॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

ankit ji Sadgurudev bhagwan ki jai Gurudev bhagwan is papi jeev se aapki agyaa ka ullanghhan bahut bar hua hai kripya karke mujhe dand de aur aisa avsar de ki age se aisa nahi ho Gurudev mein har agyaa ka palan kiska prashn hai haan hazaron bar kasam khao to bhi wahi baat hogi samjho jab tak ham swayam sudhna nahi chaenge tab tak hamen koi sudhar nahi sakta jisko ham jante hain galti hai wo hamse punah isliye hoti hai ki mante upar se galti hriday se mante ki ismen sukh hai andar ki baat hay upar se ham kahte hain adharm hai paap hai galat hai nahi karunga nahi karna chahiye andar se hai ki sukh hai ab tumhen koi nahi rok sakta hazar bar galti mano phir upar hazar ke upar chalegi baat wahi hoga jis din aapke hriday mein yah baat aa gayi ki dekh liya kahin sukh nahi ab aaj se main niyam leta hoon andar se bhagwan ke bal par main aisi jagah nahi jaaunga jahan bhrasht ho jaun aise drishya nahi dekhuga jisse main patit ho jaun aisa bhojan nahi karunga aisa sang nahi karunga aur khub naam jap karo yahi sudhar hai dand se

sudhar nahi hota malo kisi ko jaise aap teen din vrat rah lo theek hai teen din baad chauthe din jab shuru karoge to panchwe din phir wahi rang aa jaega isse koi labh nahi ye to matlab deha man janit ye sab baten hain mul baat ko agar samjh loge to khate pite raho uchit jeevan vyatit karo ye sharir ab jaise hat karke aap badi badhiya gaadi le li aur usmen petrol mat dalo to aap gaadi rakhe use kuch thoda hoga usmen dalna hi padega aise ye gaadi aap nahi ho aapki jeevan yatra hai ismen bhojan samay se uchit uchit pani de do uchit vishram uchit isse shareerik shram karva lo ba aap alag rah kar ke raho yah sab ho raha hai akhirkar har koi janta hai ki hamari gaadi hai par main gaadi to nahi hoon na itna to sabko i janta hai agar yahi baat ismen samjhne lago to sudhar hona shuru ho jaega gaadi hamare hath mein na ki hamki gaadi ke hath mein hai aur uski bhi ek sima hai usi sima se chaloge to bach jaoge sima se to fi control aapke hath mein nahi rahega sima ke andar siddhant ke antargat sharir rupi

yatra ko chalao uchit ahar uchit vihar uchit shayan uchit bartaav gandi baten jo nishedh ki jati hai unko swayam chodo jab hamara hriday akarshit hota hai kisi gandi baat ke liye to man harshit hota hai bas samjh lo ki yah harshit hona hamare liye patan ka karan hai usi samay buddhi ko sashakta rakho nahi aisa nahi karenge kuch bhi kar le do nahi aur udhar kadam mat badhne do bhagwat smaran raftar se shuru karo bach jaoge chahe itna dand de ek bar pulis mein pitne ke baad usko abhyaas ho jaata hai ki bahut bahut itne pit aur wah apne aacharan ko sudhar nahi pata isliye apne ko dand ki taraf vritti nahi rakhni apne ko sudhrane ki taraf vritti rakhni wah aap swayam kijiye va apne Gurudev ke vachan santo ke vachno ka bharosa aashray lekar ham maya se par hote hain dand vidhan to aise ek vinod samjho dand vidhan se koi sudharta nahi hai sudhar swayam ki glani se ja usko glani hoti ki maine galat kiya itna hamen bhagwan ka pyar mil raha hai santo ka pyar mil raha phir bhi main niche saath kaise aise andar uski jo pashchatap

agni jalti wo uska sudhar karti hai bahar se dand bhog le andar se usmen sukh buddhi phir paap ho jaega phir wahi kitni bar kasam khate hain log kitni bar phir wahi patan ho jaata hai to samjhe bachchha haan sahi sahi se chalo jo chij samjhte ho ki nahi karna chahiye andar se lado aur wo mat karo aur naam jap karo koi nasha vasa mat karo nahi to nasha aajkal naye bachchhe ye sab sarab aur aapko aise khilwad samjhte hain wo buddhi bhrasht kar deti hai jeevan aise hanste hanste vyarth mein nasht kar rahe hain log vyarth mein manoranjan mein apna jeevan nasht kar rahe hain are desh ke liye jeevan nasht karo samaj ke liye agar jeevan vyatit karo bhagwan ke liye to jeevan ka kuch uddeshya samjh mein ave aise manoranjan mein jeevan nasht kar rahe Gurudev mere ek mitra ne mujhe vitthal Rukmani ji ki murti di thi bhet swaroop ab Gurudev us usi ki main priy pritam bhav se seva karta hoon kya main sahi kar raha hoon ha kisi bhi tarah se kisi bhi bhagwan ke naam rup mein jud aapka mangal hi hoga sab bhagwan hamare hi hai sab bhagwan ke naam

hamare khub achhche se lago pehle lago to shri Harivansh Gurudev bhagwan Gurudev bhagwan sabhi nij parikar ke vartalaap mein yahi jana ki sabko akhand bajwas aapke sankalp aur kripa se hi mila hai maharaj ji he Gurudev hamen bhi aapka aisi kripa prapt ho ki ham bhi Vrindavan yah unki bhavna hai hamara bhi Vrindavan bas shri ji ki kripa se hua hai to ham kis par kripa kar sakte hain usi kripa samudra ke pravah mein jisne aashray le liya wo ismen unka bhav unka bhav galat nahi kahte jaki rahi bhavna jaisi prabhu marat dekhi tin taisi man lo koi bhavna mein dekh raha ho mere bhagwan baithe hue hain usko waise hi anubhav hoga aur agar hamse puchoge to tinka ja bayar ke bas hawa tinka ko uda kar ke aise achchhi jagah rakh diya to tinka ka kya purusharth aur nali mein gira diya to tinka ka kya purusharth aise kripa rupi hawa ne hamen Vrindavan vas mein baitha diya ham to teen ka hai hamari kya samarth ki ham na khane ko na pine ko na vas na koi vyvastha ye to maharani ji ki ladli ji ki kripa va aise

vyvastha aise rakh rahe to hamko rakh rahe hain sabko rakh rahe hain jo bhav se unse jude yah unka mahal hai wahi paas dete hain kisi aur ke paas se nahi jinko vrinda vipin hai kripa ti nahi ki hoe Vrindavan mein tav to pahi soy ab jisne guru ko shri ji man liya hai prabhu man liya hai va apni bhavna kar raha hai to shri ji unki usi bhavna se unki purti kar rahe hain kar shri ji rahe yahan agar samjho koi samarth hai to sachchi kahte tinke ki jaise koi samarth nahi aise sharir ki ya sharir dhari ki koi samarth nahi yah shri ji ki kripa se chal raha hai jo kuch hoe sab tihari kripa se bihari bihari yah bhram hai koi vyakti koi sharir dhari kuch kar sakta hai ye keval ladli lal ki kripa aur usi kripa ka prichay usi kripa ki dhara mein aapko dubone ke liye ye sab baten ho rahi hai unka naam rup leela dham agar jara bhi kripa unki na ho to koi chu nahi sakta Radha nahi bol sakta koi dham nahi aa sakta koi Priyalal ki charcha na kar sakta hai na bol sakta hai agar ye hai to unki hamare upar bahut

kripa hai aur us kripa mein ham dube jitna mila hai utne ki bar-bar balhari jae to age dene wala apne aap aur de dega ja wo dekhta hai jitna diya hai uska hi aadar nahi hai to phir 00 rup diya barbad kar diya to haj rup kahe ko dega pita wo to sarvagya dekh raha hai na ki 100 to kharch nahi kar paya isse hazaron lakh ki check de de to barbad hi karega agar 100 ka theek prayog hua hai to hazar mangne nahi padenge wo sarvagya hai aise hi aapko jo naam mila mantr mila upasna mili aap usmen

kitna tanmay hai agar nahi to phir age ki baat maang hi kyon rahe ho pehle jo mila hai uska swad lo usi mein dham aur naam sab prakashit ho jaega ham age age mangte chale jaate hain jo milta hai uska swad nahi le pate to yah baat samjhna hai hamen apne udaar Swami se mangne ki zaroorat nahi hamen jo mila hai uska aadar aur uski kripa manane ki zaroorat hai agla sopan apne aap va kripa sindhu hai wah kar denge gagan pande ji shri sadguru bhagwan ke charnon mein koti koti pranam bhagwan aapke shri mukh se pravachan sunte sunte malum par gaya hai ki hamare sare prashan ka jawab Radha naam hi hai bhagwan ab duniya se vishwas khatm ho raha hai jab se suna hai ki sharanagati mein bal hota hai tab se su bij naam japne ka bahut man karta hai bhagwan thoda-thoda naam jap karne ka abhyaas bhi ho chuka hai kabhi-kabhi man karta hai sans bhi khali na jae pariksha chahe le li haan bilkul nahi bahut sundar baat hai bachchha aadar tumhari is baat ka pura ham aapko sahyog karenge jo bhi hamen guru prasad se hai aap chalo ab

yah ki thodi y jimmedari in logon ko di ye log batchit karke dekh lete hain kuch samasyae kuch to unka sujha hain kuch aise prashn hai jinko tumhen suljhana hoga kuch samasya hoti hai jinko inko suljhana hoga aapko aise aise aur donon sujh gaye mantr le lo aram se bhajan karo ham to baithe hain koi ismen t nahi lagta koi ismen aisa nahi ki itni fees jama karo haan yah jarur hai ki mantr usi ko lena chahiye jiska uddeshya ban jae bhagwat prapti nahi to aparadh banta hai mantr le liya manmani aacharan kar rahe hain pha theek aise manmani aacharan ho rahe hain to ek jagah bakaya jahan jane se theek ho jaoge sant samagam guru charan aashray agar guru charan aashray lekar man mani aacharan ho gaye to phir kaha age ke de gaye bhuji pani mein aur pani mein aag lage to kya keej aag ka jala hua bhag ke pali mein pali mein aag lag gayi to ab kya karen aise hi sansaar ka jala hua guru charnon mein gaya wahin bhi manmani aacharan karke wahan bhi prakriti virudh bhav ab kya karen ab to kahin thor nahi rah jaegi isliye guru bahut soch

samjh ke banana chahiye jab hamare andar ye baat aa jae ki ham Gurudev ki agyaa ka palan kar lenge accha wo koi aisi agyaa denge nahi jo aap palan na kar pao kyonki wo sarvagya pita hai bhagwan hi to Gurudev hai wo aisi agyaa nahi karenge ki aap na kar pao balak ko pita utni hi agyaa karta hai jitna kar sakta hai agar agyaa zyada kabhi ho gayi to sahyog deta baith kar ke dekho ham tumhara kam karate hain va kopi hamen lao y ham thoda likhte hain tum ise padho dekho va sahyog karke pura chapter tayyar kar dega kyonki pita hai aise hi bhagwan ya Gurudev tum yah karo dekho baka ham karte hain aur phir ham aapko age khada kar dete hain paramarth mein aise aap chalo in logon se baat kar lo jaisa nirnay karen waise chalo himank ji maharaj ji aapka swasthya kaisa hai kasne aapne pucha haan tha gadbad rahta hai va shri ji ki kripa se chalta rahta hai shri ji nahi janti kya agar unko chalana hai to yahi chalao to kartu kartu anytha kartu aur nahi chalana hai to kidney ki mala jod do to phayl ho jaega nahi

phayl ho jaega wo to hamen accha ye theek hai apne kasht bhog liye khun thoda philtar ho gaya ek din chala phir dusre din philtar ho gaya aise chal aur hamen koi kasht nahi kasht hote hue bhi koi kasht nahi kyonki shri ji ka aashray agar shri ji ka aashray na hota to bahut badi durgati hai is rog mein jaise samudra mein phenk diya gaya na nav hai na tarna aata hai aisi sthiti iski hai ab agar bhajan ka purvabhaas na to bhajan thodi ho sakta hai jaise aap baithe yah sab dard kyonki kidney to uske upar bhaar accha leto thodi der baad dard kyonki wo matlab samarth nahi log kahte hain na dekhenge tumhare gurde mein kitna power hai power hin ho ga gurdas par yah kripa hai ki har kasht mein ladli ju ka dular kripa prasad to ye kasht koi mahatva nahi rakhta hai aur jaise ki ab jana hai to ismen bhay nahi lagta kyonki shri ji ke paas jana hai apne ghar jana hai agar yey hota kahan jana hai hamari pata nahi kya gati hogi to pareshaan ho jae donon samasyaon ka samadhan ho gaya hai gaadi apne ghar

pahunch chuki ab ismen aag lag jae to koi baat nahi hai ghar walon se apna batchit ho gayi hai to ab koi pareshani nahi ab jaise yah ho ki aapko amuk jagah jana prichay hai nahi to ghbarahat paida ho jaegi raste mein gaadi bigad gayi to ghbarahat paida ho jaegi shri ji ne thikane par lake gaadi kharab ki hai to koi pareshani nahi shruti Sharma ji jai jai shrihit Harivansh Gurudev bhagwan Gurudev mere man ko ek bar dant laga dijiye Gurudev mujhe kshma kar dijiye aapki sharanagat hokar bhi kabhi-kabhi agyaa ka ullanghhan ho jaata hai haan apne dant se banega bahari dat sele jab apne dhikkar dete hain na andar se are nich to hamen bar-bar aisa to wah sudharta hai nahi to bahut ye vichitra koti ka devta hai bahari dato se nahi sudharta hai andar ki dant se jab aap ise dika ें aur savdhaan rahe ye kabhi bhi salah de to salah ko janch karen ki sahi de raha hai ki nahi agar de raha to usi samay dat lagae isko dhire dhire antarmukhi dekhti rahegi yah sudhar gaya to sadhna ban gayi hai bigad gaya to sadhna bigad gayi aisa

hai naam jap karte ra shr ha ra ha bhagwan ke charan mein ko Baba main ramanu sampraday se dixit ha main bhi kishori ji ki dasi ban bhajan karke jugal ki leela darshan karna chahta aapki ek nazar kripa drishti se kripa kare mujh par kripa dashta ba ka tapar koi bahari dekh lena nahi hota hai kripa drishti ka tatparya hota hai ki jo a kripa hai usse ham hat jae sharir ka rag sharir ke bhogon mein sukh buddhi sharir sambandhi mein sneh buddhi yahi a kripa hai isse hat jao to aapko kripa drishti mangni nahi padegi aap kripa swaroop prabhu ki kripa ki dhara mein bah jaenge aur yah hamne pakda isliye hamen chodna padega yah hamne pakda hai sharir ka rag sharir ke bhogon ka rag aur sharir sambandhi ka rag bas isi bandhan se nahi chhut pate hain chahe jitna pravachan karo chahe jitna pravachan suno ghum ghum karke ham isi bandhan mein bandhe rahte hain ham avidya ke nashe mein khute se nav khol bhul gaye hain mehnat khub kar rahe hain ek inch nav nahi chal rahe hai yahi khata sharir rag deha bhiman kar tatv bhog tatv bhav sharir ke

sambandhi ka sane yahi khata hai isi mein ham be yadyapi mrisha jad chetan hi granthi par gayi jadapi mrisha chhutti kathin santo ki shastron ki aur bhagwan ki tino kripa ka ek hi phal hai ki hamara sharir abhiman galit ho jae hamara sharir rag mit jae bhog buddhi badal jae aur hamare sage sane sambandhi prabhu lagne lage bas ho gaya sab ab aise ham jaise durgandh yukt padaarth aise lekar apni kakhi mein rakh le aur sab logon se prarthna karen ki koi durgandh hata do aap sab kripa karo durgandh hata do kaise hategi aapne daba ke rakha use phenk dijiye durgandh yah rag aapka pala hua hai aap hi chodna padega isiliye bhagwan kahte aap apne dwara udhar kijiye apna yah aapka bandhan hai aapne pakar rakha hai ise kisi ne banda nahi hai yadyapi mrisha hai par aapne pakar rakha hai isliye chodna padega aur kripa drishti to prabhu ki santo ki shastr ki aapke upar hai agar kripa drishti na hoti to bhagwat marg na milta santo ka samagam na milta ab aap aisi apne upar kripa drishti kar lo ki sharir ka rag chhut jae deha bhiman galit ho

jae prabhu ke smaran ke siva kuch yad na rahe yah sar baat hai Baba sab mein Radha vallabh hai yah bar-bar man ko samjhane ke baad bhi sab mein dosh darshan hota hai ye kaise ho sab mein Radha vallabh hi dikhe jab tak hamara chashma hara chadha rahega to hara hi sansaar dikhega lal chadha rahega to lal dikhega abhi hamara chashma trigunatmak maya ka chadha hai triguna atmika satogun rajogun tamogun kabhi achhche bhav ate kabhi bhog buddhi aati kabhi hinsa buddhi aa jati tino gunon ka prabhav hai jab hamare achhche bhav aaenge to yah baat achhche se chalne lagegi bhagwan sab mein hai satvic bhav mein jab rajogun bhav aayega to bhagwat bhav hat jaega bhog buddhi ho jaegi aur jab tamogun bhav aayega to pramad modta aur hinsmtk dves vrutiya dosh darshan yah sab pra abhi ham gun ke chakkar mein hai gunat banne ke liye nirantar bhagwat smaran ki avshyakta hai gun ham mein nahi hai antahkaran mein gun ka prabhav kabhi bhagwad ansh par nahi par sakta wah nirvikaar chidanand mein amal hai va to antahkaran mein jo hamara tada atma hai wahi hamen

gun prabhav se prabhavit karta hai yah baat samjhkar tada atma hatane ke liye beech mein naam ko rakh le apne aur antahkaran ke beech mein naam to naam kya hai va prakash karta prakash mein pata chalta main kahin nahi badha ha goswami ji kah rahe Ram naam mani deep dhar jih de hari davalu bhitar bahar jo chah suj ar agar bahar bhi prakash aur andar bhi prakash chahte ho to naam ko rakh lo Radha Radha Radha Radha aur jaise hi prakash mein aapki drishti hriday ki khulegi to aapko drishya dikhayee dega bhale bahar ka aisa lekin usmen yahi anubhav hoga prabhu hi prabhu virajman hai dusra koi nahi abhyaas karte raho jahan dosh darshan ho wahan prabhu ko pranam karo ki aapki maya ke karan ham aapko nahi pehchan pa ai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi