ekantik vartalaap evam darshan #885 · 20 april 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev kuch maah pehle mere ek sahpathi se mitrata ho gayi thi aur main us vyakti mein aasakt ho gayi aur ek dusre se jeevan sathi jaise sambandh bhi koshish hue. Maharaj ji halanki wo zyada din tak tike nahi na hi rahe par kuch paristhitiyan ai aur sab khatm ho gaya parantu meri usmen asakti itni zyada ho gayi ki main use bhul nahi pa rahi maharaj ji wo vyakti dikh jaata hai ab vasnaon ke khel kheloge man malan hoga to bhul kya paoge are dhikkar hai aise jeevan ko ki jo manushya jeevan milne par bhagwan ke liye baat nahi ai ki main bhagwan ko bhul nahi pati hoon.
yah jeevan ka to labh hona chahiye. In nashvan shariron mein asakti karke indriy jan sukho mein bhog sukh ka anubhav karke main unko bhul nahi pati to dhikkar hai tumhari buddhi ko apne jeevan ko patit karke bhrasht karke buddhi ko manushya mein aasakt kar liya yahi to narak jane ka rasta hai aur kaun sa rasta hai jeevan sathi chunna hai to ek bar chun liya aur aaj jeevan uska nirvah kiya to to jeevan sathi ye hai to vybhchar pravriti hui aaj isse kal usse parso usse narson usse jise aajkal log kah rahe rahe hain breakup boyfriend girlfriend breakup phir boyfriend phir breakup phir tisra boyfriend ye kya hai kya aaj shasan nahi hai na mata-pita ka shasan hai na samaj ka shasan hai na shastr ka shasan na bhagwan ka shasan koi sweekar nahi hai na isliye manmani aacharan hote hain manmani aacharan karne ka adhikar kisne diya tumko bhaiya ek bar pani grahan kiya to aajeevan nirvah kiya apne par shasan nahi apne dharm ko nahi jante ho sharir sharir ka bar-bar apvitra hona ye kya hai?
man sharir mein laga hua hai. Man apvitra ho raha hai. Paap ka khajana ban raha hai. Narak jao, narak bhogo. Ye durlabh manushya deh ka kya labh mila? Aajkal yahi pravriti chal rahi. Tumhari baat nahi bachchha. Ye aajkal pravriti yahi chal rahi hai. Ye koi matlab nai baat nahi. Yahi pravriti chal rahi hai. Bhagwan ka naam jap karo. Sanyam se raho. Agar stri sharir hai to kisi ek purush ka ek bar varan karo. Aajeevan varan karo. Chhut jae to brahmcharya se raho aajeevan brahmcharya raho yah vichar pravriti se narak jane ka rasta hota hai triwidh narkasdam dwaram nashnatma kam krodha tatha lobh tas taje ye teen narak ke dwaar hai kam krodh lobh inhi mein jo fanse hue narak jana hai aur kya karna hai narak ki pravriti karni hai bhul nahi pate tumhen ghrna ho jani chahiye ki jiske liye maine sharir samarpit kiya wo aadmi mera ho hua to wo bhulne yogya wo ghrna karne yogya hai.
naam jap karo aur sahi raste se chalo nahi to kisi kam ka manushya jeevan nahi rah jaega. Ham kahte hain dosti karna paap nahi hai. Koi bhi kisi se bhi dosti karo lekin dosti gandagi karna paap hai. Vybhchar karna paap hai. Ye kyon karte ho? Agar aapko dosti pakki to aajeevan nirvah karo. Mata-pita ka ashirwad lo. Devtaon ka archan vandan karo. Byah karo. Ek saath raho koi baat nahi. Aajeevan raho. Yah kya hai? Isse bhi vichar, usse bhi vichar, usse bhi vichar to kisi ka shasan nahi hota. Isiliye manmani aacharan hote hain.
koi tumhari bahut avastha hai kya? Ye manmani acharno se kya hoga? Apne jeevan ko khokhla karke narak jao, narak ka rasta pusht karo. Isliye bachchha savdhaan naam jap karo aur savdhaan raho aur bhagwan ka aashray lekar ke dharm purvak jeevan vyatit karo. Manushya jeevan yah divya mila hai. Isse bhagwan ki divyta prapt karo. Ham kahte hain theek hai grihasth mein jana hai grihasth mein jaiye lekin kisi ek purush ka aisa varnan karo dekho aajkal manmani chal raha hai mata-pita var khojte the panditon se vichar kiya jaata tha bade dharm purvak devi devtaon ki aradhna karke byah hote the aajeevan nirvah hota tha hamne kabhi nahi suna divorce ganv mein kabhi divorce nahi suna hamne ye jo vybhchar pravriti shuru hui na girlfriend aur boyfriend aur liv in relation yahan se shuru hua hai divorce nahi hamne kabhi divorce nahi
suna aajeevan nirvah kyonki mata-pita ne kiya devi devtaon ka pujan karke shastr ke pandit ke anusaar agni ke phere lekar tab kahin wo dharm se chalo is tarah ke manmani aacharan koi bhi mat karo nahi to pachtana padega sansaar ka bada vichitra swaroop hai hosh mein chalna chahiye acharya akhilesh anand ji haridvar se Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ham sab kuch jante hain dharm kya hai adharm kya hai par sab kuch jante hue bhi adharm aur nahi jante ho nahi jante ho jankari use kahte hain jab jaan gaye to je jane jag jae harae jage jatha swapan bh jae swapna mein jaise ham jage hue hote to kya jage hue hote hain kya swapna mein ham kriyaen karte dekhte hain aur aisa thodi lagta hai ki main swapna dekh raha hoon aisa lagta hai main jaga hua hoon to kya wo jaga hua hota hai kya wo agyani swapna mein apne ko jaga hua jaise se manta hai to jaga hua nahi hota.
aise aap agyaan ki dhara mein ho aur aap yah jankari kar rahe ho ki mujhe dharm ka pata hai. Mujhe adharm ka pata hai. Jaise apne ko jankariyan jo kuch hai jo uplabdha ho chuki hai wo prakriti janny keval buddhi tak hai. Aapke anubhav mein nahi hai. Anubhav mein nahi to pata pura halwa banane ki prakriya aati hai. Lekin kabhi baithkar ke bankar paya nahi to kya fayda? Jis jankari ka prayog na ho sake wah jankari hamari kis kam ki? Baat samjh rahe hain na? Iska tatparya hua ki ham adhyatma bal se kamzor hain.
ham jante hain ki ye nahi karna chahiye. Ham jante hain ye karna chahiye. To jo karna chahiye wo kar nahi pate. Jo nahi karna chahiye wo ham chhod nahi pate. Imandari ka vishay yah hai. Iska karan hamare andar adhyatma bal ki kami hai. Ham agar prashantatma vigat brahmachari vrat sthit agar ham sanyam se chale apne antahkaran mein nirantar bhagwat chintan karen. Brahmachari vrat se sthit ho aur nirantar paramatma chintan karen to abhi aa jaega. Jo nahi karna aur nahi karna chahe pran nikal jae aur jo karna hai wo utsah sampann hokar ke karna hai to hamare andar jo jankariyan unka prayog na karne ka jo hamare andar asmarthta hai wo adhyatmik ki kami hai.
yadi ham khub bhagwan naam jap karen shastr swadhyay karen. Brahmcharya se rahe pavitra ahar karen to bahut badhiya aa jae. Bahut badhiya aa jae. Sthiti ban jae hamari aur ham bhagwat chintan rahit hain. Isiliye hamare to isliye yah jankari hote hue bhi ham nahi jankar hain. Jankari agar jitne aapko jankari agar uska prayog kar le to aap brahm siddh mahapurush ho jae. Kisko jankari nahi? Jab ganv mein log shav yatra karte hain. Bole Ram naam satya hai. Satya bolo mukti hai. Isse bada aur kya gyan hoga?
is gyan se bada aur kya gyan hoga ki pure tribhuvan mein agar satya hai to bhagwan ka naam satya hai aur bhagwan ka naam bolo to mukti hai lekin wo bidi pite hue laute hain. Unko koi matlab nahi ki kya ga rahe hain. Wo samjhte hain marne wale ke saath ye gaya jaata hai. Bas wo geet gate hain. Wo uska bhav to samjhte nahi hai. Isliye hamen sabko jankari hai. Apne kalyan bhar ke liye sabko jankari hai. Sab koi janta hai marna hai. Sab dekh rahe hain ek dusre ka marna. Sabko pata hai yahan sab nashvan hai.
sabko pata hai yahan se koi kuch le nahi jaata. Bas itni jankari kafi hai. Agar ham paramarth mein chal den aur itni jankari hamari pakki rahe to ham to mahatma ban jae. Lekin ye jankari na jankari ke antargat hi hai. Jaise swapna mein jaga hua manta hua bhi wo so raha hai. Wo apne ko jaga hua manta hai. Lekin jab jagega to swapna hat jaega. Jagne ki pehchan hai swapna hat jaega. To sachchi jankari ka matlab hai dharm ki jankari ka matlab hai je jane jag jai jage jatha swapna bhram jai jo jaan gaya to uske samne se sansaar aise gayab ho jaata hai jaise swapna ka pura ka pura drishya jagne par gayab ho jaata hai.
phir dikhayee kya deta hai? Siya Ram main sab jag jani karahu pranam jor jug pani to ham apni jankari ko satya banain ham apni jankari ka prayog kar sake isliye khub naam jap karo aur brahmcharya ka jarur dhyan do aaj vybhchar paraayan hamari janta ho rahi hai jidhar dekho vybhchar ka bolbala hai wo sab apvitra buddhi adhyatma ko dharan karne ke liye grihasth mein hai to uchit brahmcharya aur virakta mein hai to purn brahmcharya brahmcharya ke bina brahmcharya jeevan ki niv hai ye aajkal naye-naye sab jitne bachchhe hain na girlfriend boyfriend hastmaithun ye wo sab nasht kiye de rahe apne aap ko ye kya hai manushya jeevan ka uphash kar rahe ho dev durlabh manushya jeevan ka uphash kar rahe ho bade bhag manush tan pava sur durlabh sad granthan gava sadhan dham moksh kar dwara paye na je parlok savara so partr dukh pav sir dhun dhun pachtae kal karm ishwar mithya dosh lagae isliye khub naam jap karo amit pande ji Prayagraj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji atmjyan aur adhyatma marg mein sabse bada antar kya hai?
ismen kaun sa marg hamen prapt usi ko to adhyatma kahte hain. Atmjyan ko hi to adhyatma kahte hain. Adhyatma kahte kise koi antar wahi to jal war toe pani ismen kaun shreshth hai? Baat to ek hi hai na. Jal war toe pani mein. Ham pani ke hi paryayvachi shabd kah rahe hain. To atmjyan bhagwat bhagwanand adhyatma marg adhyatma gyan ek hi baat to hai. Samjh rahe hain na? Maharaj ji ye shayad gyan marg aur bhakti marg ko samjhna chah rahe hain. Age haan aise bhed puchoge to samjh mein aa jaega ki bhakti marg mein aur gyan marg mein kya antar?
bhakti marg aur gyan marg siddhant tak donon ek chalte hain. Siddhant donon ke ek hai aur lakshya donon ka badal jaata hai. Ek dasoham mein pahunch jaata hai aur ek shivoham mein pahunch jaata hai. Sohmasmit vritt akhanda main wahi paramatma hoon. Gyan marg mein anubhav hone lagta hai. Aham brahmasam lekin bhakti marg mein das dasom main bhagwan ka das hoon. Bhagwan ke daso ka das hoon. Itna antar siddhant donon ke ek hi hai. Sanyam niyam ke siddhant donon ke ek hi hai. Bhagwat chintan atma chintan ke siddhant ek hi hai.
lekin parinaam donon ka jo alag-alag chintan ka ho jaata hai. Ek ka chintan hota hai tatvam. Tatvam ash aur ek ka chintan hota hai dasoham. Main bhagwan ka das hoon ya das dasom. Main bhagwan ke daso ka das hoon. Itna antar ho jaata hai. Samjh pa rahe ho? Sadhan marg thodi dur tak ek jaisa chalta hai. Chahe wo bhakti marg ka ho, chahe gyan marg ka ho. Yam, niyam, sanyam, indriyon ka daman, man ka daman, brahmcharya vrat, nirantar satogun sevan, nirantar shastr swadhyay, shastr chintan, sant samagam ye sab donon ka ek jaisa chalega.
lekin chintan phir alag-alag ho jaata hai. Ek ka atma chintan hota hai to tatwamay ham brahmas aur ek ka das das main bhagwan ka das hoon. Bhagwan ka sakha hoon. Bhagwan hamare mitra hain. Kai tarah ke bhav hain hamare bhakti mein. Bhagwan ke rijhane ke shant dasy sakhya vatsalya aur gopi sahachari ye bhavon ke dwara ham bhakti ka anand lete hain. Ismen kai bhav usmen ek hi bhav hai. Aham brahmasam aur wo satya hai. Koi ismen antar nahi hai. Donon marg satya hai. Donon ka parinaam ek hi niklegaa jake. Jab phal niklegaa to bhagwanand, parmatmand, aatmand, vigyananand, Akhandanand jo bhi kaho wo ek hi hai.
jaise ghat alag-alag hai yamuna snaan ek hi hai. Yamuna ji ek hi hai. Ji eeshant Sharma ji bengaluru se. Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji kisi sant ya guru ke samip agar hriday mein dar ka abhas ho to iska kya? Bahut accha hai. Bahut accha hai. Jo guru aur sant se darte hain, wah abhay ho jaate hain. Wah maya se phir nahi darte. Jo sant aur guru se nahi darte unse aparadh banta hai. Phir wo maya se bhayabhit ho jaate hain. Abhay hoe jo tumhen darai yahi dare hi darap Harivansh hit jino bhram gun saleel par ji naam mangal lok ta hari pad bhajan apne sahab se darna chahiye.
apne Gurudev se dar lage. Kahin hamse koi aisa aparadh na ban jae ki ham Gurudev ke samne jane layak na rahe. Kahin hamse koi galti na ban jae. Dar hona chahiye. Gurudev ka dar hona. Ham sansaar mein kabhi kahin bhayabhit nahi hue. Lekin apne Gurudev se dar darte hain. Gurudev ke samip jaate hi pura hriday kamp uthta hai. Koi galti na ho jae, koi truti na ho jae. To ham Gurudev se kabhi vimurkh na ho jae. Isliye ekant mein bhi dar lagta hai. Hamare Gurudev sab jante hain. Agar hamse koi galti hui to Gurudev jaan jaenge aur Gurudev jaan jaenge to hamara tyag kar denge.
phir hamara hoga kya? Gurudev ke bina hamara koi astitva hi nahi. Isliye sant aur Gurudev se darna bahut achchhi baat hai. Par itna na dare ki unse vimurkh ho jae. Itna na dare. Ek mariyada ka dar. Ek mariyada ka dar hota hai. Aur koi bhayabhit thodi karte Gurudev. Gurudev koi aise thodi ki bhayavne ho. Lekin ek mariyada hoti hai. Guru shishya ke beech mein us mariyada ka bhay hota hai. Ravi prakash vijay ji Rajasthan se maharaj ji bhagwat prapti ke liye man ki sthirata avashyak hai. Lekin man ke vichlit rahne par man ki sthirata ya dridta ke upay kya ho sakte hain?
bar-bar jahan man jae vastu vyakti sthan ghatna paristhiti mein wahan se hata ke apne lakshya mein lagana. Bhagwan ke naam mein lagana rup mein lagana. Bhagwan ki lilaon ke chintan mein lagana ya dusra jahanjahan man jae har vastu vyakti sthan ghatna mein bhagwan ko dekhna ki yah vastu mein bhagwan hai. Jab srishti nahi thi tab bhagwan hi the. Jab srishti nahi rahegi to bhagwan hi rahenge. To beech mein kya hai? Bhagwan hi to hai. Koi aisi jagah nahi, koi aisa kan nahi, koi vyakti nahi jismen bhagwan na ho.
to jis vastu vyakti sthan ghatna par man jae wahan se hata hata ke bhagwan ke naam mein lagana ya wahan bhagwan ka darshan karna ki ismen bhi to bhagwan hai ismen bhi to bhagwan hai to har samay bhagwan ka chintan karne se man ekaagr hone lagta hai yah abhyaas karat karat abhyaas ke jadmat hot sujan rassi aavat jat hi sil par hot nishan to jab ham bar-bar abhyaas karenge atishay ragad kare jo koi to anal pragat chandan te hoi chandan se aankh paida ho jae yadi a se ragad ki jae to jab hamari jaban mein bar-bar ragad hogi Radha Radha Radha ya jo naam priy ho aur bar-bar man hatakr Radha Radha Radha to hamara man ekaagr hone lagega jahan man ekaagr hua aur Bhagvdanand mila bas yam labdh chap param labham namyate adhikam isse adhik koi labh nahi hai jis samay Bhagvdanand ki anubhuti hoti hai us samay phir man kahin jaata hi nahi.
brahmaadik ke bhog sab swarg lok mrty lok ki to baat jane do. Brahmlok ke bhi bhog vish ke saman lagte hain. Jisko bhagwat anand ki anubhuti hoti hai. Brahmaadik ke bhog sab visham lagat tae. Narayan braj chand ki lagan lagi hai jae. Isliye khub naam jap karo. Bar-bar man ko hata hata ke naam mein lagao. To is abhyaas se dhire-dhire vash mein ho jaega. Mohit sethi ji Gurugram se ji Radhe-Radhe maharaj ji shri Harivansh maharaj ji pehle 25 varsho tak arthik kathinaiyon ke karan maine padhai aur ab office ke kam ko hi shreshth karm mankar ab tak jeevan bita bas is asha mein ki parivaar ko sambhalun lekin jab se aapko guru sweekar kiya tab se samjh aaya ki jeevan ka ekmatra lakshya bhagwan ko purn rup se samarpit hona hai maharaj ji ab is ode par pahunch chuka hoon ki jahan roz 13 14 ghante kam karna parta hai aur saath mein naam jap mein maharaj ji bahut kathinata aa rahi hai keval ek hi ghanta din mein de sakta hoon naam ko maharaj ji abhi man mein pida hoti hai, chinta hoti hai, dar bhi hota hai.
lekin 14 ghanta har samay aap bolte to nahi rahte na kriyaen bhale kar sakte hain koi bhi kriya aur usmen bhi hamen minute second ka to samay milta hai na. Us minute second ko Radha Radha Radha aur pure ke pure 14 ghante bhagwan ko samarpit kar dena. Ye karm samarpan ho jaega. Aur bhagwan hriday se bhagwan ke ashrit ho. Jo shesh samay mile aapke 14 ghante mein usmen Radha Radha Radha Radha Radha Radha usmen naam jap karo aur jo 14 ghanta ke baad chha ghanta sone mein samjh lo to 14 chha kitne hue hain 20 hue to char ghante to abhi bache wo char ghante kahan doge maharaj ji kya hota hai ki jaise 13 14 ghante kam kar rahe hain regular uske baad bhi kyonki ki aadat aisi padi hui hai ki usi ke bare mein sochte rahte hain ki usko kaise nahi galat baat isi ko sudharo wo sthai chij nahi hai.
maroge to na office jaegi aur na ye sab karya jaenge tumhare. Ek kartavya puja hai. Ham 14 ghante samay usko den. Ham nahi kahte ki aap 14 ghante samay mat do. 14 ghanta samay diya. Iske baad karya pranali ke staaph. Ab ham dusra apne jeevan ko parloulik unnati ke liye ab ham thoda satsang sunte hain. Thoda shastr swadhyay karte hain. Ek ghanta le lo uska marjan karne ka. Hamare dwara usmen se kya galti hui? Kya unnati ke liye hamen karna chahiye us par vichar kar lo. To teen ghante phir bhi bachte hain.
to teen ghante bhajan karo. Shastr swadhyay thakur seva naam jap teen ghante bhagvatik karo. 14 ghante sansarik karo. Ek ghante donon karyo ke chintan ka karo. 6 ghante so jao. Pura vibhag ho gaya 24 ghante ka. Imandari se yadi karo to bhajan ke liye sabko time hai. Aur beimani karo to kisi ko time nahi hai. Bole ham to grihasth hain. Bas ek shabd mein mara ki pura ka pura jeevan barbad kar diya. Are grihasth ho to kya har samay tum kam mein lage rahte ho. 12 ghante 14 ghante kam karne ke baad chha ghante sone ke baad char ghante bache.
ham do ghante chhod dete hain. Ek ghanta bhojan ek ghanta manoranjan to do ghante bhajan karo. 120 minute agar bhajan karoge to tumhen anand ki prapti hone lagegi. Yah beimani na ki jae. Manoranjan mein sansaar ke is karyo mein hi keval jeevan nasht kar dene se jeevan ka labh nahi. Jeevan ka labh us din ki yad karo jis din tum maroge. Ham to adhyatma hamara us din ke liye tumhen balvan banata hai jis din tumhari mrityu aayegi. Na tumhari patni saath hogi, na tumhara mitra saath hoga, na tumhari office saath hogi, na bank balance hoga, na ghar hoga, na koi samgri hogi.
kya pura jeevan barbad kar diya? Ab jane ke samay tumhare paas kya hai? Is lok se kya le jaoge? Is lok se le jane ke liye bhagwan naam Radha Radha Radha jo naam jap kiya, jo paropkar kiya, jo dharm kiya, jo teerthatan kiya ye tumhare saath jaega. To manushya jeevan mein ek paksh udhar bhi rakho to ek paksh age ke sambhalne ke liye bhi rakho parlok sambhalne ka bhi rakho to isliye do ghante to bhajan karo hi aur ek se dedh ghanta to ho jaata hai roz ka ji haan bilkul theek hai aur beech-beech mein naam jap karte raho aur shesh jo bhi samay aapka wo bhagwan ko arpit karte raho ye karm samarpan aur bhagwat smaran ke prabhav se nischit bhagwan ki kripa prapt hoti hai.
shital sinh ji Lucknow se Radhe ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji mujhe prabhu par itni astha nahi thi pehle mere saath kuch hua aisa hua ki phir abhi aapki anubhuti hone ke baad mera naam smaran aur ishwar ki or astha prabal ho gayi hai ab har samay naam jap aur prabhu smaran hota hai maharaj ji prayas karti hoon parantu prabhu ji mera moh ab mere ghar walon se rishtedaron se khatm sa hota ja raha hai kya main apne ghar walon ke prati anyay kar rahi hoon nahi moh khatm ho jae lekin bhagwat bhav karna chahiye.
sab mein bhagwan virajman hai aur jiska jiske prati jo kartavya hai uska palan karen. Pati ko pati ki tarah pyar karen. Putr ko putr ki tarah pyar karen. Rishte natedaro ko dharm mariyada se pyar karen. Sab mein bhagwan hai lekin moh kisi se nahi. Yahi to uttam baat hai. Yahi to bhajan ka phal hai ki ham sabse pyar karen. Sabko sammaan den. Sab dharm purvak sabke saath vihaar karen. Lekin moh hamara kisi se nahi. Ji ab aisa hota hai ki kuch bhi karne se pehle man se do avajen niklti hain. Lagta hai yah maine galat kiya ya yah sahi kiya.
kuch ismen matlab hamesha uljan se nahi uljan mat rakho. Naam jap karte raho. Shastr virudh aacharan mat karo. Gandi baton ko sab koi janta hai. Unko mat karo aur galat ye nahi hota. Ham parivaar se jaise bachchha hai to hamara moh nahi lekin mera bhagwan hai. Ismen mere bhagwan hai isliye ham bahut dular karte hain. Hamara kartavya hai. Usko pdhana likhana khavana piyana aise pati mera bhagwan hai. Uske anusaar kartavya karte hain. Moh hamara nahi hai. Yahi bhajan ki to pranali hai. Bhajan aur pyar sikhata hai. Bhajan aisa thodi ki are waise nahi.
bhajan pyar sikhata hai. Sabse pyar karo. Sabse prem se dharm ke anusaar pyar karo aur naam jap karo moh kisi se karo mat yahi to bhagwan ke marg ki paddhti hai chahat Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwan ki kripa sab par saman rup se kyon nahi hoti? Kuch logon ko sukh aur safalta milti hai. Jabki anyon ko dukh aur sangharsh ka samna karna parta hai. Iske piche kya reejan hai? Nahi bachchha bhagwan ki sab par saman kripa hai sab mam priy sab mam upaj aankh kan nak sab sharir ki suvida sabko vayu sabko surya sabko chandrama bhagwan ki taraf se sabko saman kripa hai jaise kheti pita apne putr ko panch ko de ab ek ne bambul boya ek ne aam boya ek ne gehun boya ek ne chana boya ek ne ganna boya ab pane ko kya milega bambul wale ko kanta kya milega?
ganne wale ko ganna milega. Chane wale ko chana bhagwan ne hamko bharat bhumi mein janm diya. Hamare karm kaise ho rahe hain? To unka phal kaun bhogega? Gita mein bhagwan kahte avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhasham. ₹100 pita ne sabko diya. Ab ek ne sharab mein uda diya. Ek ne gandi baton mein, ek film dekhne mein, ek jue mein aur ek ne jakar bhagwan ka kam kiya. To alag-alag ₹1 sabko barabar diye lekin alag-alag hone ke karan char ko dukh milega ek ko sukh milega to bhagwan sukhdukh ke data nahi hai nij krit karm bhog sun bhrata kaun kan ke sukh dukh kar data apne karm ka bhog hi hamko bhogna bachchha ham logon se karm kharab ho gaye bhagwan ne aisa nahi kiya bhagwan ko koi priy ho bhagwan ka koi apriy ho aisa nahi sab mam priy sab mam upjae.
sab bhagwan ke bete hain. Sab bhagwan se prakt hain aur sabko bhagwan barabar pyar karte hain. Sab par mor barabar daya. Bhagwan ne kaha par hamare aacharan bigad gaye. Hamare karm bigad gaye. To jaise ham karm karte hain. Paap karm ka phal dukh aur punya karm ka phal sukh. To hamare dwara jab paap karm adhik hote hain to hamen dukh bhogna parta hai. Dekho nahi manmani manushya sharir mila hai. Murga kha rahe hain, bakra kha rahe hain, gay kha rahe hain, bhainsa kha rahe hain. Rakshash bane hue log hain. Dekho na aajkal kya ho raha hai?
girlfriend, boyfriend vybhchar ki pravrittiyon ab iska phal tum sukh chahoge. Karoge, vybhchar karoge, vyasan karoge, hinsa khaoge, mansmachri iska parinaam sukh chahoge. Narak bhoge, yahan bhi dukh bhogoge, wahan bhi dukh bhogoge. Sanyam se chalo, brahmcharya se raho, shastr swadhyay karo, satsang suno, naam jap karo, jeevan par daya karo, dusron ka mangal karo. Abhi anand aa jaega. To anand ka marg hai idhar aur chal rahe hain idhar to phir kaise anand prapt hoga? Par marg hamare sab prabhu ke banae hue hain.
hamare prabhu ne sab marg banaya hai. Narak ka marg bhi bhagwan ne banaya, Baikunth ka marg bhi bhagwan ne banaya, swarg ka marg bhi bhagwan ne banaya. Aapko bhi bhagwan ne banaya. Ab aap chalna kis marg mein chahte ho? Sab marg aapke samne aap bhut ban sakte ho. Aap devta ban sakte ho. Aap mahan ban sakte ho. Aap nich ban sakte ho. Jaise aacharan karoge waise ban jaoge. Ismen bhagwan ki baat nahi. Samjh pa rahe hain aap? Om prakash Sharma ji. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam.
maharaj ji abhi ek ekantik mein ye sunkar thoda sa sanshay hua ki kisi granth ka gayan keval pavitra avastha mein hi kiya jana chahiye. Maharaj ji parantu upasak subah sampurn dincharya sochna shareerik vyayam aadi 84 ji man hi man karta hai maharaj ji gayan aur man mansik chintan mein alag baat hoti hai na ham andar shauchalay mein baithe hamara chintan chal raha hai chaturasi ji ka to wo chintan chal raha hai na antar gayan to nahi ho raha na lekin chaturashi ji ka gayan laitrin mein baithkar karoge kya chatura ji ka gayan laitrin ke pavitra kapton mein karoge kya chintan ham bhagwan ka kar sakte hain chintan ham pad ka kar sakte lekin jab ham gayan karenge chaturashi ji lekar to mariyada se karenge asan par baithkar ke ya pavitra vastr hai to ham chalte phirte hue gungunate hue chal rahe hain apvitra wastron mein nahi apvitra dasha mein nahi gayan nahi kar sakte apvitra dasha mein sudha nidhi chaturasi ji Ramcharitmanas Shrimad bhagwat ye sab saman hamare dharm granth hai inko pavitra avastha mein ham gayan kar sakte hain apvitra avastha mein ham chintan kar sakte hain chintan man ke dwara kiya jaata gayan vani ke dwara uchh swar mein kiya jaata hai.
ab pata chala ki aap sau chhue ya pavitra kapton mein sundarkand ka path kar rahe ho. Wo sundarkand ka path hi karne ka usmen vishay tha. To kaha pavitra dasha mein sundarkand ka path nahi pavitra dasha mein hamare dharm granth hai. Ye pavitra dasha mein inka gayan karen. Apvitra dasha mein inka chintan kar sakte hain. Apvitra dasha mein naam jap kar sakte hain. Lekin dharm granthon ka gayan nahi. Dekhiye hamne to paduka ham seva karte hain na to paduka pahan ke hamne to vani ji ko leke hamne pad yad kiye the us time ya phir ham koi wo karte hain to paduka pahan ke ham to unko yad bathroom nahi bathroom ki paduka alag hoti hai seva sthan hai jahan pe vidyalay mein ham bachchon ko padhate hain wahan pe hamne pad yad kiye the to ham paduka pahan ke sari wo paduka bathroom mein gayi nahi nahi padu nahi to bas shauch aur bathroom ki alag paduka hoti hai aur aise paduka ka alag-alag samay mein satsang mein uska vivran kiya gaya hai ki jaise ham yatra kar rahe hain.
hamne shauchalay mein jo baat bathroom wo paduka nahi to ham mantr bhi jap sakte hain. Usmen usmen path bhi kar sakte hain. Apvitra dasha mein ham dharm granthon ka path nahi kar sakte. Maharaj ji ek sanshay nivitti aur kar dijiye. Maharaj ji jaise bahut sare sharanagat parikar hain wo office aadi jaate hain ya kisi raste mein vahan aadi train mein ja rahe hain to maharaj ji kya bahut sare aise puchte the ki jaise aajkal mobile aadi aip mein 84 ji hai to andar hi andar jaise uska path kar rahe hain to ye kar sakte hain ki jaise mobile se dekha aur andar chintan karte hue usko ham manan kar rahe hain ye to kar sakte hain lekin gayan ke nahi kar sakte ab wo vani leke nahi kar sakte mobile mein to kar sakte ho ki yantr hai aisa kar sakte hain
kyonki ab jaise train mein kai yatra hai ya 1 dedh ghante ke antargat mein hi yah sara path ho sara andar hi andar isko kar lete the maharaj ji office ki cheyar pe baithe hain ya kisi bas mein ja rahe hain to usse kya hota hai maharaj ji wo pura haan bilkul aise kar sakte hain maharaj ji ek aapne Padmasan aur siddhasan ke liye parso satsang mein bola tha ki yadi aapne kiya to koi bimari bhi ho sakti hai maharaj ji abhyaas karne ki koshish kar rahe hain aapki kripa se ismen kya hai ki jaise aap Padmasan aur siddhasan mein baithe ki koshish kar rahe ho aur brahmacharyaheen bar-bar brahmcharya nasht karte ho to ek to baith hi nahi paoge zyada der aur dusra sharir mein pareshaniyan aa jaengi.
brahmcharya ko rakhna zaruri hai. Grihasth hai to santan utpatti ke liye brahmcharya ka khandan karen. Vybhchar ki kahin agyaa nahi shastron mein santan utpatti ke liye nahi to brahmcharya se ye jeevan moksh ke liye mila hai. Yah jeevan kalyan ke liye mila hai. Patit karne ke liye nahi mila hai. Sourabh ji faridabad se. Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji koi bhi adhyatmik karya ke samay jaise naam jap shri 84 ji ka path ke samay man bahut zyada sansarik vishyon mein bhagta hai maharaj ji itna to wo dainik karyo ke samay bhi haan aisa hi anubhav hota hai kiska hai prashn haan wo bhagta nahi hai delete hota hai usmen jo bhara hua hai jaise mobile mein koi message delete hona ho to pehle samne aata hai na to aise jab wo sansarik karya karta hai tab wo kawar karta hai andar apne leta jab ham naam jap karte hain, dhyan mein baithe hain, bhagwat chintan karte hain ya bhagwat path karte hain to us jaise chip hai na aise ek man hai bhagvatik chip anant janmon mein jo jo hua hai wo sab bhara pura ka pura delete karna hai to jitna ham naam jap karte hain utni gandi gandi baten jo ham sochna bhi nahi chahte dekhna bhi nahi chahte karna bhi nahi chahte wo bhi sab baten usse niklti kabhi utaptang ki baten niklti kabhi bhut ki kabhi bhavishya ki chinta ki to hamko usko ko shant bhav se rahna hai.
nirapeksh drashta bhav hamko na to pareshaan hona hai aur na accha lagna chahiye. Bilkul drashta bhav se apne karya mein ham magan hai naam jap karne mein wo phenk raha hai gandi baten wo nirmal ho raha hai. Jitna nirmal hota jaega utna anand aata jaega. Aur jahan pura nirmal hua to nirmal jan man so mohi pava moh kapt chhal chhidr na bhawa. To hamko ye dekhna chahiye hamare man rupi chip se ye sab delete ho raha hai. Aa nahi raha. Aata tab hai jab ham bhagwan se vimurkh hokar ke kriyaen karte hain to seesi camera ki tarah man sab kawar karta rahta hai.
aur jab ham bhagwan ka bhajan karte hain tab wo sab delete hoti rahti hai. To kawar karna kam karo. Ham naam jap har samay karte hue kriyaen karen. Dekhna sunna sab mein bhagwan ki bhavna karen to hamare man mein achchhi chijon ja rahi hain aur jo buri chijon bhari hai wah delete hoti chali ja rahi hai tabhi to samay lagta hai na to aise tat bhagwat prapti ho jae ek naam bhagwat prapti kara de ek naam trailok tare jo na le so janm hare ek bar jin naam li hit so hoe ati din hit so ma prem se aur ati dainya hokar to prabhu ek bar mein darshan de de ek bar jin naam li hit so ho ati tako sang na chhahi dhruv apno kar leen to ek bar dat kar pehle bhajan karen man delete ho jae iski gandi baten ki dainya aur prem se pukarenge to bhagwan ek naam mein aa jaate hain ek naam mein daude chale ate hain ji maharaj ji jaise ham nitya chintan karte hain Vrindavan ka lekin jab ham jaise apne niji palon mein hote hain jaise grihaste hain ham patni ke saath mein to tab maharaj ji achanak se bahut zyada chintan banta hai yam ka haan haan bahut badhiya hai.
bahut badhiya hai. Maharaj ji andar se man aise lagta hai jaise aap batte hain ki andar se natak aise karo wo sab ke haan bilkul bilkul maharaj ji usmen kami aati hai. Haan kis mein vihaar karne mein nahi kami nahi ani chahiye. Safalta is andar se matlab yog chintan hota hai ki main jaun Vrindavan. Nahi ye achchhi baat hai. Lekin patni ke saath jab vihaar kar rahe hain, jab putr ke saath vihaar kar rahe hain, jab sansaar ke saath vihaar kar rahe hain to pura perfect natak hona chahiye. Natak mein kami nahi. Chintan banta hai maharaj.
chintan andar se bhagwan ka hona chahiye. Natak sansaar ka hona chahiye. Tabhi to perfect aap kalakar hoge. Is jagan natak manch par aapko jo role diya gaya hai, uska perfect role karna chahiye. Ab ye nahi ki patni se ham udas ho rahe hain. Ab hamara man Vrindavan mein ja raha hai. Isliye ham tumse baat nahi karenge. Tumse nahi ye to badi kripa hai ki jab ham sansaar ke rag ke bandhan mein bandhne ki sthiti mein tab hamara man Vrindavan bhag raha hai. Tab hamara man prabhu lekin koi jaan na pave ki hamare man ki dasha kya hai.
haan bahari vihaar hamara sansarik ho lekin antarik hamara chintan bhagwat ho. Yahi to grihasth dharm ki bhakti hai. Yahi grihasth dharm ki bhakti hai. August ji Radhe Radhe maharaj ji Radhe-dhe maharaj ji koi kam karte wakt kuch galat ho jae ya dhyan na lage kisi aur jagah jae to bahut krodh aata hai is samay main naam jap karta hoon naam jap karne se krodh kam hota hai par naam jap chhote hi krodh aur badh jaata hai is aapka aapka prashn hai yar bade guru aadmi ho tum itni chhoti avastha mein tum itni sukshm baat pakar rahe ho bahut badhiya baat hai.
bahut adhyatma ke achhche aadmi banoge tum. Tum naam jap karte hue jab tumhare andar galat vritti aati hai na to andar jo man mein galat vritti hoti hai wo delete hoti hai. Wo nasht hoti hai. To aise naam jap ka abhyaas karo ki khali samay hi na rahe. Krodh tabhi accha krodh kyon aata hai? Ye kamna se krodh aata hai. Jaise ham chahte hain ye ho jae aur wo nahi hota tabhi krodh aata hai. Krodh ki swayam ki satta nahi. Kam sanjayte krodha krodha smriti vibhrama smriti bhrasa buddhi nasho buddhi nashat prannasati kam jab hamari kamna ki purti mein badha padti hai to krodh aa jaata hai isliye ham har samay naam japne ka abhyaas karen jab krodh aa jae tab dant pees le aise mujhe bolna hi nahi hai bas kyonki agar krodh mein bolna shuru kiya to phir krodh ane par bhajan ksheen ho jaata hai anand ksheen ho jaata hai aur hamse aparadh ban jaata hai.
apne se bado ke prati bhi galat shabd nikal jaate hain. Apvitra bhasha bhi zyada krodh aa jae to galiyan bhi ane lagti hai. Jaban pe durukti galiyan ane lagti hain aur bade katu vachan nikalne lagte hain. Isliye krodh ko rokna hai to maun dharan kar le. Jahan krodh aae usi samay chup. Wahan se hat jae. Jahan jis avastha mein krodh aa raha ho us paristhiti ka tyag kar de. Ekant ho jae. Maun ho jae us samay bache. Ab yah nahi ki bh bheede agar bheede to phir krodh aa gaya phir gali galauj phir marpeet phir hinsa isse jitna bach ja sake ye raaksasi pravriti hai krodh jo hai ye asuri pravriti hai ye nash kar deti hai isliye sabko isse bachna chahiye jis samay krodh aa jae us samay maun ho jao jis samay krodh aa jae us samay hat jao jis samay krodh ave jor-jor se Radha Radha bolne lago krodh shant ho jaega sabhi manjeet sinh ji gudganv se ji shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam Gurudev kuch samay pehle tak sharab aur gande acharno se lipt tha.
phir 6 mahine pehle shri ji ki kripa se aapki sharanagati mili. Sharab chhut gayi. Bhojan bhi satvic ho gaya. Naam jap bhi khub badha. Parantu maine apne ghar mein uska bakhan karna shuru kar diya. Jisse naam jap abhi thoda kam hona shuru ho gaya. Maharaj ji shri ji se kshma mangi. Punah naam jap karna bhi shuru ho gaya. Parantu maharaj ji krodh par kabu nahi pa pata jisse baad mein ghanto pashchatap mein jalta rahta hoon. To naam jap bhi kam ho jaata hai. Aisi sthiti ko samannya lane ke liye bahut samay lag jaata hai. Haan, naam jap badhiye aur jab krodh ave to ham krodh ko pariksha samjhe ki bhagwan meri pariksha le rahe hain.
mujhe krodh nahi karna hai. Ye bhajan ke vighna hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar, ahankaar nahi karna, irshya nahi karna. Parivaar se moh nahi karna, krodh nahi karna. Kam bhavna se kisi parai stri ko nahi dekhna. To jab hamara man krodh mein ave to savdhaan Radha Radha Radha Radha Radha bolna nahi hamen us vishay mein nahi bolna aise hat jana hai jaise ham abhi baat hi nahi kar rahe the bilkul piche turant mudie hatie aur chal dijiye uttar chahe balak kyon na ho us samay hat jaiye phir baad mein samjhaie krodh ke liye us samay wo sthan wo paristhiti aapko chhodni padegi nahi to jahan prati uttar hua to galiyan ayengi phir wo krodh apna swaroop prakt kar dega.
buddhimani yahi hai ki turant maun hoiye aur wahan se hat jaiye. Maharaj ji apne bachchon ko bhi dant dete hain. Main itna jalta hoon main. Ham ye kah rahe hain ki bachchon ko dantne ka natak kiya jaata hai krodh ka. To agar aise galat baat kiye to aur samjh rahe ho. Agar padhai theek se nahi ki na to aap ham andar koi krodh nahi. Krodh ka natak karna aur krodh hona yah thoda antar hai. Bachchhe mein krodh ko karna hota hai. Parivaar mein krodh karna hota hai. Zaruri hai. Jaise chhote-chhote bachchhe hain agar wo bhayabhit hamse nahi hue thoda thoda bhay hona zaruri yar agar hamne jo papa ne kaha hai wo path nahi tayyar kiya to marenege yar ham koi galti karenge hamare papa jane ke unko bhay hona zaruri.
bhay se wo satmarg mein chalenge. Lekin itna bhay bhi nahi ki wo aapse duri bana le. Kabhi mitrvat vihaar karke aise baithe hain, khelte hain ki wo apni chhoti se chhoti kamia bhi aapko bata den aur kabhi pita ki tarah ham hokar unko dhalte hain jisse wo bhayabhit ho ke asat marg ka tyag kar de. Lekin hamen krodh ka natak karna hai. Krodh nahi karna. Jaise shisyo se karna parta hai. To yah agar hamko us samay socho to 100 mein 100% ham krodhit rahe hain. Ham apni nokri nibha rahe hain. Hamen guru bhav se unhone sweekar kiya.
agar unki galtiya ban rahi to hamara kartavya hai unko dant karke achhche acharno mein yukt karna. Aise aap pita hai. Agar apne putr ko achhche acharno se yukt karna hai to kabhi-kabhi krodh ka natak karna parta hai. To agar pita ka shasan pavitra hai to ab aajkal shasan hi nahi rah gaya hai. Bachchhe padh likh ke mata-pita ka apman kar rahe hain. Mata-pita ki avhelna kar rahe kyonki bacchapan se dali nahi gayi baat. Khalne ke liye mobile de diya gaya. Aur dhire dhire dhire dhire mobile se itne gande acharno mein prapta ho jaate hain.
itni malin buddhi ho jati hai ki apne pujya mata-pita ka apman karne lagte hain avhelna karne lagte hain aur itna dur nikal jaate hain satmarg se ki lautna mushkil ho jaata hai. Gande gande vybhchar mein vyasan mein fail jaate hain. To yah krodh karna aniwarya hai. Par krodh andar se nahi bahar se natak karna hai. Krodh ka natak karna hai. Andar se karoge to aap pareshaan ho jaoge. Bas wah marna nahi hai. Marne ki ekting puri karni hai. Bap re aaj to bach gaye. Aisa karna hai. Krodh ka andar hriday mein pravesh na hone paye.
agar bahar se ham natak karen to accha rahega. Parivaar mein agar ab mata-pita sharab pi rahe hain. Mata-pita gandi baten kar rahe hain. Mata-pita gande drishya dekh rahe to bachchon par aacharan nahi padega. Tum khud adhyatmvan bano aur bachchon ko adhyatmvan banao. Bina adhyatma se jude kisi ka jeevan mangalmay nahi ho sakta. Aaj hamara samaj jitna adhyatma se bilag hai utne dekh lo crurta mein pahunchta ja raha hai. Kaise-kaise ghama ate hain? Matlab kya hai? Kya hai? Ye naujawan kahan ja rahe hain? Kahan ja rahe hain?
kya wo manushya sharir nahi hai? Kya wo apni bahan nahi hai? Aap kaisa vihaar kar rahe hain? Adhyatma to charachar jagat ko mangalmay bana de lekin jude na jab ab wo raaksasi pravriti se jude adhnikta se jude mangalmay bhav hai nahi to dekho kaisi-kasi gandi baten hoti hai ab aajeevan saja hogi ek galti ka parinaam aajeevan saja jeevan barbad ho gaya padhai likhai swasthata sab jab jao jail ya to phansi ki saja ya to jail aise aise aacharan hone lage hain to hamen lagta hai bahut sambhalna chahiye aur adhyatma mein judkar bhagwan ka naam jab apne bachchon bachchon se bhi karana chahiye.
thodi der baithkar katha sunani chahiye. Sat shastron ke shravan se bada mangal hota hai. Maharaj ji bachchhe tilak laga ke jaate hain to school kah rahe hain school mein kahte hain ki ye kaun sa kala jat haan to dusra kar le ki sukhi raj le lena. Sukhi raj ka aise laga le to chinh nahi banega aur tilak bhi lag jaega. Ab school mein to jo padhai ho rahi hai aap dekh hi rahe ho adhnikta ki padhai ho rahi hai aur aise aise aacharan naujvano ke ho rahe hain jo jo nahi hone chahiye kya yah vidya hai vidya to wahi hai jo vinay aur sadgun ki utpatti kar de vinay aur sadgun ki utpatti kar de aaj tilak lagane ko log roka jaata hai aaj bhagwat karya ko agar mala dal ke jae wo to usko roka jaega uska uphash hoga agar bhagwan naam kirtan bhagwan naam jap karke path ham logon ke school mein prarambh se he prabhu anand data gyan hamko dijiye.
yah sab prarthanaen hoti thi bada aur Kabir das ji ke dohe rahim das ji ke dohe mangalmay veer purushan ke charit to usse sanskar padhte hain. Ab ham pata nahi hai ki nahi is samay chijon hamare desh ke veer veerangnaon aur sadhvi sadhuan ke charit bhi rakhiye jisse padhkar ke unke andar sanskar pare. Ke andar bhav pare to theek hai. Krodh karna nahi par krodh ka natak jarur karna chahiye. Ishwar ka sumiran nahi to jeevan ka kya mahatva hai? Kyon? Agar ishwar ka paramatma ka bhagwan ka sumiran nahi hai to jeevan ka matlab kya rah gaya?
phir jeevan to bekar jeevan hai. Khana pina sona jagna ladka bachchha paida karna yah to pashu pakshi bhi karte hain. Agar manushya jeevan mein paramatma ka sumiran nahi to jeevan ka mahatva kya rah gaya? To jarur karna chahiye. Sabko paramatma ka haan nirantar nahi ho pa raha to thodi der to kar lo. Roz niyam bana karke karoge to dhire-dhire usko badhate chale jao. Nirantar paramatma ka sumiran hone lage. Yahi manushya jeevan ki sarthakta hai. Chahe jis sampraday mein ho yadi paramatma ka sumiran nahi hai to kalyan hone wala nahi.
sumiran se kalyan hota hai. Jitna aapka andar hi andar chintan chalega utna hi aapka mangal hoga. Paramatma ka sumiran hi jeevan ka param labh hai. Is raj ko brahmeshwar aadi sudu padarwind Shri mat parag parmadbhut vaibhwaya sarwartha sar raswar kripar drisht tasya namostu vrishabh bhanubh mah brahma aur bhagwan shiv jis raj ko apne mathe par dharan karna chahte hain wo ye Vrindavan ki raj hai bade saubhagyshali hain jinko is raj ka sevan karne ka saubhagya milta hai aur ye sarwartha sar ras kripar drisht rajopsevi aur naam japak usko nischit prem prapt hota hai.
jo Vrindavan ki rach ka sevan karta hai aur nirantar naam jap karta hai. Antar rahit tail dharavat jaise ekant sthan par rakha hua deepak ki lauk ek aise hi paramatma chintan ki drishti ek ekdam bhagwadakaar jeevan ka kam ban gaya. Sab sadhna ka phal hai. Hamara nirantar bhagwadakaar vritti rahe. Uthte baithe chalte phirte keval paramatma chintan har chintan ki kaat karke jo bhut bhavishya ka chintan man karta hai na idhrudhur gandi baten usko delete karte hue sakshi bhav se nirantar naam jap karte hue ek aisi sthiti bana li jae jisse prabhu ka vismaran hi na ho bas jeevan mukt ho gaya bhagwan ka satat madhur madhur smaran chal raha hai isse bada koi yog nahi tesham satat yukt naam bhajta priti purvkm dadam buddhi yogam taman mam upamte jo satat prem purvak bhagwan ka nirantar smaran karta hai bhagwan usko buddhi yogdan buddhi paramatma buddhi krishnakar bas ho gayi baat yahi baat hai khub bhajan karo ek kshan bhi bhajan se avyartha kalatwam ek bhi kshan vyarth na jane pave ta chatur sujan sadhak hai ek kshan bhi bhagwan ke sumiran se khali na jae chahe leela katha ho dham naam mahima sun rahe hain.
naam mahima sun rahe hain. Bhagwan ke gun leela chintan mein lage. Anytha jo minute khali gaya to kah Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran se maharaj ji pahadi Baba ka ek ham bahut sahas karke bahut himmat karke bol rahe hain. Maharaj ji pujya pahadi Baba ka charit sunate. Bole gaur das ji rahte the. Ji to Baba se pujya devraha Baba sarkar poohe ki he gaur aap kahan se aae? Bole khak chauk mein ham rahte kinke yahan pahadi Baba ke yahan rahte bole wo to siddh mahapurush kaise rahte aap unke paas bole Baba main haan mein haan kahta aur na mein na kahta haan mein haan kah ke phas gaye ab to pite jaenge ham lekin aapki kripa hai par pujya patiya wale Baba sarkar kirtan kara karte the ki ham balak tum may hamari shri Gurudev karo rakhwari aap hi rakhwari karo maharaj ji ham ham to aise man mein smaran aa gaya abhi ham to ashik hain diwan hain parmane hain aapke aap yun hi kripa banae rakhna pujya Gurudev bhagwan bahar bahar pratiksha kar raha tha to bhitar ane ki prerna shri ji de rahi thi to man mein vichar aaya main bhitar gaya main bhitar gaya to main bhitar gaya yah main bhitar gaya.
main bhitar gaya. Jai jai maharaj. Kya shabdon ka rasatmak swaroop joda. Kya baat hai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…