ekantik vartalaap evam darshan #1175 · 4 february 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha hare Ram Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai rajeev ji bengaluru se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji gita ji mein bhagwan arjun ji se kahte hain ki mera smaran kar aur yuddh kar maharaj ji unka to 18 din tak hi yuddh chala par maharaj ji hamara to salo se yuddh chal raha hai khatm hi nahi ho raha maharaj ji ab kisi chij mein ruchi to nahi hai bat balance bankar kab tak chale maharaj ji yuddh karte thak gaye maharaj thak gaya so veer nahi veer tum bade badhe chalo dheer tum badhe chalo thak kaise gaye is yuddh mein to naveen utsah hota hai kahin truti hai sambhalo nahi is yuddh mein naveen utsah hota hai is yuddh mein parast hona nahi aata kahin truti hai sambhalo kahin na kahin chhed hai jo adhyatma uske ras ko bahar kar raha hai nahi to is yuddh
mein utsah badhta hai viron ko jab saman yodha milta hai tab utsah badhta hai. Kamzor mile to nirash ho jaate hain. Jab apne se jor ka yodha hota hai tab unki bhuja bhadakti hai. To apne se jor ke yodha hai kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar apne paas bhagwat bal hai. Kabhi wo hamen giraenge to kabhi ham unke upar chadhenge. Pakka chadhenge. Der nahi lagegi. Ek din thakur ji ki kripa se unko chhatachitra patkenge. Pakka kah rahe hain. Pakka hamari baat par vishwas kar lo. Bhagwan ke bal se kah raha hoon bachpan se is marg mein hoon.
unhone bahut tang mari. Bahut bar dhobiya pachad pachhadne ki koshish ki. Lekin phas gaye hamare danv mein. Ab nahi nikalne wale. Kyon? Kyonki yah jagatguru ka bataya dav hai. Jagatguru bhagwan ka bataya dav hai. Isliye harna to nahi nirash to hona nahi, udas hona nahi. Is marg mein naveen utsah bhagwan dete hain. Nahi kai bar hamare jeevan mein andhera chhaa gaya. Ab kya hoga? Aisa laga ki kahan charon taraf andhkar chhaya hua hai. Par phir ek prakash prakt hua aur usne rasta bataya. Bachpan se lekar bhagwan ka bataya hua hi marg ham chal rahe hain.
wahi jagatguru hamare ko chala rahe hain. To bhaiya nirash hone ka matlab hai koi truti ho jana. Maharaj ji abhi kya sansaar mein rahte hain maharaj ji parivaar mein to aapka satsang sunne se ruchi khatm ho raha hai us bhogon mein. Bat balance bana ke chalna par raha hai ki kyonki sabko dekhna hai. Sabke manokamnaen puri kitna badhiya hamari ruchi nahi hai. Lekin ham wo kriya kar rahe hain. Koi bhi kriya kitna badhiya hai. Hamari ruchi nahi hai. Kitna badhiya hai. Kitna anand hai. Aap is baat ko tabhi ham kah rahe koi adhyatma mein truti ho rahi.
ismen bahut anand bhagwan ne jo kartavya karm diya hai. Wah hamen avashya nirvah karna hai. Apne man ki ruchi ko dabakar. Paramarth ki ruchi ko dabakar adharm nahi karna lekin paramarth ki ruchi ko daba ke hamen karna hai. Hamen paramarth ki ruchi ko andar hi andar dabana hai. Grihasth hai to grihasth dharm ka palan virakta hai to virakta dharm ka palan karna hai. Jab tak jeevan hai tab tak kartavya hai aur jab jeevan samapt ho gaya to bhagwan apne hath mein dol lekar khud sambhalnge. To hamen aise parivaar mein chalna hai ki hamara jo kartavya hai ham apne kartavya ka palan apni adhyatmik ruchi ko dabakar maharaj ji bahut badi baat hai aap prerna srot hai hamare sab grast jo sadhak hain aapke jo avirakta sadhak hai ki apni ruchi ko daba ke sansaar ko dekhte hue balance karte hue bhajan karna bilkul bilkul ruchi ke anusaar to aap bhagwan sakshi hai hamari jo antarik ruchi hai use to bhagwan jante hain dusra kaun janta hai par jo hamare hamare isht ki ichchha hai, prabhu ki ichchha hai wo avashya hoti hai.
aise hi aapko karna hai. Aapko baat karne ki ichchha nahi lekin baat karna padega. Vihaar mein ye nahi dikhana hai ki main bada adhyatmvan hoon. Vihaar mein dikhana main aap jaisa hi sadharan aadmi hoon. Andar se asdhran vritti ekant hua ki punah bhajan mein doob gaye. Vihaar mein gaye to aise saral aur sadharan ban ke gaye ki koi khas baat nahi. Hamare jaise hi vyakti hain. Aisa lagna chahiye. Tabhi Ram bhaj te chatur nar wo chatur shiromani apne ko bacha ke nikal le jaega. Bahar koi na jaan paye aap itne uchh kot ke adhyatmik vyakti hai aur andar se andar hi adhyatma ka poshan kijiye aur bahar vihaar mein chalie koi jaan hi na pave ki aisa nahi to bigad jaega.
aapka phir andar ka chintan bigad jaega. Patni asantusht, putr asantusht, parivaar asantusht to uska prabhav aapke upar padega. Aap bhi asantusht hone lagenge. Isliye vihaar ka balance bankar paramarth ko pusht kijiye. Sangeeta ji maunt abu se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwat kripa ka swaroop kya hai? Yah kaise uday hogi? Sant janon ka milna bhagwat kripa ka swaroop hai. Santo ke sang mein rati hona bhagwat kripa ka swaroop hai. Bhagwan ke naam mein priti hona bhagwan ke dham mein priti hona, bhagwan ke leela gun charit mein priti hona, bhagwan ke bhakton mein priti hona yah bhagwan ki kripa ka swaroop hai.
Harivansh kripa Harivansh kahe Harivansh kahe Harivansh laye. Prabhu ki kripa se hi koi prabhu ka naam jap sakta hai. Ab moh bhav bharosh hanumanta binu hari kripa mile nahi santa bhagwan ki kripa se hi santo ka milan hota hai. Shri Radhika kripa binu sabke manan agam mein bina priyal ki kripa ke dham mein priti nahi ho sakti. To kripa se naam mein priti, dham mein priti, santo mein priti, unke vachno ke anusaar chalne mein ruchi yah bhagwat kripa se hoti hai. Kripa ahtu ki hoti hai. Aur wah sab par hai. Par ham kripa ka anadar karke bhogon mein ruchi prakt kiye hue hain.
isiliye kripa ka anubhav nahi ho raha. Yadi ham bhagwan ke sanmukh hokar kripa ka aadar karen to hamen isi janm mein bhagwat prapti ho jae. Itni kripa bhagwan ne pehle se kar di. Kyonki manushya sharir bhagwat kripa ka hi swaroop hai. Kabahu ka kari karuna nar dehi det i binu het snehi. Bhagwan kabhi kripa karte hain, karuna karte hain to bina kisi karan ke jeev ko 84 lakh yoniyon ke chakra se nikaalkar manushya sharir de dete hain. Aur manushya sharir ka phal bhagwan ke charnon ki rati hai. Yahi tan kar phal vishay na bhai bhaj Ram sab kam bihai samasth kamnao ka tyag karke bhagwan ke charnon ka nirantar bhajan karte hue apne kartavya ka palan karna yahi kripa ka swaroop hai.
veena ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ab kachu nath na chahiye more din dayalu anugrah tore maharaj ji aisi sthiti kab prapt hoti hai sadhak ko jab sarvatra se mamta hatkar ekmatra bhagwan ke charnon mein hoti hai. Sab bhogon ki ashaon ka tyag hokar ekmatra bhagwan mein asha rahti hai. Sab balon ka tyag hokar ke ekmatra bhagwat bal ka aashray hota hai. Dhan ka bal, tapasya ka bal, buddhimatta ka bal, nana prakaar ke balon ka tyag karke ekmatra bhagwan mein bal aur sab bharoson ka tyag karen.
ekmatra bharosa bhagwan ka. Tab us anand ka anubhav hota hai jo anand brahma ji ko bhi nahi hai tab hriday se nikalta hai ab kachu daat na chahe more nath jis anand ke liye main anant janmon se bhatkte hue vivid karmon ko karta hua vivid bhogon ko bhogta hua kabhi prapt nahi kar paya wo anand aaj aapki kripa se mila isi ki khoj thi he nath ab kachu nath na chahiye more din dayal anugrah tore wo bhagwanand hai wo parmanand hai wo jab prapt hota hai to phir aur koi chah nahi rah jati lekin wo tabhi prapt hota hai jab koi bharosa
koi bal koi as kisi anya se na ho ekmatra shri bhagwan se ho ekmatra shri bhagwan apne ho dusra koi hamara nahi mere to Giridhar gopal dusro na koi jab dusra na koi tab anand prapt hota hai bhajan karne par bhi yah anand ki anubhuti isiliye nahi hoti kyonki dusra koi hai vishay hai vastu hai sthan hai vyakti hai dusra koi hai kahe haridas te jeev vimurkh bhae je dusri kardari dusra koi hai to hari se vimurkh ho jab dusra koi nahi hai to mere to Giridhar gopal dusro na koi ye anand ye sthiti
tabhi prapt hoti hai isiliye bahut prayas karne par bhi is anand ka anubhav nahi ho pata kyonki ham faile hue hain. Samit nahi pa rahe hain. Hamari asakti kisi vishay mein, kisi vastu mein, kisi vyakti mein, kisi sthan mein fansi hi rahti hai. Jab tribhuvan ke kisi bhi vastu, vyakti, sthan, pad, pratishtha, sukh mein hamari kinchin matra rati na rah jae. Tab yah anand prapt hota hai. Yah anand prapt hone ke baad koi chah nahi rah jati. Samasth kamnayen shant ho jati hai. Hriday anand se bhar jaata hai.
anya smriti vihin ekmatra bhagwat smriti leen aisi sthiti hoti hai. Sima Garg ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sant aur asant mein kya antar hai? Sant jo apna ahit kare uska bhi hit kare use sant jo apna hit kare uska bhi ahit kare wo asant asant bhagwan se vimurkh papacharan rat shastr ki agyaa ke virudh aacharan karne wala manmani aacharan karne wala samasth asuri sampada se yukt shastragya ka palan karne wala daivi sampada se yukt sarwok mangal chahne wala nirantar bhagwan ke charnon mein apne chitt ko samarpit kiye hue kam krodha aadi dosho par vijay prapt kiye wahi sant hai kamadik madad dambhan jake tat nirantar bas mein taake wahi sant hai jo bhagwan ko premadheen kiye hue hai wahi premadheen kar sakta hai jo kam krodh lobh moh mad matsar in par vijay prapt kar liya hai bhajan ke prabhav se jo inme fansa hua hai shastr virudh aacharan karta hai wahi asant samasth asuri sampada asanton ke hriday mein hoti hai aur devi sampada santo ke hriday mein hoti hai.
vivid prakaar se dekha jae sab mein bhagwan virajman hai par asanton ka sang na mile chahe narak bhale mil jae barbal vas narak kar data aur dusht sang jan de vidhata dusht sang na mile dusht sang jo dusron ka ahit karte rahte hain jo sab mein dosh darshan karte hain jo dusron ki ninda karte hain, jo dusron ke gunon mein bhi dosh nikaalte hain, dusron ka amangal vicharte rahte hain. Aise logon ka sang na mile. Barbal vas narak kar tata dusht sang jan deh vidhata. To sant aur asant mein bada antar hai. Sant bhagwan ka kripa ka swaroop hota hai.
asant bhagwan se vimurkh hota hai. Veena ji Rajasthan se maharaj ji deh abhiman purnata galit kaise aur kab hota hai? Jab santo ka sang hota hai, shastr ka swadhyay hota hai, nirantar bhajan hota hai to sant sang aur shastr swadhyay se pavitra bhajan ke dwara jab gyan utpann hota hai to agyaan janit dehabiman nasht ho jaata hai. Agar sant sang na ho to dehabiman nasht nahi hoga. Dehabiman nasht hota hi sant sang se hai. Bahut kripa hai. Jinko sant sang mila hai aur wo bhajan paraayan hai. Dhire-dhire dehabiman galit ho jaega.
ye dhire-dhire nasht hoga. Ekdam nasht hone wala nahi ki aaj bhajan kiya khatm deha abhiman nahi bahut lambe samay tak chalega bhajan karte hue bhi bana rahega par bhagwan ki kripa hai to dhire-dhire kuch prabhav nahi dal payega dhire-dhire swayam ksheen hota jaega to satsang shastron ka swadhyay pavitra bhagwan ka nirantar bhajan pavitra dincharya hamari puri dincharya pavitra to malin antahkaran mein dehabiman pusht hota hai aur nirmal antahkaran mein dehabiman nasht hota hai. Isliye bhagwan ka bhajan mukhya hai. Santo ka sang sahayak hai.
ye dehabiman nasht ho jaega. Khub naam jap karo. Santo ka sang karo. Parmeshwari devi ji Delhi se. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aapke patidev ko Ashok chakra se sammant kiya gaya maharaj ji wo atankwadi muthbhed mein unka sharir pura hua maharaj ji abhi kah rahe hain ki mujhe kabhi-kabhi bahut gussa bhi aata hai ki mera kya kasur tha ki aisi zindagi aur kabhi pyar bhi aata hai ki desh ke liye nahi nahi gussa to un par kijiye mat wo hamare bharat pure bharat ke sammaniay hain. Unhone rashtr ke liye jeevan samarpit kiya hai.
aise shahid ko ham pranam karte hain aur aapko bhi pranam karte hain ki unki ardhangini hai. Aap un par kabhi krodh mat kijiye. Wo to veer pure bharat ke namaskaar yogya hai. Jisne apne prannon ka balidan apne desh ki raksha ke liye desh janwasiyon ki raksha ke liye kiya. Ham aapka sammaan karte hain. Aapka pati sammaan nahi tha. Aap kabhi aisa vichar mat kijiye ki unhone aapko chhoda. Aap saubhagyavti hain. Aapko garv karna chahiye ki mujhe aisa pati mila jo hamare rashtr ki seva mein samarpit hua aur hamari taraf se aapko pranam hai aur aap prasann rahie.
hamari sarkar to aapka sahyog kar hi rahi hai. Hamara bharat namaskaar karta hai jo hamare rashtr ke liye apne prannon ko samarpit kar diye. Kiran bala ji Gurugram se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji yah tatv drishti kya hoti hai? Bhagwan param tatv swaroop hai aur sampurn srishti 24 tattvo se bani hai. Jo sankhya yog mein chalte hain wah tatv chintan ke dwara tatv swaroop paramatma ko prapt hote hain. Jaise panch tatv se yah sharir rachit hai. Panch indriyan karmendriy hain. Panch gyanendriay aur inko bhogne wale panch tan matraen shabd sparsh rup ras gandh aur in sabka shasan karne wala antahkaran chaturshty man buddhi chitt ahankaar ye 24 tattvo se jo pura jagat racha hua hai.
isko prakashit karne wala 25wa tatv hai atma swaroop. To sankhya yog ke dwara in tattvo ka chintan karte hue srishti se vairagya dharan karke param tatv swaroop atma swaroop paramatma mein sthit hona hi tatv chintan kahlata hai. Samasth charachar jagat tatv ke dwara hi bana hua hai. Aur uska param tatv paramatma hai aur wahi paramatma swaroop main hoon. Aisa chintan karna sankhya yog ka tatv chintan hai. Deepak ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab ham sab kuch bhagwan ke sahare chhod dete hain tab hamara kartavya kya rah jaata hai maharaj ji phir to aapka kartavya nahi rah jaega aapse karaya jaega jab tak ahankaar hai tab tak hamko yah jaise aapne kaha nahi ki hamne sab kuch bhagwan par chhod diya hai to abhi nahi chhoda hai kyonki abhi aapki smriti hai na to ahankaar bakaya hai.
abhi ahankaar bakaya hai. Jab yah smriti hi na rah jae ki maine bhagwan par sab kuch chhod diya hai to swayam bhagwan jaise arjun ka rath akne lagte hain. Arjun ko kahan le jana hai, kya karna hai swayam bhagwan jante hain. Aise hi uske hriday mein bhagwan baithkar ke kab kya karana hai wo swayam karate hain. Na uska koi sankalp hota hai. Na uska koi ahankaar karta bhav hota hai. Apne aap usse kriyaen hoti hai. Jisse jagat mangal hota hai. Apne aap kartavya ka palan hota hai. Wo ahankaar se nahi wo bhagwan se hota hai.
jab sampurnatya bhagwat samarpit ho jaata hai to hriday mein baithe hue bhagwan swayam bagdor sambhal lete hain. Aur jaise kathputli ko nachane wala jaisa chahta hai waise hi kathputli nachti hai. Aise hi us vyakti ke dwara sare karya hote hain. Karane wale bhagwan hote hain. Aur dikhayee wo deta hai ki wo kar raha hai. Kare karave aap sab aur jane bardai de. Ye bhakton ke saath hota hai jo apne jeevan ko bhagwan ke charnon mein samarpit kar chuke hain. Bahut achchhi tarah se karm hota hai. Aisa na samjhe ki ahankaar se hi karm theek hota hai.
ahankaar se karm to malin hota hai. Lekin bhagwat samarpit sharir se jo karm hoga wo jagat pavan karne wala jagat mangal karne wala hoga. Isliye samarpan atyant avashyak hai. Naudha bhakti ka akhiri bhakti swaroop hai atmsamarpan. Bada kathin hai atmsamarpan kar pana. Ye ahankaar bada badha pahunchata hai atmsamarpan karne mein. Sanjeev dixit ji Kanpur se maharaj ji inka bhi sem hi prashn hai ki sarv dharman paritaj mam ekkam sharanam braj. Maharaj ji sabhi dharmon ko tyag kar keval meri sharan mein aa jao. Main tumhen sabhi papon se mukt kar dunga.
tum daro mat. Maharaj ji margdarshan chahta hoon ki yadi ham sab karmon ko tyag denge to prabhu ki sharan mein kaise pahunch payenge? Kyonki karmon se hi dharmata hai. Aap samjho dharm ka sabse pehle aashray liya jaata hai. Dharm ka aashray liya jaata hai. Phir dharm ke anusaar aacharan kiye jaate hain. Bina aashray ke aacharan nahi hota. Ab yahan bhagwan jo kah rahe hain wah taj lok dharm ke liye kah rahe hain kyonki bhagwan avtrit hi hue hain dharm ki sthaapna karne ke liye yada hi yada hi dharmas gan bhavat bharat abhya dharmas tadatmanam sajamya bhagwan dharm ki sthaapna ke liye avtrit hue hain to bhagwan dharm tyag ki jo baat kah rahe hain usko badi sukshta se samjhna hoga.
bhagwan lok dharm ke tyag ki baat kar rahe hain. Jaise lok dharm mein aap kisi ke pati hain, kisi ke putr hain, kisi ke pita hain, kisi ke bhai hain, kisi ke mitra hain. Aur sab kartavya nirvah karna hai apne aham se ki main pati hoon to ab nahi. Main prabhu ka hoon. Main inme se kisi ka nahi hoon. Prabhu ka hoon. Haan, prabhu ne mujhe kartavya diya hai ki ise patni ki tarah vihaar mein, ise bahan ki tarah vihaar mein, ise maa ki tarah vihaar mein, ise pita ki tarah vihaar mein, ise putri ki tarah vihaar mein.
to main kar raha hoon. Lekin main prabhu ka hoon. Main in sab dharmon ke ashrit nahi hoon. Main prabhu ke ashrit hoon. Aur yah jo kartavya karm kar raha hoon ye keval prabhu ki ichchha prabhu ki agyaa ka palan karne ke liye kyonki prabhu ne mujhe grihasth mein rakha hai. Hamari baat ko achhche se samjh rahe ho na? Haan mera aashray bhagwan hai. Main bhagwan ki prasannata ke liye kar raha hoon. Vaj lok dharman jab taj lok dharman ho gaya to bhagwat dharm jagrit ho gaya aur jeev samasth papon se rahit hokar mukt ho gaya.
ham inheen dharm bandhan mein bandhe hain. Yah dharm bandhan ki chhoti-chhoti rassiyan ek mein milkar mujhe maya mein bandhe hue hain. Isi maya mein dharm bandhan se mukt hone ke liye bhagwat dharm ko sweekar karne ke liye bhagwan adesh karte hain. Sarv dharman parityaj mam ekam sharanam meri ek sharan mein tu ho ja. Mera aashray le le aur phir kartavya karm ka palan kar. Bhagwan ki jab sharan mein arjun ji ho gaye to bhagwan ne kya karaya? Kartavya ka palan karaya ki nahi karaya? Tum chatra dharm se yukt ho. Yuddh tumhara is samay param kartavya hai.
wo kah rahe hain sanyaas lekar bhajan karunga. Bhagwan kah rahe nahi. Yadi tum meri sharan mein ho to mere vachno ka palan karo. Mamma yuddh cha mera smaran karte hue yuddh karo. To bhagwan ne kya karaya? Dharm ka hi to palan karaya. To hamen kya karna hai? Aashray bhagwan ka lena hai. Aur kartavya karm samjh ke apne sambandho ka nirvah karte hue un sabko bhagwan ki sharan mein samarpit kar dena hai. Krishnarapnam vastu jisse aapko bhagwat prapti ho jaegi. Samjh paye aap? Ji kunal ji Banaras se Radhe-Radhe maharaj ji guru ji aapka satsang sunkar jeevan mein bahut badlav aaya hai par kabhi-kabhi maya gira deti hai maharaj ji bahut phir jalan hoti hai maharaj ji agar isse bahar nahi nikal paye to mera kya hoga maharaj ji naam jap karo naam jap Radha Radha Radha Radha ya jo bhi naam aapko priy ho naam jap karo kabhi parast nahi hoge naam jap saath hai to kabhi parast nahi hoge galti bhi ho jaegi to naam jap use mitakar aapko age badhaega khub naam jap karte raho.
naam jap na chhute wo counter rakhte ho. Haan khub naam jap karte raho. Gin karke naam jap karne se zyada man lagta hai ki aaj 5000 kiya 6000 kiya. Aise khub naam jap karo. Tumhara is lok mein parlok mein bhi mangal hoga. Naam jap karne wale ko maya parast nahi kar sakti. Haan gira sakti hai. Gir jana koi parast hona nahi hai. Ham phir khade hokar daud lagate hain. Ek na ek din ham aise abhyasta ho jaenge ki ham girenge nahi. Hamen nirash nahi hona. Bahut janmon se hamen maya girati rahi aur hamen girne ka abhyaas hai.
isliye aaj ham uthkar adhyatma ki taraf chal rahe hain to ho sakta hai ham gir jae lekin ham chalenge adhyatma ki taraf bhi to naam jap ke prabhav se ham vijay ko prapt honge. Shri Radha vallabh lal ki jai bhagwat kripa se hi sab prasann bhagwan ki kripa se kartum akartam anytha kartum sarv samarth sa eeshwara wo sarv samarth paramatma jaise is shlok mein hai mukam karoti vachalam pangum langte girim to ye to padhte hain aur ham ye dekhte hain ye ab dekhte hain mukam karoti vachalam pangum langte girim yat kripa tam ham vande parmanand madhwam wah Madhav parmanand swaroop bhagwan ki kripa ko dekhte hain ki wah kripa kya kar sakti hai wo tinke se pahar ko udwa sakti hai tinke se pahar ko udwa sakti hai chhota saanp ka bachchha Garud ko kha sakta hai aisi samarth usmen hoti hai hai param laghu byaal chhota sa saanp ka bachchha Garud ko kha sakta hai jo Garud hazar phan dhadi ko bhi cheer sakte hain un Garud ko bhi ek tinka pahar ko bhi uda sakta hai.
sui ke chhed mein bhi anant brahmand par kar sakta hai. Wah paramatma hai. Wo kya lekar hai? Usi ki kripa se chal aur usi ke aap nij parsad hai. Badi kripa kari bada darshan. Aao viraj ji. Ram katha karwai thi. Accha Delhi ke bharat sir vishv shanti kendra jo bana hai bharat ka pahla aur yukren aur rashiya ka jo vivad chal raha hai aaj aapse khas dua lene aaya hoon ki wahan jakar ke uske samadhan ke liye ham prakriya mein age badh rahe hain to aap jaise pavitra santo ke saath jo adhyatma shakti hi ek aisi hai jo pure vishv vishv ko jod sake.
bilkul theek kah rahe. Adhyatma shakti aur jinko adhyatma ka prichay nahi indriy bhogon ki pashuta mein lage hue hain unmein to rag dves rahta hi hai. Jab tak ham adhyatma shakti ko janjan ke hriday mein jagrit nahi kar payenge tab tak shanti nahi prapt ho sakti. Shraddha late gyanam tat sante gyanam labdh param shanti madat aapne bilkul theek pharmaya raga dweshya upagat yas brahma Vishnu va haro jinova namasta tasmai mul to rag dves ka khatm hona hi tab hi adhyatma ka avatran aur aaj vastut maharaj ji zaroorat hi iski hai ki dharm ko adhyatma se joda jae aur jis din adhyatma ka ankur prastutit hua ashanti apne aap khatm ho khatm ho jae bilkul bilkul ji sunte the itihas mein Buddha ne ghar chhoda Mahavir ne chhoda aapne kashi padhare kashi se aap yahan padhare aur jo aap ganga baha rahe hain iski zaroorat hai aur khaskar yuva pidhi ko jo aap margdarshan dete hain jo adhyatma ka hamko bahut accha lagta hai kyonki hamare desh ke bhavishya yahi hai jo navyuvak bachchhe hain wo vyasan aur vibhichar se grast hote chale ja rahe hain.
agar ye na sambhle to hamara bhavishya bada galat mein jaega. Bilkul aapka theek kahna hai maharaj shri main kahta hoon ki jo hamare sharir mein spainal korda hai. Merudand hai. Reed ki haddi hai. Samaj mein wahi sthan yuvaon ka hai. Merudand agar ladkhda jae pura sharir ka pura sharir down ho gaya. Aur hamari yuva pidhi jo hai agar wah patan ke raste chali gayi to isliye yah jo diye aur tufan ki ladai hai sanskriti aap sanskriti ki to usmen aapka jo margdarshan hai wo mahatwapurn hai aur usi ki aaj is desh ko zaroorat hai duniya ko zaroorat hai aap santo ki kripa se jo yatha kinchit bol pate hain jo jaise bol pata hai pryasrat hai to aap mul sparshi bolte hain aur ye bahut badi baat hai usi ki us tatv ki hi zaroorat hai ji jab maine logon ko pata laga ki ek Jain muni Ram katha ka aayojan kar raha hai.
ji to jo log nahi jante hain unhen kut are Jain muni aisa itihas mein kabhi nahi hua. Maine kaha Ram ji ka wo sthan hai Jain dharm mein jo adinath bhagwan rishbh ka hai ya Mahavir ka hai. Unko bhi moksh kami mana. Wo bhi brahm hai, paramatma hai, ishwar hai, bhagwan hai. Koi antar nahi hai. Ye antar bai hai. Dekho hamen ye lagta hai ki chahe jo sampraday ho ya chahe jo dharm ho jab yah baat samjh lega ki paramatma ek hai. Phir tark ya dweshatmak bhav ya kisi ki avhelna in shabdon ka koi sthan nahi rah jaata hai.
aur jab tak ek ka anubhav nahi hoga tab tak nanatma mein bhramit hone wala na gyani hai na wah mahatma hai. Mahatma to wahi hai jo vasudeva sarwamti sab jagah ek hi paramatma ko dekhta hai. Aae tule payasu ji atmavat ek drishti se jo aapne kaha yahi prakrit ka Mahavir vani ka aae tule payasu apne atmavat jo hai sabko ek drishti se bilkul bilkul to jo bhi jitne bhi bade mahatma hue hain unka anubhav bhi yahi hua hai haan unka anubhav bhi unhone kabhi panth sampraday majhab ki baat hi nahi aap dekhiye kashay mukti kil mukti reve mukti kya hai bole kashay se krodh man maya lobh isse mukt ho jana mukti so bhayashta dhammo shuddh chiththa dharm ka patr kaun jo riju hai pavitra hai nirmal hai 15 prakaar ke siddhatwa ka varnan kiya tirth siddh ateertha siddh anya tirth siddh swaling siddh grah ling siddh unhone kaha ki siddhatwa ka sambandh na desh se hai na vesh se hai hamari bhavdhara pavitra ho nirmal ho rag dves mukti ho kashay mukti to dharm ka to shuddh swaroop hai maharaj shri aap usi ko age badha rahe hain.
main barabar dekhta hoon dur baithe bhi ye aapke jo system sansadhan the to bahut accha lagta hai ki aaj hamari yuva pidhi ye jo diye aur tufan ki ladai hai maharaj ji sanskriti aur aap sanskriti ki hai na us beech mein ab theek hai aap aur ham Ramkrishna to nahi hai wo surya mahasurya the par ek diya ban ke timtimana aur us diye aur tufan ki ladai mein diye ko nahi bujhne dena wo bada mahatwapurn kam kar rahe ho aaj hamara bahut bada bahut hi hamko accha lag raha hai ki hamen bhi bada sukh milap kripa karke darshan diye aa ke badi kripa hai badi kripa ke darshan diya lakshmi papi ke ho sant samagam hari katha jag mein durlabh dand da charan vandna aap virajie badi kripa aap bahut kripa kari darshan ne ji ji accha o ho machuk praloi prabodh bahut kripa kari darshan diya bahut kripa kari aapka vatsalya jo aap kripa karke aae darshan diya aapka vatsalya sab age hamari mata ji maharaj ji dada vallabh ji goswami parivaar se hain.
ji ji are aap sab param pavitra bhagwan ke parsad hain. Bhagwan ke nij parsad hain. Jagat mangal ke liye hi bhagwan apne nij janon ko bhejte hain. Vedwani bina bhagwan ke parsado ke mukhrit nahi ho sakti. Jo jagat mangal karne wali ved vani hai, shastr hai, yah jab bhagwan ke nij parsado ke mukh se prakt hoti hai to us vani ka prabhav parta hai. Jo log pavitra bhojan nahi pate, pavitra aacharan nahi karte, pavitra vichar nahi karte, keval ise vyapar matra mante hain. Unki vani ka prabhav jagat mangal nahi kar sakta.
jo ise apna jeevan mante hain. Aradhya mante hain aur isi ko gakar ke prasann rahte hain. Tyant cha ramant cha matit madgat prana bodhta parsparam kathant cha mam nityam tashyant cha ramant cha jo isi mein tyant cha ramant cha unke dwara jagat ka mangal hota hai aur tyant cha ramant cha ye bhagwat parsado mein hi hota hai kyonki unke pritam ki charcha hai na apne prannath ki charcha gakar wo pulkit hote hain. Prannath ke ras mein wah apne chitt ko tript kar dete hain. Unko koi bahari vastu, koi bahari man pratishtha ya arth aadi ki chah nahi rahti.
ye to apne aap seva mein rahta hai. Bhagwan ke parsado ki seva maa ki tarah maya karti hai. Wo vatsalyamai maya hai. Mayapati bhagwan hai na to wo hamare Swami hain. To maya maa ki tarah poshan karti hai. Maharaj kripa karen. Ashirwad den. Nahi to moksh nahi hoon maharaj ji Vrindavan dham mein vas milta rahe maharaj ji har janm mile maharaj ji aur seva karte rahe ham bhi yahi akanksha karte hain ki aap gurujanon ki aap sabki ashirwad vritti bani rahe jisse hamara sharir isi Vrindavan mein chhute Vrindavan ke ashrit rahe Vrindavan mein hi rahe Vrindavan ke bahar na marne ke baad jae na jite ji jae bas yahi akanksha hai maharaj ji bitiya ek pad suna sakte suna suna do bachchha bhakti karte hue nikle pran prabhu ji yahi mangu ji bhakti
karte hue nikle pran prabhu ji yahi mangu ji rahe janm janm tera saath prabhu ji yahi mangu ji tera mukhda manohar main dekha karun tera mukhda manohar main dekha karun atho yam bhajan tera bola karun atho yam bhajan tera bola karun rahe ant samay yahi dhyan prabhu ji yahi mangu ji rahe ant samay yahi dhyan prabhu ji yahi mangu ji meri asha nirasha na karna kabhi meri asha nirasha na karna kabhi mere avgun hriday mein na dharna kabhi mere avgun hriday mein na dharna kabhi rato shas shas tera naam bahut sundar prabhu ji bahut bahut allad hua aap darshan diya karke aapka vatsalya Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…