॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #79 · 22 january 2023

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Ramdas ji Uttarakhand sevansh maharaj ji Radhavallabh shri Harivansh aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aapke satsang mein jo ham sunte hain usko palan karne ki to bahut ichchha hoti hai bat uska bal kahan se prapt karen? Naam se haan dusri koi [nak se ki jane wali aawaz] ye ghee doodh pine se nahi hoga. Yah badam chabane se nahi hoga. Ye naam ka rasaswadan dekho sabse bada paushtik ahar ja raha hai. Radha Radha Radha ye jo ras bana na aur ye jo ja raha hai ye aap mein samarth paida karega ki aap har vikar se lad sakte hain.

ye logon ko bhram hai ki naam japne se rog nahi aata. Ham tumhen khas baat hai samarth naam mein. Par jab aap naam ka vaisa jap hone lagega na to aap parvah hi nahi karenge. Naam jap se beprvahi aati hai. Har kasht sahne ki umgan hoti hai. Naam kasht mitane ke liye prayog nahi kiya jaata. Kasht ko sahte hue muskurate hue chalne ke liye. Ye to kamzor log hote hain jo aisa sochte hain ki ye kasht hi na ave. Premi jan aisa nahi sochte. Wo bharmar ave kasht ki. Kyonki kasht kisko ho raha hai? Jo kasht bhogne wala wo to anand mein magan to ho kisko raha?

kasht bhai kasht man ko man ki anubhuti hai. Sukhdukh sharir ki nahi hai. Dekho man ko behosh kar diya jae. Sharir ko chahe jitna kasht diya jae kahan kata jaata hai. Kahan bodh hota hai? To matlab is sharir ke sambandh mein jo dukh sukh ka anubhav karane wala wo man hai. To agar man sav man Krishna padarwind man prabhu ke charnon mein prafulit ho raha hai. Unke bhajan mein ane to kasht kisko ho raha hai? Bhram hai ek wo har kasht sahta hua shabdon mein lekin sahta nahi sahta hua anand hai wo anand mein magan hua har kasht ko raundta hua wo age badh jaata hai to bhagwat anand ki anubhuti isi naam bal se hi hoti hai to wo tabhi anubhuti hogi jab pehle vikar jo ham nahi karna chahte wo koi kara raha hai zabardasti jo karna chahte wo ham nahi kar pa rahe ye hamari adhyatmik shakti ka hin ho jana hai jo hamari adhyatmik urja shakti hai wo vishyon ke sevan se kshan ho chuki hai.

to hamara atambal kamzor ho gaya hai. Ab ham kahte hain kya karen? Upay karte hain par ham nahi rah pate. Ham nahi ji pate ham har jaate. Ab hamse nahi ho payega. Wo itna har jaata hai. To isliye naam jap karo. Jo bade-bade gaddhon mein gire the. Wah bhi sabse unchai par pahuncha diya naam ne. Charit padh ke dekho na. Kam krodh ke bade-bade bhayanak gadhe hain jinme gir gaya aur nikalna mushkil hai. To naam ne aisi unchai par pahuncha diya ki Valmiki bhay brahm samana ulta naam japat jag jana Valmiki bhay brahm samana bas is par vishwas nahi hota.

khas baat hai malin hriday koi baat pakar mein nahi aati. Rupya paisa ki baat to samjh mein aati ki bhai samne uska prayog hai. Naam ka kya prayog hai? Naam ka itna hi phal hota hoga ki dukh dur ho jae, sukh samriddhi ban jae, jeevan anandmay ho jae. Par wah anand ka swaroop nahi jante. Anand ka swaroop vishay mante hain. Aur jabki naam jap se in sab ka tyag hota hai. Jab naam jap hoga to in sab ka tyag hoga. Tyagant nirantram tyag se hi use shanti milti hai aur shanti se param sukh ko prapt hota hai.

jo bhogta hai ashant hai to ashant kuta sukham ashant sukhi kaise ho? Par wo usi ashanti mein sukh dhundhta hai. Isliye wo galat marg ka pathik ho jaata hai. Use sansari kahte hain, paap atma kahte hain, dusht kahte hain. Aise shabdon se aur wahi jab tyagant shanti ke marg mein chala sab vishyon ka tyag hua to apne swarupanand mein bhagwat anand mein magar use mahatma kahte hain. Use sant kahne lagte hain. Sant ka jo sakshat swaroop hai wo bhagwan hai. Arthat uska man bhagwan, buddhi bhagwan, chitt bhagwan prabhu ke siva usko koi anya mahatva nahi rah gaya.

wahi sant hai. Sant bhagwant ek baat hai. Jab ek ho jae tabhi sant aur jahan anekon mein bhramit hai to phir wahi sansari kaha jaata hai. Nanaat mein bhramit hai. Accha bura ye sab to nanaat kaho to sansarik aur jo ek mein aa gaya anant se ek mein aa gaya wahi mahatma ho gaya. To yah sab bal naam se hi to milta hai. Koi garb se thodi is baat ka adhyatma bal garb se hi thodi milta hai. Agar man lo piche se bhi aaya hai to bhajan ka hi to phal aaya hai. Man lo koi garb se mahatma hai to uska piche ka bhajan hai. Bhajan ke bina koi mahatma thodi ho sakta hai.

mahan atma arthat in samasth vikaro ko raund karke age badh jana. Bhagwat chintan mein doob jana. To naam jap karo aur chinta mat karo. Naam jap karo. Dhire-dhire aapke andar aisi jalan paida hogi, aisi ghrna paida hogi, gande acharno se, bhulkar kadam nahi rakhoge. Abhi kya hai? Ham andar bahar se to suna galat hai. Kuch kuch mante bhi hain ki galat hai. Par andar se bada mitha lagta hai. Isliye ham chhod nahi pate. Koi bhi vaishan, koi bhi gandi baat sukhanubhuti ke bina ham koi bhi kriya nahi karte. Jo hamara yah lakshya hota hai ki sukh bhogna hai aur ismen sukh hai to chahe jitna apman ho ninda ho ya mrityu bhi ho jae to ham parvah nahi karte par galat disha hai isiliye wo sukh hath lagta nahi hai jara si cheshta galat hui aajeevan ke liye uski shanti bhang ho jati hai jail duniya ke sab dand usko gher matlab kuch minute ki galti aur aajeevan ka dand bhogna pura ka pura jeevan narakmay ho jaata hai man lo bandhan ko prapt ho gaya.

jara si galti hui wo bandhan prapt itna bada bhaykar hai. Accha aaj khul nahi raha man lo aapko koi jaan nahi raha to aapka karm to aapke samne upasthit hoga hi wo swatantr hai karm wo aisa partantra nahi hai. Wo swatantr shasan jis samay samay aayega uska wo apna vikral rup rakh ke aayega jo aapne ekant mein paap karm kiya hai. Aapki dhajhiyan uda dega. Bina aparadh ke aapko dand dilwa dega. Aap kahoge kasam se maine kam nahi kiya. Bilkul nahi sab galat hamen kah rahe hain aur pakka sahi baat aap bol rahe ho lekin piche jo gupt paap kiya hai wah ab is samay hajir ab wo tumhen pata nahi to aap rooge chillaoge ki main nahi maine nahi kiya par mujhe dand mil raha hai wo phir hi nahi mil raha hai wo kisi ke kahne se nahi tumhare karm ka hi phal nij krit karm bhog sun bhrata isliye savdhaan rahe upasak ko naam hi bacha sakta hai koi bhi galat aacharan gupt rup se na kare ki koi nahi janta ham badi safai se kar lete tum safai se kar nahi pa rahe ho.

wo karm tumhare samne upasthit hoga. Jo back mein chhuta hai, back mein jo chhup gaya hai, wo karm aapko dand dega. Nischit dand dega. Aise samay dand dega jahan koi bchane wala nahi hoga. Aur ab ek hi bacha sakta hai. Pure hisaab ko barabar kar deta. Aag laga dega wo. Wo hai bhagwan naam. Ham aham tam sarv papbhy mokshya ma bhagwan vada karte hain haan naam sankirtan y sarv paap pranashnam jiska naam kirtan kiya jaata hai wo hari ka aisa mahmmahim pratap sare paap dar ke nasht ho jaate hain wo nishpap ho jaata hai to bhav se chalo jo hamare andar samarth hai wo vishyon ke bhog se ksheen ho gayi ab bhajan se punah jagrit ho jaegi maharaj ji aapne ek vartalaap mein bataya ki sahastron bar naam jap japne ka jo phal hai wah ek bar mantr ka andar se chintan karne mein hai aur mantro ka sar naam hai.

isko kaise samjhe? Kripa karke margdarshan kijiye. Iske bar satsang mein bhi charcha ki thi ki jab ham satsang sunkar shastr swadhyay kar sweksha se naam ko sweekar karke japte hain to naam hamen kisi mahapurush ke samip pahunchata hai. Phir us mahapurush ke mukh se jab ham us par guru bhav rakhkar uske mukh se naam lete hain. Bhale wahi naam ho. Ab wah naam shabeej ho jaata hai. Jab us naam ko japte hain to hamare hriday mein un prabhu ke prati bhav ka jagran hota hai. Dasy bhav, shakya bhav, vatsalya bhav, kanta bhav, shachri bhav jaise bhav hai na to andar se ja ab us bhav ki prapti ke liye hamko swaroop chahiye.

tab Gurudev mantr pradan karte hain. Mantr sharanagati phir mantr swaroop bodh hamara jo bhav deh us mantr ke prabhav se bhav deh ki prapti hoti hai. Aur bhav deh se hi apne Priya pritam apne aradhya dev ki samipita ka use anubhav hota hai. Wo divya deh se sacchidanand prabhu ki nitya seva mein jite ji samarpit ho jaata hai. To mul to hua naam hi na sabka mul naam hua na isliye naam ki kripa se mantr sab mantro ka sar naam sar ka matlab samjhe na us ni hai ye agar niv dag jae to mahal nahi khada rah sakta isliye naam ke saman keval naam hi hai mantr mein apvitrata pavitra ka niyam hai guptata ka niyam hai kai niyam hai naam mein koi nahi jor se chikh ke pukaro Radha [gala saaf karne ki aawaz] Radha koi nishedh nahi soch mein baithe phir bhi Radha Radha apvitra ho phir bhi Radha Radha naam aisa maha mangalmay hai wo sab niyamon ki purti hai usi mein aur naam se hi hamara age ka marg prashasth hota hai samjh rahe na koi sanshay abhi ji yahan pe aapne bataya ki sahastron bar jo naam japne ka pehle wo ek bar mantr ka kyonki swaroop bodh jo hai na sahastron bar jo naam jap kiya aur jab wo nij parikar ka mantr milta hai jo acharya parampara se aaya hai kuch sabko nahi milta hai.

wah dekha jaata hai tabhi niji parikar ko milta hai ki ab iska tan man pran vyakul ho raha hai naam ke prabhav se pritam ke sanidhy ka tab use bij mantr kahte hain. Nij mantr kahte hain. Wo wo mantr use sidhe swaroop ki prapti karata hai. Jo bhav deh ki prapti to ham shastr ke anant namon ka phal mil gaya use kyonki nami ke samip rahne ki samarth aa gayi. Nami ke Shri ga seva ka adhikar prapt lal ji maharaj shri Krishna ke rup ka dhyan jab bhagwan shankar ko dhyan mein hota hai na to tandav karne lagte hain.

haan unmad mandi krit Mukund sundar pad dwaar vrindam Premanand mamand mind tilka unmad kandam param Premanand ka unmad aa jaata hai aur wo shri Krishna jab Priya ke to prem vikal ho jaate hain. Aise Priyalal ke samip hosh mein rahkar seva karna yah anant namon ka phal prapt hua. Samjh rahe hain? Ji ajay anand ji faridabad se Gurudev bhagwan aapko koti-koti pranam. Gurudev bhagwan main Radha ashtmi ko shri Radha rani ji ka vigrah lekar virajman apne kutia mein kiya aur unki seva bhi karta hoon.

Gurudev bhagwan kya akele Radha rani ki seva karna sahi hai? Nahi. Pritam bhi virajman karo. Maharaj ji pehle se bhi ek vigrah jugal kishor ke hain. Kya in jo Radha rani le baat kya hai ki ye sab manmani chijon nahi hai. Ye guru agyaa ke anusaar hota hai. Haan jo manmani hai to kuch bhi karo bachchhe bazar mein jaate hain kuch bhi kharid lete hain. Use ham upasna thodi kahenge. Aise bachchhe jaisi buddhi hai. Upasna ke marg mein agar chala jaata hai to guru pradatt shri vigrah arthat unki anumati unki sahmti se ham lete hain.

phir unke bhav ke dwara bhav pratishtha pran pratishtha phir unki upasna mein ham lagte hain. Hamara man aaya char jugal kharid liye panch kharid liye. Ab aise bhi log hain ki keval jugal sarkar baithe hain na mangala hai na bhog hai na to matlab kya hua? Koi dukan mein baithe thodi upasna ke grih mein baithe hain to upasna mein rat hona chahiye. Ab ye apne log manmani karte hain isliye phir uska prashn ka kya uttar den? Radha sang bina nahi Shyam Shyam bina nahi Radha naam chhin chhin prati aradhat rahi Radha naam Shyam tab ka lalitadik sang sachu pave.

ab siddhant se chalo jo vani ji kah rahe ek kshan ke liye bhi ham Priya pritam ko alag nahi dekh sakte. Kaise Priya jo alag viraj rahenge nahi. Keval aap murti virajman kar lo aur ek Priya pritam virajman to dusra lane ki zaroorat kya unhee mein asakti kar lo use 14 virajman karne se thodi hogi are ek jagah asakti kar lo ek yugal sarkar virajman unhin ko dular karo unhin ko pyar karo to baat ban jaegi ab 14 jagah thodi pyar hota hai pyar to ek hi jagah ho pata hai na to isliye bhav se chalo jyoti sukheeja ji hanumangadh Radha Radhavallabh shri Harivansh Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam Gurudev ham aapse sharanagat hain.

Gurudev mera ek prashn hai. Gurudev ek sharanagat mata kis tarah apne sharir ki mookh bandheer santan ki adhyatmik unnati mein sahayak ban sakti hai? Kiska prashn? Haan, aapko bhajan kijiye aur usko samarpit kijiye. Kisi ka bhi kalyan kiya ja sakta hai. Khub bhajan karo, naam jap karo aur ant mein use samarpit kar do. Is jeev ke liye samarpit karte hain. Kalyan ho jaega. Bhajan mein badi samarth hai. [nak se ki jane wali aawaz] aur kisi mein samarth nahi. Dan punya kalyan shabd keval bhajan se hai. Bar mathe ghat hoe bar shiktat te bar tel binu hari bhajan na bhatri ya siddhant pel ab wo bhajan nahi kar sakta ham apna bhajan use pradan karen kisi ko bhi to kalyan ho jaega bhajan se navabganj se gaurangi Sharma ji satgurudev bhagwan aapke charnon mein koti-koti naman Gurudev jab ham purn samarpan se shri ji ke liye kuch karte hain aur wah karya safal nahi hota hai to man mein bhav aata hai ki shri ji iska prashn hai chhod inki mummy ka hi hoga man hi hai le iska kya prashn hai ab ye samarpan janti hi nahi samarpan kise kahte hain iska bhav hamare man mein bhi haan to phir uska uttar de sakte hain kyonki wo bachchha samarpan abhi janti nahi achhche-achhche nahi jante samarpan kise kahte hain samarpan ka natak ho sakta hai samarpan ke baad ye prashn ki hamari kamna to aap hamen batao samarpan kya kiya?

samarpan kya kiya? Kiska samarpan kiya? Tan ka, man ka, ahankaar ka, dhan ka sab tumhara. To samarpan kiska kiya? Kamna tumhari. To samarpan kiska kiya? Kyonki usse kya prashn karen? Ab aap kah rahe hain ki hamara hi prashn hai. To ham aapse puchte hain samarpan kiska kiya? Tan tumhara, man tumhara, bhog, tumhare, vastu, tumhari, ichchha, tumhari, kamna tumhari. To samarpan ka natak hi to kar rahe ho. Samarpan kahan hai? Aur jab samarpan ho gaya to prashn kiska? Yah makan ham kisi ke naam likha den.

phir ham usse akar ke bolenge ki aapne safed kyon putwa? Nila putwana chahiye kyonki nila hamari pasand hai. To kahega tumhari pasand kaise rah gayi Baba? Maine kharida meri pasand chalegi. To maine apne aap ko prabhu ke charnon mein samarpit kar diya. Meri pasand kya rahi? Ab to joi joi pyaro kare soi moh bhave meri pasand kya? Hamne unke liye bahut kuch kiya. Tumhara hai hi nahi. Tum unke samarth se kam kar rahe ho. Tumhare paas jo kuch unka hai unhone purn kyon kiya nahi kiya? Kyonki wo jante hain ise purn hone mein tum phas jaoge.

accha nahi hai purn hona to malik hai sarvagya hain sarv samarthshali hamara prashn se nahi banta isiliye ham kaha iska samarpan ki kya baat isko uttar kya de sakte hain wo kya samjhega bachchha hai vas tha na Vrindavan vas ke liye nishtha dekho hamara kya hai ki aapke shabd ka uttar hai jo uttar hota hai wo aapke shabd pe hota hai jab aap jaisa shabd bolenge theek uska uttar usi shabd ke anusaar hota hai uttar ab jaise aise aise thodi ki aap prashn karo dakshan ka uttar ho uska uttar ka usi shabd se hoga shastr gyan ka tatparya bhagwat anubhuti ka tatparya aap jo bole uske hamen Vrindavan mein rakho ya narak mein rakho aapse ham kyon prashn karen nark swarg apvarg ye mahan rasikon ki vani hai nark swarg apvarg as nahi tras hai jahan rakho ta raho man sukhrash hai ham aapko bhul nahi sakte chahe nark bhed do ham Vrindavan vas hi karen.

itni meri yogyta nahi. Aap malik ho. Aap chaho to apne samip rakh sakte ho Vrindavan mein. Par yadi aap narak ho to hamara koi hath nahi hai. Aap mujhe narak bhejo. Par aapki smriti, aapki yad, aapka bhajan, aapse apnapan ye aap bhi nahi hata sakte. Yah hai premi ki thesak. Nark, swarg, apvarg, as nahi tras hai. Jahan rakho ta raho man sukh raas hai. Aap jahan rakhoge. Kitne sant bhagwan apne paas hain jinhone aajeevan Vrindavan se nahi nikalne ka vrat lekar hamare sharanagat hue aur abhi tatkaal koi avshyakta hoti hai tatkaal Delhi jaate hain yah dawai lani hai ye vastu lani hai ye lani turant ye thodi ki ham aajeevan Vrindavan ka niyam liye bhai ab ham to nahi ja sakte Vrindavan ki sima ke bahar nahi Vrindavan aapse hai hamne aapko samarpit kiya agar aapko avshyakta hai to ham abheek jaate hain bambai jaate hain abhi america chale jaenge aap adesh kijiye yah hai samarpan aapko hamne Vrindavan mana hai.

aapko isht mana hai. Aap hukum kijiye. Hamara jeevan aapka yantravat jeevan hai. Hamen yah nahi ki ham aisa ab aa gayi samarpan ki vritti ab jahan jaise aur ye ham aapki baat nahi mahaprabhu Harivansh chandra jo kah rahe hain yatra yatra mam janm karm bhin narke parme pade tava jahan manave narak bhej do param pad bhej do. Ham sarkari aadmi jahan bhejoge wahi bharat sarkar ka jhanda laga ke baithenge ham. Yah thodi ki hamko jahan bhejo tum bhejo sarkari aadmi hai. Aise ham Priya pritam ke jahan bhejoge jai aapki bolenge aapke hokar rahenge aur aap hamari smriti mein rahenge to khatm kheloge jahan bhagwat smriti hai wo koi ab ham kya hai ki chhoteechhoti baten lekar apne isht se jhagda karte rahte hain.

suljho sidhe likha padhi karo unke naam sab man buddhi chitt ahankaar nath aapka ab jo man ave chahe sansaar mein rah ke hamko apna bhakt banao ya Vrindavan mein rah ke bhakt banao chahe tyagi chahe bogi ye sab aapka vishay nath mera man vachan karm se aapke prati samarpan abhi dekho anand mein umak padoge anand ki umgan aapko mahan bana degi bas baat samjhna hai Vrindavan mein rahkar yadi Vrindavaneswari ke nahi hue to kuch anubhav nahi hoga. Rah ke dekh lo. Hazar kos dur raho aur swamini ji ka jas gakar unke hokar unke prati aansu bahao to samne sansaar nahi rahega.

Vrindavan rahega. Samne Vrindavan jad desh nahi hai. Chidanand hai. Jaise bhagwan sarwavyapak hai. Aise jahan se dekhoge wahin se Vrindavan dikhayee dega. Ab ye baten kya hai ki thoda unchai ki hai. Samjh mein tabhi ayengi. Par samarpan shabd yah bhakti ka akhiri lakshan hai. Yah koi pratham lakshan nahi hai. Shravanam kirtanam smrnam vishnupad sevnam archanam vandnam dasyam sakhya atma samarpanam ye atma samarpan bhakti ki purnata hai. Jab samarpan shabd aa jaega to chhoti moti baat nahi hogi. Bahut badi baat hogi usmen.

ab aapka bacha kya? Ki agar prarambh ki baat karen to chalega. Atmsamarpan bhakti ki antim avastha hai. Isi ke baad prem ka pradurbhav hota hai. To atmasam main samarpit hoon to prashn karta kaun bacha? Bhagwat charcha mein to prashn kar sakte hain. Lekin samasya kiski? Kiski samasya? Bole hamari samasya. To samarpan kya kiya hai? Kiska samarpan kiya hai? Tan ka, man ka, buddhi ka, main ka kiska samarpan kiya hai? Kisi ek ka kar do pura system ho jaega. Yah samjho samarpan hi purnata hai. Samarpan hua to phir prashn nahi rah jaega.

prashn to bahar hatkar ke hota hai. Apnepan mein thodi hota hai. To yah yah hai bahari aur antarik tumhen baat batayen ki unke jaisa pyar aur unke jaisa aap dekho aisi paristhit yah hamara karm hai purv ka jo sharir rachne ke pehle rach gaya tha ki is avastha se aise dand milega aur yah unki sharanagati ka prabhav hai ki bilkul hamen 100 mein 1% bhi kasht nahi jabki 100 mein 100% pura sharir kasht se yukt hai har samay ji uthana jara sa bhi ho to pani pura bhar jana, peshab na hona, dard hona, pura matlab pura system bekar hai.

kidney phayl ka matlab samjhte ho na? Pura system bekar hai. Bas wo dialysis kya hai? Wo jo vikar paida hote hain unko nikal dete thoda phir 24 ghante aaj dialysis hua kal nahi hoga. Parso phir usi time par dialysis aise chalta hai. To ab ham kya bhagwan se shikayat karen kya? Nai shikayat karne layak hi nahi rakha. Hamare to karm ye the jo ham dekh rahe hain. Lekin unka pyar dular kaisa hai? Aisi paristhiti mein bhi ratri ke 1:00 baje uthte hain. Puri dincharya chalti hai. Ek minute bhi din mein nahi sote.

phir ratri mein soenge. Usmen nind aa gayi to ye kidney failure ki dincharya hoti hai kya? Ye kidney failure ka swasthya hota hai kya? Tumhare samne jaise baithe hain. Ki ham do ghanta dahad ke aa rahe hain. Ye kidney failure bolegaa kya? Ye kya hai? Wah hamara karm hai. Yah hamari Priya pritam ka dular hai. Unki samarth hai. Kabhi hamko ek minute aisa anubhav nahi hua ki main bimar hoon. Ek minute bhi ki aisa kyon aisa nahi anubhav hoga. Jitna kasht usse badhkar ke labh sansaar koi pyar karta hai kya?

abhi aapki donon kidney kharab ho jae. Phir dekho aapko kaun pyar karta hai? Jab yah pata chale ki parivaar walon mein kisi ek ko kidney dena padega aur har mahine 1 lakh ki davaiyaan aur sab chaleng to bhaiya bhabhi aur rishte nate to ek hi sal mein tum dekh loge tumhare paas koi le lega aur phone lagaoge to ye agar switch off hai aur ya to kah dege abhi biji hai baat bhi koi nahi karega dekh lo sansaar ka khel aisa hai priyaju ka kar ye unka kripa prasad ye mere karm mere karm purv ke aise apvitra the aisa paap tha jisse is janm mein kidney phayl jaise Bhishma ji banon ke saiyam pare phir us kah rahe main 100 janm dekh raha hoon koi aisa paap nahi bole aur age badho register to bahut purala hai na pata nahi kaph ka kaun sa karm akar ke dand de de bhagwan ka aashray kabhi shikayat karne ka avsar nahi deta agar shikayat hai to aashray nahi hai pakki baat hai aashray hai to shikayat ka avsar are akhil lok chudamani bhagwan hai tumko itna gyan de denge ki yah kasht tumhen mila hua tumhare karm ke anusaar hai.

main tumhare support mein hoon. Ise chupchap bhog lo aur iske baad mere paas aao. Khatm kheloge. Jab kapda utar ke phenkna hi hai aaj nahi to kal phenkna hai to agar ye phat raha hai to hamen chinta kya hai? Naya kapda hamare samne dikhayee de raha hai. Pharsta class poshak hai tayyar aur yah kapda utarne wala hai. Ab kya pareshani hai? Hamen pehle hi phenkna hai kyonki naya pahnna hai. Hamen shri ji ke paas jana hai. Divya deh se unki seva mein lag panch bhautik deh ka rupi kapda utrna hi hai. Aaj nahi to kal sabka utarta hai.

ant to tajenge pamar tu na taje abhi ise chodo. Radha Radha Radha jo ho gaye hone do|

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi