kitne log ho jo sharab pite ho ? Ye teen baat sab man lo
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
pahli baat to upasak ko yah nahi dekhna ki hamara man lagta hai ki nahi. Upasak ko naam chalane ka prayas karna chahiye. Pahla prayas naam chalana hai. Dusra hamara jo man naam jap ke samay bahut bhut bhavishya ki baten sochta hai. Vyarth ki baten sochta hai. Paap ki baten sochta hai. Unka koi bhi prabhav man par nahi padega. Wo sab delete ho jaenge. Kyonki naam chal raha hai aur bahut janmon ke sanskar hamare naam mein bhare pare hain. Jaise jaise ham naam jap karte hain wo apne sanskar bhagvatik dalta hai man pe aur man ke jagtiik sanskaro ko bahar karta hai aur upasak us prakriya ko samjh nahi pata aur wo vichlit hokar sochta hai ki jab main naam jap karta hoon to man naam mein na lag ke sansaar mein jaata hai.
to pahli baat to aap nishcint rahie. Aapka naam jap karne se hi kam ban jaega. Man bhale sansaar mein jae, man bhale idhar udhar ka chintan kare, use koi fark nahi parta. Jaise agni mein dahika shakti hai to aap bhav se chuo ya anajan ya koi jaan ke jaise bhi chhuoge usmen dahika shakti apna kam turant karegi. Aapko jala degi. Sparsh karte hi jala degi. Jaise amrit mein maran shakti ka nash karne wali shakti virajman hai. Aap jo hi amrit piyenge aap mrityu se bach jaenge. Jaise vish usmen maran shakti virajman hai.
aap jo bhi piyenge aap mar jaenge. Kyonki uska prabhav hai. Aise naam mein anand shakti, taran shakti, paap kshay shakti, dukho ka vinashakti ye sab virajman hai. Aapki jibhya se naam chhwa ki aapka param mangal hoga. Isiliye goswami ji ne likha hai bhav kubhav anak alashu naam japat mangal dashu bhav se ya kubhav se anak se ya alasya se jaise bhi naam jap kiya jae wo hamare sare papon ka nash karke chahe jahan ham desh videsh kahin bhi dason dishaon mein ho hamara mangal ho jaega isliye hamen pradhanata rakhni hai naam jap ki na ki man lagne ki kyonki naam jap ke prabhav bhav se hi chanchal man swayam vashbhut ho jaega.
hamare rasik mahapurush shri dhruvdas ji se pucha gaya ki man bada chanchal hai. Kahin bhagwan mein lagta nahi hai. To iska kya upay hai ki man ko laga diya jae. To unka man to chanchal sabte yako kaun upay? To bole sadhan ko hari bhajan hai ke satsang sahai yadi mahapurushon ka satsang mile aur bhagwan naam jap karne ko mile to hamara man aaj nahi to kal nischit lag jaega lekin aaj ham abhi Radha bol rahe hain aur abhi hamare pran nikal jae aur man sansaar mein laga raha hai to bhi hamen bhagwat prapti ho jaegi jaise putr mein man laga tha Ajamil ka na ki bhagwan mein aur putr ka naam tha narayan to jahan narayan pukar pukara to uska kalyan ho gaya.
man uska putr mein laga tha. Apne putr ko pukara narayan lekin narayan naam bhagwan ka to uska antim samay kam ban gaya. Aur ham janbujh ke Radha Radha bolenge to hamara mangal nahi ho jaega. Wo to apne putr ke liye narayan bulaya to uska kalyan ho gaya. Ham janbujh ke Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram shiv shiv hari hari japenege. Hamara param mangal ho jaega. Man lage ya na lage. Ham kai bar udaharan dete hain. Jaise hamara man kahin aur laga ho. Bhojan pa rahe to pet bhar jaega na. Aisa to nahi hai ki man nahi laga to hamara pet bhara nahi.
hamara to pet bhar jaega na. Aise hi ham naam jap kar rahe hain. Man lage na lage. Sansaar se vairagya, bhagwan se anurag aur apne swaroop ka bodh tino ek saath hota chala jaega. Jab adhik naam jap karoge to anubhav mein aa jaega. Isliye sabse prarthna hai. Pahli baat sharab mat peejiega. Agar itne logon mein se koi bhi sharab pita ho to aaj Vrindavan ki pavan bhumi mein raj mein baithe ho. Shpath kha lo ki sharab nahi piyenge. Wo tumhari buddhi ko bhrasht karta hai. Tumhara paisa vyarth jaata hai aur tumhare sharir ke angon ka nash karta hai.
kitne log sharab pite hain itne mein? Hath uthao. Bahut kam log dhanyavaad. Ham to pahla dhanyavaad dete hain jo nahi pite hain aur dusra dhanyavaad dete hain. Jo pite hain wo aaj se chhod denge. Pakka chhod doge? Chhod doge? Haan. Pahli baat sharab nahi pina. Dusri baat rajkiy, rashtriy aur vyaparik in uddeshyon mein jo desh videsh jaate ate hain ya jo hamare desh ke sanrakshak hain unko mansi bhi parosa jaata hai. Koshish kijiye. Ham na ki kasam nahi khwa rahe. Koshish kijiye ki aapka ahar manas shunya ho.
jaise hamare rashtr sainik hain inko suvida hoti hai kha sakte hain aur chahe to na bhi kha sakte hain to ham jor nahi dete lekin prarthna karte hain ki bina mans ke bhi sharir mein bal aa jaega yadi aap sanyam se rahenge aur pavitra bhojan pavenge kisi jeev ka mans na khaaiye kyonki ye paap aapke sharir ko abhi nahi to age chalkar aur is janm mein nahi to agle janm mein bahut dukh bhogna padega jo dusre shariron ka mans khate agar rashtriy seva mein hai to bhagwan jaise nirvah karen waise nirvah karo.
agar bach sakte ho to mans khane se bacho. Agar sharab pina aur mans khana aur tisra dosh parai stri se vichar karna. Agar in tino par aap vijay prapt kar le aur naam jap karen to isi janm mein aapka mangal ho jaega. Isi janm mein sare dukh chhut jaenge. Jo keval teen baton ko sweekar kar lijiye. Hamari baat man lijiye ki agar mata bahan parae purush se aur purush parae mata bahno ke saath aise gande aacharan na karen to hamare bharat mein grahasti bigde na aaj hamare bharat ki grahasti bigad rahi hai. Grihasth dharm bigad raha hai.
ye hamare bharatiya dharm mein nahi hai. Pranpan se patni ko ardhangini mana gaya aur pati ko praneshwar mana gaya. Jahan hamare dharm mein ye baat hai wo ye baten gandi baten aise sanshay paida karen jo parae purush parae stri to ye teen baten aap sweekar kar lijiye to aapka jeevan dhanya ho jaega kisi se ashirwad mangne ki zaroorat nahi hai yadi aap sahi aacharan karenge to sabke ashirwad aapke paas aa jaenge pahla ham sharab nahi piyenge dusra mans nahi khaenge tisra para stri se sambhog nahi karenge aur koshish karenge ki adhik se adhik naam jap karen hamari prarthna prarthna agar hamari ye baat man loge to aapka nischit parivartan ho jaega.
aap bhari vipatti mein bhi muskura kar nikal jaenge. Itni samarth aapko bhagwan denge. Shri Radha vallabh lal ki jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…