ye 4 vish tumhare sache sukh ka nash karke, bhari dukh sankat mein phansa denge !! Bhajan Marg
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
ham log vish kha rahe hain vish jaise vishay bhog hai na uska vish hai asakti ham is bhog ke bina nahi ji sakte yah asakti vishay hai karm mein kamna vishay hai parivaar mein mamta vishay hai vicharon mein ahankaar vishay yah vishay vish ghol rahe hain to thodi der ke ham la liye lagta hai ki hamne paap chhod diye paap hamne aisa lagta hai jaise swapna mein laga ki ham jag gaye par vastvik abhi nahi jage wah swapne mein dekh raha hai ki main jag gaya hoon aise lagta hai main nishpap ho gaya hoon abhi nahi jab nishpap ho jaoge na
to jaise pet bhar jaata hai na to dusre se praman nahi pucha jaata bhaiya tum jara khade rahna ham pa le aur hamara pet bhar jae to aap jara bata dena aisa kabhi hua hai kya apne ko anubhav ho jaata hai na nishpap hone ke liye ek matra bhagwan ki sharan hai par parivaar mein mamta nahi priyata rakho bhagwan ka bhav rakh ke karm karo bhagwan ko samarpit kar do vicharon mein ahankaar na hone pave koi bhi bhog dharm se virudh nahi hoga jeevan mein to asakti bhagwan mein ho jaegi nahi bhog mein aa sakti hai aisa bandh leti hai jaise koi nasha hai koi gandi baten ab ham iske bina ji nahi sakte yah vish hai sabko mar raha hai yah char bahut bade vish hain bhogon mein aash karmon mein kamna vicharon mein ahankaar sambandhi mein mamta yah yah char vi sabko mar rahe ho koi jaan nahi pa raha agar satsang ke dwara jaan jao kala seekh jao in vish ko hata do to phir khir hi khir hai anand hi anand hai dason dishaein mangalmay ho jaengi parivaar mein rahte hue mamta nahi hai sab mein kshamta hai bhagwan ka bhav hai vish sevan ho raha hai dharm
purvak lekin uski asakti nahi hai kitna bada unchi sthiti hai vichar hai par ahankaar nahi hai kitni badhiya karm hai par kamna nahi hai isi ko to jeevan mukt mahapurush kahte hain to wah to grihasth mein bhi ho sakta hai agar ham yah baat asakti kamna ahankaar mamta yah char aise vishay pure vishv ko mar rahe hain inheen mein pura vishv phasa hua aur inheen ko chhod de parmanand mein abhi doob jae abhi doob jae abhi doob jae ham log sache adhyatma ko samjh nahi pate hain bahari mein ismen sab tange rahte hain ki char din phal pa lenge phalahar hai aisa hai vaisa hai yah sab bahari baten bhai andar ghus aur tijori ko khol jahan mal bhara hai bahar chabhi nahi hai andar chabi hai uski bahar dhundh raho ghar mein chabi khoe aur bahar khoj rahe to kitne varsh khoj lo milegi kya bahar nahi milne wala anand yahan hai andar laut jao anand ki chabi Gurudev ke paas hai wo yuktiyan mat jaise ye baat char samjh lo parivaar se priti karni hai mamta nahi bhogon ka sevan karna hai asakti nahi karm karna hai par kamna nahi
kitni badi baat ho gayi kitni badi baat hai vichar har samay chalte rahte par ahankaar nahi aap dekho inko janch kar lo har vichar mein ahankaar main yah kiya main karunga main aisa karta hoon mere jaisa vrat dhari niyam dhari jitendriy bal brahmachari kuch bhi kahin kisi bhi department mein aham aisa banu ki dusra mere saman dhani na ho main aisa banu ki dusra mere saman body bildar na ho main ai sab aham vichar mein ahankaar vishay nasht kar dega parivaar mera keval aur aisi mamta ki jaise tum apne bachchhe se pyar
karte ho aise dusron ke bachchhe hain ab doodh bechna hai usam chemical milakar bech raha hai apne bachchhe ko kitna pyar aur dusre ke bachchon ke hathon mein jab wo doodh jaega vish kar raha hai mamta ne apne bachchhe ki raksha ke liye dusre bachchhe ki hatya kar raha hai dusre ka na kitna aap jara lamba vichar karke dekho to is mamta ne hahkar macha diya bhogon ki asakti jaise hamara sharir priy aise dusre ka sharir priy kaisa kaisa kaisa dekho bhoga bhogon mein asakti ne kaisa papa charan kara diya ye char vish hai agar in char vishon se bach jae to nischit prapti ho jaegi phir samjh lijiye vishay bhogon mein asakti karm mein kamna sharir sambandhi mein mamta sharir aur sharir sambandhi mein mamta aur vicharon mein ahankaar agar in char ka nivaran kar le to pent shirt mein mahatma hai uske andar koi prashn nahi rah jaega apne aap atmanand ka anubhav hone lagega par yah sab hoga saad sang aur bhajan se agar bhajan nahi hai saad sang nahi hai to rang nahi chadega har prashn ka uttar isi mein mil jaega ye char vi hata
de to amrit hi amrit jag andar bhara hai amrit andar bhara hai ham vish ka sevan karke itne gande ho gaye hain ki dar lagta hai bhagwan ki baat sunne mein ki vishay ke bina ham jiyenge kaise abhi ho jae chalo tumh Baikunth le chalte to abhi aap mana kar denge Baikunth abhi ha tarikh nischit karo thodi shraddha hogi to aa ke thoda likha padhi karke samgri sab vyvasthit karke abhi kah de aur aapko pakka vishwas ho to abhi ham na kar denge sidhe ne karenge bahut priy lagega bhajan karte ho to kahoge do din ka time de do bas wo transfer karke sab vyvastha jama ke bata ke ki ham Baikunth ja rahe hain chinta na karna to Yamraj puchte hain kya tumse jab aae ek second mein dhwans kar denge tumhen isliye savdhaan raho yahan ki koi bhi vastu koi samgri tumhare saath nahi chalegi na koi angrakshak na koi mitra kal kisi ko bhi nahi bakta kal yahan tumhen bilkul bilkul nirvastro karke le jaega yah bhi hata dega yah vastr hai jaise atma ki po sharir ki poshak jaise y kapde aise atma ki poshak y sthul
sharir sukshm sharir karan sharir sab chhudrva dega liye Radha Radha Radha achhche aacharan aur bhagwan se kshma prarthna ki prabhu aapke bachchhe hamse galti ho gayi age bhi ho jae to sambhal lena nath koshish to ham aapke bal se yahi karenge ki galti na ho agar phesal jae to aap sambhal lena to wo nishpap ho jaega bhagwan kahte hain aam tom sir paap moksh mas
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…