॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

main khud ko janna chahta hoon aur siddh purush banna chahta hoon, kya karun?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Rakesh kumar ji bihar se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main apne aap ko janna chahta hoon aur siddh purush banna chahta hoon haan bachchha ban kyon nahi sakte baith jao siddho ka sang karo to siddh purush ban jaoge naam jap karo bhagwat ashrit raho pavitra bhojan pao sansaar ke rag ka tyag karo agar siddh purush banna hai to vivekvan banna hoga aur vivek hota hai sadhu sang mein sadhu sang ka rang sadhu hi bana deta hai naam jap ka abhyaas karo jitna savdhani se brahmcharya ki raksha kar pao brahmcharya ki raksha karo kyonki bina brahmcharya ke smriti paraayan ya yog dharana ki kshamta nahi rahti brahmcharya mein wo kshamta hai ki wo yog dharana chittritti ko nirantar rok kar paramatma mein lagane ki kshamta brahmcharya mein hai.

to brahmcharya dharan karo. Yadi grihasth mein jana hai to uchit brahmcharya dharan karo. Nirantar naam jap karo aur santo ka satsang karo. To isse aapko pata chalne lagega ki sansaar avidya ka khel hai. Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna. Ye sansaar swapnik hai. Jab aisa lagne lagega to sharir bhi mrit lagne lagega. Aur sharir se rag hata wahan jo ham hain udhar ki taraf hamari pahunch hone lagti hai. Hamari antardrishti hone lagti hai. Antarmukhta ane lagti hai. To sthul sharir ka rag tyag sukshm sharir ke rag ka tyag karan sharir ke rag ka tyag tab swayam jo ham hain uska anubhav ho jaata hai.

ham wahi hain jiski khoj kar rahe hain. Wahi hai dusre koi nahi hai. Wahi hai. Par yah hai bada kam aur ye bada kam bina guru ki sharan mein hue bina santo ki sharan mein hue bina sant swabhav laye aap is kam ko pura nahi kar sakte hain. Theek hai achhche aacharan wale bano naam jap karo uttam abhilasha hai par siddh mahapurush banna bhagwan kripa karen to ho sakta hai mum karolam pangam late ga y kripa ta vande parmanand Madhav aap koshish karo aisi ichchha ai hai to ham aapki ichchha ki vandna karte hain aap age badho theek hai maharaj ji siddh mahapurush ka tatparya kya apne swaroop mein sthaapit ho jana wo hai yahan siddh shayad isi ki akanksha kar raha hai main apne ko janna chahta hoon to jo apne ko jaan gaya wahi siddh ho gaya aur jiske paas

siddhiya hai wo bhi siddh hai wo khas baat nahi hoti us siddhi ko ham madar nahi dete kyonki wo sab nashvan siddhiya prakritik hi to hai bhautik hi to hai chidanand to nahi hai ye chidanand siddhi hai apne swaroop mein sthit ho jana ye chidanand siddhi hai aur sab siddhiya prakritik hi hai mayakriti hi hai uska koi wo jadu ka tamasha hai kuch nahi hai unmein santosh patil ji karnatak se Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji kaise pata karen ki hamare bure karm kab samapt honge ya ho gaye hain bhagwan ki jab prapti ho jae to jaan lo ab khatm ho gaya sab kuch nahi to bane hi rahte hain dekho bachpan se Baba ji bhajan kar rahe hain to bhi kidney phayl hai roz dialysis hota hai.

ye bure karm ka hi phal hai. Ab vishwas ho gaya hai. Ab inke nash ka samay aa chuka hai. Ab hamara janm nahi hoga. Yah hamen apna anubhav hai. Ab hamara janm nahi hoga. Ab ham ladli ji ke paas jaenge. Jitne din hai utne din sharir se bhog lete hain. Radha Radha kahte phir apne shri ji ke paas jaenge. To samasth kate karm bandhan sansari sukh sagar puri tati bhari vidhi nishedh shrankhla chhudave nij alay bana basave. Yah acharya aur guru kripa se hota hai ki janm janmantro ke sanchit shubh ashubh karmon ko bhasm karke praarabdh ko bhogwa karke krima ko nishphal karke jeev ko mukt kar diya jaata hai.

bhagwan ki sharan mein ho aur khub naam jap karo. Bhagwan ki leela katha suno. Bhagwan ke bhakton ke charit suno to sab sanskar bhasm ho jaenge. Ye tab pata chalta hai jab bhagwan ka sakshatkar hota hai. Iske pehle nahi. Iske pehle nahi bhagwat sakshatkar mein hi karm parampara chinn bhinn ho jati

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi