Babaji banne ka sahas nahi hai aur sansaar sab jhutha lagta hai beech mein phas gaya hoon
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Mayank ji Kanpur se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam. Maharaj ji aapse milkar laga ki jag jhutha hai aur naam sacha hai. Ab is jhuthi duniya mein rahte hue lagta hai ki kuch saath nahi jaega. Jo kam karta tha pehle usmen ek utsah nahi rah gaya. Sab mithya sa lagta hai maharaj ji. Sanyaas lene ka utsah nahi hai. Sahas nahi hai. Beech sa fas gaya hoon maharaj ji. Le beech mein phasna le. Ab ab aur straang bano. Ki aapki ruchi na hote hue aapko us karya ko karna hai ki apne man ko bhakti mein karte hue karya karna hai ki jaise hamara man nahi hamara man hai ki ekant mein baitho chupchap lekin hamko seva mili hai to ab ye seva hamen karni par rahi hai.
aise aapko seva man ke karni hai. Jo aap vyapar karte ho ya jo bhi nokri karte ho ya kisani karte ho use seva man ke ki parivaar rupi bhagwan ki seva ke liye arth chahiye. Isliye seva kar raha hoon. Meri ruchi to nahi. Sansaar mein ruchi na hona yahi bhakti ka lakshan hai. Lekin us karya ko samyak karna yah bhi bhakti ka lakshan hai. Jaise arjun kah rahe hain mera sanyaas lene ka man hai. Yuddh karne ka nahi. To bhagwan ne kaha sanyaas nahi yuddh rupi kartavya karm ko karo. Isi se tumhara mangal hoga.
to jisko jo karya mila hai use bhagwan ki puja man ke karo. Andar andar se naam jap karte raho. To naam ka ye prabhav hota hai. Wo kahin asakti nahi rahne. Sab aise lagega kya hai? Jhutha hai sab jab marna hi hai aur ek paisa saath nahi jana to hai hai karke kahe ko mare khub naam jap karen to andar andar naam jap karo bahar se wahi karya karo jo ek sansari aadmi karta hai tab to pravinta aur sab chhodkar ke baith gaye to kayarta kayar nahi banna bhagwan ne arjun ko kayar banne se mana kiya hai tum yuddh karo is samay yuddh rupi kartavya hai to ab sanyaas lena tumhari kayarta hogi ki yuddh se pith karke sanyaas le liya to apne kartavya karm se pith mod karke aise baith jana theek nahi hai.
to isliye na sanyaas lena hai na kahin jana hai. Jo karya kar rahe ho wahi karya bhagwan ki puja man ke karo aur khub naam jap karo. Aruci hona ye bahut badhiya baat hai. Lekin isko prakt nahi karna. Ham aapse mil rahe hain. Hath mila rahe hain. Hamara koi sambandh nahi. Koi ruchi nahi. Lekin ham inko jhalakne nahi de rahe aur aap kaise ho? Aisa laga ki main khushi hua aapse milkar ke. Ye hamara natak hona chahiye. Ye jagat rupi natak manch par jo hamen role mila hai usmen hamen perfect utrna hai. Bhai ke saath bhai jaisa vihaar bahan ke saath bahan dost ke saath dost mata-pita ke saath vaisa sabke saath vaisa vihaar karte hue kahin bhi ruchi nahi.
yahi bhakti ki kala hai. Kahin bhi apnapan nahi. Wo apnapan Gurudev se bhagwan se hai. Lekin wo vihaar waise hi kar raha hai jaise ek sansarik purush karta hai. Samjh rahe hai na aap?
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…