॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhajan to karte hain, par hamare andar chatak jaisi ananyata kaise aae?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

prashant kumar ji ghaziabad se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ek ekantik vartalaap mein aapne kaha tha ki swati ki bund kele par gire to kapur ban jati hai saanp ke muhn mein jahr sipi mein moti aur chatak ke muhn mein gire to jeevan ban jati hai. Maharaj ji chatak jaisi ananyata bhajan mein kaise layen? Guru kripa se. Ismen apna prayas to hai hi lekin pradhanata guru kripa se hai. Jab guru prasann to savan kula miti sakal kalpit bhay sula je guru charan ren anuragi te lok ved ma bhagi je guru charan renun sir dharah te jan sakal vibhav bas kare to hamari baat hriday se agar aap samjh pao jo apne Gurudev ke charnon ki upasna mein tanmay ho gaya wo isht ke prati chatak bhav rakh sakta hai.

anytha nahi. Jo Gurudev ka anannya upasak nahi wo isht ka kabhi anannya ho hi nahi sakta hai. Gurudev ki kripa se hi isht mein chatak bhav hota hai. Isht ke naam isht ke rup, isht ki leela, isht ki ek ek gunmay vritti ka pan karta hai upasak. Kaun? Jo guru kripa patr hota hai. Guru kripa atyant aniwarya hai. Guru kripa hi kevalam guru kripa moksh ka bhi swaroop guru kripa hi moksh mulam guru kripa isliye wo bade saubhagyshali hain. Jo apne Gurudev ke charnon ka aashray lekar unke dwara bataai hui upasna paddhti se apne isht ko rijhate hain.

dhire-dhire unmein isht ke prati aisi ananyata aa jati hai jaise Harivansh mahaprabhu apne ek dohe mein kahte hain rasna kato jo an rato nirakh anaphto nain shravan phuto jo an suno shri Radha jasan kishori ji ke prati lal ji ke prati jo ananyata jagrit hoti hai us ananyata mein wo chatak bhav hota hai raho ko kahu manah diye mere prannath shri shyama shpath karo tan chhie raho ko kahu man diye ananyata prem mein ananyata hi chatak swaroop hai ek bar pujya bhai ji se hanuman prasad ji maharaj ne leela ka varnan kiya ananyata chatak swaroop ka ki gopi janon ke beech mein bhagwan raas reshwar aur swamini jo virajman hai to prem mein adhik baten jaban se nahi hoti netron se hua karti hai.

premion ki adhik baten netron se hoti hai. Jo uchh koti ka prem hota hai wo netron se baat karte hain. To pyare jo aur pyare ju ke netron ne baat ki ekant mein baithkar koi rasmay charcha ki. Ishara ho gaya. Batchit mein sab khoe hue the. Itne mein thakur ji antardhya ho gaye. Ye braj leela ke antargat ki baat hai. Nikunj mein to aisi samarth hi nahi hai ki antardhya ho. Ye nikunj mein nahi hai. Ab gopijan khoj karne lagi lal ji ki kyonki pehle se unko pata hai ki thodi si bhi truti ho jane par man dharan karke antardhan ho jaate hain.

kya ho gaya hamse? Koi truti ho gayi kya? Haan Krishna khoj rahe. To jis nikunj mein priyal ne paraspat ishara kiya tha wahan baithkar rasmei varta karne ka. Khojti usi kunj mein pahunch gayi. Lalaju ne dekha ki sab gopi jan aa gayi. Abhi Priyaju to aae nahi to unhone do bhujaye aur badha li. Aapko chatak ki baat kahte hain. Do bas do bhujaye bana li. Vrindavan ke baad Mathura mein char bhuja dhari hi rahe. Mathura Dwarika char bhuja dhari hi rahe. Gopi jan nazdik gaye. Bilkul bhav nahi bana. Pranam kiya aur kaha he chaturbhuj narayan aap ham par aisi kripa karen mere ladle Shyam sundar shighr hi mere netr gochar ho.

wahi Shyam sundar keval do bhuja badha li to gopi janon ka prem gupt ho gaya aur kaha he narayan he hari aap kripa karo aur mere ladle Shyam sundar mere netr gochar ho aur chali gayi. Bhagwan ne dekha ki kitni ananyata hai. Keval do bhuja badha liya to inke andar ka prem gupt ho gaya. Aur jab Priya ji us kunj mein je charan padhrai to lal ji ne socha do bhuja unko bhi dikhae chaturbhuj rup lekin unki do bhuja apne aap antardhya ho gayi duj Murli manohar ke rup mein hi virajman chatak ki tarah ananyata jaise goswami tulsidas ji kahte hain bane to raghuvar te bane bigde to bhrpur tulsi aurte bane ta ban be pe dhur prem prem ye guru kripa se prapt hota hai isht prem ye guru kripa se prapt hota hai.

isht ananyata ye guru kripa se prapt hoti hai. Jab tak guru kripa nahi to aaj iski badi hani ho rahi hai. Lakho log guru bana rahe hain. Lekin guru ki mante nahi hai. Manmani aacharan karte hain. Guru ke prati samarpan nahi, guru ke prati bhav nahi, guru ko ek manushya mante hain. Bahut sadhak mante hain. Lekin guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah aisa bhav nahi agar aisa bhav ho to moksh ya prem durlabh nahi prem hi chatak ka prem hai prem jab aayega to chatak ki tarah hota hai jaise Meera ji ke hriday mein Giridhar ka prem jake sir mor mukut mero pati soi mere to Giridhar gopal dusro na koi apne isht ke prati ananyata aa jae tabhi baat banti yah guru kripa se hogi.

ismen sadhan bal ka kam nahi karta. Ya gun sadhan te nahi hoi tumhari kripa pao koi koi. Koi koi mein wahi guru kripa patr jo guru charan ashrit hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi