॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1247 · 26 april 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai hemant ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sansaar mein vyakti sukhi kaise rah sakta hai are bahut badhiya upay manushya janm mein milao khub bhajan karo dekho sukhi rahoge ham bade sukhi hain bachchha hamse bada sukhi koi nahi hai aur aapka to roz dialysis hota hai ye koi dukh hai are man sukh mein laga ho sharir ka dialysis hota ho to kya fark parta hai aur man dukh mein laga ye dukhale ashasvatam sansaar dukhmay hai sansaar mein man laga hua hai aur aap sharir se svasth hai lekin hriday jal raha hai AC mein baithe bhi jal chal rahe ho hriday se irshya dves rag kam krodh bhay chinta shok moh yahan kuch chinta nahi chah gayi chinta gayi manva beparwah aur jinko kachu na chahiye wo sahan ke sa har samay hriday mein parmanand ki baadh rahti hai ye ham bhagwan ke bal se kahte hain nahi apne hriday ki baat nahi kahi jati jaise kisi naveen ladke ko uske manoyog mitra

mil jae to kaisa phula ghumega? Usse karodon guna hamare hriday mein anand ki ufan aati rahti hai. Isliye idni kidney ye sab kuch nahi. Ekdam anand mast ekdam ham rahte hain. Abhi pran nikal jae koi parvah nahi hai. Chahe jitna kasht ho kasht to rahta hai. Ham is hosh mein nahi rahte. Jahan tum hosh mein rahte ho wahan ham behosh rahte ho. Jahan hosh mein rahte ho wahan tum behosh ho. Isliye hamen koi fark nahi parta. Sachchi walon yar agar sukhi hona hai to bhagwan ki sharan mein hokar bhajan karna seekh jao yar.

bas ji aapko bilkul tension nahi hoti. Kisi ke ghar mein char panch jane hote hain. Aapke to aise sharanagat jo aapke ashrit hai to aapko koi chinta nahi. Koi bhai bhar ki chinta nahi. Khub mast rahte hain. Hamen koi chinta nahi. Hamen yah bhi vishwas hai ki hamare bahari vihaar ka bhi bharan poshan mere thakur ji kar rahe hain. Kisi se mangna nahi hai. Kisi se janchna nahi hai aur bhagwan dete hain sab par kar rahe hain. Bhagwan ka bharosa jisne is srishti ko bina kisi sahyog ke swayam racha hai. Ham us paramatma ki sharan mein wo ham sharngat ka poshan nahi karenge.

bharan poshan nahi karenge. Isliye nishcint chinta to jeevan mein kabhi nahi hui. Haan ye ek chinta hamare jeevan mein ai thi. Jab kidney phayl hui tab yah chinta hui ki kahin mujhe adhik pida se pidit dekhkar log mujhe Vrindavan se bahar na le jae. Is baat se pareshaan ho gaya tha ki he prabhu kahin aisa na ho ki adhik pida ho aur ham main behosh hoon aur log mujhe Delhi Kolkata mumbai le jae. To bhagwan ne vyvastha wo bhay bhi khatm kar diya. Vrindavan chhutne ka dar tha ki kahin kidney apna swaroop aisa na prakt kar de ki log mujhe Vrindavan se bahar le aur aaj tak koi chinta nahi.

bhagwan nishcint kiye hue hain. Sab kuch chal raha hai. Sab anand mein chal raha hai. Koi chinta nahi. An mange age avego jo pal lage pal ko. Bina mange sari vyvasthaye bhagwan purn kar rahe hain. Ab aap socho ki aap grihasth ho. Aap to Baba ji ho. Aapka chal raha hai. Nahi chakravarti samrat brash ji har samay bhagwan ki seva smaran mein rakhte aur pura samrat pad ka sanchan bhagwan ke dwara ho raha. Jo bhagwan ke sahare hota hai bhagwan uske laukik karya bhi kar dete hain. Ek prasang aata hai Jaymal ji ka ki unhone niyam liya tha 10 ghadi char ghante char ghante ka niyam liya tha ki jab ham thakur seva mein jaenge agar us samay koi hamare thakur seva mein akar hamse baat karega to uski gardan uda di jaegi.

matlab itna ekant thakur seva ho ki koi hamen vikshep na pahunchave. Yah baat jab virodhi rajaon ko pata chali Jaymal ji bade balvan raja the aur wo us samay puja mein honge. Char ghante nikelnge nahi. To virodhi rajaon ne usi char ghante mein aakraman karne ka nischay kiya ki jab raja apni puja grih mein chale jae to aaspas se unke rajya ko gher karke usko apne kabje mein kar liya jae. Baad mein raja ko bandi bana lenge. Jab sena parast to raja bandi to ban hi jaega. Gher liya. Guptachron ne turant suchna di ki nagar ko ghera ja raha hai.

charon taraf se akramankari sena aakraman ke liye utaru hai. Adesh mile to ham unke saath yuddh karen. Bina raja ke adesh ke yuddh kaise ho sakta hai? Ab senapati pareshaan sab pareshaan ki jo jaega pahla hoga ki uski gardan utar di jaegi. Ab unhone apni pareshani rajmata se kahi ki shayad hai ki aapke upar wo krodh na karenge. Aap mata hain. Aap jakar keval itna adesh le aie ki haan aakraman karo bas phir ham dekh lenge. Phir to balvan sena thi. Wo aa gayi. To itni tanmayata se thakur seva mein lage the ki unki himmat nahi par rahi thi kuch kahe.

kafi samay vyatit hone ke baad kaha beta to unhone piche mudkar dekha kaha beta is samay ana nahi chahiye par rajya sankat mein hai. Is samay akramankariyon ne charon taraf se pure rajya ko gher liya hai. Agar aap keval agyaa de de yuddh ki to rajya senapati kahte hain ki ham sambhal lenge. To unka sab bhagwan accha karte hain. Jinka rajya hai wahi dekhenge. Aap jao yahan se na to ye kaha yuddh karo na koi bas yahi kaha ki jinka rajya hai wahi dekhenge. Wahi bhagwan dekhenge. Chalo jao aap. [nak se ki jane wali aawaz] char ghante ke baad seva ki.

pranam kiya thakur ji ko. Bahar nikle aur kaha akramankari kahan hai? To unhone kaha ki uske baad koi aakraman ki awaz nahi ai. Koi suchna nahi ai. Koi baat nahi ai. Ham log taynaat khade hain. Hamare paas tak koi nahi aaya. Unhone kaha mera ghoda tayyar kiya jae. Main abhi dekhta hoon. To ghoda gaye to pasina se lathpath tha ghoda. Are ye to aisa lag raha hai jaise yuddh karke aa raha ho. Itna thake shramit pasina se lathpath je hi chhwa to romach ho gaya. Bole itna anand to maine kabhi nahi paya apne ghode ke sparsh mein.

ye kya baat hai? Chalo isko chodo dusra ghoda lao. Dusre ghode par baithe aur ye gaye to sab sena giri hui padi thi. Charon taraf sab murchhit pare the. Jo virodhi raja tha uske paas jakar ghode se khade hue. Mein wo murchhit para tha. Usko hosh mein ek bhi mare nahi the. Hosh mein laye aur kaha to ro ke charnon mein gir gaya. Bole bas ek bar dikha do. Wo jo aapka senapati aaya tha ek bar use dikha do. Virodh to zindagi mein karunga nahi. Bas ek bar dekhna chahta hoon aapke senapati ko. To mera senapati to aaya hi nahi yahan tak.

bole nahi uski tirchhi chitan mand muskan aur ek baan ne sabko murchhit kar diya ek bar bula do to unhone kaha aur koi nahi ho sakte wo mere bhagwan ho sakte hain aae aur ghode ki aarti ki apne aur pranam kiya ghode ko ki aradhna karte to mujhe itna samay ho gaya bhagwan ne sakshat darshan nahi diye par tera saubhagya ki bhagwan tere pith par savar hue dekha bhagwan ne raksha kari jo bhagwan bhagwan ke purn ashrit hota hai. Uski raksha bhagwan karte hain. Bharan poshan bhagwan karte hain. Bhagwan ne gita ji mein vachan diya hai.

anannya chinto mana parpasate te naam yogkshm bhamyam main uske yog aur kshem ki swayam raksha karunga. Bhagwan kah rahe hain. Aprapti ko prapt karana yog kahte hain. Prapti ki raksha karne kom kahte hain. Main swayam karunga. Bhagwan kahte hain. To mujhe lagta hai yar anekon jeevan vyatit ho gaye. Agar ek jeevan ham bhagwan ko dekar bhajan karte hue sataarg se apne kartavya ka palan karen to hamara kalyan ho jae. Ham sukhi ho jae. Bade anand mein bade mauj mein jine ke liye dekho yahan kisi ko kisi bhi tarah ki koi fees deni padi ho to aap hamen batao.

kisi ne liya hai koi fees kisi se? Tokan ya kisi bhi tarah ki koi fees agar mano meri jankari mein na ho agar koi le wah beiman hai wah aparadhi hai wo hamara shishya nahi ho sakta wo dupleeket pakhand karke tumse le raha hai hamare yahan ka adesh aisa nahi hai hamare yahan ka adesh hai aapke charnon mein jhuk karke aapka swagat karna aur aao aur baitho aur bhagwat charcha suno aur apna jeevan mangalmay banao hamara bharan poshan bahut achchhi tarah se chalta hai bhagwan chalate yadi bhagwan ki sharan mein ho jao to tumhare bure aacharan chhut jaenge aur jahan bure aacharan aur paap nasht hue to sukh hi sukh hai anand hi anand hai.

ji Radhika rasik sahachari ji Vrindavan dham se Gurudev bhagwan aapne satsang mein kaha tha ki jab tak paap nasht nahi hote tab tak bhajan mein ruchi nahi hoti. Agar kripavash naam aur bhajan mein priti ho gayi hai aur nirantrta ki taraf rujhan ho raha hai. Kya yah samjha jae ki paap samuh sheeghrata se nasht ho raha hai? Haan nischit papvant kar sahaj subhav bhajan mor te bhav na kaun jo hamari paap pravriti hoti hai uske dwara jo paap karm banta hai wo hriday ko malin kar deta hai malin hriday mein bhajan accha nahi lagta bhogon ki gandi baten achchhi lagti gande aacharan ganda khana pina agar hamari bhajan mein ruchi badh rahi hai nirantrta bahut lambe samay tak ek naam ek mantr chal raha hai to nischit bhagwan ki vishesh kripa hai aur man bada pavitra ho raha hai arthat nishpap ho raha hai par is baat ka abhiman na karen ye kripa se ho raha hai aisa samjhe agar abhiman karega to kiya kara phir choupat ho jaega phir wo dosh yukt man ho jaega.

abhiman theek nahi hai ki main nishpap ho raha hoon. Aisa nahi sochna hai. Main to patit hoon lekin patit pavan bhagwan ki sharan mein hoon. Isliye main pavan hoon. Nahi to waise to main nich dharm hoon. Indriy man buddhi aham ye sab prabhu mein lag rahe hain. Iska matlab prabhu ki hamare upar kripa hai. Aisa sochna chahiye. Vamika pande ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke satsang se sikhne ka prayas karti hoon ki sat hari bhajan jagat sab sapna parantu maharaj ji phir bhi bhavanon aur asaktiyon mein phas jati hoon aur man hamesha buddhi par havi parta hai.

swayam ko bhawnatmak unmad evam sansarik asaktiyon se kaise bachayein maharaj ji? Bhajan hi hai ek upay. Jitna naam jap karenge adhik se adhik naam jap hone par bhogon mein aruci ho jati hai. Jeevan bhar jaise apne logon ne bhagwan ke charnon ki sharan li bhagwan ko bhajan kiya to ab jaise kuch bhi kuch bhi accha nahi lagta. Yah sab ek natak ki tarah ho raha hai. Ek yantr ki tarah ho raha hai. Kuch accha andar se kuch accha ki satya hai. Yah sukhad hai. Ye hamara garv ka vishay hai. Ye sab kuch ek bas ek yantravat kriya ho rahi hai.

bas jab tak bhajan ki bahulyta nahi hoti. Adhik bhajan nahi hota tab tak kabhi bhagwan priy lagte hain, kabhi bhog priy lagta hai, kabhi sammaan priy lagta hai. Naam wahwahi pratishtha ye sab par yah sthai chij nahi hai. Matra spasht kaute sheetosh sukh dukhda agma pit bharat he arjun yah sheet ushna arthat anukulta pratikultaa man apman aadi dwaand ye sab agma pon ane jane wale hain tikau nahi hai parivartnshil hai nashvan hai isliye inki dwara jo veg aata hai usmen jo man mein vyatha hoti hai us vyatha ko jo sahan kar leta hai uska bhajan age badh jaata hai bahut ye kam ki baat hai.

jab kam ka veg ave, krodh ka veg ave, bhookh ka veg ave, pyas ka veg ave, sardi, garmi aadi jitne bhi dhwa sahna sikhna chahiye. Takshas bharat bhagwan samne hain. Par wo chahte hain apne janon se ki wo sahna sikhe. Jitna sahnseel hoge utne achhche sadhak ban jaoge jo man ke veg ko vani ke veg ko bhookh pyas ke veg ko jnendriay kam ke veg ko in vegon ko sahna nahi sikha wo paramarth ka uttam pathik nahi ho sakta. Isliye ho sakta hai hamara man lubhayaman ho jae. Kisi bhi bhog ko dekhkar, kisi bhi paristhiti ko dekhkar par hamen nahi lubhayaman hona.

man ka lubhayaman hone se kuch hamara bigdne wala nahi. Agar ham man ke saath lubhayaman ho gaye to bigad jaega. To thoda hamko man se apne ko alag dekhna hoga. Ham man nahi hai. Ham indri nahi hai. Ham pran nahi hai. Ham bhagwan ke ansh hain. Ham atma swaroop hai. Hamara swaroop brahm swaroop hai. Jo bhi bhav laga pao. Ham man nahi hai. Ham man ki janch karen. Agar wah sahi maang kar raha hai to uska support karen. Yadi galat maang kar raha hai to uska virodh karen. Dhire-dhire naam jap ke prabhav se samarpit ho jaega man aur jahan man mantr aur naam ke prati samarpit hua phir anand hi anand rahta hai isliye lage raho aur achhche se lago renu sinh ji ajamgadh se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan atit hua jo karm hai uska pachatava aur bhavishya ki chinta se mukt hokar vartman kshan mein kaise jie maharaj ji hamare paas to sabse badi aushadhi naam hai jo piche hua hai chinta mat karo wo nasht ho jaega nasht ho jaega jad mul se nasht ho jaega naam sankirtan yas sarv

paap pranashnam bhagwan ka naam samasth papon ka nash kar deta hai bhavishya aapka mangalmay hoga bhav kubhav ankhalashu naam japat mangal mangal dashhu dason dishaon mein kahin bhi rahoge tumhara koi bal baka nahi kar sakta tumhara mangal hoga lok parlok ki sari sukh samgri aapko prapt hogi yadi naam jap kar rahe ho bhagwan se judo apne chitt ko bhagwan ke naam rup leela gun dham se jodo hari sharanam hari sharanam har samay bhagwan ki sharan mein raho sab theek ho jaega yah bhut bhavishya ki chinta karte hue vartman ko nasht kar dena murkhta hai.

jo hua so ho gaya jo hona hoga dekh lenge. Vartman mein to Radha Radha bole vartman ko to sarthak karen. Ham yadi vartman mein bhagwan ka bhajan karenge to hamara bhut bhavishya donon pavan ho jaega. Bhut to pavitra ho hi jaega. Hamara bhavishya bhi mangalmay pavitra ho jaega. Isliye naam jap karo. Shastron ka swadhyay karo, santo ka sang karo, pavitra bhojan pao, sab theek ho jaega. Doctor Aniruddh bhushan ji narayangadh se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap ek bada hospital chalate hain.

maharaj ji kah rahe hain ki apna kam bahut imandari se karta hoon. Wahan amir log paizon ka diskaunt apni pahunch se kara lete hain kahin jugad laga ke. Jabki garib pura paisa deta hai. Mujhe ye paisa lete bahut aparadh bodh hota hai. Shayad jeevan mein galat kar raha hoon aur daktari ke is propheshan ko chodna kis nahi nahi nahi chhodiega nahi chhodiega nahi. Bahut bahut badhiya karya kar rahe ho. Haan yah jarur hai ki jo dhani vani purush hain unko chahiye ki aise aspatalon mein jahan garibon ki seva ki jati ho.

aap apna bimari ka paisa to de hi ho sake to kuch aur bhi sahyog karen aur garib jo paisa nahi de sakte hain unko kuch free dawa bina fees ke unse batchit karna unke rog ko janna bina paise ke unke khun ki janch ho jana agar aisi vyvasthaye aap kar sako to aapka jeevan dhanya ho jae agar ek garib ki seva ban gayi to bahut bada aisa hi aspatalon mein hona chahiye ki bhai kuch log dhani hai jinke paas vyvastha hai unko to dena hi chahiye imandari se dena chahiye aur jinke paas nahi hai to aapko dekhna hai ki aap imandari se unki yadi daktari karva sake unko aushadhi dilwa sake to bahut bada punya ka karya hoga aap aur koi karya karne ki mat soche bahut bada punya ka karya hai kisi bimar ko dukh nivitti kar dena koi bahut pida se yukt hai aapne aushadhi dilwa di bhagwan ki kripa aap par hogi aap nishcint rahie.

agar satkarma kar sakte ho to karo. Yah bank balance tumhari ganna mein aa raha hai. Maroge to chavanni nahi le jaoge yahan se. Abhi satkarma kar lo. Aise aspatalon mein, aise cheri teblon mein, aise sthano mein dan karo. Jahan hazaron bhukhon ko bhojan diya jaata hai. Bimar logon ko davaiyaan di jati hain. Hazaron hamari gauen aise bhtak rahi hain. Un gaun ke liye gaushala khulwao, chara dalwao, santo ko bhog lagao. Yahi paise ka mahatva hai. Aaj jab tak achhche karm nahi karoge tab tak ye rupya purv punya se mila hai aur yahi bank mein jama rahega.

yahi sansaar ke log uska prayog karenge aur aap nark jaoge. Isliye beimani se rupya mat kamao. Imandari se kamao aur imandari se kamae hue rupaye se kam se kam 100 mein ₹1 dharm ke liye nikal ke rakh do. Gau seva, sadhu seva, bimar seva inki sevaaon mein rakh do. He bhai mat chodna. Aspataal mat chodna. Jarur haan aap jarur chalana. Bilkul chalana aur utsah purvak chalana. Isko band mat karna. Isse bahuton ki aap seva kar sakte ho. Jo anath hain, asahay hain, garib hain aur din dukhi hain, wo bimar hokar aa rahe hain.

aap unki jarur seva kijiye. Ye bahut badhiya seva ka sthan hai. Isko chodna mat. Theek hai. Ji prashant shukla ji gwalior se Radhe-Radhe maharaj ji. Gurudev main nyayik sevaaon mein karyrat hoon. Nyayadhish ke pad par hoon. Jahan kartavyon ke samyak nirwahan ke liye vidhik pravdhanon nyayik drishtanton ka smaran karya kushalta mein vridhi karne mein sahyogatmak hota hai. Maharaj ji aise mein aapke satsang mein kisi bhi prashn mein aap tatkaal saral evam shastr sammat uttar dete hain jismen vedon purannon ke shloko ka sandarbha bhi diya jaata hai.

yah dekhkar main atyant ashcharyachkit aur abhibhut hota hoon ki aapki ayu va pratikul swasthya paristhitiyon ke bavjud aapki abhibhut smaran shakti gyan evam ekagrata ko dekhkar man mein ek jignyasa hoti hai ki aisi smaran shakti ekagrata va nirnay kshamta ko maharaj ji aur ham kaise prakhar banane ka cheshta karen bhagwan ka kartum akartum anytha kartum sarv samarth sa ishwar ham us ishwar ki sharan mein bachpan se hain. Hamare hriday mein wo swayam baithkar ke bulva rahe hain. Hamare hriday mein baithkar wo swayam karva rahe hain.

ye main dekh raha hoon. Main kahin karta nahi. Main to keval dekhta hoon. Jo dikha rahe hain, jo bulva rahe hain, jo karva rahe hain isliye jo ascharya mein lage wo sirf mere bhagwan ka pratap hai. Mera kuch nahi hai. Kaksha nau padhe hain ganv ke school mein. Ae bi si di to chhah se shuru hoti hai ganv mein. Panch tak to ae bi si di shuru hoti thi hamare samay mein. To chha sat aath nau nau class padhe na kahin hamne vyakaran padha hai. Ye sab ganga kinare ekant sevan kiya hai. Aap jo kuch bhi sun rahe hain ye sirf bhagwan ki hi kripa se hai.

mere mein koi samarth nahi. Agar main vyakaran padha hota sanskrit college gaya jakar ya satsangiyon se satsang sunkar ya kuch aisa anuran karke to ham kahte ki bhai unki kripa se satsang ho raha hai. Kahin nahi gaye. Yah hamara swabhav hi nahi tha bolna. Ye to Vrindavan dham ne bulwana shuru kiya hai. Ye to shri ji ne kiya hai. Nahi to ye sab swabhav hi nahi tha. Apne bas swaroop mein raman karna shri ji thakur ji ka chintan karna. Jo kuch hai mukam karoti vachalam pangum langte gir yat kripa tam vande parmanand madhwam jo mukh se bulva de lule langde se pahar phava de wahi kartum anytha kartum paramatma ki keval leela hai meri koi samarth nahi hai ki main uttar de sakun ya main kuch bhi kar sakun sharir ki na samarth hai na man ki samarth hai agar samarth hai to ye priyal ki samarth hai meri samarth nahi anuradha Yadav ji Gurugram se Gurudev bhagwan aapke shri mukh se suna tha ek bar chalti chakki dekhkar diya Kabira roye do patan ke beech mein sabut bacha na koi chalti chakki dekhkar diya kamal thathae rahe sahare kil ke bal na banka jae maharaj ji iska bhavaarth jaan bhavaarth ye hai chakki mein do part hote hain upar ka niche ka aise aise sansaar mein do part hai.

sukh, dukh, man, apman, labh, hani, jai, parajay, janm, mrityu ise dwaand kahte hain. Koi bhi sansaar mein aisa nahi jo is dwaand mein pis na raha ho. To chalti chakki dekh ke diya Kabira roye. Do partan ke beech mein sabit bachana koi sab sukhdukh ki lapte mein hai sab labh hani man apman jai parajay janm mrityu ki lapte mein sab pees rahe to wahi unke mansik putr kamal khade the bade jor se hanse aur kaha sahab agar kil ke sahare jo dana aa gaya to puri chakki mein pura ata ban jaega lekin wo dana jo kil ke sahare aa gaya.

uska chakki kuch nahi bigad sakti. Chalti chakki dekh ke diya kamal thathae aur raha sahare kil ke to bal na baka jae. To is dhundatmak jagat ka mul kya hai? Udh mul madha shakha prabhyam chhnd pranam ved ved jo ye janta hai wahi gyani hai. Kya iski udh mul hai kaun? Bole main main bhagwan shri Krishna kah main swayam iska mul hoon. To mul chakki ka mul kaun hota hai? Jis par do part tike hote hain. Wo kil kaha jaata hai. To is dwandatmak jagat ki kil kaun hai? Bhagwan jo bhagwan ki sharan mein aa gaya to is chalti hui dwandatmak chakki se bach jaega.

nahi to sabko peesna padega. Punarp jannam punarp maranam punarp janani jath shailam bar-bar janm bar-bar maran ye sab bhogna padega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi