kya ek Radha naam se kalyan ho jayega ? | Ek Radha Naam/shri hit premananda govinda sharan ji
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
maharaj ji aap kahte hain ki ek Radha naam se hi kalyan ho jaata hai to phir anant naam jap ke baad bhi us param sukh ki anubhuti kyon nahi? Aisa kaise kah diya tumne ki anant naam jap ke baad anant naam jap kiya keval kalpnatmak galat kabhi aisa mat bolna maharaj ji bahut samay ho gaya lekin lekin abhi tak naam jap nahi kiya pyare agar kiya hota to aisa tumhare hriday mein prashn hi na aata sanshay hi na rahta sanshay hai iska matlab kiya nahi aaj ham kah rahe hain bolo Radha aur ja ke rato Radha wo agar anubhav mein na ave to hamen bata gardan utar dena ke hamari pura jeevan isi baat ka anubhav aisa kaise kah diya ki anant naam kahne par bhi anand
nahi hamara jeevan pramanit hai is baat ka hamari donon kidney kharab ho Radha naam pe dahad raha hoon Radha naam pe jivit hoon main tumhare samne baitha hua hoon jeevan hai ismen aisa thodi hota hai ki keval pravachan kar diya jeevan tumhare samne baitha hua hai riporte dekh lijiye keval Radha naam ka chamatkar aur aap riporten dekh lijiye to wo riporten batati hai ki ham iske upar chadhe kidney bhi bechari sochti hai buri jagah phas gaye haan are Radha naam nahi nahi nahi kabhi aise bhram mein mat rahna anant janm ho gaye bhaiya wo kukarma karte hue jo hamko ghor narko mein dale kishori ji ne kripa ki dekho hamare acharya kah rahe tachchha param adhma pran ho garma y naam mahima hare vrindavnas kaha main tuchch adh aparadh karne wala kaha mahimam Radha naam ye jo meri jibhya pe chal raha hai to keval kishori ke is dham ki kripa hai nahi koi Radha naam bol nahi sakta aap ham us Radha naam ko bolte hain ki anant bar japne par bhi anand nahi thakur rota hai Radha Radha bol ke jo anand samudra hai aap kaise bol diye kabhi aisa
mat kahna kyonki jeevan hai hamara kyonki pran hai hamara adhar hai hamara ham ji rahe hain usse hamara ahar hai Radha naam ka matlab bilkul nahi kabhi nahi aisa sochna bhi nahi anant janmon se ganda antahkaran hai kam to tumhara ho gaya tum narak mein jaoge ek bar aadha bol diya na narak mein baithe wale sare adhikari yon ki khopdi mein itni dum nahi ki tumhara hisaab kar sake. Ab wo baat ka anubhav karne ke liye koi bhi vritt Radha naam se na hate. Aisa abhyaas kar lo. Jitni jaldi abhyaas kar loge aap dekh paoge Radha naam hai kya?
Radha swaroop kya hai? Radha ras kya hai? Ye aapko anubhav mein aayega. Agar aap aisa nahi bhi karoge to ek bar Radha bol diya na hamare vachno par vishwas rakhna. Yamraj ki khopdi kharab ho jaegi hisaab nahi kar payenge. Ek Radha naam ka hisaab nahi kar payenge. Kaisi baat kah di? Vartman mein na dikhayee de to iska matlab wo vastu ka prabhav nahi aisa nahi mana ja sakta. Ullu ko din mein surya na dikhayee de to iska matlab surya uday nahi hua aisa nahi hai. Samjh rahe hain na? Isliye bahut savdhaan hokar vishwas karke isiliye guru banaya jaata hai ki hamen to pata nahi lekin aapko anubhav hoga.
aap jo bolenge main vishwas karke manunga aur man lijiye agar naam mein aae to ham koi majak ki baat nahi kahte hain. Hamari akeli baat nahi acharya parampara se hai. Bahut se sant hai bahut se bhakt hain. Anant anant bhakt ho gaye Radha naam ke prabhav se unmakta ho gaye. Aisa bilkul nahi. Ab aap vishay mein hai isliye aapko lagta hai ki Radha naam ka kya prabhav? Ham aapko bata rahe hain. Ham par vishwas maniye. Hamare gurujanon par vishwas maniye. Radha naam ki kripa se wo vastu prapt hoti hai jo trikal mein kisi aur sadhna se ho hi nahi sakti.
swayam shri Krishna Radha Radha lipte hain. Hari rasna Radha Radha rat aap ismen lago tab aapko pata chalega. Aapka kalyan ho gaya. Kisi ki takat nahi ki aapko nark le jae. Vishwas hai? Likh lo apni diary mein. Kuch bhi karo tum narak le jaoge. Kyonki tum Vrindavan dham aa gaye. Ek bar Radha bol di. Ek bar sant samne aisi sabha mein baith gaye. Yamraj ki takat nahi ki tumhen nark le jae. Maharaj ji teen sal baad Radha rani ne Vrindavan bulaya bas ab roz is baat ke liye ki ladli mujhe mahal mein rakh do ham is baat mein jo tumne kaha anant naam japne ka phal nahi to aaj tumhen phal de rahe hai tum ek bar Radha bole tumhen narak nahi milega is baat ki garantti hamari hai aur ye Radha naam ka phal dekh leo kahe ke liye ro rahe ho Vrindavan ke liye dekho Radha naam ka phal dekho ye ro raha hai kahe ke liye ye avastha hai dulhan ke liye rone ki aur ro raha hai hamari pyari dulhan ke nagar mein rahne ke liye ye hai Radha naam ka phal abhi dekho aur agar nirantar japega to dusron ko bhi rula dega prem mein itni samarth aa jaegi sa lok tarti wo swayam tar jaata hai swayam tar jaata hai lok ko tar deta hai bilkul nahi bhag naam param satya bhagwan se bhi shreshth aur bhagwan ko adhin karne wala koi bhi bhag naam phir ye to wo Radha naam jise swayam Shyam sundar ratte rahte hain bade bhagyashali ho ghabrana nahi ye kohre ke karan ham surya ka prakash nahi dekh pa rahe lekin surya uday ho chuka hai.
aise hi hamari manovattiyan vishay mein malin ho chuki isliye ham unki kripa ko nahi dekh pa rahe lekin Radha naam ka kripa prasad uday ho chuka hai. Hamara mangal nahi ho sakta. Aaj abhi isi kshan hamen anubhav mein aa jae. Yadi vyakulta paida ho jae. Dekho santo ke charit padh ke dekho. Om prakash ji ko dekho. 40 din ho rahe hain. Koi ann ka dana nahi rakh rahe. Haan Krishna haan Krishna ye agar wo abhi aapko mil jae to aap unka mahatva nahi jaan paoge. Wo apne mitra ko patr mein likha ki bhai chandman thakur ji abhi mil jae lekin tum unka mahatva nahi samjh paoge jaise kisi garib aadmi ko hira mil jae to wo mahatva nahi samjh pata wo tadpe uske liye jab wo milega tab wo mahatva unhen pata hai maine itni mehnat ki tab mujhe itne rupaye mile wo mahatva samjhta hai aise hi shri Krishna sahaj mein isliye nahi milte ki aapke andar wo milan ki aag nahi jis din aag ho jaegi na wo shri Krishna aap mein hi samae hue hai usi samay aapke hriday mein netr mein jal jaise chahoge waise aapko mil jaega.
theek hai? Kabhi ashradha mat karna. Vishwas karna. Pyari ji ka naam mahamritmay hai. Sabne anubhav kiya hai. Aap bhi ek vritt bhi alag na jae. Aisa karke dekho to aapko anubhav mein aayega ki Radha naam hai kya?
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…