॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

grihasth mein bhajan karne ka sabse saral upay.

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

sourabh Sharma ji saharanpur se maharaj ji main adhyatmik jeevan aur gasth jeevan ke beech mein santulan nahi bana pa raha hoon. Aise mein kaise sthaapit karun donon ko nahi koi viparit nahi hai. Hamare paas adhyatmik siddhant hai. Yat karo shiv bhagwan ne kaha hai jo tum karya karte ho. Kai bar satsang suna hoga aapne agar dhyan ho ki yadi ham aath ghante nokri karte hain aath ghante mein kya aapko aath bar kahne ka avsar nahi mila Radha Radha aisa kaun sa karya hai aath ghante jismen aapko Radha Radha bolne ka avsar nahi milega agar aath ghante mein aath bar Radha Radha bola aur athwan ghante ke baad hath jodkar ke he prabhu pratham ghante se aath ghante tak jo aapki seva sansarik ki wo aapko samarpit karta hoon.

bhakti ho gaya. Karm samarpan bhakti ho gaya. Hamne to prarthna ki hai kai bar logon se ki agar hamari baat samjh mein aa jae. Panch minute mein ek bar Radha bol do. Har panch minute mein ek bar Radha bol do. Agar tumhen bhagwat prapti na ho to batana. Tumhari sari kamnayen shant ho jaegi. Har panch minute mein ek bar Radha yar kya jaata hai? Panch minute mein ek bar Radha bolna hai. Agar 24 ghante bhajan na hone lage to hamen batana kyonki hamen yad rahega panch minute mein Radha bolna hai to Radha smriti bani rahegi.

andar ki smriti bani rahi to samasth karm bandhan nasht ho jaenge. Samasth paap nasht ho jaenge. Ye beimani hai jo ham kahte hain ham grahasti mein hai. Hamse bhajan ka samay nahi milta. Aap imandari se Vrindavan mein baithe ho. Chalo baithkar samay ka vibhag karte hain. 24 ghante hain. 12 ghante kaun kam karta hai? Koi birla hi kam karta hai. Nahi aath ghante prayah 10 ghante kam karte hain. Ham 12 ghante aapko kam ke diye karya ke. 12 ghante karya ke diye. Chha ghante sone ke diye. 12 chha 18 do ghante bhojan ke liye diye. 18 19 20 ek ghante manoranjan ke liye diye 21 teen ghante bache bolo teen ghante bhajan doge bhajan mein doge hamen agar teen ghante tum hamen bhajan mein do to tumhara mangal na ho jae Vrindavan mein baith ke kah rahe to kahna ab bolo aap samay ko vyarth karte hain ki nahi aap samay ko nasht karte hain ki nahi agar aap imandari se samay ko prayog karen to ham 12 ghante aapko kam ke liye dete hain.

chha ghante sone ke liye dete hain. Do ghante bhojan ke liye dete hain. Ek ghante manoranjan ke liye dete hain. Teen ghante to phir bhi bache na. Chahe vidyarthi ho, chahe kisan ho, chahe vyapari ho, chahe nokri karte ho, koi bhi ho, teen ghante bhajan mein hamen de do. Teen ghante bhajan karo, dekh lo tumhara jeevan kahan uth ke jaata hai. Tum kitni unchai par pahunch jaoge. Agar ham taynaat bhi hain to hamara man khali Radha Radha Radha Radha kya chala gaya man lo ham 12 ghante taynaat hai to har samay hamara dimaag kahan hona chahiye Radha Radha duty mein are yar bhajan karna ho to har samay aap bhajan kar sakte ho kampyutar mein kam kiya panch minute baad bola Radha phir kam kiya bola Radha are anand aa jae yar kaise balance bigad rahe ho adhyatma aur grihasth ka yah aapki kamzori hai.

aap is kamzori ko chhodie aur adhyatmvan bante hue grihasth mein chalie. Nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari bahut badhiya grihasth dharm ka palan ho jaega. Mrityunjay Mishr ji bhar ji aapka bhi ek prashn tha ki grihasth jeevan mein asangoham ki sthiti kaise prapt ho? Bhagwat bhav se meri maa ke rup mein bhagwan, mere pita ke rup mein bhagwan, mere putr ke rup mein bhagwan, meri patni ke rup mein bhagwan, charachar jagat ke rup mein bhagwan. Jab bhagwan dekhte hain to anurag hota hai. Aur jab sharir dekhte hain to moh hota hai, rag hota hai.

moh aur rag durgati karata hai aur anurag sadgati karata hai. Ham maa ko maa man ke pyar karen. Aur phir maa ko bhagwan man ke pyar karen kitna bada antar rahega. Matri devo bhav pitr devo ho patni ko patni man ke pyar karen aur apna bhagwan man ke pyar karen to kitna pyar karenge pyar hi pyar wo jeevan pyarmay ho jaega jo apne putr ko bhagwat swaroop dekhta hai apni patni ko bhagwat swaroop dekhta hai Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jor jug pani aur apne sambandh ke anusaar bartaav karta hai.

sambandh ke anusaar bartaav karta hai aur sab mein bhagwan ko dekhta hai. Wo grihasth ho chahe virakta ho asang ho jaega. Aur jo asangta ka matlab ekant mein baithe rahna to is bhul mein mat rahna. Sang man se hota hai. Agar tan sabha mein baitha hai. Man bhagwan mein baitha hai to aap ekant ho. Aap ekant kutia mein baithe sansaar ka chintan kar rahe ho to aap prapanchi ho. Ekantik nahi ho. Baat chintan ki hai, sabha ki nahi hai. Beech bazar mein baithkar aap samadhishta ho sakte hain. Yadi aapka bhagwat chintan hai aur bhagwat chintan theek nahi hai to ganga yamuna ke kinare bhi prapanch ka hi chintan karoge baithe.

isliye asangta bhagwat bhav se aayegi. Agar ham grihasth mein rahte hue jisse mile pehle usmen bhagwat drishti karen to ham asang ho jaenge. Agar vyakti drishti rakenge to phas jaenge. Bhagwat drishti rakenge to asang ho jaenge. Par ji hamara bhav bhagwat bhav hai aur samne se pratikul bhav hai to phir kaise koi fark nahi parta. Koi fark nahi parta kyonki main apne prabhu se anukulta nahi chahta. Main prabhu ki seva karna chahta hoon. Putr rup mein prabhu aae zaroorat padegi dant lagaenge kyonki mera kartavya hai.

lekin hai mere bhagwan. Jab ham is vihaar mein chalenge to pratikultaa hamen khalegi hi nahi. Pehle to ham bhav dharan karen na to hamen pratikultaa aur anukulta donon se matlab nahi rah jaega. Bhagwat bhav rakhne wala samtul ho jaata hai. Samta ko prapt hota hai. Aur rag dves ye vishmata moh aadi vishmata ye sansaar mein hai. Bhagwan mein nahi bhagwan sam hai isliye uska hriday sam ho jaata hai. Manas tully tully nindatma sanstuti stuti aur ninda mein man aur apman mein uska hriday sam hone lagta hai jo sab mein bhagwan ka darshan karta hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi