॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

santjan itna jap-tap karte hain phir bhi kasht mein dekhe jaate hain, kya sabko prem prapt hota hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

prashant ji Mathura se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji bharat mein anek sadhu sant mahatma jo aajeevan sachchi bhakti jap tapa karte hain ek uchh koti ka jeevan jite hain. Unko shayad sharir tyagne par dobara janm na lena pare. Par sansarik aur samannya drishti se unka jeevan bahut kathor aur kashtapurna hota hai. Pahli baat yah hoti hai ki sati ko patirat dharm mein kasht mehsus nahi hota. Use pyar mehsus hota hai. Vyabhcharini ko ek pati ke adhin rahne mein kasht ka anubhav hota hai.

samjh pa rahe ho na aap? Jo sadhu mahatma bhagwan ke marg mein sachchai se chalte hain unko kasht ka anubhav nahi hota. Unko parmanand ka anubhav hota hai. Agar kasht ka anubhav ho to chala hi nahi ja sakta. Kyonki ham chale hain. Yah nahi hota ki bhai aap anuman karke kah rahe ho. Ham use jie hain. Wo sadhu mahatma ka jeevan guru bhagwan ki kripa se jie hain. 11 varsh ki avastha se le abhi tak jo bhi ayu hai use jie hain. To kasht ka anubhav thodi hota hai. Panchap din chha din bhojan nahi mila to ek anand ka anubhav hota hai.

ek adbhut anand usi anand ki umgan mein har kasht sahja hai. Mata-pita se bichho stri bhog ka tyag ras indri Jnendra ke bhogon ki taraf se purn udasin garmi sardi barsat man apman ninda sthiti sabko sahte hue kyonki ek parmanand ka anubhav hota hai. To usmen kasht nahi hota. Kasht dekhne wale ko lagta hai. Usmen nahi jaise veer purush ko yuddh kshetra mein kasht ka anubhav nahi hota. Uske andar ek unmad hota hai vijay shiv prapt karne ka aur jab uske angon mein ghav hota hai to uske andar aur unmad prabal hota hai.

lekin kayar purush ko ye dekhkar lagta hai bahut kasht hai ise. Samjh pa rahe hain na? To paramatma ka marg anandmay hai na ki kashtamay. Sansaar ka marg kasht mein hai. Paramatma ka jo marg hai anandmay hai. Swayam paramatma shri Krishna is sansaar ko dukhalayam ashasvatam kah rahe. Pahli to ye baat hui. Ab dusri baat yah hui ki jo sadharan jeev hai usko utna tap karne ki zaroorat nahi padegi jitna mahapurushon ne kiya hai. Injun banane mein zyada parishram parta hai aur dibba banane mein utna parishram nahi parta.

par injun ek do teen char lekin dibba 100 150 injun se connection ki zaroorat dibbe ki hai. Agar theek connection hai to injun mein ek do teen char lekin dibbe mein 100 150 log wahin paunchenge jahan injun pahunega. To ham log jo santo ka aashray lete hain, anusaran karte hain, unki agyaa par chalte hain aur khate pite mauj masti se ham wahin pahunch jaate hain jahan sant kasht karke pahunchte hain. Kya sabhi ko prem prapti aur anand ki prapti hoti hai ant samay mein? Nahi. Lakshya kya tha? Kalyan, anand aur prem.

teen station hai. Anand ki prapti. Bhagwan mein apnapan hone se hoti hai. Kalyan ki prapti to ghor papi Ajamil ko bhi ho gayi. Apne putr ke mis se usne narayan bulaya antim samay usko param pad ki prapti kalyan mil gaya. Lekin prem prem hi atyant durlabh vastu hai. Prem to unhin ko prapt hota hai jo janani Janak bandhu sutara tanu dhan dham surhad parivara sabki mamta tag batori mam padm nahi bandh bar dori samdarshi ichchha kachu na harsh shok bhay nahi man mahi as sajjan mam urwa bas kaise lobhi hriday basah dhan jaise swayam bhagwan shri Ram ji kah rahe hain mata se pita se bhai bandhu patni dhan sampatti ghar parivaar sab ki mamta bator kar jisne mere charnon mein laga diya jo sant samagam gyan ke pradhan bhav mein akar sab jagah ek hi paramatma ka darshan karte hain.

samdarshi koi ichchha nahi rah gayi. Jo kamna rahit hai vinivatta kama aur jo sukhdukh mein saman bhav harsh shok se rahit mahapurush hain wahi bhagwan ko pyare hain wahi bhagwan ko pyar kar sakte hain. Bhagwan ko pyar karna sabse kathin baat hai. Yadyapi ham anjane mein pyar unhin se karte hain. Mano ham aapse pyar karen to aap mein shri bhagwan isliye pyar kar rahe hain. Abhi bhagwan chale jae to is sharir ko jala diya jaega. Is sharir ko gad diya jaega. Is sharir ka koi mahatva nahi mana jaega. Anjane mein ham pyar bhagwan se hi karte hain.

par jankar jab tak bhagwan se pyar nahi karenge tab tak prem ki prapti nahi hogi. Aur bhagwan se pyar karne ke liye sabse pyar smetna padega. Aur yah hona bada kathin hota hai. Yah hona sabse kathin hai. Khate pite parivaar se prem karte bhogte hue agar bhagwan mil jae to theek hai. Nahi to aise chodna kahan lakho mein koi birla ek ko ek pav bhagat jim mori shuddh bhakti bhagwan ke liye ghar grahasti mein rahkar ke bahut kathin hai. Par asamabhav nahi hai. Kathin hai par sambhav nahi yadi ham nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari sab kuch bhagwan ka hai sab mein bhagwan hai naam jap kar rahe dharm purvak aacharan kar rahe bhagwat prapti ho jaegi bhagwat prem bhi ho jaega to aise chalne se ho jaega ab ye zaruri nahi ki mahatma bachpan se ganga kinare tap kar raha hai to hamko bhi tap karna pare wo injun hai ham dibbe mein baith jaate hain ham uska connection kar lete wahin pahunch jaenge jahan injun pahunega.

isliye ham santo ko guru bana lete hain. Ham santo ke charnon ka aashray le lete hain. Santo ka bharosa kar lete hain ki ye inki kripa se hamen bhagwan ki prapti ho jae. Hoti hai shastron logon ko aaj tak jab kisi ko bhi agar bhagwat prapti hui hai to santo se hui hai. Mati kirti gati bhuti bhalai. Jab jeh jatan jahan je pai so jano satsang prabhav. Lokam ved na anupau lok aur ved mein aur koi upay nahi hai. Sant mahapurushon ka samagam unka aashray unke vachno ka palan yahi bhagwat prapti kara deta hai.

samjh paya aap?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi