ekantik vartalaap evam darshan #647 · 25 August 2024
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
vishal sinh ji Radhe Radhe Gurudev Radhe Radhe guru agyaa hi jeevan hai guru vani hi satya hai Gurudev aapka satsang sunkar hamare har prashn ka uttar prapt ho jaata hai main aapki kripa se pratdin aapka satsang pratkal sunta hoon usi ke prabhav se mujhe kuch anubhav ho raha hai jise aapke dwara kisi ke samne prakt karne ke liye mana kiya gaya hai prabhu nirakaar hai kya unko dekhne ke liye ankhon ki sunne ke liye kano ki chalne ke liye pairo ki ityadi ki zaroorat hai aisi hi kisi chij mein
mujhe prabhu ka bhav ban raha hai sakshat mujhe prabhu nazar ane lage hain kya yah bhram hai ya sa aap pahli baat to ye hai ki prabhu nirakaar hi hai aisa kaise kah sakte hain prabhu nirakaar bhi hai prabhu kakar bhi hai prabhu sat hai asat se pare hain aur prabhu hi asat mein bhare hain is sansaar ko jise kaha gaya asatya na yahi satya sacchidanand bhagwan hi bhagwan hai bhagwan ke siva kuch nahi hai matta par taram nant kinch dasti Dhananjay jaise kuhar hai to chak alag hai mitti alag hai phir wo patr banata hai bhagwan ne aise srishti nahi banai apne aap se apne aap ko faila diya wahi bhagwan hi bhagwan hai dusra kuch hai nahi to yah ham nahi kah sakte ki bhagwan nirakaar hi hai nahi bhagwan sakar bhi hai aur nirakaar bhi hai aur bhagwan sat bhi hai bhagwan asat bhi hai yah jo asat tum dekh rahe ho ismen sat bhagwan hi hai jise tum asat kah rahe ho wo bhagwan hi hai bhagwan ke siva kuch nahi hai ab hamara bhav kahan bhagwan ka lag jaata hai Prahlad ji se pucha khambe mein bhagwan hai u kaha haan khmbe mein hai to bhagwan khambe se narsingh rup mein
prakt ho gaye hamari jahan nishtha ban jae guru bhagwan guru mein ban jae to guru bhagwan dikhayee dene lagenge shri vigrah mein bhagwan dikhayee de hamara bhav ban jae to char achar mein bhagwan dikhayee denge jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jani wahi sakar hai wahi nirakaar hai wahi sagun hai wahi nirgun hai wahi sabse pare hain wahi sab mein bhare kyon sab mein bhare hain vasna Vasudev sya vasit bhatra sarv bhut nivasam Vasudev namostute accha jo apne ko anubhav ho raha hai va ham dusre ko batae kyon yah ahankaar
hi to andar prerit kar raha hai batao ki kuch ham shreshth hai dekho hamare paas ane ka matlab hai aapka reshan hona aapki wah baat jo aapke bhajan ko le dube usko hata dena aapko jitna anubhav ho raha hai usse karod guna badh kar ke santok an ho chuka hai aa unko ham kya batave aur jab maa khwa rahi hai to maa ko kya batae ki to sant sadguru dev to pawar hai unko to pata hi hai ki aapko kya mila hai aapko kya bhav bana hai to bas shant chup gupt raho bhajan jitna gupt utne hi andar badhta hai aur jitna prakashit utne ud jaata hai kapur ki tarah hai kapur ko gupt rakho to suvyavasthit bana rahega aur khula rakh do to ud jaega khula mat karo ye jo aapko sheetalata mili hai bhajan ki jo anubhav hai kisi ko bhi use khula mat karo bakaya ahankaar itna prabal hota hai ki wo chhupa nahi sakta a cha diwal se ka kahega jarur ki hamko aisa anubhav hone laga hai matlab thoda aham ka jo rup hota hai na wo bina kahe nahi rahega aur jo aham ko mar de wahi barbar kahta kaho kaho hamne yah dan punya kiya hamne yah bhajan kiya
hamko yah labh hamari yah sthiti hai kisko bata rahe ho kyon bata rahe ho to bole raha nahi ja raha hai usi ko sah jao to bhajan age badh jaega theek hai mandir mein jo dan dakshan dete hain aur naam anaunsment karte hain phalane ne itna diya phalane wo sab ha wo sab kam ka nahi kam ka to aisa hai ki koi jaan na pave dan punya jante ho kaise hota koi jaan hi nahi paya ki kuch karke gaya chupchap chala gaya karke ha kahte hain ki ek hath se de dusra hath la jale aisa bhi kahte hain to neki kar dariya mein dal koi jaan na pave par wo jo mike ko alauns aur dikhava aur vah vah jai jai to ho gaya utne mein ho gaya hisaab kitaab wo bhagwan ki prapti wala dan punya nahi hai saste mein nahi bat ga haan bahut bahut bahut hi ye ghate ka sauda hai itni mehnat karke arth kamaya aur aapne 100 logon ko bhojan pavaya aur iske baad poster chhapwa diye log padh rahe hain ki aaj 100 brahmano ka bhojan 100 sadhu ka bhojan ye khatm khatm jo jo padh rahe hain sab khatm aap punya ke hissedar ho gaye kisi ko matlab
yahan tak ki agar koi poohe ki aap karva rahe ho kya to turant uttar nahi nahi ham to pattal paros rahe hain ham to koi jaan na pave ki kaun karva raha hai aur chupchap gupt to sab jama ho gaya bhagwan ki bank mein aur aapko kai guna badhkar milega yadi kamna rakhte ho aur nahi rakhte ho to wahi aapki bhagwat prapti ka het ho jaega pachh sane Jagannath ji vidai karwai thi ghar se to wo to phir sabko pata lag hi jaega ki aapke ghar se ja aise bhakti ke prasangon mein ham chahte jaise ham naam kirtan karen to sabko
pata ho raha hai na ki naam kirtan ho raha hai ham prachaar prasar nahi karna chahte ham apne isht ka aradhan kar rahe hain wo andar ki baat hoti hai wo baat jaise ki ₹1 amuk ne diya aisa aisa karya kiya dharm ka bhakti ka uska prachaar ham karna chahi wo alag baat hai ab hamare ghar mein kirtan ho raha hamare ghar mein sant mahatma aa rahe hain unka ham swagat kar rahe char log jaan rahe hain isse koi hani nahi honi kyonki hamara prachaar prasar kar thode akash se thodi gupt rup se aa jaenge sant mahatma bhagwant ke jo utsav hote hain ghar mein wo to hote hi hai usse koi ham usko prachaar prasar is rup mein na karen ki ham bade dharmatma ham bade dani ham bade punyatma nahi uska wo sukrit chhin ho jaega abhishek mital ji Radhe Radhe maharaj ji Radhe Radhe maharaj ji bhagwan bhagwan shri Krishna bhagwat gita ke chauthe adhyay ke nauve shlok mein kahte hain ki jo mere janm aur karm ko tatv se janta hai uska punarjanma nahi hota yahan maharaj ji bhagwan ko tatv se janne ka kya arth hai
bhagwan ke hi vachan hai mera janm bhi divya hai aur mera karm bhi divya hai jo bhagwan ko divya janta hai va to bhagwan sarvatra vyapt hai bhagwan ajnma hote hue bhi apne bhakton ke prem ke liye janm dharan karte hain vipr den sur sant hit leen manuj avatar lekin bhagwan ko yah dekhna ki manushya rup mein bhi bhagwan chidanand mein deh tumhari vigat vikar jaan adhikari bhagwan sacchidanand rupay hain bhagwan vishwo utpati aad het mein hain bhagwan tap karay vinashay va shri krishnay vayam nama yah jo tatv se janta hai ki bhagwan triguna ta hai bhagwan kaalatit hai bhagwan divya hai bhagwan ajnma hai par ajnma hote hue bhi apne bhakton ke liye janm ki leela karte hain wo maa ke garb mein nahi rahte bhay prakt kripala din dayala bhagwan prakt hote hain aur samne pehle prakt hue chaturbhuj rup se phir mata puni boli so mati doli taj tate Rupa ki jai sis leela ati priy sheela so sukh param anupa to suni vachan Sujana rodhan thana hoi balak sur bhupa ye charit jagave hari pad pave ten pare bh kopa bhagwan
jo hai bal rup dharan karte hain mata ji ki prarthna par waise bhagwan divya rup se prakt hue to bhagwan mata ke garb mein mein jane wale koi manushya nahi hai bhagwan ajnma advitiy ka chidanand sacchidanand wahi avatar lekar divya leela aur divya karm karte hain bhagwan ke karm divya hote hain manush karm thodi hote hain jaise bhagwan ne chathi ke din Putna ka udhar kiya koi mar sakta tha bade-bade devta kampte the Putna se tanav bakasur aghasur giriraj Govardhan ko uthana kali deh ke vish ko amrit kar dena Kaliya ka mardan karke raman dweep bhejna bhagwan ki sab divya leela karm hai na bhagwan kahte jo mujhe tatv se janta hai tatv se wahi mere ko janta hai aur wah param pad ko prapt hota hai jo mujhe tatv se janta hai wah param pad ka adhikari ho jaata hai va bhagwan ko prapt ho jaata hai samjh pa rahe ho aap jaise maraj ji ham Krishna ke bare mein sunte hain unka leela shravan karte hain satsang sunte hain to hamne unki leela samjh li abhi nahi samjhi abhi to abhi samjhi nahi suni hai abhi suni
hai jab samjhne ka tap tab hota hai jab krishnam man krishnam buddhi krishnam chitt aur krishnam ahankaar abhi deh mein ahankaar hai abhi buddhi trigun ke antargat hai aur leela charit sunte sunte jab triguna ta buddhi ho jaegi aur aapka antahkaran Krishna mein ho jaega tab aap soy jane ja dev janae wo janae tab samjh paoge krishnam hokar Krishna ki leela mein duba jaata hai abhi to Krishna mein kaha abhi to de main ho abhi to buddhi kam kar rahi hai abhi to man bhi to hai na udo man na bhae da ba ek hu to so gayo Shyam pe ab leela charit darshae ab leela charit samjh mein aayega abhi to man hai na buddhi hai na chitt hai na aam hai abhi to aap sun rahe hain abhi aap sun rahe hain abhi to manan bhi pura nahi ho raha hai jab manan aur shravan karte karte tada ka sthiti ho jae tada ka man Krishna buddhi Krishna chitt Krishna aham Krishna ab wo Krishna ban kar ke Krishna ki leela mein pravesh pata hai krishna ka hokar hi to Krishna leela mein pravesh pata hai aise manushya bhav mein thodi deha abhimani thodi leela ko samjh payega kaise samjh
payega leela ab socho wah bhagwan makhan chori kar rahe hain jo anant brahmand ka bharan poshan kar rahe hain Baba ke yahan baltiya mein doodh dahi thodi hota hai kundon mein hai doodh ka kund dahi ka kund ghrit ka kund makhan ka kund na lakh gave to keval nand Baba ke aur kitne nand hai aur sabke ladle lal ju hai aur har nand ke paas lakho ga hain aur bhagwan ke ghar mein kundon ki aise line ke line kund bane dadh ke doodh ke makhan ke bhagwan khub din bhar na aae to bhi kami nahi padegi ha gopi janon ka bhav ki jo Yashoda maiya ko sukh mil raha hai va mujhe kaise sukh mile main sundar doodh du accha dahi jamao mathur khan man aur main dur tangu aur lala mere ghar ave aur aisa jab kare aur main pakdun to jaise maiya dantte ho lala bhai bheet hota hai vaisa main dekhna cha kya prabhu mujhe aisa sukh pradan karenge to har gopi ko jaisi bhavna ye tha mam prapadyate tas bhagwan vaisa sukh pradan karte hain tum bhagwan ki leela ki samanta nahi kar sakte ho bhagwan wahan bhav wahan chori thodi kar rahe chor to wo hota hai abhav mein
chori hoti hai ki nahi ek to bhagwan aur dusre nand ke ladle lal wahan koi abhav hai are braj ke mandal ke raja hain nand Baba wahan kuch kami hai kya lala ke liye hire jab ara to chhavar mein diye jaate chori kaha hamare purn samarpan isse rileted hai jaise aapne parso ke satsang mein bataya tha ki ham apna pura bhaar bhagwan ko de ham sochte ki main ka mar hoon main mar gaya to mere ghar walon ko kya hoga to ye bhi ham matlab ye isi ke antargat aata hai pura bhakt ka pura tan man parivaar jeevan sab kuch bhagwan hai sab kuch bhagwan ko samarpit hota hai aur bhagwan vaisa palan poshan karte hain bhakt ke dwara kya aisa thodi ki keval mal chalta rahta hai nahi bhakt ke dwara fawda bhi chalta hai bhakt ke dwara vyapar bhi hota hai bhakt ke dwara nokri bhi hoti hai aisa thodi hota hai bhakt ka matlab keval thod ki kanthi tilak bandh liya ba male liye yah to nivitti parak hai pravriti parak bhakt jo hote hain grahasti mein unke liye karya bhi hai aur sab karya bhagwan ke liye dekho Pandav kitne mahan bhakt hai
par dekho kaisa karya kar rahe hain amrish ji kitne mahan bhakt chakravarti samrat pura rajya shasan chala rahe hain to samjh pa rahe ho na bhakti ka matlab kayar nahi hota agar sant jan bhi hai to dekho prayas rat rahte sadhna tapasya samaj seva lok seva koi kayar ban ke thodi jo kayar ban ke baithta hai wo bhakt nahi hota chahe grihasth ho chahe Baba ji ho kayar kabhi bhakt nahi hota jo prayatnsil hai tapasya dharma charan paraayan bhajan paraayan samaj sevi dekho santo ko dekho badi-badi samaj seva ho rahi hai apna parivaar poshan karna mushkil akhon ka pet santo ke dwara bhar rahe wo kya hai aaj satsang mein suna lakshmi ji swayam unki seva mein upasthit ho jati kyonki bhagwan ke bhakt hai na aise mange thodi koi deta hai bhagwan dete hain apne aap sab chalta hai chhal kapt pakhand kam nahi karta dhyan rakhna aaj nahi to kal jab pol khulegi to pura ka pura mahal gir jaega sachchai se bhagwan ki bhakti karo hi parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun sanch y lok aur parlok mein samasth sukh aapko prapt
are bhagwan ka bhajan karna parmanand par ismen kasauti kasna padega dekha na Haripal ji ka charit suna kasauti mein kas gaye to bhagwan lutne ke liye aa gaye apne ko lutane ke liye aa gaye to yah bhav hai jagrup sinh ji nyujeelaind Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji main nich murkh aur patit Ajamil hoon maharaj ji 2021 mein shri waheguru ki kripa se y se sant sang hua aur naam chalne laga athva naam japte samay ek bhav tha ki jiska naam jap kar raha hoon wah mere samne hai wah mera prem swaroop hai dayalu hai aur khub naam chalta tha baad mein dhire-dhire wah bhav khatm ho gaya aur ku bhav ho gaya aur naam japne mein ek second bhi chitt nahi lagta tha abhi bhi naam japte ismen do bhav hi hamne pakde hain do char ghanta samasya rahna bhojan ka dosh hota hai aur lambe samay tak dino mein dosh aa jana apne mein akar aa jana ki main bhajana Nandi hoon main bahut shreshth hoon dusre mein laghu bhav aa jana isse ya kisi sant ka aparadh ninda kar dene se in do bhavon se hi aisa hota hai tisra nahi hai khub chhanbeen karke aap
dekh lijiye isko ab aapke andar kaun sa bhav aaya wah aap dekh lijiye usi dosh ke karan bhajan rukta hai anytha bhajan nahi rukta kyon bhai aap batao aapne kuch pakda ki aapka kahin ahankaar to nahi badh gaya is baat mein ki main bahut Bhajanand hoon bhagwan mere samne aur kisi ke prati laghu bhav aur ya kisi sant ki ninda nahi aise nahi ruk sakta bilkul aise nahi ruk sakta yah bada sukshm bhajan ka marg hai abhi parso narso ek sant bhagwan aae hue the bahut achchhi avastha sant bhagwan ki thi to wah bhi ro ke yahi
kah rahe the ki meri aisi sthiti thi ruk gayi ab main tadapda raha hoon ke sant ke paas gaya to unhone aapka bataya ki unke jao theek ho jaega aisa to bhagwan ki kripa se thodi der mein hi unse kaha chalne laga ki nahi chalne la u kaha haan chalne laga unko jaisa kahaya tha aap bhi vaisa kar lijiye gurujanon ne jo nishedh kiya hai ji agar waise aacharan kabhi galti se ho jae tab aacharan se nahi badha padegi aacharan nahi jaise aacharan mein koi truti ho jati hai na man lo kam krodh aadi jani jaise koi apne se dosh ban
jaate hain na to chati jalti hai par bhajan nahi rukta chati jalegi barbar andar se aayega bahut nich ho yar ye kaise ho gaya ye galti kaise ye jo pashchatap hota hai tatkaal wo bhajan mein le aata hai aur bhagwan bade kripal hote hain us samay kshma kar dete hain lekin yah dosh bhajan nahi hone dega kisi sant par hamari koi tika tippni aisi jo ninda ban gayi ya kisi ki avhelna apne mein ahankaar ka bhav isse bhajan choupat ho jaega pakka ruk jaega aur chalega nahi jab tak aparadh kshma chala uska samadhan samadhan a us din karwaya tha aaj aap samjh lijiye he vishv ke samasth sant bhagwan vyakt aur avyakt hamare jane anjane mein jo koi paap aparadh ban gaya ho jo koi dosh ban gaya ho mujhe agyani ka kshma karo main hriday se kshma chahta hoon aur sab mujhe ashirwad do ki mera bhajan punah chalne lage aisa yahan to suna ekant mein kahin ekant mein khade hokar aisi prarthna karna charon taraf ghumkar vishv ke sab santo ko pranam karna aur jiski yad aa jae aur yah lage ki inke prati dosh kya hai to us agar wah upasthit ho
to unse prarthna maang agar va antardhyan ho gaye to unse vinay kar lijiye tatkaal bhajan chalne lagega bina aparadh ke bhajan nahi rukta pakki baat do char ghante vikshep padhna bhojan se ho sakta hai lekin dino mein bhajan ruk jana yah aparadh sehi hota bada sukshm aparadh hota hai bada sukshm aparadh hota hai matlab yah bahut sukshm hota hai kisi bhi sant ke prati jara bhi bhav aa jae to isliye yah bahut sukshm vishay kisi bhi sant mahatma ke prati kiya hua aparadh sidhe bhajan ko rok dega aur yahi ek hai jismen apne mein ahankaar dusre mein dosh darshan yahi hamko gira deta hai sadhu ko yahan savdhaan rahna chahiye aur is par dekh lena bachchha abhi abhi dekh lena agar yah baat karoge na to tatkaal connection jud jaega tatkaal chalne lagega aap khud dekh lena theek hai haan bas ab jo tumhen chitra dikhayee de sadhu ka kya bas usi se kshma mangte jao abhi apne aap chal jaega ye bhagwat hai matlab ye koi bahari nahi hai ki kisi se soch le to bhajan ruk jae santo ke prati soch le to bhajan ruk jae aisa khtrnak khel hai
isiliye sab santo ke char jugan ke bhagat ji tinke pag ki dhuri sarvas la sir rakhiyo meri jeevan muri isi se ham badhte hain bhakton ka aparadh na bhaktan ka aparadh so dar pat raho ye aparadh aiso hai pure jeevan ke sukrit ko nasht kar de pure punya ke punya pure jeevan ke nasht kar de sadhu avagya turat Bhawani kar kalyan akhil keni yahi se ham naye sadhak hain to chuk ho jati hai ki ham bhajana Anandi ham shreshth aur dusre are bade vichitra vichitra bhagwan ke bhakt hain aapko kya pata kaun kis sthiti mein sabko namaskaar karo accha sab mein bhagwan hai to bhagwan to adesh kar hi rahe hain sato sam mohi main jag dekha mote adhik sant kar lekha satwi bhakti hai sab mein saman bhav se bhagwan ko dekhe lekin bhagwan kah rahe hain mere se bhi adhik mere bhakton ko dekho mere santo ko dekho mote adhik sant kar lekha yah bhagwan ki satwi bhakti ka varnan swayam bhagwan ne kiya santo ko bhagwan se bhi badh kar ke dekhe to aparadh hi nahi banega bach jae agar koi sant idhar udhar to apna aankh made apne ko bachao chalo bhagwan uski leela ko
bhagwan jane apne chalo ham dusre ke thekedar thodi hai puri srishti ke thekedar to bhagwan jo jaisa karega bhoge ham kahe ko ninda stuti kare ham apne marg ko pusht karen narayan Swami kahte tere bhave jo kare bhlo bhuro sansaar narayan tu baith ke apno bhavan buhar tu apne ko theek kar le dusre ki chinta mat kar dusre sab bhagwat swaroop hai bhagwan sambhalnge kunal ji Delhi se Radhe Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein kot koti pranam maharaj ji Shrimadd bhagwat gita adhyay nau shlok sankhya 29 mein bhagwan arjun se kahte hain ki main sabke prati saman hoon lekin jo koi bhakti purvak meri seva karta hai wah mera mitra hai mujh mein hai aur main bhi uska mitra hoon maharaj ji bhagwan to bhav grahi janardan hai to kya bhagwan ki seva bhav anusaar karni chahiye ya niymanusar donon prakaar ke hai jo vaidik siddhant se chalte hain va niymanusar chalte hain aur jo bhagwan ke prem marg ke pathik bhawa anusaar chalte hain aur bhagwan ka jab niyam purvak aradhan hota hai to phir bhav ki prapti hoi
jati hai aur kuch aise premi jan hai jo niyam ki parvah na karke bhav se karte hain jaise Vrindavan ke premi jan jo hai na y bhav pradhan hai aur anyatra vaidik siddhanto se bhagwan ki seva hoti hai yahan prem se hoti hai yahan ka char baje subah hi bhog laga de thakur ji ko jaise karmabai ki khichad kina wo bhav aur jo siddhant hai snaan karke phir la phir aise karma bhai sidhe uthti thi na koi snaan na kuch aur sidhe khichdi banati thi ki raat bhar thakur ko bhookh lagi hogi aur bulati to thakur ji god mein baith kar ke pate the waise bhagwan reete prem se hi hai nahi haan bhav ka bhukha hoon main aur bhav hi ek sar hai bhav se mujhko bhaje to bhav se beda par hai bhav bin suni pukare main kabhi sunta nahi bhav purat ter hi ti mujhe lachar hai bhavo save bhajta ras kam dhenu tam Radhika charan renu maham smarami par jo siddhant niyam se chalte hain vaidik siddhant se wo bhi akhiri mein bhav ko hi prapt hote hain par bhagwan pradhanata bhav ki rakhte hain bhav se hi bhagwan ko adhin kiya ja sakta hai bhav ut save
bhajta ras kam dhan bhav mein bhar kar ke ek bajre ki roti bhog lagae to thakur dhanna jaat ke aa paye nahi vaidik mantro se bhav nahi hai to phir bhagwan bhav ko bhagwan grahan karte hain bhav grahi janardan sadhak ko to Gurudev niyam dete hain ha to usi se to bhav ki prapti hoti hai lambe samay tak niyamavli niyamavli se chale to bhav ki prapti ho jati hai ab jaise apne logon ki niyamavli bhav wali hi hai kuch siddhant hai vaidik siddhanto se aise aise aise to phir wo age chalkar ko prapt hote hain apni jaise Vrindavan ki upasna bhav se hi hai ismen jo nem hai wah bhi bhav ke hi hai yah nahi ki nem karke bhav ko prapt hoga y bhav se hi nem ka palan ho raha hai wahan nem ke dwara hi bhav ka poshan hoga agar jo neyam ke virudh hoga va bhav nahi sweekar kiya jaega aur yahan bhav ke dwara hi niyam hai jo niyam bhav mein badha pahucha uska tyag kar diya jaega yahan na laj teen lokan ki na ved ko kaho kare na sank bhut pret ki na dev veda sassa kevalam avan anuragam labhte jo ved ka bhi
sanyas karke aur bhav mein bhagwan ke wo premi jan prem ki baat alag hai aur tabhi wo hai Uddhav ji se jo gopi janon ki varta hui na to nem Uddhav ke bhule sab vaidik siddhanto ke gyata braap shi Uddhav laut gaye charnon mein gopiyon ka bhav dekhkar gopi ka prem dekh kar ke to sare niyamon ki purti prem bhav mein hi hai aur apne logon ki to upasna bhav ki hai bhav bajta ras kam denu tam Radhika charan remram karma bhai bhagwan nath bhakt ra to unka bhav aga to maharaj ji jaise hamto ka prem bhav tanana to ham paida karen na hriday to wahi avinashi to ham bhagwan ke ansh hai jo karma bhai avinashi ansh thi wahi ham avinashi ansh hai jo karma bhai ka hriday tha wahi hamara hriday antar ye hai ki karma bhai ka hriday Jagannath ji ke liye tha hamara hriday jagat ke bhogon mein laga hai bas antar itna hai to khinch le to baat utni wahi aa jaegi ham log ye jo ooch duri bankar baat karte hain ki wo to amuk the bhala ham kaise ho sakte nahi unke bhi bhagwan the hamare bhi bhagwan the wo bhi bhagwan ke ansh the ham bhi bhagwan
ke ansh the antar ye hai ki wo keval bhagwan mein chitt lagae the ham vishyon mein bhogon mein lagae bas antar itna hai hamko apne chitt ko man ko hatakr prabhu mein laga de to wahi aa jaega phir koi antar nahi hoga tasm ta jane bhed bhawa bhagwan aur bhagwan ke jan mein abhed sthiti ho jati hai to ham kamzor kyon bane ham unka charnon ka aashray lekar waise hi badhe ham bhi to bhagwan ke ansh hai ham bhi to bhagwan ki aradhna kar sakte hain par ham vishyon mein man diye isiliye ham apne ko din hin vishay man lete hain nahi wah dosh hai uska tyag karenge age badhenge prayas karte haan naam jap karo bhagwat charcha suno bhakton ka aash lo bhakt namavli gayan karo isse bahut labh prapt hota hai bhakton ki kripa prapt hoti hai Anandi lahoti ji Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji main kaun mera kaun main nahi mera nahi na main kuch hoon na mera kuch hai to jo hai wahi hai hai bas wo hai jahan hai ke age kuch laga wah kya hai wahi maya hai bas keval hai yah nahi hai wahan bhi hai yah hai wahan bhi hai jo hai wahi bhagwan hai wahi
parbrahmma hai aur jiske age kuch laga wahi maya lag gayi kuch bhi lage main ke age kuch bhi lage abhi laga hua hai aap stri hai main stri hoon laga hai na mere pati hai mere parivaar mein mera putr isi ka naam maya hai jahan kuch laga wahi maya hai aur jab sab kuch jo laga hua hai use hata do to jo bacha wahi hai wah kya hai paramatma hai brahm hai bhagwan hai ishwar hai jo kahna chaho yogi use paramatma kahte gyani use brahm kahte hain bhakt use bhagwan kahte hain va ek hi param tatv hai jo hai wahi aap hai jo aap is samay man yah nahi bas do hi prakaar se bhagwat prapti hoti hai anvay aur vyatirek vyatirek nahi hai nahi nahi anvay hai hai hai yah nahi hai yah pehle bhi nahi tha baad mein bhi nahi rahega beech mein keval dikhayee de raha roz nash ho raha hai roz nasht ho raha hai yah nahi yah jise ham kah rahe nahi hai ismen bhi hai yah nahi hai to ismen bhi hai ye jo chalan hilan lan usi paramatma se to chaitanya usi paramatma se wah paramatma abhi antar dhyan ho jae abhi shant ho to hai jab murda hai to kya yah
murda hai usmen bhi hai bole mardam paramatma hai haan hai katha suni hai ven ke sharir ka manthan kiya gaya dahine se bhagwan prithu ka avatar hua baye se archa ji ka avatar hua ven ke murde sharir se bhagwan ka avatar hua padh lena bhagwat mein ven charit mein bhagwan prithu ka avatar hua murde se koi jagah nahi jahan va hai nahi to murde mein bhi to hai koi jagah nahi jahan paramatma nahi wahi jo hai bas wahi hai na ham hai na tum hai na main hai na mera hai wahi hai ham kaun hain wahi hai mera kya hai bas wahi jo hai aur kuch nahi mere to Giridhar gopal dusro na koi yah baat samjh lo to phir dusro wahi jo hai wahi aapka hai wahi jo hai wahi aap hai jo hai wah aapka hai jo hai wahi aap hai iske siva na aap hai aur na aapka kuch hai aap sharir ko lekar aur aapka mana hua sambandh dhan sampatti rupya paisa ya abhi sharir chhute duniya mein lakho ka mela juda hansa jab jab uda to akela uda koi sathi nahi koi sathi nahi bada prapanch zindagi mein jodte hain aur jab sharir chhod ke jaate to koi sathi nahi apna kiya hua
karm paap punya wahi bhogo jakar ke agar abhi hai ko jaan lo to paap punya se mukt ho jaugi brahm prapt ho jaog moksh ho jae to usko janna bada kathin hai isliye naam jap karo har samay bhagwan ka naam jap karo isi se bhagwat prapti ho jae paira kamando yaduveer sinh ji Gurudev aapke charnon mein koti koti pranam Gurudev main pehle kabhi vrat raha nahi par aapki kripa se abhi guru purnima se pratyek guruvar ko vrat start kiya hai do bar vrat tut bhi gaya ismen shri ji se mangta hoon ki aapka swasth hamesha theek rahe aur umr itni lambi ho jae ki aap is kalyug ke sabhi jeevan ka kalyan karte rahe aur shri ji kripa ham um to limit hai hamko pata nahi aapko pata nahi par prabhu ko pata hai ki itne second itne minute itne mahine itne sal jiega yah sharir usi bal se ham daadh rahte hain isi gyan se unhin ka bal chal raha wo jitna lamba chalana hoga unko chala denge ham yah chahte hain ki hamare jinda rahne ka phal hai ki aap sabki buddhi itni badhiya bhagwan mein lag jae gande aacharan chhod ke
ki jab milo tab muskurate hue prasann aur aandit to mujhe lagega mujhe jine ka phal mil gaya aapke sadhna ka phal mera jeena nahi hai mere jine meri sadhna ka phal aap ho aap muskura do aap aandit raho aap prasann raho aap hamare rashtr ki seva karo aap gande aacharan se mukt ho jao yahi ham chahte hain hamari samaj sudhre hamare naujawan sudhre unki sadbuddhi ho wah sukhi rahe to ham sukhi hain hamare jine ka bahut lamba jine ka labh yahi hai ki hamare vachno se hamare darshan sambhshan se hamare bhartvassi
hamare vishv ke jan sat marg mein chale tab to hamara jeena theek hai nahi to aap sat marg chal rahe ho to hamen badi prasannata hai vrat tut jana ham vrat par zyada aapko dhyan nahi denge ham aapko dhyan denge suno aap hamare sarkari aadmi ho rashtr sainik ho aapko jo mile bhrpur bhojan pao aur har samay taynaat raho dushman ki chati cheerne ke liye aapka vrat tirange ki raksha rashtr samaj ki suraksha iske avsar par aapko yah nahi dhyan ana chahiye ki hamen pani pina ki hamen bhojan pana hai yahi vrat
hai mile achhche se bhojan pao naam jap karo aur kai kai din na mile to prannon ki baji lagakar ham apne desh ki raksha ke liye bhukhe bhi rah sake iski bhi parvah na ho aise vrat to theek hai aise nahi mil koi baat nahi aap aise abhyaas kar lo lekin hamara uddeshya yahi hai ki naam jap na chhute ab man lo vrat mein naam jap chhut jae aur vrat mein aapko hamari rashtr seva mein lagegi aaj to vrat hai aaj ham nahi jaenge nahi vrat raho bilkul mat raho daba ke pao chaudi chati karke dushman ki chati par goli barsane ki tumhare andar utsah vriti ho bas yah vrat hai aur khub naam jap kar samjh rahe ho haan aise rah pao rah pao koi baat nahi nahi rah pao to koi baat nahi bhojan pao aur har samay jahan taynaat ho imandari se taynaat raho aur naam jap karo yahi sabse badi sadhna aapki hai aise sahaj swabhavic rah jao rah jao tut ja koi bhaiya hamari baat samjhna yah vrat bhagwan ki ham prasannata ke liye rahte hain apne sharir ko kasht dete hain agar hamara bhajan na ho to keval vrat rahne se bhagwan milte to kitne aise pashu
pakshi hain jo keval pani pi ke rahte hain jara vichar karna srishti mein itne pakshi hain jo keval phal kha ke rahte hain kitne jeev hai jo keval mitti khak rahte hain kitne jeev hamari kya inko bhagwat prapti ho gayi kya bhagwat prapti hoti bhajan se agar bhukhe rahkar bhajan ho raha hai to theek hai agar bhojan pa kar ke bhajan ho raha hai to bhajan karo bhukhe rahkar bhojan ka chintan ho raha mat ro vrat do roti khao aur bhajan karo bhagwan ka chintan karo bhukhe rahkar khub badhiya bhajan ho raha hai rah jao koi baat nahi bhukhe rah
kar ke sharir kamzor nahi karna kyonki aapka sharir pradhan rashtr seva mein laga hua hai aap ek veer yodha hai to aapki virata mein kami na ave aapka sharir aapka utsah aapki buddhi tino aapke desh par nichhavar karne ke liye tayyar raho yahi hamari prarthna hai theek hai ha aap naam jap karo aur utsah sampann raho aapko rashtr seva mein apne prannon ko nyochhavar karne ka utsah bana rahe sabse bada yah veer vrat hai is jo aapke liye is samay hai aur koi vrat nahi har samay aap alert jahan aap taynaat kiye gaye ho wahan gaddari na hone pave wahan adharm na hone pave jara si chuk mein na jane kitnon ki jaan par aa jaegi man lo atank phailane wale log jara si chuk mein nikal ave to chukai to ho jati hai to kitra saikadon ko mar dete hain hamko har samay savdhaan rahna hai jo hamare rashtr ke sainik hai unka santo ke saman sammaan karte hain isiliye ki unko kahan taynaat kar diya jae koi prashn nahi hai apne prannon ki baji lagakar har samay parivaar se dur rahkar har kasht sekar rashtr raksha mein samarpit
hai aapka vrat hai rashtr raksha aapka vrat hai utsah sampann hokar samaj seva is par jarur dhyan dete rahna gud bhagwan jab se aapse naam mila hai tab se man aisa ho gaya jaise kisi ko ab koi jaise wahan par dekha ta hai ek ladka pani ki tanki se kud gaya to koi bhi dekhta hoon jaise koi mar gaya koi haan sharir ko nasht pure din ka jitna bhi maine bhajan kiya hai aapki kripa se jo bhi hai isko de do matlab jo bhi kuch galat dekhta hoon isko de do bilkul dayaluta ka yahi swaroop hai aur uska palatkar aapko aur accha phal milega yah bhi hai jaise aap aaj ka din ka bhajan aapne kisi ko de diya to wah jaega uska kalyan karega aur us kalyan ka jo phal aayega laut ke wo aapko dabal milega yah koi birla avasta hai isliye aap aise ab phauji ktar mein thoda sa chhote-chhote kide makode hote hain ab mera man usse zyada dukhi hota hai bathroom mein bhi jaata hoon to main unko nikal nikal ke bahar rakhta hoon matlab mere ko lagta hai nana yahi hai phir bhi jaate nahi hai kh jhaddu mar diya kuch haan dekho kuch kuch dekho kuch
jeevan ki srishti aisi hai jinka din mein vinash hota hi hai jaise aap gaadi se chal rahe ho hazaron jeev marte hain aap juta pahne chal rahe ho hazaron jeev marte hain aur sahi pocho aap sans le rahe ho ismen bahut se jeev mar rahe hain to yah to srishti ke vidhan se hamko yah dekhna hai ki ham janbujhkar kisi jeev ko kasht na de aur dusri baat yah himmat itni dayaluta na ghus jae ki samne wala pata nahi atankwadi hai ki nahi hai to ham puchenge usse kya ki tum bhaiya atankwadi ho kya tab tak tumhen suit kar dega hamari baat samjhna kyonki aap rashtr sainik ho hamara updesh jo hai jahan daya ka hai wahan alag department hai aur apne desh ke liye suraksha aur anya jeevan ki raksha yah to ham pair sambhal ke rakh sakte hain kisi koi jeev na mare itna to theek hai lekin itna hriday luju aja na ho jae ki kahin shatru paksh ke liye bhi daya shatru paksh mein daya nahi hoti aur aap log hamare rashtr ke sainik hai to is par aapko vishesh dhyan rakhna zyada hriday dayalu nahi hona chahiye samjh rahe ho jaise machchar hai
jaise chiti hai yah kya hai aap lakh bar Soni se chiti hata do pocha lagaoge to pucha dekhoge 10 pach mari milengi ab baat bathroom hai rasoi hai kuch aise jeev hai jo apne aap nikelte hain mar jaate hain hamko janbujh ke nahi marna hamko hata dena hai ham ye chahte par itna pashchatap bhi na kar bahut se chhote-chhote jeevanu to itna hriday ko thoda luju aja la kar de ki matlab ham isi dimaag mein par fanse rahe ki yar ye ye nahi ab jaise gaadi chalate hue ek aadmi parsu narso hamen prashn kiya ki ham gaadi chala rahe the raftar se chala rahe the koi gay ekdam aise ai ab sambhal le sambhal le tle ko gay padhar gayi ab wo ab wo kah raha tha ki main bahut dukhi ho gaya main to usko samjhaya ki bhai gay baithi hoti gay khadi hoti aur aapki draivri mein kami hone ke karan usko lag jaata aap aparadhi the lekin achanak koi pashu gay ya koi pashu bhi aa jaata hai to ab wo raftar se jaise haeeve pa gaadi chal rahi ab wo ekdam vriksh thodi mein lag jaegi aur wo cross kar rahi raftar se usko pata thodi hai ab wo padhar gayi aur sahad
hone ke karan dukh hota hai ye jo bhakt hriday hota are bap re gay mar gayi gau hatya lag gayi to gau hatya tab mani jaegi jab gay khadi hai gay baithi hai aapko dikhayee de raha hai aur aap control free hokar usmen thok diye ab mangi jaegi aise hi ham chal rahe hain ham kriya kar rahe hain achanak koi jeev padhar jaata hai to hamara ham janbujhkar kisi jeev ko kasht nahi denge aur shatru paksh mein janbujhkar ham nirday swabhav rakenge hamare dayaluta ko koi jaan na pave dayaluta hamara hriday ka vishay hai lekin rashtr raksha ke liye bahut hamen swabhav mein kathorta dharan karni padegi samjh rahe Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha ra Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…