॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sadhak kya savdhani rakhe ki wah nirantar age badhta rahe aur usse koi chuk na ho?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

atul ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sadhak sangopang dhang se upasna karta hai to pehle khinnta phir prabhu ke milan ke liye rona aata hai to maharaj ji sthiti se lekar virah tak ki sthiti tak sadhak kaise sambhle ki chuk na hone paye. Sabse pahli baat hoti hai bachchha sansaar ka rag hamare andar bana rahta hai. Jab tak bhagwat sakshatkar nahi hota to jab ham pragat mein vishyon ka sanyog nahi karte to andar se vishay ras ki lalsa rahti hai. Bhajan bal se jab tak us vishay ras ki lalsa nasht nahi ho jati tab tak koi adhyatmik unnati nahi mani jati.

agar ras ki anubhuti ke bal par vishyon ka tyag ho raha hai. Asli mein uska tyag hai. Bahya tyag kar diya andar se sukh buddhi bhogon mein hai aur man hamara bhogon mein ja raha hai. Wo koi khas baat nahi hai. Khas baat hai. Bhogon mein sukh buddhi ka nasht ho jana. Brahmaadik ke bhog sab vish sam lagat tai narayan braj chandra ki lagan lagi hai jab samasth bhogon mein sukh buddhi nasht ho jati hai to ekdam hriday ki purn ekagrata prabhu ki taraf hoti hai. Hi prabhu ki sanukhta hui prabhu ki ekagrata hui bas phir kuch suhai nahi deta aur kachu na suhaye lok ki pad pratishtha man bhog prashansha kuch nahi accha lagta kaise prabhu se milun ismen itna sukh hai ki brahma ke pad mein bhi sukh nahi is vyakulta mein mujhe prabhu mile mujhe aur kuch nahi chahiye nahi khanpan te bhave hai nahi komal vasant suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mag nyara hai ashiki hari se lag gayi ab kuch accha nahi is kuch accha na lagne mein wo sukh hai jo brahm pad mein sukh bhi nahi brahma ke pad mein bhi sukh nahi ab uske andar premagna dhak uthti hai.

janm janmantro ki dabi hui samasth durvasan bhasm ho jati hai. Hriday nirmal ho jaata hai. Bhagwan ki adbhut adbhut saundaryurya nidhi jo bhagwan hai unki jhanki ane lagti hai. Ab wo bhagwan se milna bhagwan se baat karna bhagwan ke saath khelnaa ye uske andar chah prakt ho jati hai. Ye chah hi wo bal hai jo yatra karati hai. Chah hi milan ki chah hi wo bal hai jo bade-bade kashto ko aur bade-bade laukik sukho ko donon ki parvah na karte hue wo bhagwan ki taraf dauda hai. Upasak is chah mein bal hai.

is chah mein bhagwat milan ki chah mein itni samarth hai ki mrityu bhi uske liye dukhad nahi lagti. Marne se sab jagda mero man anand kab mari ho kab bhet ho purn parmanand. Mrityu bhi mahotsav lagti hai. Aur brahmaadik ke sukh bhi use vish ke saman lagte hain. To na koi sukh aur na koi dukh usko rok nahi sakta. Bhagwat milan ki chah mein itna bal hai. Wo sabko raundta hua apne lakshya par dauda hua apne aradhya dev ko hriday se laga leta hai. Yahan kisi aur support ki zaroorat nahi hai. Bhagwat chah mein bhagwat milan ki chah mein hi itni samarth hai ki brahmaadik ke bhogon ka aise vaman ki bhanti vish ki bhanti tyag kar deta.

mrty lok ke bhogon ki baat jane do. Par pehle wo prabal chah to prakt ho to narayan hari bhajan mein ye panchon na suhad vishay bhog nidra hansi jagat priti bahu baat inko pehle chodo inheen ke chhorne mein samay hai bhagwan ke milan mein samay nahi wo to hriday mein baithe intazar kar rahe hain ki kaun kab hamse milna chahta hai lekin lekin jo bhagwan se milna chahta hai uski keval ek chahat honi chahiye. Keval shri bhagwan agar kuch aur hai to parda dale trigun maya ka hriday mein hi baithe wo nahi milenge. Keval shri bhagwan ki chah to parda hatakr ke prakt ho jaenge.

isliye bhajan marg ko pusht karo. Bhagwat milan ki chah mein itni samarth hai. Wah dukh aur sukh donon ka tyag karke parmanand ki yatra karata hai. Kisi aur ke support ki zaroorat nahi hoti. Us chah mein swayam itna bal hota hai. Maharaj ji jo aap chah ki baat kar rahe hain maharaj ji lambe samay tak sadhna karne ke baad ye chah aati hai. Haan ye aise nahi aati. Jab sab vishyon ka rag nasht ho jaata hai tabhi ye chah paida hoti hai. Pehle to ham bhagwat prapti ke liye jo vishyon ka tyag karte hain andar se vishay bhog ki ichchha rahti hai.

vishyon mein sukh buddhi rahti hai. Par ham bhogte isliye nahi ki hamen bhagwan ki prapti karni. Ise tyag kahte hain. Phir vishyon ki sanidhy ki sthiti mein bhi vishay bhog ki ichchha nahi rahti. Ise vairagya kahte hain. Phir vishay hai aisa bodh bhi nahi rahta. Ise uprati kahte hain. Tyag vairagya uprati iske baad chah prakt hoti hai. Antim padav antim para. Chah ho gayi phir kya bhagwat milan ki lagan lag gayi chah ho gayi to satar satar salokti jiske andar koi chah nahi hai keval bhagwat milan ki chah hai koi bahut birla ma ko ek pav bhagat mori koi aisa birla bhagat hoga jiske andar bhagwan ki chah anya chah nahi anya chahon ka nasht ho jana jah na chahiye kabahu kachu kabhi bhi kuch kuch bhi nahi tum san sahaj sane sahaj prem bhagwan se baso nirantar tas u so ra nij ke Valmiki bhagwan kah rahe hain wo tumhara nij ghar hai wo hriday jismen koi chah nahi hai kabhi koi ichchha hi prakt nahi hoti he nath aapse jo sahaj prem karte hain aap unke hriday mein nivas karen kyonki wo aapka nij grah hai nij ghar hai aap nij nij ghar ki tarah nivas kare jah na chah kabahu kachu tum san saj sneh bashu nirantar tas ur nirantar tas ur so ra nijge he nath wo aapka ghar hai aap nirantar us par vas kijiye

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi