ekantik vartalaap evam darshan #1009 · 22 August 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai shri Harivansh maharaj ji maharaj ji main ek jyotish hoon mere paas desh bhar se kafi log ate hain apni alag-alag pareshaniyan lekar sabko samjhata hoon par apne man ko shant nahi kar pa raha maharaj ji haan apne man ko samjhane ke liye naam jap karo bhagwan prayas karta hoon naam jap ka bhi jitna naam jap karoge utna hi suljhan aati chali jaegi aur bhagwan se prarthna karte raho ki hamare man ko sataarg mein lagave.
hamare man ko sache marg mein lagave. Prarthna bhi kam karti hai bhagwan ke aur naam jap karte raho aur aadha ghante satsang suna karo. Maharaj ji do ghante satsang ke saath 10 lakh naam jap kar chuke. Haan achchhi baat hai. Par jitna suno uska manan karo. Shravan tabhi phlibhut hota hai jab manan hota hai aur manan tabhi phlibhut hota hai jab aacharan mein utara jaata hai. Tino ka ek kram hai. Jaise hamne sun liya manan nahi kiya to vishesh labhdayak nahi. Suna aur manan kiya aur use aacharan mein utara to vishesh labhdayak ban jaega.
deepansha Agarwal ji Radhe shri Harivansh maharaj ji maharaj ji prabhu se chitt kaise joden? Wah prabhu ke prati purn samarpan kaise karen? Pehle khub satsang sunna chahiye aur naam jap karna chahiye. Naam jap karne se hriday pavitra hota hai aur satsang sunne se buddhi pavitra hoti hai. Binu satsang vivek na hoi. Ram kripa binu sulabh na soi. Bina satsang ke vivek nahi hota aur satsang bina bhagwan ki kripa ke nahi milta aur vivek ke dwara hi samarpan hota hai. Jab hamen samjh mein aa jaata hai ki sansaar mein hamara koi nahi hai.
tab samarpan hota hai. Jaise Draupadi ji ko jab tak laga ki hamare pati balvan hain. Bheeshma aadi raksha kar lenge to kisi ne jab raksha nahi kiya tab bhagwan ko to sharanagati ya to vivek ho ya paristhiti ho paristhiti aisi najuk aa jae ki koi saath dene wala nahi to bhagwan ki sharanagati ho jati hai. Jaise vibhishan ji ko lat mar diya Ravan ne. Ab itna bal raja ab kahin thor nahi bhagwan ki sharan mein aa gaye. Ya phir itna gyan ho jae. Do hi hai paristhiti ya gyan. Gyan ho jae ki sansaar nashvan hai. Yahan koi apna nahi hai.
bhagwan ke siva koi nahi. Aur bhagwan ki sharan mein ho jae. To naam jap se hriday pavitra hoga aur satsang se buddhi pavitra hogi. Jismen vivek jagrit hoga. Vivek se vairagya aur vairagya se bhagwan ke charnon mein anurag. Isliye zaruri hai khub naam jap karo aur khub satsang suno. Par naam jap aur satsang ka prabhav tabhi padega jab aapka bhojan shuddh hoga. Bhojan shuddh hoga vichar shuddh honge. Aacharan shuddh hoga to aapki sadhna paripakva ho jaegi. Bhojan ashudh vichar ashudh aacharan ashudh to aapki sadhna malin ho jaegi.
vikshep par jaega. Badha par jaegi. Maharaj ji bahar rahte hain to pyaaj lahsun ka sevan hota hai. Aise mein buddhi shuddh kaise rakhen? Haan pyaaj lahsun ki badi samasya hai ki jinka man swad mein phas gaya hai to pyaaj lahsun chodna kathin nahi. Irada pakka ho jae to ham kah sakte hain na ki pyaaj lahsun bina sabji dijiye. Hamen hotel mein bhi bol sakte hain ham ki aap pyaaj lahsun mat daalie. To agar ham yah kahenge ki hamen milta hi nahi hai to galat baat hai. Bahut se aise army ke jawan hain jahan sab suvidhae hain.
mans bhi hai sab suvidhae lekin wo pyaaj lahsun bhi nahi khate hain. To agar ham chahe to ham bina pyaaj lahsun ka bhojan hamen mil jaega. Bhai ham paise de rahe hain. Pyaaj lahsun nahi dalna wo nahi daelga. Ab jab hamen swad ki baat aayegi to phir ab bina pyaaj lahsun ka bhojan satvic bhojan hota hai aur wah swad nahi aata jo pyaaj lahsun se wo swad nahi aayega. Wah swad satvic purushan ko priy hai. Agar ham satvic bhav lana chahe to hamen chodna padega. Pyaaj lahsun koi paap nahi hai khana par wah tamoguni hai.
wah bhajan vihin vritti paida karta hai. Isliye jaise masur ki daal koi paap thodi hai. Lekin satvic bhav walon ne masur ki daal ka tyag kiya hai. Jaise baingan phal hai. Koi usmen sabji hai. Koi tyag wali baat lekin satvic bhav wale ne tyag kiya. To kuch aisi chijon hain jo paap nahi hai par wah tamoguni hai isliye uska tyag kiya gaya hai. To hamen lagta hai hamen pavitra buddhi jo bhagwan mein lagni hai wo prapt karne ke liye koshish karen ki pyaaj lahsun chhod de. Koshish karen. Koshish karne se sab kuch ho jaata hai.
sab kuch ho jaata hai. Jab ham koshish hi nahi karenge ki ab to sansaar mein bina pyaaj lahsun ke bhojan hi nahi milega to aisa nahi bahut se nokri karte hain. Bahut se bachchhe vidyarthi jeevan mein wo pyaaj lahsun nahi khate. Diksha liye hue hain. To hamen lagta hai agar ham prayas karen to safalta hamen mil sakti hai. Aur maharaj ji jaise upansak naam jap karte hain to man mein anya vichar chalte rahte hain. To usse wo nasht ho jaenge. Wah anya vichar nasht ho jaenge. Bas upansu jap chalna chahiye. Anya vichar apne aap nasht ho jaenge.
aap upansu jap karte hain. Vikas bhatnagar ji mumbai se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji jab shri Krishna bhagwan ji ne Uddhav ji ko gopiyon ke paas bheja to kaha tumhara gyan wahan kam nahi karega. To maharaj ji prashn yah hai ki gyan aur prem paraspat virodhi hain aur virodhi nahi virodhi nahi hai. Virodhi nahi hai. Gyan jis tatv ko samjhata hai prem us vastu ka aalingan karta hai. Jis parbrahm paramatma tatv ko gyan samjhata hai. Wo keval samjh ka vishay nahi rah jaata. Premion ke premion ke swad lene ka vishay uske rup ka uske sang ka uski leela ka wo rasaswadan karta hai aur gyani keval tatv ko jankar usmen leen ho jaata hai.
to wo leen hona aur prem mein leen hona donon alag-alag hai. Virodhi nahi hai. Bhagwat marg virodhi kaise ho sakte hain? Virodhi nahi hai. Par bhav virodh paida ho jaega. Jaise gyan mein hai shivoham aham brahmasam aur bhakti mein dasoham main bhagwan ka das hoon to ab ismen kaise patri kaise baith paegi aur donon bhagwan ko hi prapt ho rahe hain. Ek bhagwan mein leen ho raha hai aur ek bhagwan ki seva kar raha hai. Bhagwan ke lilaon ka rasaswadan kar raha hai. To bhav mein virodh ho sakta hai. Tatv mein virodh nahi hai.
tatv to ek wahi jo brahm hai wahi Ram hai wahi Krishna hai wahi hari hai. Usi ko bhagwan bhakt jan kahte hain. Gyani jan brahm kahte hain. Yogi jan paramatma kahte hain. Bhav mein antar ho jaata hai. Bhav mein main wahi hoon. Gyan aur bhakti mein main aapka das hoon. Wah das ki tanmayata se tanmay ho jaata hai. Wah main ki tanmayata mein leen ho jaata hai. Ek abhed bhakti hai aur ek bhed bhakti hai. To bhav naam jap se aayega ya sharanagati se? Sharanagati hokar ke hi naam jap karna chahiye to zyada labh milega. Jab tak sharanagati nahi hoti tab tak naam jap karte rahie.
lekin rang tabhi aayega jab sharanagati ho jaengi. Prabhu ki sharan mein hokar jab prabhu ka naam jap karte hain to vishesh labh ki prapti hoti hai. Ji bhavesh daman ji Radhe Radhe jai shri shri Harivansh maharaj ji maharaj ji pichle do salo se aapka sanidhy mila aur aapke batae hue marg pe chalne ka prayas kar raha hoon. Maharaj ji gandi adte bhi chhuti hain. Pulis vibhag mein karyrat hain. Apni duty ke dauran evam niji jeevan mein kai bar aisi vikat paristhitiyan aati hain. Nischit karna mushkil ho jaata hai ki us vikat paristhit mein joi joi pyaro kare soeem bhave samjhkar sahna chahiye ya phir sahna hi padega.
aapko kya bade bado ko sudhna parta hai? Dekho indraprastha ke simhasaan par arudh maharaj yudhishthir apne labh lashkar se Hastinapur bulaye jaate hain to chakravarti samrat pad ka abhishek jinka ho chuka hai aur garjaj par baithkar ate hain pura apne rajkiy sammaan ke saath aur shakun ki jo kapt kat bhari buddhi hai. Usse wah parast ho jaate hain. Aur 12 varsh ka vanvas aur ek varsh ka agyatvass us mahapurush ko milta hai jo itna bhi paap nahi karta. Itna bhi paap nahi karta. Dharmraj yudhishthir dharmraj matlab ham log dharm se chalna chahte hain.
wah dharmraj hai swayam dharmraj yudhishthir kaha gaya nahi. Dharm ke raja hain wah. Lekin aise mahapurush ko bhi chhali logon ne 12 varsh ka vanvas, ek varsh ka agyatvass aur bada kasht bhoga unhone. Par vijay unhin ki hui kyonki dharm se chalte the aur kaurvon ka vinash hua. To aisa nahi ki dharmatma purush ke jeevan mein sankat nahi ate. Bahut bade-bade sankat ate hain par naam jap karte hue bhagwan unko par kar dete hain. Badi samasya yah sansaar sankat ka ghar hai. Koi vyakti aisa nahi hai jisko vipatti na ave, samasya na ave, pareshaniyan na ave, sangharsh na ave.
yah sabke jeevan mein aata hai. Bas dhairya purvak chupchap saho. Naam jap karo to bhagwan ke aashray se vipatti se nikal jaoge. Wah tumhen pees nahi paegi aur agar bhagwan ka aashray nahi to mita degi aur agar bhagwan ka aashray to aap par ho jaoge. Durgesh kumar ji bihar se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapne ek satsang mein kaha tha ki bina bhagwan ki kripa ke ham naam jap nahi kar sakte. To agar koi bhakt naam jap karta hai aur kabhi uska naam jap chhut jaata hai to us samay us par bhagwan ki kripa nahi hoti. Nahi bhagwan ki kripa hoti truti ho jati hai.
maya akarshan karti hai na to hamse truti ho jati hai. Ek bar bhagwan ki kripa ho gayi aapka naam jap shuru ho gaya. Iske baad aap kisi vastu se prabhavit hokar naam jap chhod diye. Man lo bhojan kisi vyakti se pravahit hokar naam jab to yah hamari galti hai. Kripa aur galti ki ham kis bhojan mein itna aasakt ho gaye ki bhagwan ko bhul gaye. Bhog mein itna aasakt ho gaye ki bhagwan ko bhul gaye. Parivaar mein itna aasakt ho gaye ki bhagwan ko bhul gaye. Samasya mein itna pidit ho gaye ki bhagwan ko bhul gaye. To kai aise kshetra hain jahan ham asavdhan ho jaate hain aur bhagwan ka vismaran ho jaata hai.
isi ka naam maya hai. Jo bhagwan ka vismaran kara de wo maya aur jo bhagwan ki smriti mein dubo de wahi bhakti. To ham bhakti ko pakde bar-bar abhyaas karen naam jap ka. Ismen bhagwan ki akripa nahi hai. Pahli baat to bhagwan kisi par bhi akripa nahi karte. Wah itne dayalu hain, itne mahan hai, itne karunamay hain ki wah thodi der ke liye hamen lagega ki bada amangal hua. Bhagwan ki sharan mein hain. Bhajan kar rahe hain. Koi aisi ghatna ghatti hai lagta hai bada amangal ho gaya. Lekin vishwas karo. Uska parinaam bahut bada mangalmay hoga.
parinaam bahut mangalmay hoga. Kurav sochte the ki kya kar lenge Pandav panch hai aur ham 100 hain aur jab mahabharat yuddh hua to kaurvon ke paksh mein 11 akshoni sena aur pandavo ke paksh mein sat akshoni sena par yah nahi samjhte the ki akhil bramhandon ko bal pradan karne wala unke paksh mein hai. To bhakt ke paksh mein bhagwan hote hain. Par aisa koi soche ki ham bhakti karen koi samasya na ave to aisi baat nahi hai. Bhakton ke jeevan mein badi-badi samasyaen ai hain aur unhone bhagwan ke hi aashray se use par kiya hai.
to hamare upar bhagwan ki kripa hai. Ham kisi samasya pe ya kisi pralobhan pe ya kisi bhogasakti pe itna aasakt na ho jae ki bhagwan ko bhul jae. Yah hamari kamzori hai na ki bhagwan ki akpa. Sourabh sandip do Harivansh maharaj ji Gurudev bhagwan bhagwat gita ke adhyay 13 mein kshetragya vibhag yog mein bhagwan kahte hain ki sharir kshetra hai aur ismen sthit kshetragya ko janna chahiye. Age ve yahi kahte hain ki pratyek sharir mein paramatma rupi aa prabhu sthit hai. Gurudev meri vinarm jignyasa hai ki kya is sharir ke do kshetragya jeevtma aur paramatma ismen sthit hai ya jeevtma rupi ek kshetragya mein paramatma hi sthit hai?
ek hi hai par do dikhayee dete hain tab tak jab tak beech mein darpan rahta hai. Jaise ham shisha rakh le to ham do dikhayee denge. Ek shisha ke andar aur ek yah to jab tak ham jeev bhav mein hai gyan ka vishay hai tab tak paramatma aur jeev bhed rahega aur jahan ham paramatma mein tanmay hue jivtv khatm hua. Jivtv hota hai dehabiman ke karan. Sharir mein main hone ke karan usi paramatma ko jeev kah diya gaya. Aapka swaroop bhi paramatma swaroop hai. Par sadhna karne par jab aapko apne sharir ka rag tyag karna hoga sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir tab aap paramatma bhav ko aur jab paramatma bhav ko prapt ho gaye to phir do nahi ek rahta hai.
tab ek rahta hai. Samjh rahe hain? Tab tak do hai jab tak sharir bhav hai tab tak do hai aur jahan sharir bhav khatm hua to brahmvid brahm bhavat brahm ko janne wala wo brahmamay ho jaata hai goswami ji ne ek chaupai likhi soi jaan dehu janai aur janat tum ho jae jo aapko jaan gaya wo aap hi ho gaya aap mein ho gaya to wahan phir do janat tumhen tumhen brahm brahm bhavti jab brahm ko jaan liya jaata hai to brahmamay ho jaata hai. Vikas ji Radhe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji mere man mein ye prashn bar-bar uthta hai ki mera janm is sansaar mein kyon hua?
koi vyakti kaise jaan paye ki wah kis karan ishwar dwara bhagwat prapti ke liye hua hai. Apne swaroop gyan ke liye hua hai. Kyonki anya yoniyon mein ham swaroop gyan prapt nahi kar sakte. Bhens, gadha, ghoda bankar ke ham bhagwat prapti nahi kar sakte. Ham manushya bankar hi kar sakte hain. To hamen chahiye ki sansaar ke karya karte hue jo mukhya uddeshya hai bhagwat prapti wah ham karte rahe. Nirantar naam jap karte hue bhagwan ki sharan mein hokar bhagwan ko prapt karen. Yahi tan kar phal vishay na bhai bhuji Ram sab kam bihai jo manushya sharir hai iska phal vishay bhog nahi hai samasth kamnao ka tyag karke bhagwan ki prapti hai.
jisko samjh mein aa gaya wahi jit gaya. Nahi phir punarp jannam punarp maranam punarp janani jathre shainam bar-bar janam bar-bar maran yahi sab chakra chalta rahta hai. Ji kaiptan arun maharaj shri Harivansh maharaj ji main purv mein bharatiya sena adhikari the. Ab kafi lambe samay se kah rahe hain London mein rah rahe hain. Maharaj ji ye kah rahe hain ki wahan Jagannath ji ka mandir mein inko mukhya bhumika nibhane ka wo mila. Maharaj ji kah rahe hain ki wahan kahin na kahin do gut ho gaye hain to kah rahe ki ab mere ko matlab aise bhedbhav mein main sachchi sauharda aur sachchi bhakti ko punah sthaapit kaise kar sakta hoon.
apne ko dekhna hai ki apne swarth ki purti ki kamna ka tyag karke paramarth ki pushta ke liye jitna bair virodh rahit adhikar mil sake utna kar lo aur jab lage ki bahut bair virodh ho raha hai to chhod do aur ekant mein bhajan karo. Apne ghar mein bhajan karo. Bair virodh bhakti nahi hai. Bair virodh bhakti nahi hai. Man lo yahan lag raha hai ki yahan baithe se jhagda hone wala hai. Uthe chal diye Radha Radha Radha aur agar pyar se ho rahi seva to bhagwan ki ho rahi. Agar vair virodh ho jae to isteepha de dena chahiye apni taraf se.
yah sab agar karoge to bhakti nahi rahegi. Phir wah bair virodh aa jaega. Nahi aa jaega. Ji digvijay ji shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji guru charnon mein prem kaise badhta rahe maharaj ji hamesha guru agyaa mein rahna haan guru agyaa mein rahne se hi guru charnon mein prem hota hai jaisi guru agyaa karen vaisa ham palan karen to guru charnon mein prem ho jaega aur yadi ham guru agyaa ka virodh karen unke anukul na chale to phir dves ho jaega guru ninda karne lagoge guru ko man manushya mankar unke dosh dikhayee denge.
phir unka varnan karoge. Matlab kai tarah ke bahari parivesh aise hote hain jinme ninda ki ja sakti hai. Jinme ninda ki ja sakti hai. Par unki sthiti ko samjhna kathin hai. To samjhna hoga. Agar ham apne Gurudev se prem karna chahte hain to samjhna hoga. Unki paristhiti samjhna hoga. Unki sthiti samjhna hoga. Sthiti adhyatma hoti hai aur paristhiti mayamay hoti hai. To ham hamen chahiye ki apne Gurudev se pyar karen maa ki tarah. Jaise meri maa jaisi bhi hai meri maa hai. Maa mein thodi dekha jaata hai ki dhani hai ki nirdhan hai.
maa to maa hai. Gurudev to mere Gurudev. Accha agar ham Gurudev ko param brahm mane kyonki wo parbrahm paramatma hai. Gurur brahma gurur Vishnu gurur dev Maheshwara. Guru sakshat haan maharaj ji jaise aapne abhi kaha ki jo dosh darshan karte hain maharaj ji to inko Vaishno aparadh nahi lagega. Bachchha to phir patan bhi to hota hai. Patan hota hai aisa nahi hota hai. Patan hota hai. Phir inka bahut buri tarah se patan hota hai. Bahut accha bachchha maya bhi apne planning mein rahti hai. Do parsad hain.
ek hai bhagwan ke parsad. Jaise aap log ki ab kuch bhi ho ham to bhajan karenge. Satmarg mein chalenge aur ek hote hain ki satmarg mein chalne walon ko gira ke hi manenge. Do hote hain na ab kuch lena dena nahi lekin aapke man ke utsah ko gira dena hai. To do paksh hain. Apne ko apne mein date rahna hai. Ab virodh to bade-bade siddh mahapurushon ko Meera ji ka virodh nahi hua. Prahlad ji ka virodh nahi hua. Narsi mehta ji ka virodh nahi hua. Bade-bado ka virodh hota hai. Isliye hamen chahiye ki ham apni shraddha bacha ke rakhen.
apni shraddha banae rakhen. Virodh karne walon ka chashma alag hota hai aur shraddha walon ka chashma alag hota hai. To ham apne chashme ko na bigdne den. Duryodhan ninda karta tha bhagwan shri Krishna ki. Bhagwan ko bhagwan hi nahi manta tha. Jab pandavo ke paksh se bhagwan sandhi karane gaye to bhagwan ko bhi bandi banane ka pura prayas kiya. Tab bhagwan ne virat rup dikhaya bhagwan ka. To isliye hamen chahiye ki virodhiyon ko bhi namaskaar karen aur apne bhajan mein lage rahe. Agar virodhiyon ka virodh karenge to hamara virodh kar rahe hain.
tum unka virodh kar rahe ho. Baat to ek hi ho gayi. Hamen virodhiyon ka bhi virodh nahi karna. Namaskaar karke chupchap bhajan mein chalna. Sani man koskar ji Radhehe maharaj Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji main kampteeshan jo tayyari karte hain bachchhe aeeees aeepeees un bachchon ki shikshit karta hoon maharaj ji aap pooch rahe hain ki shiksha mein adhyatmikta ka sthan kya hona chahiye maharaj ji adhyatmikta ka sthan to sarwopar hai jaise balak hai agar wo pavitra jeevan vyatit kare jaise brahmcharya hai vyasan rahit hai gandi baton se dur hai gande drishyon se dur hai to ek bahut accha unnati karne wala vidyarthi hoga wo smritivan hoga aur jaise brahmacharyaheen hai nasha karta hai gande aacharan karta hai to yah adhnikta uski is baat ko nahi rok paegi adhyatmikta hi use rok sakti hai.
adhyatmikta, pavitra aur bhautikwad se upar uthati hai. Aadhunik padhai bhautikwad ko pusht karti hai. Nahi pusht karte to bhautikwad pusht hone mein yahi sukh nazar ate hain. Lekin adhyatma atma sukh ki taraf badhata hai. Bhagwat sukh ki taraf badhata hai. Wo bhautik sukho ki taraf nahi badhata hai. Bhautik sukho ko control karke bhogta hai. Adhnikta hamko adhin karke bhog bhogati hai. Adhyatma bhogon ko adhin karke bhoga jaata hai. Ki jaise man kah raha hai ki ham galat aacharan karen to wo us samay vivek purvak kam karega ki nahi mujhe galat aacharan nahi karna.
yah gandi baat hai. Yah dharm se virudh hai. Maine to dharm ka gyan karna hai ya nahi karna hai. Shastr ke dwara pramanit baat yah adhyatma ke bina kaise ho sakti hai. To adhyatma ka sarvopri sthan hai. Ham yah nahi kahte ki din bhar mala chalave. Par vidyarthi ko zaruri hai ki wo 10 20 minute adhyatma ki baten roz sune ya padhe. Man lo sunne ko nahi milta to shastr se padhe. Chhoti-chhoti pustikaen gita pras se prakashit hain jo adhyatma se yukt hain. Yah karna chahiye, yah nahi karna chahiye, gyan ho.
nahi to kya hota hai ki khelakh mein vinod vinod mein kahin na kahin ham phas jaate hain. Aur jisse ham phaaste hain, wah vastu vyakti hamare chintan ka parivartan karta hai. Antarik ham kamzor ho jaate hain. Antarik hamara chintan to ab padhai mein jo chintan lagna chahiye prasann hokar wah usmen lag jaata hai. To kahin na kahin jo parajay hoti hai jo phayl hona hota hai jo ham grahan nahi kar pate hain. Jaise hamara andar se kahin chintan hai to aap kya bol rahe hain ye mujhe samjh mein nahi aata. Kyonki chintan hamara andar aur kahin chal raha hai aur jab hamara chintan aap jo bol rahe hain usi par hai to ham use pakar payenge.
to antarik chintan ko sambhalna adhyatma ka kam hai aur chintan sambhal gaya to chahe wo bhagwan ka chintan ho chahe vidya ka chintan ho chahe kisi vishay ka chintan ho wo perfect usmen rahega to hamen lagta hai vidhyarthyo ko brahmcharya se rahna chahiye jab tak byah na ho aur vyasan ka tyag karna chahiye koi nasha nahi hona chahiye aur kisi tarah gande drishyon ko dekhna gandi baten nahi honi chahiye to bahut achhche vidyarthi ban jaenge wah unnatisheel ho jaenge ya wah bahut achhche adhyapak ban jaenge, bahut achhche jaj ban jaenge, bahut achhche wakil ban jaenge, bahut achhche neta ban jaenge.
jo pavitra aacharan hai wahi agradsar ho sakta hai. Samaj sukh ko pradan kar sakta hai. Nahi to wo ganda aacharan wala, ganda vichar wala wo shoshan kar sakta hai poshan mein. Ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…