॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jitni mehnat karta hoon utni safalta nahi milti, man nirash ho jaata hai !!

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

ji ka aapka purn ashirwad hai jab kabhi naye kam ki shuruaat karta hoon bahut cha parishram kar leta hoon utni safalta par nirash nahi hona chahiye safalta aur asflata yah hamari drishti mein agar rahegi to apne kartavya ka nirvah karne mein nirash ho jaenge agar apne kartavya par drishti rahi to safalta ek din aapke vash mein ho jaegi vishwas karo jo hamare purv ke kuch aise karm hamen dukh dena chahte hain wah hamari safalta mein tang marte hain lekin kab tak ham naam jap kar rahe hain giriraj ji ke ashrit hai sat marg ka avlamban liye to safalta ek din charan chumegi nirash nahi hona hai hamara manav deh nirash hone ke liye nahi hai nahi na ye wahi giriraj ji hai jo sampurn braj mandal ki asha hai thakur ji ne haan sakshat Krishna swaroop kamnao ko purn karne wale sakshat kalp tar hai thodi badi samasyaen thodi badi phisalta ye aati rahti hai ham phesal sakte hain lekin wah raksha karne wale hain nirash agar ho gaye tab to phir hamare jeevan ka astitva mit jaega nahi nahi astitva nahi mitana 100 bar

agar ham nirash hue to 100 ek bar ham cross kar jaenge hamko itna dhairya rakhna chahiye nirasha hamko parast na karne pave haan satsang isi nirasha ko nasht karne ke liye hota hai ham asat padartho mein asat phalan mein itna phas gaye ki apne swaroop ko bhul karke ki agar yah phal nahi mila to mano main mar gaya agar yah kam nahi bana to mano main mar nahi ek bar nahi bana 99 bar nahi bana 100 bar prayas karenge y safalta mil jaegi kitni bar hamko hamara praarabdh girae ek bar to ham safal ho hi jaenge

na nirash mat hona Radha Radha Radha

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi