॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1224 · 3 april 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai abhishek Sharma ji Agra se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Radha naam jap karne se ek sadhak mein kya kya parivartan ate hain? Kaise batau ek parivartan ave to tumhen batau.

sab kuch parivartit ho jaata hai. Sab kuch parivartit ho jaata hai. Ae bhai itne logon mein kisi ne Radha naam se apna parivartan hote dekha hai kya? Hai ji dekho kitne hath khade ho gaye bhai dekho sabke hath khade ho rahe ham to kah rahe sab kuch parivartan ho jaata hai ab kya tumhen batave Radha naam ke parivartan se ye to tum bahari dekh rahe ho antarik jo vaibhav prapt hua hai antarik jo sukh prapt hua hai wo to hamari vani kah hi nahi sakti lekin ham sabse prarthna karte hain jaise ham doctor ki baat mankar bina koi prashn ke aushadhi pate hain yadi aap hamari prarthna man lenge aur Radha Radha naam jab karenge to aap thodi der hi kijiye 24

ghante mein 24 minute hi kijiye phir aap dekhiye aapke jeevan ka parivartan hoga haan ek baat ho sakti hai ki aapka Radha naam shuru hua aur paap karm lagu ho gaya wo vipatti dukh dene laga to aapko ye bhram nahi hona chahiye ki Radha naam ka phal ye vipatti ye dukh ye kaise ho sakta hai aisa wo Radha naam apna phal prakashit karega lekin pehle tumhare papon ko bhasm karega papon ko nasht karega phir wo prakashit karega ham kya kya varnan karen ek ho to varnan karen ham itna jarur kahte hain ki sab rup se parivartit kar deta hai Radha naam sarv parivartan kar deta hai jeevan ko shunya se ank mein le aata hai jaise shunya rakha hai aur ek ank rakh gaya to pehle shunya shunya tha to kya mahatva tha kuch nahi ab ek ank lag gaya to kya mahatva ho gaya 10 phir ek shunya badha do 100 phir ek shunya badha do hazar Radha naam ank lag gaya to ab hamara jeevan pehle shunya tha ab ank yukt shunya ho gaya jo ank yukt shunya hai uska 10 guna man badhta chala jaata hai isliye sadaiv Radha naam ka smaran karo phal to nischit

milega jab paap karm ka phal milta hai jo asat hai to sat Radha naam ka phal aapko kyon nahi prapt hoga? Isliye aap jarur Radha Radha ratie aur swayam anubhav kijiye ki aap mein kya parivartan hota hai. Doctor Vishnu choudhri ji Govardhan se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sadhak sahaj mein vishay ya vastu ke akarshan se vimurkh kaise ho sakta hai? Sahaj mein to nahi hoga. Sahaj mein to vishaykarshan aur vishyon ki taraf hi jaega. Jaise pani ko sahaj mein chodo to niche ki taraf hi jaega. Aise hi sahaj mein man aur panch gnyanedryo ki gati nich vishyon ki taraf hi hai.

mana kastan indrani prakriti sthan karti maya ki taraf hi panch gyan indriyan shabd sparsh rup ras gandh bhogne ke liye man ke saath jati hai. Sahaj mein to iski yah gati hai. Ab bhajan ke dwara inko udhgami banana hoga. Sahaj mein nahi ho sakte. Sahaj mein jab ham guru charnon ka aashray lekar unke dwara bataai hui sadhna karte hain. Shan shan dhire-dhire man ko vishyon se hatakr prabhu mein lagate hain aur bahut lambe samay tak dirgh kal tak aisa abhyaas karte hain. Tab jakar ke man vash mein hota hai. Usmen bhi bhojan ka sudhar bhojan pavitra hona chahiye.

satoguni hona chahiye aur shri thakur ji maharaj ko bhog laga hona chahiye. Netron ka sudhar mobile se gandi baten nahi dekhni chahiye. Drishya gande nahi dekhne chahiye. Kano ka sudhar bhagwan ki charcha sunni chahiye. Dusre ki ninda nahi sunni chahiye. Chugali nahi sunni chahiye. Gandi baten nahi sunni chahiye. Vani ka sudhar naam jap karna chahiye. Naam kirtan karna chahiye. Kisi ki ninda nahi karni chahiye. Prapanch ki baten nahi karni chahiye. Jab yah sudhar karte hue naam jap karte hue sanai sanay man aur indriyon ko prabhu mein lagaoge to dirgh kal ke abhyaas mein aisa phal aayega ki wo man phir chanchalta chhodkar nishpap hokar bhagwan mein lag jaega.

sahaj mein to nahi lagne wala pyare yah jeevan bhar ka anubhav hai. Sahaj mein chodo to bhogon mein hi jaata hai. Isko zabardasti bhagwan mein lagana hota hai. Mehnat karke lagana hota hai. Prayas karke lagana hota hai. Sahaj mein chodo to bhogon mein jaata hai. Iska sabko anubhav hai. Chhod do abhi bhog mein chala jaega. Agar wah pakar mein aata hai to bhagwan naam jap, mantr jap aur shastron ka swadhyay sant vani ka shravan inhi ke dwara pakar mein aata hai. Meera Sharma ji Gujarat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Ramcharitmanas mein likha gaya hai ki karm pradhan vishv kari rakha jo jas karah so tas phal chakha aur aisa bhi suna hai ki sunhu bharat bhavi prabal ya jas apjas vidhiha maharaj ji karm prabal hai ya bhagya to vidhiha to karm hi kad se banta hai na jise praarabdh kahte hain jise dav kahte hain jise vidhi vidhan kahte hain to vidhi vidhan kaise banta hai?

purv ke karmon se hi to hamara bhagya banta hai. Ab ham naye karm kar rahe hain unko kraman kahte hain. Jo purv sanchit karm hai unse jo kuch nikal ke sharir ki rachna use hi to da kahte hain. Use hi to praarabdh kahte hain. Alag kahan hai? Use hi to praarabdh kahte hain. Samjho na praarabdh karm jo da karm hai jo bhagya karm hai jo parinaam mein aaya hai ki ab is janm mein ye ye hoga is is ayu mein hoga wo hamare purv karmon ka parinaam hi to hai to jaise hamne karm kiye vaisa hi parinaam hamen bhogne ko mil raha hai.

alag se kya hai? Da praarabdh koi alag chij thodi nahi hai. Wo praarabdh jo bana wo hamare shubh ashubh sanchit karm se nikal ke jo manav sharir ki rachna hui usi se praarabdh bana. Usi ko praarabdh kahte hain. Anujay dhar ji 10 marka se Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji kaha jaata hai ki bhagwan apne bhakton ki pariksha lete hain. Lekin aksar wah pariksha bahut kathin ya kashtprad bhi ho jati hai. To naam ke bal se usko badla ja sakta hai. Dekho pariksha bade siddh purushan ki hoti hai.

bhagwan pariksha bachchon ki nahi lete hain. Ham log bahut chhote bhagat hain. Ham logon ke samne bhagyavash vipatti aur sampatti aati rahti hai. Pariksha nahi hoti. Pariksha bade bhakton ki hoti hai. Siddh bhakton ke are chalwae ja rahe hain. Aag mein jalwae ja rahe hain. Vish pilaya ja raha hai. Yahan ka pariksha ho rahi hai. Yahan kahan pariksha? Pariksha bade bhakton ki hoti hai jo vishv level ke bhagwan ke purn samarpit bhakt hote hain. Ham logon mein jo sampatti vipatti aati hai wo praarabdh se aati hai.

uska bhagwan ki pariksha se koi lena dena nahi hai. Ki jo bade bhakt hain unki sampatti vipatti praarabdh se nahi bhagwan se aati hai. Jaise Sudama ji vipatti hai to bhagwan ki kripa hai aur sampatti hai to bhagwan ki kripa hai. Dular hai donon mein wo dekh rahe hain. Apne log jo abhi karmadheen hai wo karm se aati hai. Wo da se dwara prerit hai wo bhagwan ke dwara bhagwan pariksha nahi bhagwan bade bhakton ki pariksha lete hain. Ham log pheliyron ki pariksha kya lenge? Ham log to failure hai hi.

kaun aise kah sakta hai ki main maya se paas hoon. Are shiv winch ka moh kohe bura as jaan mayapati bhagwan ishwar koti ke mahapurushon ko to maya ne mohit kar liya ham log kya hai ham log to bas bhagwan ki charan chhattar chhaya mein naam jap karke aur failure ban ke nikal ja rahe hain. Agar koi kahe main paas to usi samay check ho jaega ki tum kaise ho to phayl ho jaoge. Bhagwan pariksha unki lete hain jo bade maha bhagwat hote hain. Apne log to bachchhe hain. Apne log to sharanagat hai. Apne log pariksha layak hai hi nahi.

failure hai. Pehle hi ham hath utha ke kah rahe ham failure hai. Hamari pariksha mat lena. Nahi ham phayl zero aayega. Kyon? Hamare mein samarth nahi hai. Ham dekh rahe hain. Ham aapki kripa se naam jap kar rahe hain. Aapki kripa se dham vas kar rahe hain. Aapki kripa se ham ji rahe hain. To nath aapki kripa hi hamara bal hai. Hamari koi sadhna bal nahi hai. Agar sadhna bal hota to ham pariksha ke liye tayyar hote. Nath ham to aake chalae chal rahe hain. Aapke jiyae ji rahe hain. Jaise aap chala rahe hain waise chal raha hoon. Prabhu meri pariksha kya?

to ham log to sadharan bhakt hain. Asdhran bhakton ki pariksha hoti hai. Maharaj ji bahut jo naye sadhak hote hain praarabdh bas yah to abhi samjh ai hai paribhashaen aapke shri mukh se par maharaj ji unka ye prashn rahta hai ki jab se bhakti marg mein pair hi rakha hai to pratikultaen zyada ane uska sanyog ban jaata hai aisa ki jaise ham aaj se bhakti shuru ki aur aaj se hi hamara paap karm lagu ho gaya. Ab hamen dukh par dukh bhogna padega. Kar raha hoon achhche karm lekin bhogna padega dukh par dukh. Ab jaise kisi ne paap shuru kiya aur karm shubh jo purv ke jama hai unka phal lag gaya.

ab uski unnati honi shuru ho jaegi. Ab wo soch raha hai main paap karm kar raha hoon. Unnati ko prapt ho raha hoon. Aisa nahi hai. Tumhare punya karm jis din nasht ho jaenge aur naveen paap karm aur purv paap karm judenge us din aisa blasta hoga ki sarvnash ho jaega. Aur jo dharm se chal raha hai uske paap nasht ho rahe hain. Aaj wo kasht mein hai. Lekin kal wo mahan uchchatam sthiti ko prapt hoga. Adhyatmik aur may prakritik donon ye parlok sakal sukh pavat. Isliye aisa na sochna chahiye ki aaj bhakti mein kadam rakha aur hamen pratikultaa bhagwan dene lage.

aisa nahi hai. Prem dulari sharan ji paneepat se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan kya isht seva guru seva aur sant seva karne se praarabdh ka nash ho sakta hai? Haan ho sakta hai. Yadi sankalp kiya jae to sankalp na kiya jae to praarabdh bhog kar isht seva sant seva guru seva bhagwat prapti kara degi. Isht seva, sant seva, guru seva agar sankalp na kiya jae to bhagwat prapti kara degi aur praarabdh bhogne ki samarth de degi. Agar sankalp kar liya jae ki isht seva, guru seva, sant seva se mera ye rog nasht ho jae, mera praarabdh nasht ho jae to nischit nasht ho jaega.

nischit is par koi sanshay nahi hai. Ji rajkumar ji maharashtra se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj kya kisi sant ko dur se pranam karna chahiye ya unki drishti mein ane ke liye pryasrat rahna chahiye donon baten donon baten pehle to ham ye dekh le ki is samay ka vatavran kaisa hai jaise lakho log hain to hamari drishti mein dur se pare guru hi pranam man hi man kina agar ham koshish karte hain aur age ke logon ko darshan mein badha padti hoti hai aur age ke log gir padte hain hamari koshish se to yah hamari nadani hogi.

ham jahan hain wahin khade hokar drishti se hi man hi man pranam kar liya. Yadi aisa avsar milta hai ki age jagah hai aur ham jakar unki drishti mein aa jae to donon prayas karne chahiye. Lekin agar age log khade hain to unki drishti mein ham badha na pahunchave. Ham jahan hain wahin se khade-khade darshan karen. Hamen barabar phal prapt hoga. Ismen koi sanlay nahi hai. Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap ek achchhi nokri karte hain lekin unka man wahan nahi lagta to apna propheshan chanj karna chahte hain to ye bhagwan par chhod den jab tak naya rasta nahi mil raha ya kya karen ki aruci ho rahi hai bat vartman mein koi aisa mouka nahi mil raha aap doctor hain pulis mein hai maharaj ji theek hai waise nishedh chhod dijiye pulis ki nokri chhorne ki zaroorat nahi hai pralobhan iska tyag kar dijiye.

keval pralobhan ka nokri ka tyag karna theek nahi hai. Jo hamen sarkari seva mili hai use ham aise nirvah karen pranpan se jaise dharmatma purush dharm ka nirvah karte hain. Yadi ham vyarth ka paisa na len, kisi se ghus ka paisa na len, dharm purvak apni nokri karen, to hamen lagta hai bhagwan ka naam jap karte hue, pulis ki nokri karte hue bhi ham bhagwan ko prapt kar sakte hain. Lekin yadi ham adharm aacharan se liya gaya dhan apne parivaar ke aur apne mein prayog mein layenge to hamari buddhi patit ho jaegi.

hamara bhagwat marg avrudh ho jaega. Bahut si samasyaen pariviarik ho jaengi jisse ham nikal nahi payenge. To mujhe nokri chodna yah sahi nahi lagta lekin ye badha chhod dena achchhi baat hai. Ham wo chij na karen jo nahi karna chahiye to nokri khub karni chahiye. Bharat sarkar ki seva hai. Samaj ki seva hai. Nirdosh ko chhod dena aur doshi ko dand dena yah aapki bhakti hai. Agar doshi hai to use dand dijiye. Nirdosh hai to use mukt kar dijiye. Haan arth lekar ke nirdosh ko dand dena aur doshi ko mukt kar dena yah phir aparadh ban jaata hai.

to agar ham aisi pravriti ka tyag kar sake to pulis ki nokri badh jae koi tyag nahi. Maharaj ji agar ruchi kahin aur ho aur yogyta ke saath agar kal ko kabhi mil jaata to chhod sakte. Jarur kar lena. Phir ruchi ke anusaar ho to ruchi jarur kar lena chahiye. Usmen koi par dosh drishti karke nahi. Aruci hai aur bechaini si ho. Kyonki saikadon aise puliskarmi hain jo bhakti se jude hue hain aur bade imandaar, bade sache, bade bhagwat bhakt hain aur seva mein bhi rahte hain to ham to dekhte hain ki anguli mein counter pahne hue hain, naam jap kar rahe hain aur gan liye khade hain.

kya fark parta hai? Apni imandari se, apni sachchai se yadi nokri ki jae to har nokri bhagwan ki puja hai. Kyonki samasth srishti bhagwan ka hi racha hua hai. To koi bhi nokri ki jae, imandari se ki jae, mehnat se ki jae, dharm purvak ki jae aur naam jap kiya jae to bhagwan ki hi seva hai. Wo bhagwan ki hi bhakti hai. Chhote sinh ji sikandrabad se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwan shri Krishna ji gita mein kahte hain ki mujhe tatv rup se jano to yah tatv se janna kya hai maharaj ji sarvatra bhagwan hi hai vasudeva mahatma sudurbha sab jagah bhagwan Vasudev virajman hai yah tatv se janna vidya vinay sampann brahmin gastani suni chapa ke pandita samdarshana vidya vinay sampann brahmin mein gay mein hathi mein kutte mein chandal mein ek hi paramatma virajman hai.

aisi jo drishti rakhta hai wo pandit hai. Wo gyani hai. Wahi tatv gyani hai. Jo sab mein apne bhagwan ko dekhta hai. Jo sab mein Vasudev ko dekhta hai. Jo sab mein brahm dekhta hai. Sarvam khalmidam brahm ne nanast kinch sab brahm hai ishwar naam ishwar samasth wo to hriday desh se tashta hriday mein virajman bhagwan sabke hriday mein virajman hai isliye tatv drishti ka matlab hai jad chetan sab mein bhagwan ko dekhna Urvashi bharadwaj ji panchakla se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji grihasth mein jane anjane mein kiye hue dosho ka nivaran kaise ho ya aparadh ban jaate hain.

dekho anjane mein jo paap hote hain wah to swapna mein bhugtae jaate hain. Bhayanak swapna dekhkar jo kasht hota hai sukshm sharir ko man ko usse nasht ho jaate hain. Lekin jankari mein jo paap hote hain wo sharir ko dand diya jaata hai sthul sharir ko jagrit avastha mein. To uske prayashchit ke liye anusthan hai. Bhagwan naam kirtan hai. Santo ki seva hai. Tirth yatan hai. Shastron ka swadhyay shastron mein kai strotra hain. Paap nashak. Un stotron ka path karen, tirthon ka avgan karen, sant seva karen, naam jap kare to sab paap nasht ho jaate hain.

jo jankari ke paap hain unko aise nasht kiya jaata hai aur jo anjane mein paap hai wo swapna mein dand dekar ke nasht ho jaate hain. Jaise bhyawah swapna dekha ekdam ghabra gaye to wah hamare kisi anjane paap ka phal aisa bhayanak swapna ji Divya sinh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhakti aur sadhna mein man ko kaise sthit karen maharaj ji pahli baat jahanjahan man jae wahan wahan se hatakr apne isht mein lagana naam mein lagana mantr mein lagana dusri baat jahanjahan man jae wahin bhagwan ko dekhna. Jis vastu vyakti sthan mein man jae bar-bar usmen bhagwan ko dekhna.

yah bhi ismen bhi bhagwan hai. Ismen bhi bhagwan pahli baat hai wahan wahan se hatakr isht naam mantr mein lagana. Dusri baat hai wahan apne isht ko dekhna. Tisri baat hai man ko samjhana. Pyare ek bar mera saath de do. Bahut janmon se main aapka saath de rahi hoon. Jo jo tum kaha wo wo kiya. Ab ek bar mera saath de do. Main bhagwan naam jap karna chahti hoon. Aap mera saath de do. Man ko samjha bujhakar naam mein lagana. Jahan jae wahan se hatakr naam mein lagana. Jahanjahan jae wahan bhagwan ka bhav karna. Agar ham aisa abhyaas karen to abhyaas yog yukti chetsa nagamina.

ek din aisa aayega ki aapka man bhagwan mein lag jaega. Chitt bhagwan mein lag jaega. Par iske liye bhojan sudhar bajaru chijon khane se man chanchal ho jaata hai. Satvic rasoi ka bhojan aur bhagwan ko bhog laga ke pane se man shant rahta hai. Bhojan jaisa khao ann vaisa bane man bhojan par sudhar kijiye. Aajkal bhojan par sudhar nahi dekha jaata. Isiliye zyada bhajan mein man nahi lagta. Riyansh Garg ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main pratdin naam jap karta hoon. Mere papa mujhe naam japne ke har 10,000 naam japne par ₹200 dete hain.

maharaj ji isse mere ko zyada paise main kama lunga to main jaldi-jaldi naam jap karta hoon. To maharaj ji main lalach to nahi kar raha yahan karta rahun. Bahut dhanyavaad aur aapke pitaji ko bhi dhanyavaad jo aap apne bachchon ko satya marg mein lagane ke liye aisa dular karte hain, pralobhan karte hain. Har mata-pita ko aisa hi karna chahiye ki aaj ham tumko aisakreem pavaenge. Tum baithkar ke 1000 Radha naam jap karo. Dekho aaj ham tumko amuk jagah le chalenge ghumane. Aap 2000 Radha naam jap karo. Baithkar ke hamen dikhao counter mein jap ke.

agar 2000 bar tum Radha naam jap karoge to tum jo chahoge ham tumhen la ke de de. Aise pralobhnon ke dwara yadi ham bhagwat bhakti ki shiksha den wahi dhanya hai mata-pita wahi dhanya hai naam japak balak naam prasang kahet updesh jaya dharm dhanya so desh dhanya so kul je janm bhyo dhanya so tat dhanya so mae santat sakal suno chit laye shri Harivansh pratap jas jo naam japak hai wo kul dhanya ho jaata hai wo mata dhanya wo pita dhanya wo pradesh dhanya ho jaata hai jahan bhagwan ka bhakt janmata hai to inme jo aap sanskar dal rahe hain ye sanskar inke jawani mein jab phlibhut honge to ye sadgrihastha bhagwat honge.

sadgastha dharmik purush honge ye kyonki naam inki buddhi ko param pavitra kar dega. Dhanya hai wo mata-pita jo apne bachchhe ko aise sataarg mein lagate hain aur bachchon ko pralobhan dekar lagana ye koi badi baat nahi hai aur na hi ismen koi nindniy baat hai ye aapka kartavya hai ye kartavya ek bar Eknath Swami ji jab kirtan karte the maharashtra ke to ganv ke bahut se log jo idhrudhur samay vyatit karte hain unko bulane ke liye us samay pav pav bhar chini rakha jo kirtan mein ek ghante akar baithega use pav bhar chini denge.

ab bhid lagne lagi khub jai Ram Krishna hari jai Ram Krishna hari sab nachte to kisi ne kaha ki aap pralobhan dete hain. Bole pav bhar chini ke pralobhan mein akar ye wo amrit prapt karte hain. Naam sankirtan sarv paap pranashnam naam sankirtana mein baithkar inke sare paap nasht ho jaate hain. To santo ne chal chali hai. To aise mata pita ko bhi chal chal. Koi pralobhan dekar ke koi lalach dekar apne parivaar walon ko bhagwan naam mein lagana naam mein laga ki jeevan uska mangalmay hoga. Naam japat mangal dashu bhav kubhav anakh alashu bhav se kubhav se anak se alasya se kaise bhi naam jap kare uska dason dishaon mein mangal hi hota hai.

bahut sundar bahut accha laga. Akash ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji hamne aapke shri mukh se suna hai ki bhagwan ke ghar ka sadasya ban jao maharaj ji kripya batane ki kripa karen ki ghar ka sadasya kaise mana jaata hai bhagwan ko apna manna pita man lo bhai man lo mitra man lo putr man lo pritam man lo kuch to man lo aur aisa mano ki jaise usse bada koi dost hamara nahi usse bada bada koi pritam hamara nahi. Kuch to prabhu ko apna man lo. Sansarik jaise prem karte ho waise ek hisse mein prem to prabhu ko de do.

ek hissa mankar prabhu mere pita hai. To jaise ham pita se baat karte hain waise har samay mein yad hona chahiye. Ham apne pita ko kabhi yad nahi karte aur kabhi bhulte nahi. Donon baten pita shri pita shri jap nahi karte par kabhi bhulte nahi ki mera pita kaun hai. Swapna mein bhi hamen agar dikhaya jaega to lakho logon ke log beech mein ham apne pita ko bina prayas ke pehchan lenge. Kyon? Hamara sambandh hai. Hamare pita hain. Hamare dost hain. Hamare pritam hai. Hamare Swami hain. Hamare sakha hai.

ham bhagwan se koi ek apna sambandh man le aur usi sambandh ko bar-bar chintan karen to bhagwan se apnapan ho jaega. Apnapan ho jane ka matlab ghar ke ho jana. Apnapan bhagwan se mere bhagwan meri Priya mere lal jo mere pritam mere Swami mere sakha mere jeevan sarvasv tumav mata cha pita tum ho tum bandhu sakha tum ho tum vidya dravin tum sarvam mam dev dev aap hi sab kuch mere ho shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi