॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

prashasnik seva karne walon ke liye aapka kya updesh hai ? Kya karen aur kya bilkul na karen

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

suramya Sharma ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji vartman samay mein prashasnik jo sevae dekh rahe hain unke liye aapka kya sandesh hai jo prashasnik sevae dekhte hain hamari to yahi prarthna hai ki aapko bharat sarkar ne jo payment nischit ki hai usse apne jeevan ko vihaar mein jo kharch hai jo parivaar ka poshan hai usse apne jeevan ko pusht karen. Ghash ya kisi bhi tarah se pralobhan mein phaskar anya dhan ko sweekar na karen. Kyonki usse adharm ho jaega. Yadi koi doshi purush aapko rupaye de ke apne paksh mein aapko karke bach jaata hai aur nirdosh dand pata hai to aapki hani ho jaegi.

wah rupya aapke parivaar ko buddhihin karega. Klesh aur ashanti paida karega aur aap dukhi ho jaenge. Yadi aap apni seva ko dharm mankar, rashtr seva mankar, bhagwat puja mankar karen aur jo payment milti hai usi se gujara karen. Ghas ya kisi bhi tarah ka pralobhan na rakhen to aur naam jap karen to isi se aapko bhagwat prapti ho jaegi. Kyonki rashtr seva ka ek ang aapko mila hai. Aap kisi bhi department mein ho rashtr seva bhagwan ki seva hai. Jab rashtr ki baat aati hai to bhagwan hota hai. Rashtr hamare liye bhagwan hai.

to ham doctor hain ya master hain ya pulismain hai ya koi bhi hai ya army hai. Ham sab rashtr seva mein lage hain. Sab rashtr seva ke antargat hai. To jo bharat sarkar ne hamari fees nischit kar di hai ki tumhen prati mahine itni payment milegi. Hamko chahiye apne payment se gujara karna namak roti kha ke bhale saikil se chalna pare lekin dharm virudh ham bilkul aacharan nahi kar sakte. Doshi ko kabhi ham bakhsha nahi sakte aur nirdosh ko kabhi aanch nahi ane denge. Agar aisi vritti rakhi jae to hamen lagta hai wo seva bhagwan ki prapti ka hetu ho jaegi.

hamne de sal kal ek wakil sahab aae the hai court mein kahin sevae dete hain ki maine bhi yahi jo aapka hi vachan tha yah bole ki are itne se phir gujara nahi hoga matlab phir matlab dikkat aa jaegi ghar chalane mein matlab wo uske baad bhi wo kah rahe the ki ham dharmapurwak chalne ka prayas kar rahe hain bat utna to karna padega itne kyonki vasnae itni badh gayi hai avashyaktaen itni badha li gayi hai ki ab unke liye hamko vilasita ke liye adhik dhan chahiye to agar adharmic purush purushan ke dwara diya hua dhan aur ham usse vilasita to yahan gujara kar lo jaise kar lo phir narak mein gujara achhche se hoga kah rahe jab dhan dikta hai na ki itna de raha hai to phir wo vritti bigad jati hai to phir age uska parinaam bhi to dekhna chahiye machhli jo hai wo keval chara dekhti hai aur lapak ke pakar leti hai kanta usmen hota hai aur kante mein phas ke apni jaan gva deti hai chare ke lobh mein usko kanta nahi dikhayee deta wo wo kanta sarvnash kar dega.

wo parivaar ki buddhi bhrasht kar dega. Tumhari buddhi bhrasht kar dega. Akhiri parinaam vinash hi hoga. Likh lo. Adharm ke dwara kiye hue karyo ka parinaam vinash hota hai. Aur dharm ke dwara kiye hue karya vartman mein dukhad ho sakte hain. Lekin parinaam mein sukh pradan karne wale hote hain. Adharm ke dwara kiye hue karya vartman mein sukhad dikhayee de sakte hain. Lekin parinaam unka dukh hoga. Pakka samjh lo. Shastriya siddhant hai, bhagvatik siddhant hai. Ismen koi gunjaysh nahi hai. Aap ye dekhte hain kahne ki baat nahi hai ki chandra rupaye ke ghus ke pralobhan mein kai aphsar matlab unko apmanit karke unko kar mein baitha gaya.

unki padhai unke mata-pita ka garv unke rishte natodaron ka garv sab mitti mein mil gaya. Chand rupaye ke Gosh mein. Vartman mein agar ham pralobhan na karen aur dharm purvak chale to gaurav hai. Usmen gaurav hai aur dharm purvak na chal ke aaj nahi to kal ham adharm mein pakde jaenge. 100 chori nahi khuli to 101 ek ke upar badho khul jaegi. 100 tak bhagwan ne Shishupal se kaha ham chup hai. 100 ke upar badhoge to ham sudarshan chakra ka prayog kar denge. Aur jahan sudarshan chakra prayog hua aur kisi ke darshan mein wo aa gayi ghas to pakde gaye aap gaye to isiliye adharm ka to hamen lagta hai bilkul nahi prashasnik karyo ka jo aapko jimmedari mili hai wo bahut badi jimmedari hai.

hamare samaj ki bahut badi seva hai. Adharmic logon ko dand pradan karna aur dharmik logon ki raksha karna, nirdosh logon ko sukh pradan karna, doshiyon ko dand ke dwara sudharna ye agar ismen ham pralobhan aur bhay ka tyag karke to yahi hamari bhagwan ki puja ban jaegi. To bhagwan ki kripa se baat baithti dimaag mein nahi to dharm bhul jaate. Theek baat hai. Wo wakil theek kah rahe the. Achhche sunte hain aapko bat kah rahe matlab phir vritt chanj ho jati

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi