॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

guru diksha ke baad naya janm aur kaise sare papon ka nash ho jaata hai ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

mamta ji Delhi se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji guru diksha ke baad shishya ka naya janm ho jaata hai to kya guru diksha se pehle kiye hue paap karm diksha ke baad nasht ho jaate hain ya haan yadi naya paap karm na ho to jo diksha milti hai usse sare paap nasht ho jaate hain. Ismen ek udaharan mein chaturbhuj das ji ka pavan charit jab ham dekhte hain to usmen aata hai ki wah bhagwat charcha kar rahe the. To katha mein yahi kaha ki jab koi diksha leta hai to uska naya janm ho jaata hai. Purane paap us par lagu nahi hote.

to ek chor chori karke bhag karke aaya tha kisi sahukar seth mahajan ki. Uske piche sainik lage hue the. To jahan satsang ho raha tha. Hazaron log baithe the. Unhin ke beech mein jakar baith gaya. To ab raj sainikon ne dekh paya nahi. Unhone socha idhar to satsang ho raha hai. Chor kahe ko yahan tikega? To wo chale gaye aur chor bach gaya. Satsang mein yahi charcha chal rahi thi ki diksha lene se naya janm ho jaata hai. Purv paap nasht ho jaate hain. To jab satsang sampann hua to chaturbhuj das ji sant the. Unke paas gaye aur bole maharaj aap jo baat kah rahe hain satya hai ki diksha lene se sare paap nasht ho jaate hain.

to main ghor papi hoon, chor hoon, hinsak hoon. Kaun sa paap nahi jo maine na kiya ho? Kya main diksha le lunga aaj se nishpap ho jaaunga? Bole aaj se yahan nishpap ho jaoge. To bole diksha dijiye. To chaturbhuj das ji ne ki yah sahi adhikari hai. Abhi iska mood ban gaya hai. Nahi to ho sakta hai ki kabhi zindagi mein iska kyonki hinsak swabhav ka hai. To unhone turant usko diksha di. Mudmudwaya, kanthi pahnai, tilak lagaya, dwadash tilak aur dusre din wo nirbhay hokar ghum raha tha. So sahukar apne sainikon ke saath to tha hi.

seth khoj raha tha. Are bole yahi hai. Usko bandi bana liya gaya. Raj darbar mein le gaye. Raja ne kaha tumne chori ki hai. Usne kaha is janm mein nahi. Bole maharaj janm ki baat nahi hai. Kal ki baat hai. Kal isne chori ki hai. Usne kaha main kasam kha sakta hoon ki is janm mein chori nahi ki. Sahukar ne kaha main kasam kha ke kahta hoon ki isne kal chori ki hai. Yah keval bhash bana liya hai. Mood muda liya, tilak laga liya. Lekin hai yahi. Ab donon apnipani kasam pe. To us samay jo paddhti chalti thi satya ko pramanit karne ke liye to ek lohe ka phaar garm kiya jaata tha aur peepal ki chhoti si naveen patta aise rakh diya jaata tha aur uske upar sut aise bandh diya jaata tha aur wo lohe ka jalta hua pha hath mein le aur sut jale na aur sat kadam chal ke phenk de wo satya mana jaata tha to aisa hi chor ke saath kiya gaya je puri paddhti karke aise phaar to usne kaha Gurudev ne kaha tha ki diksha lene ke baad naya janm hota hai ye andar aur jor se bola maine is janm mein kabhi paap nahi kiya aur sat kadam chala phenk diya bilkul sut jeev ka tyun ab to raja ne seth ko kaha ise phansi do itne bade vaishnnon ko sant ko chor kaha jab uske phansi ki baat kahi to bole sarkar nahi wo bhi sahi hai phansi mat dijiye kyonki wo aparadhi nahi aparadhi to main hoon to bole ab tum aparadhi kaise ho sakte ho tumhara to praman ho chuka hai ki tum is janm mein chori nahi ki.

bole is janm mein nahi ki. Bole kya kahani kya hai? Bole kahani yah hai ki hamne kal chori ki thi. Yah sahi kah rahe hain. Lekin phir hamne diksha le li. To diksha se naya janm ho jaata hai. Isliye maine is janm mein chori nahi ki. Is baat se wo raja bade prabhavit hue. Bole main un sant se milna chahta hoon jinhone tumhare jaise chor ka parivartan kar diya. To us drishtant se pata chalta hai ki naya janm ho jaata hai lekin ab nasani ab na naso us chor ne jhooth nahi bola usne phir kabhi chori nahi ki aaj tak kiya ab nahi karunga to isse sare paap nasht ho jaate hain diksha lene se agar diksha lekar phir paap kare to pakke rajistarda paap hote hain phir wo bhogna parta hai aur usmen guru ko bhi kasht bhogna parta hai aisa nahi hai jaise shishya paap kare yadi usko dand na de usko tyag na kare to guru ko bhi paap lagta hai ki aap aise ko kyon diksha di?

kyon mantr diya?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi