॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kaun hai nij mantr ka adhikari

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

dekho nij mantr ham jab kabhi kisi ko hath karte hain to do baten hoti hai tumhen bata de antarik drishti padhte hi andar se swikrati ladli jo ki haan theek hai ya bahya drishti mein bahut bar hamne dekha hai ki bhajan mein unmatt hai kabhi dekha chhup ke uske ankhon se aansu bah rahe bas hriday mein aa gaya ye nij hua tab nij mantr na isko kya kaha jaata hai nij mantr to nij mantr ka kaun adhikari jab nij hua aur nij kaun hai jiski thesak mein shyama Shyam ke siva dusra koi nahi hai. Man vachan karm se keval keval shri shri ji keval shri pyare pritam bas aur kuch ek bahut matlab rasmay baat hai.

bahut ras prem swaroop Vrindavan prem swaroop sahchariya prem swaroop Priyalal yahi hamari aradhna hai. Jab karm dharm vrat sab se apna sambandh ekmatra Priyalal Priyalal nij hue to nij mantr mil jaega chinta mat karo aur ham jante ho jab koi kahta hai nij mantr to aise dekhte hain aise dekhte hain ki iske netron mein pyari ju pyare ju ke prati mamta ai ki nahi jab nahi to kah dete nahi aapko lagega ki nahi ham pyari ju pyare ju se pyar to karte hain ham to unhin ke ho gaye doctor kahta hai nahi tumhen pi liya hai wo kahte nahi ham pure svasth hain wo doctor hai isliye kahta hai pi liya abhi aur dawa khao thoda svasth ho jao nij ho jao phir mantr mil jaega chinta na karo agar bhari sabha mein tumhen kah de ki bahut tum nikrisht ho abhi tumhara bhajan mein bilkul pravesh nahi aapko sweekar karke ekant mein jakar rona hai ladli ji dekh lo wo bhi kah rahe hain sab kah rahe hain ab to aap sweekar kar lo ki main patit hoon nich hoon ab to praman mil gaya na ki main patit hoon ab to sweekar kar lo na pyari jahan aisa bologi to udhar se idhar phone ho jaega.

phone hua to ham yahan puchte hain. Aisa nahi ki na puchte unse pocho. Wo bola tha wo nij mantr ke liye kaun hai? Kahan ka hai? Aapko pata hai ab wahan sir shuru hua. Kaun hai? Haan ye isko bulao. Ab hamare upar jab adesh aayega na to bula ke phool mala ham hi manga ke aur sab isliye aap keval nij banne ki cheshta karo. Keval nij aur aisa aap kitne aise hain jinhone manga nahi. Hamne phone karke bulaya ki aap kal aa jao aur nij mantr le lo. Aap khub bhajan karo. Shri ji ki nij ban jao. Wo hamare hriday mein prerna karenge ki do isko nij mantr do.

unki sampatti hai. Wo aapko jab chahe tab dila sakte hain. Isliye aap pehle sharanagati pusht karo. Aap nij bano hamari shri ji ki. Hriday se dekho. Kya hamara hriday is baat mein purn ho raha hai ki shri ji ke siva hamara koi nahi. Hamari maang kabhi kisi se nahi hoti ki aap jitendra hue ki nahi hue? Aap dhan ke tyagi hue ki nahi hue? Aap ghar ke tyagi hue ki nahi hue? Ham ye pehle prashn nahi. Ham puchte hamari shri ji ke hue ki nahi? Agar shri ji ko aapne apna man liya to ye jad ukhar gayi.

ab ye dal patte sukhte rahenge. Dal patte ho sakta hai mahine do mahine na dikhayee de ki sukh rahe hain. Bahut bada vriksh hai. Lekin jad ukhar gayi. Upar se chhaant doge naee kinge phir nikal aaenge jad se ukhado jad se ukhadna main shri ji ki shri ji meri ye ukhad gayi sansaar ki jad ab jo ye nana prakaar ki vasna janit daal patte sab sukh jaenge pehle jad ukhado sansaar ki jad main sharir ye mere sambandhi ye jad hai ab main shri ji ki shri ji meri jad ukhad gayi ab vriksh sukhta rahega uski chinta nahi isliye sab apne jan pehle yah baitha le shyama ke siva mera koi nahi.

aapko nahi karna rona jarur hai. Ekant mein jakar rona samne nahi samne koi dekhega to tumhare asuon ka uphash hoga. Ye aansu bahut badi keemat hai. Ye keval keval pritam ke charnon mein samarpit karne chahiye. Ekant mein baithkar ke ro unke charnon mein samarpit karo. Prabhu pyari jo kab apne yogya banaoge? Kab apne yogya ham dava pesh nahi kar sakte ki ham premi hain. Jaise hain aapke hain. Aap hi acharya aur guru ko prerit karke aap apne layak jaisa chahte ho vaisa banva lo. Mere mein samarth nahi, mere mein yogyta nahi.

aisi prarthna karo. Nirantar shri ji ki main hoon. Aisa chintan karne ka abhyaas karo.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi