॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

maun rahne ke phayde aur grihasth mein maun kaise dharan karen ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

mahara ji man mastishk mein ekanki maun ko lekar pujya odiya Baba ji ke vachan bar-bar prerit karte hain ki odiya Baba ji ke anusaar maun hamen ishwar ke paas le jaata hai. Maun brahm ki or maun atma ka sakshatkar maun jeevtma se paramatma tak pahunchane ki sidhi aata hai. Maharaj ji kya maun se mansik maun aur vachik maun se virah ki anubhuti aur pragadh hoti hai. Aur bilkul bilkul 100% ismen koi ek bhi percent sanshay nahi kyonki vani se sabse zyada aparadh banta hai. Hansi majak jhooth bolna kai tarah ki aisi baten hoti hain jo hamari vani se aparadh ban jaate hain aur vani ka bahut bada prabhav parta hai.

ab jaise ham vani se maun hai to wo dhire-dhire man par bhi prabhav padne lagta hai. Aap dekho kuch din maun jaise aap bolne ki jaise to ek udasi chhaa jaegi ki ab bol sakte nahi to phir ekant ka man karega ki ham kisi se mile na kisi se jude na par jaise jiska vyapar hai ya nokri hai ya anya sadhno mein rat hai aur sadhnat hai to matlab vichar maun rahna chahe vichar maun zyada uttam hai. Vichar maun ka matlab hai jaise aap hamse koi baat pooch rahe hain. Ab ham bar-bar ab puri manoshakti lag rahi ho. Aap samjh nahi pa rahe.

ham samjhana chah rahe to hamare andar chidchidapan aa jaega. Agar atyant avashyak hai to ham bol dete hain. Aur atyant avashyak nahi hai to ham uttar nahi dete. Ise vichar maun kahte hain. Jo bolenge satya bolenge, mridu bolenge, hitkar bolenge nahi to maun rahenge. Sadhak jo grihasth mein hai use jad maun na lekar vichar maun uttam rahega. Kyonki parivaar hai, grih karya hai. Accha sant vesh mein kya hai ki ab ham aaj se nahi bolna chahte. Tumhare upar kisi ka adhikar nahi. Aap hamen nahi bulva sakte.

lekin grahasti mein bahut si aisi baten hain jinme aapko bolna hi padega. To usmen vichar maun zyada uttam hai. Jad maun theek nahi hai. To vichar maun ke dwara bhi wahi gati prapt ki ja sakti hai. Vani ka sadyavhar paramarth ko pusht karta hai ya vani ka maun donon pusht karte hain. To ham sad vakya bol ke sad vihaar karke apne man ko nisankalpa banain. Apne man ko maun ki taraf le jae. Man ko maun ke man ka sankalp rahit ho jana hi sacha maun hai. To iske liye vani ka maun sahyogi hai. Pakka sahyogi kyonki apne logon ne iska aashray liya hai.

iska sahara liya hai. Aaj bhi hai sham time ham is samay to hamara yah seva rahti hai. Iske baad phir ham koshish karte hain ki hamen maun hi rahna pare. Ishare se baat kar li jisse koi baat hai ki aap agar bahut bolna hua to do shabdon mein bol diya shant apne sumiran chintan mein to aisa hai vyavharat upasak ko vichar maun rahna chahiye haan sabko chahiye ham vyarth mein kyon bole ham kyon gali Gupta karen apni jaban gandi karen jhooth bole vyarth mein kyon bole bahut gambhir rahna chahiye shant rahna chahiye uski baat suni nahi agar bolne layak hai to uttar diya nahi to maun hai hamen kya matlab chal diya agar man lo aapse koi pooch raha hai aapse hi direct pooch raha hai koi baat pooch raha hai aapko lag raha hai uttar dena theek nahi nazar niche ki chal diya wo aadmi jo samjhe pagal samjhe abhimani samjhe jo samjhe wo samjha kare aap to prapanch rahit hai aur jo sadhak hai wo samjh jaega bada praveen sadhak hai apne aap ko kaise bachata hai dekho maun hokar bacha liya shant bilkul bahut zaruri zaruri hai.

nahi vani se itne aparadh bante hain ki log samjh nahi pate. Vani se aparadh hi aparadh bante rahte hain. Sharir se aur vani se jyadatar aparadh bante rahte hain. Isiliye paramarth mein unnati nahi ho pati. Agar sharir aur vani nishpap ho jae to man bahut jaldi bhagwan mein lag jae. Isiliye dekho santo ko dekho bada pavitra snaan kapda latta sab pavitra se rahna ki hamara sharir nishpap ho jae. Hamari vani nishpap ho jae to man bhagwan mein lag jae. Man ka tan aur vani se bada sanyog hai. Ham jahan bolte hain man hamara wahin jaata hai.

ham sharir se jo kriyaen karte hain man usi mein jaata hai. Jo sambandh rakhte hain. Agar hamara dekho tabhi teen ki sharanagat kahi gayi. Tan vang mano bhi sharir man aur vani vang tanu vang mano bhi. Teen ka bahut bada yog hai sadhna mein. To ham sharir ko pavitra rakhen. Vani ko kam bolne ka abhyaas rakhen. Dusre ko zyada bolne den.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi