki ve rajmantri hone ka fayda uthakar rajdhan ka durpayog karte hain. Unka arop tha ki tripurdas ji rajdhan se sadhu-santo ko khilate-pilate hain aur rajakhjane se dhan churate hain. Raja ki buddhi prabhavit hui aur usne adesh diya ki tripurdas ji ki sari sampatti japta kar li jae. Parinamaswarup, unke ghar mein bhojan ke liye bartan tak nahi rahe. Unke paas khane ke liye ek dana bhi nahi bacha. Ab ve atydhik garib aur kasht mein apna jeevan yapan karne lage.

kathinai mein bhi tripurdas ji ka seva ka sankalp

ab sardi ki ritu ai, aur shri tripurdas ji ne har sal ki tarah Shrinathji ke liye poshak bhejne ka pran liya tha. Ve yah jante the ki jab tak unka jeevan hai, ve thakur ji ki seva mein koi kami nahi chhodenge. Lekin ab unke paas kuch bhi nahi tha. Unhen yah dekhkar gahri pida hui ki ve koi bhi kasht sah sakte the, lekin thakur ji ki seva ke bina unka jeevan nirrathak sa lagne laga. Ve bahut dukhi ho gaye aur thakur ji se vinay karne lage, “he prabhu! Main sabhi kasht sah sakta hoon, lekin aapki seva ke bina main nahi ji sakta. ”

itne mein unki nazar upar rakhi ek davat par padi. Wah davat pital ki thi, aur tripurdas ji ko yah khyal aaya ki shayad yah kuch sikkon mein bik jae. Unhone wah davat uthyi aur bazar mein bechne ke liye gaye, sochte hue ki agar wah bik gayi, to unhen thodi si rakam mil jaegi aur ve Shrinathji ke liye poshak bhejne ka apna niyam pura kar sakenge. Tripurdas ji ko us davat ke badle ek rupya mila, jise lekar wah ek kapde ki dukan mein gaye. Waha unhone ek sadharan kapda kharida.

us safed kapde ko unhone khud lal rang se ranga, lekin rangte wakt unke ansu thame nahi. Ve prabhu se kahne lage, “he nath, yah to itna sadharan aur mota kapda hai, jo aapke sevkon ke bhi layaq nahi hai. Main ise kaise aapke charnon mein arpit karu?” unhone wah kapda rangkar apne paas rakh liya. Unka sahas nahi hua ki wah wah kapda Shrinathji ko arpit karne jain.

tripurdas ji ki dinata mein bhi bhakti ki unchai

ek din, tripurdas ji ne Shrinathji ke ek sevak ko dekha. Unhone sevak ko pranam kiya aur use apne ghar le aae. Unke ghar mein khane-pine ka koi uchit prabandh nahi tha, phir bhi tripurdas ji ne bahut sankoch ke saath wah lal rang ka kapda nikala aur hath jodkar kaha, “meri yah pratigya thi ki main har varsh Shrinathji ko poshak bhejunga, lekin vidhi ka vidhan aisa hai ki wah mumkin nahi ho saka. ” unhone wah kapda sevak ko saumpte hue kaha, “kripya ise bhandari ko de dijiye, lekin gosain ji (viththalnath ji) ko is kapde ya meri vartman sthiti ke bare mein kuch na batana. Bhandari jaisa uchit samjhe, vaisa iska upyog karen. ”

sevak ne wah vastr le jakar bhandari ko diya aur tripurdas ji ki din-hin sthiti ke bare mein batakar kaha ki is seva ka apman na kiya jae. Bhandari ne us kapde ka sammanpurwak upyog karte hue use thakur ji ki anya poshakon ko lapetne ke liye almari mein rakh liya.

Shrinathji ko lagi thandi

sardi ka samay tha, ek din Shrinathji shringar ke baad achanak kampne lage. Jab shri vitthlnath ji (gusaeenji) charan seva mein gaye, to thakur ji ne unse kaha, “mujhe bahut zor ki thandi lag rahi hai. ” vitthlnath ji ne turant thakur ji ko mahange garm vastr pahnae, lekin thakur ji phir bhi bole, “bahut thandi lag rahi hai, bahut thandi lag rahi hai. ” is par shri vitthlnath ji ne turanta angeethi jalakar thakur ji ke paas rakhi, lekin thakur ji phir bhi kampte hue bole, “mujhe bahut thandi lag rahi hai. ” gusaeenji samjh gaye ki yah sadharan thandi nahi hai. Yah to kisi bhakt ke hriday ki pida ka sanket tha. Gusaeenji bahut sankuchit hokar bole, “prabhu, ab kya upay karu? Maine aapko garm poshak pahna di aur angeethi bhi aapke paas rakh di, phir bhi aap kah rahe hain ki aapko thandi lag rahi hai. ”

tripurdas ji par Shrinathji ki kripa

vitthlnath ji ko vichar aaya ki kahin kisi bhakt ke bheje hue vastr ka apman to nahi ho raha hai. Unhone sevkon ko bulakar kaha, “tatkaal bahi-khata lao aur dekho ki is varsh kis-kis ki poshak ai hai aur kiski nahi ai hai. ” sevkon ne bahi khate mein se sabhi naam sunae, lekin shri tripurdas ji ka naam usmen nahi tha.

vitthlnath ji ne pucha, “aapne tripurdas ji ka naam kyon nahi sunaya? Ve to har varsh thakur ji ke liye poshak bhejte the. Kya is varsh unhone kuch nahi bheja?” sevkon ne bataya, “raja dwara unka sara dhan nasht kar diya gaya aur unka sab kuch chhin liya gaya hai. ” vitthlnath ji ne phir pucha, “kya is varsh unhone kuch bheja?” sevkon ne uttar diya, “unhone keval ek lal rang ka sadharan vastr bheja hai, jo thakur ji ki poshak layak nahi tha. Isliye hamne use poshakon ko lapetne ke liye istemal kiya aur almari mein rakh diya. ”

vitthlnath ji ne turant samjh liya ki thakur ji ko thandi lagne ki wajah yahi thi. Unhone turant darji ko bulvaya aur us sadharan kapde se thakur ji ke liye ek sundar poshak banwai. Jaise hi thakur ji ne wah poshak dharan ki, ve muskarae aur bole, “ha, ab meri sardi dur ho gayi. ”

nishkarsh

hamare thakur ji bade rijhwar hain, ve keval prem aur bhav se rijh jaate hain. Isi bhav ko dridh karne ke liye ham mahapurushon ke pavan charit padhte hain. Kaisi bhi paristhiti ho, aapka niyam na tute, aapka bhajan na chhute. Prabhu ke prati jo niyam banao, uska palan karo. Isse ham nischit rup se prabhu ko pa lenge. Sukh mein kabhi prabhu ko bhul mat jana aur dukh mein ghabrakar bhakti ko chhod mat dena. Age aapko bahut sukh milega. Yah bhakti dukh-sukh dene wali nahi, balki sukh-dukh mein saman sthiti pradan karne wali hai.

margdarshak: pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji shri tripurdas ji ka charit sunate hue

sambandhi video: YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi