॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

moh rahit ho jaenge to bachchon ka palan-poshan kaise karenge?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

surendra ji Gurugram se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji moh ko tyag kar bhagwat prapti kaise hogi maharaj ji bina moh ke bachchon ka palna kaise karen unki paravrish kaise karen maharaj ji moh tyagne ka koi saral upay hai kya dekho kathin lag raha hai jo tumhen lag raha hai ki bina moh ke ham apne bachchon ka palan nahi kar sakte ye tumhara bhram hai moh shreshth ya prem shreshth vichar karo moh malin hota hai. Prem nirmal hota hai. Yadi ham apne bachchhe se prem karen ki mere bhagwan mere bachchhe ke rup mein aae hain.

kya isse badhkar ke koi bhav ho sakta hai? Ham apne bachchhe ko isse badhkar kya pyar kar sakte hain ki ham use apna bhagwan mante hain. Ham apni patni ko isse badhkar pyar kya kar sakte hain? Ham use apna bhagwan mante hain. Ham mata-pita ko isse badhkar kya pyar de sakte hain? Ham unhen bhagwan mante hain. Matri dev bhav, pitr dev bhav to ham yadi bhagwan ki bhavna karen to moh ka nash ho jae aur bhagwat prem ho jae. Sab mein bhagwan virajman hai. To mere bete ke rup mein kaun aaya hai? Bhagwan hi to aae hain.

bhagwan agar chale jae unke sharir se to us sharir ko ham jala dete hain. Sharir ko gad dete hain. Sharir ka koi mahatva nahi rakhte. To aaj bhi aap anjane mein bhagwan ka hi mahatva rakh rahe hain. To unhee bhagwan se pyar karo na. Apne bete ke sharir rupi mandir mein bhagwan ko dekho. Mera paramatma is rup mein aaya hai. Aur pyar karo. Aapki bhakti badhegi aur bhagwan ki prapti hogi aur bete ka pyar bhi surakshit rahega. Moh se badhkar ke prem hai. Moh mein to agyanta hai. Prem mein gyan hai. Isliye bhai aisa na socho ki moh ke bina parivaar ka poshan kaise ho sakta hai.

bahut achhche se ho sakta hai. Yadi ham bhagwat bhav karen to. Par bhagwat bhav karne ke liye naam jap zaruri hai. Bina naam jap ke bhavna nahi jagrit hoti. Bhajan se hi bhav ki prapti hoti hai. Khub naam jap karo. Maharaj ji aapke anugat yahan char 500 sant rah rahe hain to aap palan poshan kar rahe hain. Kya aapko moh hai? Hamen jitna ek grihasth apne parivaar se pyar karta hoga usse karod guna pyar hai. Karod guna. Har bachchha hamko hamare hriday se hamari atma hai. Har bachchha bachchi hamari atma hai. Lekin ham kabhi paas nahi baithe.

kabhi ham ye nahi kahte dular nahi karte. Lekin hriday se hamara chintan jaise kachua apne ande ko jal mein rahkar ke chintan ke dwara use paripakva kar deta hai. Aise ham chintan ke dwara apne shishya ya apna parikar ya jo jahan bhi rah raha hai wo chintneey shakti ke dwara ham apni atma mante hain. Ham inko bahut pyar karte hain. Par ham pragat mein pyar nahi karte. Maharaj ji ye to bahut bada udaharan hai ki bina moh ke itne janon ka palan poshan ho aur har bachchha agar wo imandari se satya marg mein laga hai to usko anubhav hoga ki mujhse bahut pyar karte hain.

sabko anubhav hoga jitne hain ki hamko bahut pyar karte hain. Ye anubhav hoga jabki ham kabhi kisi se nahi kahte ham tumhen pyar karte hain. Kabhi nahi kahte. Kabhi paas baithkar dular nahi karte aur jab paas milenge to bas ek drishti se dekh liya bas itna hi bahut ho gaya. Lekin prem ke dwara sabka poshan hota hai. Moh ke dwara accha aap itne log baithe ho kya hamare pyare nahi ho? Kya aap hamen pyar nahi kar rahe hain? Kya moh ka sambandh hai hamara aapka? Nahi hai. Lekin itna pyar hai ki ham tumhen kaise batayen?

shuddh prem chintan ke dwara hota hai. Bhagwat chintan karte hue bhav mein bhar ke jiska chintan kar liya uska kalyan ho gaya. Uska mangal ho gaya. Kalyan hona, mangal hona, dukho ka nash ho jana yahi baat hai. Aise lakho log hain jo desh videsh mein rah rahe hain. Ho sakta hai main unko bahari na pahchanta hoon lekin wo bhav kar rahe hain aur unka parivartan ho raha hai kyonki antarik chintan se parivartan ho raha hai. Use prem kahte hain. Ji vastvik prem to guru hi kar sakte hain. Bhagwan bhagwan aur guru abhed hai.

isliye ham guru ji se bhi mante hain ki bhagwan aur guru wo sarvagya hai. Akhand mandal mein vyapt hai. Jaise bhagwan aise Gurudev to vastvik prem to bhagwan aur Gurudev hi karte hain. Aur to sab maya ka khel hai. Bhagwan ki asakti ka khel hai. Sab ek dusre ki asakti mein bandhe hue pashu pakshi tak apne bachchhe se prem karte hain. Lekin sabko apna bachchha mankar sabko apni atma mankar ye to koi mahatma hi prem kar sakta hai. Sabko barabar prem dena. Inme se koi aisa nahi jo aparichit ho hamare liye.

hamari atma ki tarah uska pyar, sabko pyar, sabko apnapan. Aisa nahi ki inme se koi hamare liye nafrat karne yogya ho. Pita se pocho jiske char putr hain, ek mahatma hai, ek grihasth hai, ek pagal hai aur ek durachari hai. Us pita se pocho tumhari charon ke prati drishti kaisi hai? To vatsalya bhav yukt hogi. Wo durachari ko bhi pyar karta hai. Wo pagal ko bhi pyar karta hai. Wo mahatma ko bhi pyar karta hai. Wo vidvan ko bhi pyar karta hai. Aise hi hamare darbar mein, hamari shri ji ke darbar mein, hamare lal ji ke darbar mein, prabhu ke darbar mein ghor papi ka bhi swagat hai.

ab wo kya hai? Tum jano. Hamari drishti mein mera priy atma, mera priy pran bhagwan padhara hai is rup mein. Iske alawa aur ham prichay nahi jante.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi