॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar kisi ko puri imandari se chaho to kya wo prapt ho jaega ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

ankush aroda ji shri gangangar se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab ham purn nishtha va pratibaddhata imandari ke saath kisi karya mein ya kisi vyakti vishesh ko chahte hain to kya wah chij uplbdhi sambhav hai kya vyakti aur karya ismen praarabdh tang mar sakta hai lekin bhagwat prapti nishtha ho jae aur purn praytn aur kripa to nischit ho jae ki ismen hamen koi sanshay nahi lekin sansarik vyakti aur sansarik karya ki purti mein praarabdh badha dal sakta hai. Agar aapka ashubh praarabdh hai to aap lakh prayas karo.

wo vyakti aapke anukul nahi ho sakta. Wo vastu aapke adhikar mein nahi aa sakti. Wo sthan aapke adhikar mein nahi aa sakta. Praarabdh pratikul ho gaya to aur bhagwat prapti mein pratikul ho jae. Praarabdh to praarabdh ki aisi taisi wo kuch nahi bigad sakta. Bhagwat prapti mein kuch nahi bigad sakta. Kyonki praarabdh ka keval prabhav sharir par hai. Praarabdh ka prabhav ham par nahi hai. Aur jab ham bhagwat prapti ke liye chalte hain itna gyan to hone hi lagta hai ki main sharir nahi hoon. To sharir mein praarabdh ka prabhav hoga aur andar se aa bhav se chintan hoga.

hamen bhagwat prapti to ho hi jaegi. Sansarik karyo mein praarabdh agar kamzor ho gaya aur purusharth prabal ho gaya to prapti ho jaegi. Agar praarabdh jor ho gaya, purusharth kamzor ho gaya to phayl ho jaoge. Samjh pa rahe ho aap hamari baat? Purusharth jante ho kise kahte hain? Jo vartman mein kriya kar rahe ho aur praarabdh use kahte hain jo purv mein paap hai. Jaise bahut badi degree prapt kar li lekin nokri hi nahi mil rahi. Bahut vyapar kar rahe ho lekin ghata lag raha hai. Bahut prayas kar rahe ho lekin nishphal ho rahe kyonki purv ka praarabdh hai.

par bhagwat prapti mein aisa nahi. Ek marg keval aisa jismen praarabdh ya shubh ashubh Vinayak inki koi daal daal nahi galti. Jo nirantar bhagwan naam chintan karte hain, bhakton ka sang karte hain aur satsang sunte hain, unmein vivek jagrit ho jaata hai. Wo katte rahte hain aae hue dukh sukh ke rag ko aur bhagwan ke chintan ke prabhav se is maya ke donon par vijay prapt karke bhagwat prapti kar lete hain. Yadi tumhen apne karya ki purnata karni hi hai to naam jap karo. Naam jap se badhkar koi nahi praarabdh ko rokne wala.

koi nahi samarth. Naam jap karoge praarabdh aise ruka rahega jaise tatastha bhumi samudra ko rok leti hai. Nahi to praarabdh bahut balvan hota hai. Agar praarabdh apne pe aa jae to achhche-achhche har karyo mein vighna dal sakta hai. Par naam jap yadi chal raha hai to jitte Vinayak shubh ashubh vighna kare nahi koi vighna kare nahi koi dare kalikaal kasht bhay hare sakal santap haras hari naam japat jai uski vijay ho jaegi yadi naam jap chal raha hai to vijay agar naam jap nahi hai to phir praarabdh to mityamet kar sakta hai isliye ham ye final mein nahi kah sakte ki aap karm nishtavan hai aap badi sachchai se karm karte hain to aap safalta hi prapt karenge nahi agar aapka purv ka praarabdh prabal hai to asfal kar dega.

agar vartman ka purusharth bhagwan ke bhajan se jud jae to praarabdh ki dhajhiyan uda dega. Isliye ham sabse prarthna karte hain jaise bhi bane waise Radha Radha Radha Radha naam jap karo to naam jap tumhare sare papon ko nasht kar dega. Naam sankirtan yas sarv paap pranashnam samasth papon ka nash kar dega. Bhagwan ki sharan aur naam jap is sansaar se har jagah vijay prapt ho jaegi. Har jagah aur agar naam jap nahi bhajan nahi to phir yah purusharth jo hai praarabdh se nahi jit payega. Samjh pa rahe hain aap? Koi sanshay ismen?

abhi abhi jaise koi umr hai jaisi umr hai to us hisaab se man bhi vichlit rahta hai har ek chij mein. Aap hamen batao agar goli chalane ka abhyaas aapne jamane mein nahi kiya to budhapa mein nishana laga loge? Nahi hoga na? To agar is samay aapne bhajan ka abhyaas man ko nahi dalwaya to budhape mein bhajan kar loge kya? Hamen zaroorat abhi hai parast karne ki. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar ye hamare samne aa rahe hain taal thok kar. Ham guru bhajan pratap se unko parast karenge, sahenge, jalan ko sahenge aur bhagwan ke chintan mein badhkar ham age badhenge.

laukik parloulik donon unnati prapt karne ke liye adhyatmik ki atyant avshyakta hai. Bina adhyatmik ke kuda jeevan hai. Kuda koi bhi ho. Chahe jis pad mein ho chahe jitna vaibhav jama kar lo maroge to na pad tumhare saath jaega aur na chavanni bank balance jaegi. Ram naam Krishna naam hari naam Radha naam jo priy lage naam japoge tabhi tumhara mangal hoga. Man to sabka bhatakta hai. Kya budhe ka nahi bhatakta kya? Aapko lagta hai aap jawan ho to aapka bhatakta hai. Aap 90 sal ke budhe vritt se pooch lo kya man uska samadhishta hai kya?

agar abhyaas bhajan mein nahi kiya to bhogon mein hi to jaega aur bhogon mein jiska man gaya wo chanchal hi to hai. Kyon? To yah mat socho ki jawan aadmi adhyatma mein chalte hue grahasti mein nahi chal payega. Nahi chal jaega. Bahut badhiya grihasth hoga. Aap apne kartavya ko puja samjho. Radha Radha naam jap karo. Kisi ka amangal na karo. Isse badi koi puja nahi. Sab kuch chahe vyapar karo chahe nokri karo jo chaho karo bhagwan ki puja mankar apne kartavya ko karo naam jap karo kisi ka ahita mangal na karo bahut bade bhagat ho aap chahe tilak lagao chahe na lagao aur swarth ki bhasha bhuli nahi aur bhesh chahe sant ka ho to baat to nahi banegi na bhesh se thodi sadhuta purn hoti hai aur aapka bhesh nahi uddeshya theek hai to aap sant ho vibhishan ji aae the koi bhesh nahi tha lekin bhagwan kah rahe tum sareekhe sant priy more dharo deh nahi an ho tumhare jaise santo ke liye mera avatar hota hai.

vibhishan ji koi sadhu vesh nahi the. Uddeshya shri Ram the. Yadi hamara uddeshya bhagwan ho jae to pat shirt mein bhi ham sant ho jae. Yadi hamara sant bhash mein uddeshya bigad jae to mamla bigad gaya. Uddeshya khas baat hai. Aap samjh rahe hain na hamari baat? To aisa bahanebaji to kijiye mat ki hamara jawan sharir hai aur hamara man chanchal hai. Ham kaise aisa nahi isi samay to break lagane ki avshyakta hai. Isi samay agar abhyaas kar le gaye to aap mahan purush ho jaenge. Grahasti mein hote hue bhai ji shri hanuman prasad podar ji maharaj mahan sant aur dhoti kurta mein rahte the.

grahasti mein the. Bhajan kiya bhagwan ka uddeshya kiya. Paramatma prapti ho gayi. Samjh pa rahe hain aap?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi