॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab ek mahamandleshwar ji ne kiye gyan marg sambandhi bahut se prashn

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

mahamandleshwar doctor Swami parmanand ji maharaj shrotak se Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji marne ke samay keval sthul deh ka nash hota hai. Sukshm va karan sharir kya atma ke saath hi ek sharir se dusre sharir mein jaate hain inme se karmon ka karta bhogta hai ya drashta kaun? Main ka swaroop kya hai maharaj? Aham jo antahkaran mein aham dharm hai. Jo main hai wo shuddh brahm hai. Jo main ke saath jodkar ke chintan jeevan mein karta raha. Jaise man, buddhi, chitt, ahankaar. Yah ahankaar darpan ki tarah hai.

jo main ka prakash sweekar karta hai. Jaise main purush hoon, main stri hoon, main vidvan hoon, main dhanvan hoon, main kulvan hoon. Yah mankar ke jitne karm sharir ke dwara hue hain usi dehabhmani ko bhogna parta hai. Atma nirlep hai. Nirvikaar hai. Sukhdukh ka anubhav man ko hota hai. Nischay buddhi karti hai. Chintan chitt karta hai. Swikrati aham koti hai. Wo aham karta bhogta hai. Na ki shuddh brahm. Shuddh brahm to keval us aham mein tadatma hone ke karan fas gaya. Agar wah vastvik phas gaya hota to goswami ji kahte jad chetan granthi par gayi jya pamsa chutati kath ab bhi wah jeevan mukt hai lekin yah gyan nahi hai yahi gyan prapt karne ke liye pehle shuddh sat asat ka vivek chahiye phir tino loko ke bhogon se vairagya chahiye phir sam chahiye dum chahiye indriyon ka nigrh manonigrah phir tatiksha chahiye bahut sahan sahnseel jo man vachan karm se har paristhiti ko sahta hai wo tit hota hai.

garmi sardi barsat man apman ninda stuti phir sa shraddha chahiye shastr aur guru ke vachno par bilkul dridh vishwas phir samadhan theek tir nishane pe laga hua chitt ka ishtkar vritti bhagwadakaar vritti pranwakar vritti aur phir mumukshta main mukt ho jaun tab usko ye gyan hoga ki main mukt hoon jeev kabhi bandha hi nahi jise jeev kaha gaya wo bandha hi nahi wo jeev kaha hi gaya dehabhmani ke karan ye bhram tha ye bhram tha maharaj ji ye bhram tha jasu kripa sab bhram mit jai girja soi kripalu raghurain jeevan mukt aur moksh ye bhi bhram hai to maharaj ji ye bhram atma ko hua ye bhram waise atma mein kabhi bhram hota hi nahi ji maharaj ji atma ne sweekar jo kar liya swikrati jo kar li isi ko bhram man lijiye swikrati kar de abhi main sthul nahi hoon.

main sukshm nahi hoon. Main karan nahi hoon. To kabhi bandha hi nahi na. Wo kabhi bandha hi nahi. Bandha hota to usko bhram hota. Jab bandha hi nahi to bhram kaisa hai? To abhi jeevan mukt ho keval swikrati hamari badal gayi. Jo hamari swikrati antahkaran mein tadatma bhav hua na yahi bandhan ka karan hua. Antahkaran ka tadatma bhav hat jae to aap jeevan mukt ho. Jaise ham apne shisha ke pratibimb mein aasakt ho jae. Yadyapi pratibimb kabhi hamen aasakt nahi kar sakta. Par aasakt ho gaye. Yahi bhram hai. Yadyapi mrisha chutati kach nahi.

yah bhram hat jae to abhi jeevan mukt koi sadhna karne ki zaroorat nahi. Kyonki wo jeevan mukt hai hi kabhi ban hi nahi sakta. Jo chaitanya ghan atma nirvikaar hai wo kabhi vikar ko prapt ho hi nahi sakti. Wo ashtadha prakriti mein phas gaya. To yahi maharaj ji aisa lagta hai kya matlab atma ke andar asar bhi nahi aata uske upar are ham hai bhi bandhe hue jaise chumbak aam rakh den chhupa ke aur idhar lohe ke yantr pare ho aur unmein halchal ho to kya chumbak halchal kar raha hai kya usmen kamna hai kya ki halchal ho jae uske prabhav se halchal ho raha hai ab wo chumbak kyonki parde mein hai wo drishtigochar hone wala hai nahi to halchal is pure parthiv sharir mein ho rahi usi atma tatv ki ho rahi ye gyan gyan ho jae ki ham to kabhi bandhe hi nahi the to abhi jeevan mukt hai.

par yah gyan nahi hai. Ham bandhe hain. Aisa mehsus hota hai main purush hoon. Aisa mehsus hota hai mera hath hai. Aisa mehsus hota hai main ji raha hoon. Main mar raha hoon. Bas yahi bhram hai. To maharaj ji bhajan ke saath mein ye gyan ko bhi lena padega saath mein. Gyan apne aap uday ho jaega. Bhajan ke saath gyan lene ki zaroorat nahi padegi. Aap bhajan kijiye kyonki bhajan se sansaar ka chintan chhutta hai. Jaise atma swaroop ki sthiti ka to udaharan nahi diya ja sakta kyonki wo bahut tamoguni hai. Lekin gadh nidra gadh nidra mein jaise soya hua agyani purush hota hai.

aise jagrit samadhi mein sthit purush mahapurush hota hai. Jagrit avastha mein uski wah sthiti hoti hai jo gadh nidra mein hoti hai ki koi sankalp vikalp nahi koi sp nahi par wah tamogun se buddhi ka leen hona hai aur ismen buddhi ka brahm mein leen hona hai aisi gadh avastha jahan brahm bhuta prasann atma na sochti na kakshati samavesh bhute sumat bhakti late param na koi soch hai na koi chah hai akhand prasann atma hamara swaroop hai yah kab aaya hamen laut jab hamara chintan louta abhi hamara chintan bikhar gaya hai.

chintan bhajan se hi lautega. Bhajan se lautega. Jitna aap bhajan karte jaenge phir sthul se pehle hamara rag chhute to antahkaran se apne aap rag chhut jaega. Kyonki antahkaran mana indran prakriti sthan aur jahan antahkaran se rag chhuta to apna swaroop hai. Lekin purane sanskar jo wo bhi to prabhav dal bhajan isiliye to kar rahe hain. Wo bhasm karega. Pranav usko bhasm karega. Jo Pranav hai jo hamara bhagwat chintan hai wo usko bhasm karega nahi chintan ki zaroorat kya hai achint swaroop aap ho ke chintan ki zaroorat kya hai to isiliye ki aapka chintan bigad gaya to chintan pehle sat lao asat chintan se sat chintan lao phir sat chintan ka bhi tyag karke swaroop mein sthit ho gaye jaise ghadi ka sel nikal do divar ghadi ka to minute ki jagah minute aur second ki jagah second ghanta ki jagah ghanta aise man buddhi chitt ahankaar brahm rup sarvam khalmidam brahm nastinchan pehle mithya sabit karke aur phir inme brahm bhav aa jaata hai.

pehle mithya sabit hota hai. Brahm satyam jagat mithya iske bhed kiye gaye to yah bhi jagat hi hai. Sthul se lekar karan tak jagat hi hai. Sthul mrityu lok sukshm swarg lok karan brahmlok sthul sukshm karan abrahma stambh paryantam sarvam mayamyam jagat tinke se lekar brahmlok tak sab mayamay hai. Aise ye sharir se lekar ke karan tak sab mayamay jab ham mayatit hain ye anubhav ho gaya to mukt tha mukt hai mukt rahega wo kabhi badhai nahi drashta kaun hota hai maharaj ji drashta kaun banega atma atma sabki drashta hai jaise so gaye aap to kaun bataya aapko ki aap bahut badhiya so gaye kyonki buddhi to leen ho gayi wo tino avasthao ka jo jagrit hai wahi drisht atma hai wahi aapko gyan pradan karta hai aaj bhi aapne accha khaya, aapne accha piya, aapne accha dekha, aapne accha suna, aapne accha soya, aap galat ja rahe hain.

aap sahi ja rahe hain. Wo atma tatv se prakash se gyan spurit hota rahta hai. Par jeev ka bahirmukh sthan hone ke karan wo antarmukh ki dasha ko dekh nahi pata. Jahan se sabkar param prakashak joi jo sabko param prakash pradan karta hai wo atma tatv hota hai. Wahi atma tatv aap hain. Tat twam ash wahi tum hai. Samjh pa rahe hain aap? Karta bhi ham hai. Bhogta bhi ham nahi karta bhokta antakran hai. Aap drashta hai yahi to phas gaye. Yahi to phas gaye. Karta bhokta anttakran hai. Aap drashta hai. Aap drashta na rah ke karta bhogta ban gaye.

yahi to durdasha hai aapke. Yahi durdasha hai jo hamari aapki durdasha hoti hai wo yahi se hoti hai karta bhogta ban gaye ahankaar vimudh atma karta mante main yah karta hoon main yah bhogta hoon bas yahi to vimudhta hai nahi to gunanugun warte manushya Parth sarvsa trigun maya se prerit trigun maya ke yantr chal rahe hain ham drashta matra sakshi matra baad mein drashta bhi khatm ho jaega ji jab drishya nahi rah gaya to drashta kahan se rah jaega sarvam khalwidam brahm to phir drashta kiska phir drashta kiska drishya hai triputi ka lay ho jana to siddhvastha hoti hai drishya drashta daraasal triputi ka lay ho gaya tabhi wo siddh mana jaata hai to triputi mein jo hamara bhed karke pehle hamare jo gyan ki prapti ke upay hain unmein do paddhtiyan lagu hoti hai anvay aur vyatirek vyatirek mane nahi hai anvay mane hai aur jab hai mein pahunch jaate hain to sab jagah hai wahi hai.

bhram tha hamen ki yah nahi hai wo kya wahi hai. Jahan ham kahte hain nahi hai wahan bhi hai. Nahi hai wahan bhi hai. Aur jab hai mein pahunch jaate hain to nahi gayab ho jaata hai. Keval hai rah jaata hai. Keval hai Siya Ram mein sab jag nahi Siya Ram hi Ram. Sab jag keval sambodhan hai batane ka. Sarvam khalmidam brahm sarvam nahi keval brahm keval brahm sarvam to maya mein hai to Shivam ka maharaj shabd shiv shiv shabd jo aaya jaise ham gyan mein char vedon mein aham brahmasam tatvam aise bolte hain aise ek sampraday hai jismen shivham shabd atma swaroop ke liye hai ki main wahi shiv hoon main wahi atma swaroop hoon to wo siddh shabd hai koi usmen banavti nahi hai.

wahan tak pahunchna hai. Hamara lakshya hai Shivam tak pahunchne ka. Nahi wahi hai. Shivoham aham na deham aham na jeevam aham shivoham main shiv hoon. Shiv mane kalyan moksh swaroop main mukt hoon. Main moksh swaroop hoon. Yah bhajan ka prakaran nahi hai. Yah samjhne ka prakaran hai. Shiv om jo kaha jaata hai shas swas par shiv Om shiv Om japo yah jap wala vishay nahi hai yah chintan wala vishay indriyan apne vishyon mein vilas rahe antahkaran maya ke dwara akarshit hokar kriyanwit ho raha hai aur iska sakshi main hoon main shiv hoon main na deh hoon na karta hoon na bhogta hoon na mera janm hai na mera maran hai na mujhe dukh hai na main sukh hoon isse sabse sat asat sabse pare main shiv hoon moksh swaroop hoon.

shiv mane moksh swaroop hoon. Agar sakar rup mile to shiv aise bhagwan shankar ko kahte hain. Agar usko Shastri shabdon mein le to shiv ka swaroop hai moksh swaroop hoon. Main atma hoon. Main brahm hoon. Main tatv swaroop hoon. Bas yahi baat smriti mein lani hai. Kuch na karen. Inko sweekar na karen to mukta bhi hai. Par itni jor ki swikrati baith gayi hai sharir ki. Baat karenge Shivam ki. Lekin ek tambaku nahi chhut sakti. Ek bidi nahi chhut ek chhota sa vishay wo adhin kiye hue hain. Vichar karne ki baat hai.

hamko ek chhota sa nimn vishay ek sant the. Unhone niyam liya tha hamare khappar mein jo dal diya jaega wahi ham paye. Kutastha mahatma unhone unka naam hi kutastha mahatma rakh diya gaya tha. To kuch duston ne saanp mar karke aur khapar mein dal diya bandh karke. Unhone aise drishti se dekha muskurae brahmapnam brahmaveer brahma brahmanam brahmate gantavyam brahm iska praarabdh hai wo aise mahapurush Himalay mein the to sinh unke samne aaya to aise chhadi karke khade ho gaye aur kaha agar tera ahar ye nischit ho chuka hai to kha lijiye nahi to ja gurra mat bilkul sharir se nirapeksh ek vyasan ham nahi chhod sakte.

ek bhog hamen parast kar sakta hai. Ham shivham mein kahan hai? Jap rahe hain shivham. Japne ka vishay nahi chintan ka vishay hai. Main shiv hoon. Main moksh swaroop hoon. Ab iska praarabdh aaya accha vihaar mil gaya. Praarabdh aaya. Bura vihaar ho gaya. Wo sharir se nirapeksh hai. Accha padaarth khane ko mil gaya. Kabhi mahlo mein leta hai, kabhi footpath mein leta hai, kabhi koi mala pahna raha hai, kabhi koi thappad mar raha hai. Donon mein sawal ye hai Shivam. Ye Shivam hai. Maharaj ji kya Radha rani ji ke saath maa ka sambandh bhi sthaapit kiya ja sakta hai?

waise nitya kishori hai. Hamari jo shri ji hain yah nitya kishori hai. Jaise Rukmani maa bol sakte hain. Kyonki wo maa hui hai. 10 putr hue Rukmani ji ke. Sita mata bol sakte hain kyonki lokush hui hai. Lekin hamari kishori jo nitya kishori hai. Kahin kisi shastr mein aapne varnan nahi paya hoga ki kishori ji ki koi santan hai. Matri shakti to hai hi. Ab asli baat kya hai ki laukik drishti se aur shastriya drishti se dekhoge to tumhen matra shakti dikhayee degi aur shakti ke adhin shakti shaktiman ke adhin hoti hai ye aapko pata hai lekin yahan ja ke adhin sada hi sanvro ya braj ko sirtaj hamare mai shyama juko raj mahawar lagate hain thakur ji ab kyonki ab hamara vishay hai upasna ka to isliye ham ise gupt rakhte hain par jaise aap chherd rahe ho na lalan tere ain aaj tak koi thakur ji ko adhin nahi kar saka chahe Rukmani ji ho chahe

Satyabhama ji ho thakur ji aur yahan maharaj chapat charan mohan lal kunwar Radhe palak paudi suki ye vishay aisa hai ki to akhil koti brahmand nayak pat par is bhagwan shri Krishna jinke charnon mein mahawar rachte hain shyama ke charan ki balhari je hai basat kishor lal ke pranan madhya sarari shyamaju ke charan ki balhari bihrat kusum parag lagat jab pit vasan le jharat lute mayur Chandrika tant adbhut chavi niharat javak chitra banai savarat karn safal tam manat hit dhruv te sabheen te durlabh rasik maram pahan shri shyamaju ke charan ki balhari shyamaju kya hai ye ham apne granthon se bata rahe hain sandranand ghan prem murti kishori Lalaju ke hriday ka prem jab rup dharan kiya to Radha naam hua jo lakshmi ji ka avatar hai wo Rukmani ji hai shastr mein aap padh karke dekho hamari jo kishori jo hai ye alahad avatar hai lalju ka jo anand hai alahad hai prem hai priti murtimti ras sindhu sar sampad vimla vaid naam hridayam kachan vrinda vrindavnadhikarni jahan thoda bhi prem aaya hai kisi bhakt ke hriday mein

bhagwan wahan das bane dikhayee diye. Aap vichar karke bhakton ke charitra mein dekho ki bhagwan kahte main hoon bhaktan ko das bhagat mere mukut mani pag chapu aur sej bichhaun naukar banu hajam haku bail bano gavaro bina rath tankhan yahi to mere man mein tha bhagat mere mukut mani arjun ji ki jahan jyoti hai wahan wo baithe hue hain dharm sada paribhgashta doham tirth padam shiv viranch natam sharanyamattha pranat pal bhava vande mahapurush charnarwindam wo wahan baithe hain jahan arjun ki jyoti hai kiske adhin hoke prem aur prem ka samudra ka sar rup se ladli jo agar wahan mahawar laga rahe hain to koi ascharya ki baat nahi to jaise koi Radha mata kahta hai to nishedh nahi hai kyonki jitni adya shaktiya hain jitni bhi adya shaktiya hain wo sab kishori ji ke hi se ansh se hai.

maharani ji ke ansh se hai. Par maharani jo prem Rupa hai aur prem ke adhin thakur ji hain. Isiliye ja ke adhin sada hi sanvro ya braj ko sirtaj hamare mai shyama ji ko raj to prayah general log jaise yahan thakur ji ko kabhi bhagwan nahi kaha gaya braj mein Radhavallabh lal Radha raman lal banke bihari lal agar koi akar bolta hai banke bihari bhagwan ki jai to pakka wo bahari braj ka nahi hai wo ras ke kshetra mein nahi ghusa isiliye nahi janta hai yahan to Radha raman lal banke ke ladli lal Priya lal aise dular karke yahan ka jo nau kishori nau kishori rup hai wo upasna mein alag hai aur jab Shastri paddhti se kahenge to wahi kali hai wahi Krishna hai wahi shiv hai wahi Radha hai ek bhi tatv mein antar nahi tatv wahi hai lekin jab prem vilasita mein aa jaate hain to phir antar ho jaata hai jaise tatv mein bhram nahi hoga prem vilas jab chalega tab bhram paida ho jaega.

jaise tatv gyan mein ek hi param brahm paramatma hai. Yah hamari buddhi jab gyanmay hoti hai tab jaan pati hai na. Aur jinse buddhi ko gyan prapt hota hai wo sati maiya hai ya devi sarwabhute buddhi rupan sinta aur wo jab bhagwan shiv ne Ram ji ko kaha jai sacchidanand paramdhaam aapki jai ho aur pranam kiya to unka sacchidanand kaise ho sakte hain jo sacchidanand hai wo sarvagya hota hai wo trikalgya hota hai aur ye khoj rahe hain he khag he mrig he Madhukra shrani tum dekhi Sita mrig sati ji ko bhram ho gaya tatv gyan mein nahi bhram hoga leela charit vibhram ho gaya.

ab tatv mein jaise hamse koi poohe ki Radha aur durga mein kitna antar hai? Ek pai bhar antar nahi. Ab prem mein poohe to bahut antar hai. Wo agyaa shakti Rudra rupni veer aur yahan maha prem yahan keval prem shri ji koi astr dharan kiye hamari Radha rani neelakmal ke sir aur durga ji ashtabhuja 16 bhuja 32 bhuja mahashakta raund ke phenk diya mahshasur ko samjh rahe shakti wahi hai. Tatv mein antar nahi hai. Lekin jab prem bhav mein ate hain to jahan phool bichhae jaate hain to lal ji ko aur sachariyo ko bhay hota hai ki pyari ji ke charnon mein kahin parag chubh na jae.

aap vichar karo aur jahan wo gale par lat rakh ke mar khatak ke lambi jibh karke ab kaise mila? Jahan kusum ka parag bhi chubh na jae. Ye dar hai to kaise aap mila hai to ye hamari personal hriday ki baat hai ki hamari shri ji jo hai wo nau kishori hai par agar koi mata kahta hai to nishedh nahi hai nishedh nahi hai kyonki sab matra shaktiya unhin se prakt hui hai devi shaktiya to hai shri ji prem swaroopa jinke lal jo charan chapte hain jinke lal jo age hath jodkar khade hote hain prem accha ab aap kah do ki ye to bahut badi baat ho gayi Lalu lal jyoti yudhishthir ke charan chhute hain.

hath jode khade unke sandhi dut ban ke jaate hain. Premadheen bhagwan hai na murtiman prem shri ladli dekho maharaj ji ne jo pahla prashn kiya hai ye moksh padvi ka shuddh gyan ka prashn hai. Agar jo adhikari gyan marg ke hain unke liye bahut badi samgri khulwa di santo ka kam inko janna thodi hai. Baba ji bane pura jeevan bhagwan mein arpit kiye. Inko janna thodi hai. Ye to wo charcha karte hain jisse samaj jane ki brahm kya hai? Moksh kya hai? Kalyan kiska hota hai? Bandhan kiska hota hai?

to ye koi na soche ki mera prashn nahi hua. Santo ke prashn mein sabka prashn sama jaata hai. Kam kiya

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi