ekantik vartalaap evam darshan #1261 · 10 mai 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [gana gane ki aawaz] shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai ho prins kamboj ji jagadri se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya bhagwan tak pahunchne ke liye bahut gyan, bade-bade shastr aur lambi sadhna zaruri hai. Ek sidha sadha aam insaan bhi sache man ya saral prem se prabhu ko pa sakta hai. Sacha man aur sacha prem kahan se laoge?
kya swabhavic man sacha premi hai? Hamen uttar dijiye. Pure jitne log baithe hue hain. Man ko chhod do. Kya ye sacha premi hai? Isse zyada ganda koi hoga hi nahi. Ham sab log baithe hue hain. Dekh lo agar isko man ko chhod do guru vani shastr agyaa ke anusaar na chalao to isse zyada koi ganda hai nahi ye bahut ganda hai. Bahut ganda hai. Ye sacha premi ban hi nahi sakta jab tak sadhna nahi karoge. Aur sacha hriday matlab buddhi ka nischay wahi tabhi hoga jab pavitra hogi buddhi. To pavitra karne ke liye hi to sadhna hai.
pavitra karne ke liye hi to shastr hai. Pavitra karne ke liye hi to sant samagam hai. Inke bina man pavitra ho jae aur bhagwan mein laga do to bahadur samjhe. Kaise sacha ho sakta hai man? Mana kastan indran prakriti sthan karti. Bina sadhna ke ye bhagwan ki taraf jaata hi nahi hai. Ye bhogon ki taraf hi jaata hai. Aap dekh lijiye bhagwan ki taraf to kathinata se jaata hai. Bhogon ki taraf sahjta se jaata hai. Isiliye shastr swadhyay bana hai. Isiliye satsang bana ki ham satsang ke dwara shastron ke dwara bhajan ke dwara apne man ko pavitra karke man ko jo sansaar ka premi use paramatma ka premi banae.
isliye aisa swayam swabhavic prem nahi ho sakta paramatma se. Swabhavic prem to siddho ka hota hai. Jo siddh ho chuke hain unka sahaj prem hota hai. Jah na chah kabahu kachu tum san sahaj sneh tum san sahaj sneh bashu nirantar tasur su ra nijge Valmiki bhagwan bhagwan shri Ram se kahte hain jisko kabhi kuch nahi chahiye aur aapse sahaj prem karta hai uska hriday aapka nij ghar hai aap uske hriday mein vas kijiye Valmiki ji maharaj bhagwan shri Ram ji se kahte hamare hriday mein dekho dhund ke to chah ki hi baadh aa rahi hai.
ye chahiye wo chahiye wo chahiye wo chahiye. Ham bhagwan se prem kar sakte hain. Natak kar sakte hain. Bhagwan se prem ka prem nahi. Prem to tab hoga jab sadhna karoge, bhajan karoge, man ko marogey, man ko pavitra karoge tab jakar ke wo sthiti aati hai. Baat samjh mein aa rahi hai aapke? Ji Ashok ji rohtak Haryana se Radhe-dhe guru ji Gurudev kabu to tho bhajan kabu hot vishal man ko dhiraj chhute nahi gahe na duji chal maharaj ji aapki kripa se thoda sa bhajan to hota hai lekin phir man idhar-udhar bhag jaata hai maharaj ji kya vishal bhajan sirf siddho ka hi hota hai haan sahi baat hai jo bhagwadakaar vritti ko prapt ho gaye unka prati second bhajan ho raha hai wo kar nahi rahe jo ho raha hai wo vishal bhajan ho raha hai nirantar raat din bhajan kabhi-kabhi satogun ki vridhi mein sadharan sadhak ke dwara bhi bahut accha bhajan ban jaata hai phir rajogun tamogun ki vrityio se avrashta ho ke nana prakaar ki kamnayen apramad sthiti mein fas jaata hai lekin sadhak ko abhyaas man ko lekar ke nahi karna chahiye hamara man vishyon mein ja raha hai.
jane do. Chodo tum naam pakdo. Dekho kahan jaega. Naam mein aa jaega. Man nahi lag raha to naam chhod diya to phir wo apne mein laga lega. Apne mein lagega to prakriti mein lagega. Prakriti mein lagega to koi na koi bhog vasna hamko bandh legi. Zyada man se pyar mat karo. Apne log itna man se pyar karte hain ki utna pyar kisi se karte nahi. Man ki har baat ko chhupa lenge. Man chahe jitna bura soche usko daba ke rakenge. Chahe jitna bura kare usko pyar denge. Kabhi man ko dand dena sikho.
kabhi man ke khilaf khade hona sikho. Man ko sat marg mein chalane ke liye kabhi dantna sikho. Dekho bhajan hone lagega. Aaj bhajan mein man nahi lag raha. Theek hai? To aaj ham upvas karte hain. Apne aap line mein ana shuru ho jaega. Teen din ke liye upvas Vrindavan mein vas karte hain to teen parikrama roz Vrindavan ki ye apne aap uthe baithega. Kahega jahan kahoge wahan laga denge hamen bhojan do. Hamen vishram do. Isko dand dena chahiye. Man ko dand dena. Ek mahine ke liye ham phalahar rahenge. Ek mahine ke liye maun yah sab sanyam hai jinke dwara ham apne man par shasan kar sakte hain.
man ko aise mara to ja nahi sakta. To man ko aise sadhan mein mara jaata hai. Jao ek mahine ke liye namak khana chhod diya. Bina namak ki sabji mein mitha chhod diya. Khir banegi lekin chini nahi padegi. Wo bechara pareshaan ho jaega. Wo kahega hamen jo kahoge ham karenge. Hamen thoda sa aisa khwa do. Thoda sa pila do. Kyonki man jivit rahna chahta hai vishyon mein. To agar sadhna karni hai to man ko marna padega. Man se yuddh karna padega. Man ke khilaf khade hona padega. Jaisa man kahe vaisa karoge to jitni jail bhari hai na wo sab manmani karne walon se hi jail bhari hai.
jitne narak ki yatra hoti hai na wo sab man ke anusaar karne par ye hoti hai. Thoda hosh mein ho jao. Is man ke khilaf chalo. Man ke virudh khade ho tasma shastram prmanam te karya vyvasthit karya kya karna hai kya nahi karna hai usko shastr pramanit karo shastr ke virudh yadi man hamara koi karya karne ki prerna de raha hai to hamko uske khilaf khade ho jana hai wo chahe jitna jalave chahe jitna vyathit kare hamko dharm virudh aacharan nahi karne to phir hamara bhajan badhne lagta hai aur jab man man bhajan mein lag jaata hai aur bhajan paripakva hone lagta hai to phir bhajan karna nahi parta.
phir bhajan hota hai. Swayam hota hai. Hamen japna nahi parta. Apne aap jap hota hai. Keval sunte raho. Usi ka anand lete raho. Usi mein dubte raho. Isliye pehle achhche se bhajan ka abhyaas karo. Vishal bhajan to baat tumhari satya hai ki siddho ka hi hota hai jo raat din bhajan mein lage hain. Surjeet kaur randhava ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki kya ichhao ka shant ho jana vastav mein bhakti mein pragti ka sanket hai kabhi-kabhi ye man ki thakan ya vairagya ya sukshm ahankaar se bhi ho sakta hai.
nahi nahi nahi bhakti ki vridhi ka hi pratik hai. Jaisejaise ichchhae shant hoti jati hai waise waise bhagwan ki nirmal bhakti badhti jati hai. Yah ichchhae hi janm mrityu ka karan hai. Yah ichchha hi hamare aur bhagwan ke beech mein parda hai. Yah ichchha hi jeev ko dehabhmani bana deti hai. Isliye jahan tak ho sake ichhao ka tyag karen. Tyaga shantintam tyag ke anantar hi shanti ki prapti hoti hai. To ichhao ka tyag bhagwan ki kripa se bhagwan ki bhakti badh rahi hai. Sanket hai. Jitni ichchhae kam hoti chali jae utne bahut achchhi baat hai.
harnek sinh ji jalandhar se Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji main nihang sinh hoon jab yatra karte hain to har jagah sadhu ka sammaan nahi hota lekin Vrindavan mein hota hai aisa kyon maharaj ji kyonki sab jagah santo ko jante nahi hai log rajoguni tamoguni log hote hain ham log jab ganga kinare bhramn kiye hain to ab jaise char log sharab piye ab naujawan sharir 11 varsh se Baba ji hain to 18 28 38 48 jab ye par hui hai na to naujawan sharir ekdam bole Baba ji ho sakta hai ab bilkul hamara sharir aisa tha ekdam veer purush jaisa ab to kidney phayl ho gayi hai nahi to bole aise Baba ji nahi hote ab char log gher ke do char thappad mare unhone bhagwan ka kripa prasad samjha age badhe marpeet bhi sahni padti santo ko to galiyan marpeet ya inam mein sahna parta hai to bahari log thodi Vrindavan mein to bhakton ki bharmar hai ye to premion ka khet hai yahan to aap aise hi mala le lijiye to aapko pranam karne lagenge bhav karne bahar aisa kahan bahar to dekho wo jaan bakhash de itni badi baat hai abhi
palghar mein pichle varsho mein suna tha ki dauda dauda karke tab batao kya wo Rakshash the kya unke sinh thi ya wo sher the are sant the unko pakar lete din mein jankari karte agar galat nikelte to pulis ke hawale kar dete jaan se marne ki kya zaroorat thi to aaj ka samay bhagwan ki kripa se sadhuta ka nirvah ho jae to ho jae nahi bahar bhramn karne layak nahi samay rah gaya ab bhramn karne layak samay nahi hai isiliye sant mahatma jan bhagwat dhamo ka aashray le liye bade-bade jo puriya hai dham hai inme sant jan rahne lage nahi pehle ganvganv bhramn karte the bhikshavatta se jite the bhramn karte the sant sukhi vichrantmay ham logon ne yahi jeevan nirvah kiya hai 20on varsh jo bhiksha akash vritti se mil gayi khaya nahi raat din ganga kinare rah ke kisi mandir mein pare hain.
kabhi kisi vriksh ke niche pare hain aur bhajan kiya hai. Ab aisa ho to mar daalen. Jawan sadhu ho ganv mein bhiksha ke liye ghuse koi ro de bachchha. Bole bachchha chor hai mar dalenege log. Bada samay kharab chal raha hai. Aaj ka samaj bahut vichitra hai. Naye-naye ladke sab sharab pi ke drugs lekar gandi baten karte hain. Sadhu mahatmaon ko dhongi pakhandi samjhte hain. Wo ye jante nahi ki sant mahatmaon ka kya swaroop hota hai. To wo apman bhi kar dete hain. Apne ko sahna parta hai. Bahut ham logon ko galiyan mili hai.
jaise kabhi bhookh se pidit ho gaye. Kisi darwaze mein gaye radheshyam wahan nikle dekha ekdam ab andar mantr chal raha hai. Phir wo gali dena shuru kiya. Ae bhai roti maang raha hoon. Gali nahi yar tu roti de de jo de raha hai nahi to badla de yar gali kahe ko deta hai? Aise apne log hans ke bade-bade apmanon ko saha. Ye sant marg aisa marg nahi hai ki ismen ham unko gali de de. Nahi mujhe gali de rahe ho. Main muskura karke tumhen kshma kar dunga. Tumhare ahit nahi hone dunga. Piche bhi amangal nahi hone dunga.
bhagwan se prarthna karunga ki aapka mangal na ho kyonki aap agyaan se ho. Agar aapka bhav sahi hai to bhagwan aap par kripa karen aur aapka bhav galat hai to bhagwan aap par kripa karen. Aapki buddhi shuddh karen. Aapko tanik bhi kasht nahi hona chahiye. To sant ka to yahi swabhav bhagwan ko priy lagta hai ki jo hamen apmanit karen jo hamara apman karke hamen mare pite unka bhi ham mangal manaye unka bhi ham mangal manaye aur bhagwan ka har vidhan mangalmay hai aisa mane tera kiya mitha lage jaisa prabhu kar rahe hain vaisa ham use sweekar sadhu jeevan bada nirmal jeevan hota hai bada shant ka aap char gali de do ham aapka mangal mangal manaye aapka bura na manaye tab to sadhu sadhuta ek alag chij hai sadhuta ek alag chij hai to samaj sadhuta ko nahi janta hai jo satsang karte hain wo to jante hain santo ko lekin jo satsang nahi karte wo kya jante kyonki kuch ilmen aisi nikal gayi hai kuch baten aisi nikal gayi jisse logon ko santo par vishwas nahi to isliye ham logon ko galiyan sahna padega ham logon ko apman sahna padega apman aur galiyan sahakar bhi is jagat ka mangal karna padega kyonki ham bhagwan ke bhakt hain.
ham sant hain. Bhagwan ke parsad hai. To hamko inka mangal karna padega. Ji Rajendra kumar ji vapi Gujarat se. Maharaj ji ye ahankaar kahan rahta hai? Antahkaran mein sukshm sharir mein. Yah jo sthul sharir dekh rahe ho, iske andar ek sukshm sharir hai. Aaj tak koi vaigyanik nahi paida hua jo sukshm sharir tak pahunch pave. Abhi sthul sharir tak hi pahunche. Sukshm sharir tak kisi ki pahunch nahi. Kisi america ya kahin bhi aapne suna ho ki man, buddhi, ahankaar inka ek sara hua hai. Kahin aaj tak koi mashin koi ultrasound siti scan jitna hoga is danche ka hoga.
panch bhautik danche ka hoga. Sthul sharir ka sukshm sharir tak pahunch nahi hai. Sukshm sharir mein ahankaar vas karta hai. Man, buddhi, chitt, ahankaar ye antahkaran chaturshty mein ahankaar vas karta hai. Wahan se agar isko hata ke apne swaroop mein sthit kar de to abhi-abhi moksh ko prapt ho jae. Abhi isi kshan mukt mahapurush ho jae. Par yahi ahankaar to bandhe hue isi ko mitane ke liye sadhna ki jati hai. Antahkaran mein rahta hai ahankaar. Sneha Harivansh ji Rajasthan se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jaise ki aapki shri mukh se suna hai ki kripa ki ek divya hawa chal rahi hai jo ismen bah gaya to bah gaya.
rah gaya to rah gaya. Ham aapki kripa se aisa kya karen ki ham bhi is kripa rupi hawa mein bah jae. Naam jap karo. Gande aacharan mat karo. Ganda bhojan mat karo. Gande drishya mat dekho. Gande logon se mitrata mat karo. Itna karke dekho. Phir aap dekhoge aapke upar kripa hai. Aisa anubhav hone lagega. Sadhu mahatmaon ka sang karo. Unki vani suno. Pavitra bhojan pao. Achhche logon ka sang karo. Achhche drishya dekho. Achhche aacharan karo. Isi se aapka mangal vidhan shuru ho jaega. Aap hriday mein dekhenge ki ek adbhut anand, ek adbhut shanti to age ka marg aapko batana nahi padega.
aap khud bhagenge bhagwan ki taraf nahi to ganda aacharan, ganda bhojan, ganda sang to yahi phir prakritik maya janit bhogon ki chah hoti rahegi. Rakesh Yadav ji Banaras Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji insaan sab kuch pane ke baad bhi andar se khali kyon mehsus karta hai? Kya man ki ichchhae ka kabhi ant hoga ya nahi? Marna padega. Kabhi iski purti nahi ho sakti. Kabhi purti nahi ho sakti. Aap dekh liye ham dekh liye sab dekh liye. Dekh lo. Bachpan se lekar hosh jab sambhala tab se lekar abhi tak iski chah ek na ek pes bani rahti hai.
aaj ye kha lun. Aaj ye dekh lun. Aaj ye dikha do. Aaj ye bhoga do. Aaj wahan le chalo. Aaj ye kara wo kara diya. Dusri nai baat phir khada kar deta hai. Tisri nai baat phir khada kar isko rokna padega aur bina adhyatma ke rukegaa nahi. Adhyatma mein samarth hai man ko rokne ki aur ruk gaya to nihal kar dega. Phir ye aisa bhi sathi hai ki agar ye bhajan mein lag gaya aur ruk gaya to nihal kar dega. Nahi to aise kabhi aap itna samjh lo ek aadmi ko sampurn prakriti ka bhog de diya jae to bhi tript nahi hoga kyonki lok mein wo sukh nahi hai jisse man shant ho jae jisse man parmanand mein doob jae wo lok mein koi pad nahi hai koi dhan nahi hai koi bhog nahi hai aap kisi ko dekhkar samjhte bahut sundar hai koi usko bhog raha hai aur wah tisre ko dekh raha hai.
tum usko dekh rahe ho. Wah tisre ko dekh raha hai. Tisra chauthe ko dekh raha hai. Puri srishti isi mein fansi hui hai. Kahin sukh hai. Kahin vishram nahi hai. Kabhi koi hath uthakar aise nahi kah sakta ki ab kachu nath na chahiye more. Aaj main tript ho gaya. Ab kuch nahi chahiye. Ye wahi kah sakta hai jo bhagwan se jud gaya. Bhagwan ke charnon mein jisne apna chitt de diya wahi kah sakta hai anytha nahi. Ji mamta ji Jaipur se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji hamne yah to padha hai aur samjha hai ki apne karm par dhyan do aur phal se moh mat rakho phir bhi maharaj ji beech-beech mein na chahte hue bhi phal ka moh ho jaata hai is wajah se hamare kam bhi bigad jaate hain to apni is pravriti ko kaise sahi kiya jae maharaj haan jo karm kijiye use Krishna arvan mastu kijiye to phal ki akanksha dhire-dhire nasht ho jaegi jo karm kijiye wo bhagwat arpanmastu shuru kar dijiye.
jaise man lo char ghanta hamne karm kiya to ham thodi der ek second dhyanastu he bhagwan ye char ghanta jo maine karm kiya aapko samarpit karta hoon. Krishnapanmasta phir char ghanta karm kiya phir use bhagwat arpit kar diya. Soe uthe sone ko bhi bhagwat arpit kar diya. Jagne se lekar sone tak sone se lekar jagne tak har cheshta yadi bhagwat arvan kar doge to aap mahatma ho jaoge. Hriday se dekh lena. Is sadhan ko karke dekho krishnapanmastu phir iska phal dekho kaisa anand pradan karta hai sab phalan se rahit karke param pad rupi phal pradan kar dega Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji inke parivaar mein ek thoda sa kasam ko leke ek wo hai ki inke bete ne ek ladki pasand kiya to donon taraf se sahmti bhi ho gayi to inke bete ne kasam kha li ki shadi karunga to isi se karunga nahi to nahi karunga kunvara rehunnga phir maharaj ji phir baad mein pata chala ki ladki ki kahin aur bhi aa sakta hai.
to phir maharaj ji donon ka rishta tut gaya. Abhi maharaj ji wo kasam beech mein aa rahi hai kahin aur jane mein. Are Bhishma pratigya thodi hai yar. Chodo yar chhod jao ye Vrindavan mein kasam chhod jao. Kasam ko Vrindavan mein chhod do. Aise bachchon wali baten hain. Ye ye koi dhairya purvak baat nahi hai. Ye dharm purvak nahi. Aise kaise? Jahan bhagwan ne vidhan banaya wahi hamara byah hoga na. Ham kasam kaise kha sakte hain? Ham to yah kah sakte hain ki yadi hamari aapki mitrata hai, bhagwan ne racha hoga to hamara aapka byah ho jaega.
agar bhagwan ne nahi racha to tut jaega. To hamko bhagwan ki baat rakhni hai. Apni baat thodi rakhni ki kasam khate hain. Jaise Bhishma ji ne kasam khaya. Bhishma pratigya thodi hai ki kunvari rah ke aajeevan pitamah Bhishma ki tarah hamara jeevan pavitra ho. Agar aisa ho to batao khade hokar ke ki Bhishma ki tarah tum bal brahmachari rah sako to phir dhanya hai tumhara saath ham denge wahan tumhen pahuncha denge raho brahmachari aao ghar mein rah ke tumhen pahuncha denge lekin kasam jaise nirvah karna chahte ho to phir waise hi chalo to ghar mein rahkar brahmachari rahkar tumhen mahatma bana denge ghar mein rahkar tum bhagwan ki prapti kar sakte ho lekin nahi bachchha yar ye sab baten inme dum nahi hai jis samay man apne veg mein aayega us samay tum kyonki bina sadhna ke man ko sanyam mein rakhna bada kathin hota hai.
kai aise sadhan hai jinke dwara ham apne aap ko nasht kar lete hain. To isliye in kasmon par dhyan mat dijiye. Koi suyogya ladki mile to aap mata-pita ko pranam karke aur unke ashirwad se uske saath byah kijiye aur grihasth dharm ka nirvah kijiye. Meera devi ji ratangadh se raj maharaj ji maharaj ji jeevan mein lalsa khatm kyon nahi ho rahi? Pehle achhche jeevan sathi ki phir achhche sasassur phir bete ki phir bete ke achhche sanskar phir bahu phir pota phir maharaj ji pote ki shadi ho jae to shanti se mar sakun to maharaj ji ye kab pote ki shadi ho jane se shanti se mara ja sakta hai nahi yar aisa shanti se to tab mara ja sakta hai jab pote ki asakti mit jae aur bhagwan mein prem ho jae tab shanti se mara ja sakta hai.
yah lalsaen kabhi purn nahi hogi. Kabhi purn nahi hogi. Dekho bharat ji ne rajya tyaga, putr parivaar tyaga, gandki nadi ke kinare bhajan kar rahe hain. Lekin hiran ke bachchhe mein asakti ho gayi. To agla janm hiran ka hua. Agle janm ka hetu ye asakti hai. Asakti ko jitni jaldi mita sako to lalsaen mit jaengi. Isi ke liye ham kahte hain khub naam jap karo. Jitna naam jap karoge utna hi aapke andar gyan hoga. Jitna gyan hoga utne asakti moh chah ye sab mitegi aur hriday aandit ho jaega.
viraj bhatt ji ahmedabad se Radha vallabh shri Harivansh Gurudev maharaj ji kya bhagwan kabhi bhakt ko janbujhkar pratiksha karate hain taki uska prem aur gahra ho sake. Aisa aisa hota hai. Bhagwan ne maya ka ghunghat dal rakha hai. Hai to sabke samne sab rupon mein wahi hai. Par maya ka parda dal rakha hai. Ye jo maya ka parda dalkar mera prabhu chhupa hua hai. Uska ek hi karan hai virah. Itna ham mein tadpan ho jae ki main sab kuch bhul jaun aur ro uske liye to parda hataya to jit dekhun tit Shyam ma jidhar dekho udhar Shyam sundar khade hain jidhar dekho udhar bhagwan virajman hai Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jori jug pani sab bhagwan virajman hai par wo maya ka parda hai wo isliye hai ki main vikal ho jaun vikal kyon ho jaun kyonki aur kuch yad na hai keval bhagwan ki anannya smriti hamare andar rah jae isliye bhagwan maya ka parda lagakar baithe hain.
je anannya smriti jagrit hui sab jidhar dekho sarvam khandam brahm ne nanast kinch kinchin matra brahm ke siva aur kuch hai nahi wahi paramatma virajman hai. Shri Radha vallabh lal ki jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…