॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

puja karte hue koi beech mein aa jae, awaz de, kuch poohe ya bachchha rone lage to kya karen ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

teena ji bharatpur se Radhe Radhe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji ek duwidha hai jaise ham puja path aarti ya mala jap karte hain to usi dauran beech mein agar koi badha kisi ki awaz dena darwaze par kisi ka ana bachchhe ka rona aae to ham nirantar puja karte rahna chahiye beech mein puja rok kar nahi apne se pujya jan ane par puja rok deni chahiye aise jan sadharan ki baat to alag hai jaise apne pujya vayovriddh koi sant atithi koi apne pujya jan aa rahe hain to phir bhagwan ko pranam karke puja rok kar unka aadar karen.

unko baitha len. Unko jalpan ki vyvastha karen. Phir unse prarthna karen ki ham puja kar rahe the. Yadi aapki agyaa ho to puja puri kar len. Par uski pehle aadar koi sant aa jae, koi atithi aa jae, mata-pita, vayo vridh, budhe koi aa gaye to unka pehle swagat karen. Jansadhaaran ki baat alag hai. Jaise ghar mein bachchha rone lag jae usi samay ham akele hain aur koi awaz de de kisi chij ke liye hamse pooch le prashn kar le. Haan to uttar de dena chahiye aur puja chhodkar bachchhe ko sambhalna chahiye. Bachchhe mein bhagwan hai.

wo asantusht ho rahe hain. Yahan to murti mein bhagwan hai. Wo to chaitanya bhagwan hai. To chaitanya bhagwan ko pehle doodh pilae, dular karen aur phir apne bhagwan ki akar puja karen. Sahi pocho na jab yah bhawnaen banne lagti hai na to sab mein hamare bhagwan hai. Us samay koi pooch raha hai tumse to bhagwan hi pooch rahe hain. Radha aur uttar de diya phir Radha phir apni seva bhakt ka swabhav bada saral hota hai. Bhakt mandan hai. Bhakt jo hai sabka mandan karta hai. Kahin kisi ka khandan kahin kisi ko dukh dena, kahin kisi ko uttejit karna, udyegit ye bhakt ke nahi hote.

hamare bhagwan to hain hi na wo kahin chale thodi jaenge is rup mein bhagwan aae atithi rup mein dandvat pranam karo apne mariyada anusaar unki seva karo phir thakur seva karo aisa hamare 42 leela mein likha hai ki yadi seva karte samay pujya jan sant jan bhakt jan atithi jan aa jae to ham seva ko rok den aur pehle unka swagat karen phir unse anumati lekar phir seva mein karen aisa hai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi