ekantik vartalaap evam darshan #1267 · 16 mai 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha [chikne ki aawaz] Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai ho Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji ye man bar-bar galat karne ke liye prerit karta hai. Shadi hone ke baad bhi parae jagah jaata hai maharaj ji. Yah sab karne ke baad bhi man bahut dukhi hota hai. Chhorne ka man karta hai par chhut nahi pa raha. Nahi yar chhod do theek rahega. Chhorne theek rahega.
nahi to ye durgati karva dega. Samaj mein beijjti karva dega aur parlok mein durgati karva dega. Aur zyada idhar udhar karoge to phir bahut prachnd maya ka khel hai wo. To bahut hanikarak hai. Bahut hanikarak hai. Bacho. Apni patni se pyar karo. Dharm purvak chalo. Thoda man ko samjhao. Bhayabhit karo. Man ko darao. Agar man ko daraoge nahi to phir man nidar hokar ke na jane kya-kya karne lagega. Man ko darana chahiye. Shastr ka dar, nark ka dar, bhagwan ka dar, kanun ka dar, samaj ka dar. Ye sab dikhana chahiye man ko.
aisa karoge to aisa phas sakte ho, aisa karoge to aisa phas sakte ho. To phir nikal jaoge aur agar nahi daraoge to phir ye manmani aacharan phir kahan le jaenge wo to bahut galat le jaenge ji sanjeev tripathi ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji sakam bhakti se nishkam bhakti tak pahunchne ka marg kya hai maharaj jite wahi sakam bhakti koi bhi chalta hai to kamna se hi chalta hai jab ham shri bhagwan ke charnon ka aashray lekar bhagwan ka naam jap bhagwan ki leela katha shravan bhagwan ke bhakton ka sang karte hain to hamare andar laukik buddhi hone ke karan pehle sansarik kamnayen jagrit hoti hai.
hamare putr ho jae, hamare sampatti ho jae, hamari sankat nivitti ho jae, hamari nokri lag jae. Laukik yadi ham bahut kal tak sadhna karte rahe to bhagwan ki kripa se do baten hongi. Ya kamna purn ho jaegi aur ya kamna shant ho jaegi. Jahan kamna shant hui ya purn hui ta nishakmata badhne lagegi. Aur jahan nishakmata purvak bhajan hua wahi vishuddh ahtuki bhajan ke rup mein parinit ho jaega. Wahi prem prakt kar dega. To jaise ham sakam bhakti karte hain aise hi karte rahe. Yahi nishkam bhakti mein parinit ho jaegi.
kyonki bhagwan sarwanandmay hai. Wo jab dekhenge ki isne anand ke liye hi mera aashray liya hai. Par ye manta hai ki vishyon mein hi anand hai. Sansaar mein anand to gyan pradan kar denge. Phir wo sansaar se anasakt hokar bhagwan mein asaktit hokar nirantar bhajan paraayan rahega. Ji priyanshu ji itava se hain. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji jab man bhogon mein lipt ho aur bhagwan se vimurkh bhagwan ko aur unke naam ko chhorne ko kahe yah marg tumhare jaise bhogiyon ka nahi hai aisa prerit karen us samay kya kiya galat hai man galat hai chahe jitna ham nich ho lekin bhagwan ke hain aur bhagwan ka naam jap karenge agar ham nich aacharan nahi chhod sakte to bhagwan ka bhajan bhi nahi chhod sakte agar ham achhche acharno ko pure pure nahi kar pa rahe hain to ham bhagwan ka bhajan nahi chhod payenge.
aisi baat pakdni chahiye. Ye nahi ki main ganda hoon to bhagwan ka bhajan kyon karun? Nahi main ganda hoon. Gande aacharan karta hoon par bhagwan ko nahi chhod sakta. To ek din wo nirvikaar hokar bhagwan ka sacha bhakt ban jaega. Bhagwan ki bahut prachnd maya hai. Bahut prabal maya hai. Isliye yah sochna ki main sadguni ho jaaunga tab bhajan karunga. To sadguni banaega kaun? Bhajan hi to aapko sadguni banaega. Bhagwan ka naam jap hi to aap mein devi sampada laaega. Agar yah sochkar ki jab main sadguni ban jaaunga, accha ban jaaunga tab bhajan karunga.
ye to bilkul matlab galat baat hai. Ham bhajan karenge to sadguni ban jaenge, achhche ban jaenge. Bhagwan ke ladle ban jaenge. Isliye hamko bure aacharan hote hue bhi, bura bhav hote hue bhi hamen naam jap nahi chodna kyonki yahi naam jap hi hamare bure aacharan aur bure bhavon se hamko bachaega. Ye baat samjh lijiye. Ashok ji ujjain se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ab aisi sthiti hai ki sansaar ka akarshan hai ek taraf aur dusri taraf paramatma ya sadhna ka akarshan bhi hota hai donon paristhitiyon mein sadhak sangharshat rahta hai kabhi idhar kabhi udhar to maharaj ji aise mein kab ek ek jagah ye to bada samay lagega bachchha ye man pagal kutta jaisa hai yar chahe jitna isko samjhao chahe jitne dande maro ye jo soch soch leta hai wo usi ki taraf bhagta hai.
jaise pagal kutta hota hai na jis vyakti par drishti kar lega phir wo use kateega hi aise ye man pagal kutte ki tarah hai. Hari jo mero man hath na taje bada hathla hai. Jo than leta hai wo karke hi chhota hai. Is man ko prabhu ke charnon mein dhire-dhire lagane ka abhyaas karen. Snai sanai dhire-dhire bhagwan mein aur bhagwan ki katha sunne se bahut jaldi labh prapt hota hai man ko. Yadi ham ekagrata purvak roz bhakton ke charit padhe, bhakton ke charit sune, bhagwan ki pavan lilaon ka gayan karen, bhagwan ki pavan lilaon ko sune to hamara mangal ho jaega.
hamara man dhire-dhire nirmal ho jaega to bhagwan mein lagega. Malin man sansaar ka chintan karta hai. Bhogon mein sukh hai aisa chintan karta hai. Nirmal man bhagwan mein sukh hai aisa chintan karta hai. To man ko pehle hamen pavitra karna hai. To sant samagam tirth avgahan shastr swadhyay naam kirtan naam jap inke dwara ham apne man ko pavitra karen aur pavitra man hi paramatma swaroop mein sthit hota hai aur paramatma swaroop mein sthit ho gaya to sab kamnayen shant ho gayi. Radhika rasik ji sahachari ji Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji guru mein guru ke panch bhautik sharir mein unke shri charnon mein unke vakyo mein bhav va nishtha swabhavic hi ho jati hai kintu guru tatv mein kaise bhav badhaye aur yahi yahi prakt mein karte rahie to tatv gyan jagrit ho jaega pragat guru ke dhyan se pragat guru ki seva se pragat guru bhav se tatv gyan jagrit ho jaata hai aur phir jab tatv gyan jagrit ho jaata hai to akhand mandalakar vyapt characharam tatpad tasm shri guruve namah samasth charachar jagat mein Gurudev bhagwan vyapt hai aisa anubhav ho jaata hai ji Manish mathur ji [gala saaf karne ki aawaz] maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji bhavishya ki chinta kaise dur karen jo ho gaya hai use kaise bhule naam jap ke dwara bhagwan ke naam jap mein man ko lagaiye wo dhire-dhire sab vismriti ke gart mein dal dega sansaar ko.
agar sansaar ka smaran karenge to bhagwat vismaran ho jaega aur bhagwat smaran karenge to sansaar ki jitni bhuli hui baten, galti baten ye sab shant ho jaenge. Naam jap mein badi samarth hai. Aap nirantar naam jap karte rahie. Naam jap ke prabhav se hi sansaar se adhyatma ki yatra mein ham age badh pate hain. Agar naam jap nahi hai to gyan ho sakta hai shastriya lekin adhyatmik unnati nahi ho sakti. Isliye khub naam jap karo to jo bhut bhavishya ki chinta hai wo mit jaegi. Vartman bhagwat anandmay ho jaega.
vartman ke second ko yadi ham Radha naam mein lagave har second Radha Radha Radha to hamara bhavishya bhi accha hoga hamara bhut bhi mangalmay hoga lakshmi Priya deveedasi ji Hyderabad se Radha vallabh shri Harivansh Gurudev maharaj ji hoi hai soi jo Ram rachi rakha maharaj shri purn sharanagati ke liye aisa kya karen ki man mein koi sanshay na rah jae vishwas badhta rahe bhagwan ke pavan charitra ko sunie aur bhakton ka sang kijiye. Jab bhagwan ki mahima sunte sunte vishwas ho jaata hai ki bhagwan itne kripalu, itne balshali, sarvatra, sarvagya, sarvshaktiman to hamara man vishwas karne lagta hai.
bhagwan bachayenge. Bhagwan hamari raksha karenge. Nischit bhagwan hamari samasyaon ka samadhan kar denge. Ye bhagwan ki leela sunne se, bhagwan ki katha, bhagwan ke charit sunne se bhagwan mein vishwas badhta hai. Bhagwan mein vishwas badhne se hi hamari sharanagati pusht hoti hai. Hamen to sabse badhiya khub bhagwan ke charitra ka gayan karo aur khub charitra ko suno. Kano ko itna sunao ki vishay ki varta sunna band kar de. Vishay chintan band kar de. Bas isi se anand ki anubhuti hone lagegi. Piyush ji vidisha se Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji kam aur rasendriy ke bhog ko sabse upar rakha gaya hai.
aapne kam par vijay ke liye kai upay batae hain. Jaise Radha sudani ka shlok 84 ji rasa panchadhyay ji maharaj ji aapne kai santo ke charit bhi batayen jinhe rasendriy ke bhog ne giraya aur aapne ye bhi bataya ki rasendriy ko theek kar lo to baki sab indriyan apne aap kabu mein aa jaengi. Maharaj ji agar rasendriy ke bhog ko itna upar rakha gaya to iske liye koi mantr ya anusthan aur batayen maharaj ji waise iske liye ek prakriya hai ki jo rasendriy ko priy bhog lage wo bhagwan ko bhog lagakar bant diya jae paya na jae zyada kinka bhar le le aur paya na jae to dhire-dhire yadyapi ye man ko accha nahi lagega par dhire-dhire yadi bahut kal tak ye janch karta rahe ki man jo mangta hai man ko jo pasand hai wo use na diya jae rasendriy ko to kafi samay lagega.
phir dhire-dhire rasd kabu mein ho jaegi. Wo swad drishti chhodkar prasad drishti mein aa jaegi. Abhi swad drishti mein isliye jo swadisht padaarth lage man ki to chal ye hai ki pehle wahi adhik pana chahta hai. Agar hamen khir pasand hai to adhik se adhik khir pao. Khir pasand hai to usko rakh lete hain. Roti, daal, sabji se pet bharte hain aur ek chamach khir le lete hain. Baka chhod dete hain. Aise rasd ko vash mein kiya ja sakta hai. Yadi achhche padaarth mein hamari priyata hai aur use shri bhagwan ko arpit karke bant diya jae aur thoda le liya jae to dhire-dhire hamari rasd bas mein ho jaegi.
rasd bhasm mein hone ka tatparya har indri bas mein ho jana. Agar rasd vash mein nahi to koi bhi indri bas mein nahi ho sakti. Wo bas mein nahi mana jaata. Rasd bas mein ek bas mein ho gayi to dusri Jnendra bas mein ho jaegi. Rasd aur jnendriay jibhya aur upastha yadi was mein hai to jitendra mana jaata hai. Nau indriyan vash mein ho aur ek indri Rasendra vash mein na ho use jitendra nahi mana jaata. Divyanshu ji Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji ghar ke tamsik vatavran evam mansadi ke sevan wale janon ke saath bhi jaisi pratikul paristhiti mein rahte hue bhi aapke vachno par rah raha hoon.
par man maharaj ji ashant rahta hai. Kripya wo marg batayen jisse in paristhitiyon mein bhi mera chitt Siyaram ji ke nirantar bhajan mein laga. Waise koi fark nahi parta. Ham bazar jaate hain. Hamen shri ji ke liye itr lena hai to kya ham har dukan mein tala dalwa dete hain? Kya koi parchun ki dukan khuli? Koi mans bech raha hai. Koi anda bech raha hai. Koi kuch bech raha hai. Koi ham apna sir niche kiye gaye. Itr ki dukan mein aur shri ji ke liye itr liya aur chale aae. Puri bazar thodi hamare liye vighna hai.
haan. Ab ham manoranjan karte hue har ek dukan ko takte hue jae. Ismen kya are yar ismen ismen kya aise nahi to aise hi hamare office mein hamare ghar mein yadi vatavran dharm aur bhakti ke pratikul hai hamen sirf apne se matlab rakhna hai jisse jo kartavya karm karne pita hai to pita ke saath pita ka vihaar karte hain mata ke saath mata jaisa vihaar karte hain bas ab wo kahe ye khao ye piyo ye aisa karo agar wo dharm ke pratikul hai to use sweekar nahi karte to aapke upar koi prabhav nahi padega ghar mein mans bane to bhi koi prabhav nahi padega.
vibhishan ji lanka mein rahte the to aaspas ka vatavran to sab nishachri vatavran hi tha. Hanuman ji ko bada ascharya hua ki lanka nishchar nikat nivasa yahan kahan sajjan karwasa. Lekin aisi uttam bhakti ki ki bhagwan ne kaha tum sari ke sant priy more dharo deh na yani hore. To jab lanka mein bhakti ho sakti hai to bharat mein to ho hi sakti hai ya videsh mein bhi kahin bhi ho sakti hai. Ham apna lakshya rakhen. Agar hamara lakshya dridh hai to hamari bhakti dridh rahegi. Vatsal shah ji Gujarat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jeevan mein adhyatmik marg mein ane wale prashan mein kaise jane ki prabhu ki marji ichchha kya hai?
aisa nirnay kaise le maharaj? Shastr sammat baat hai, sant sammat baat hai to bhagwan se prerit hai aur man sammat baat hai to vishay se prerit hai. Tasmat shastram prmanam te karyakar vyvasthit shastr se pramanit yadi hamare man mein baat aa rahi to bhagwat prerit hai. Sant se vidhi ke anusaar jo sant bolte hain unki vani ke anusaar yadi hamare andar koi baat aa rahi to bhagwat prerit hai. Anytha sab mansik maya ke sankalp hai. In par dhyan nahi dena chahiye. Naveen ji Hyderabad se. Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwat prapti mein sabse mahatwapurn kya hai?
niyam hai, bhakti hai, pujan hai ya kartavya hai? Smaran hai. Jo tumne ek bhi nahi baat ismen likhi. In sab baton mein khas baat nahi hai. Smaran hai. Tad smaran param vyakul teti ek kshan ke liye bhi bhagwan ka vismaran hone par param vyakulta ho jana ye bhakti ka charm swaroop hai. To ye to sab sahyogi baten likhi. Mukhya baat to aapne likhi nahi. Mukhya baat hai bhagwat smaran. Har samay naam jap karna. Bhagwan ki smriti mein rahna. Agar yah nahi hai to 24 ghante aapka man khali rahega. Thodi der seva kar li, thodi der path kar liya, thodi der niyam sanyam iske baad naam jap, mantr jap bhagwat smriti nirantar bhagwat smriti hi vastvik bhakti ka swaroop hai.
devrshi narad ji ne bataya hai tadpita akhilacharita tasmaran param vyakulte samasth karm bhagwan ko arpit ho aur bhagwan ka vismaran hone par param vyakulta paida ho. Yahi bhakti ka swaroop hai. Saksham ji Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan naam jaap ki kitni sankhya ke pashat wo sthiti aa jati hai ki man mein koi prashn hi na rah jae iska nirnay nahi kiya ja sakta kyonki naam jaap aap kitni bhavna se karte hain. Agar ar aur dainya hokar ke prem mein barkar pukara jae to ek naam se bhagwan ka pradurbhav ho jaega.
ek bar jin naam liye hit so hoe ati din tako sang na chhanhi dhruv apno kar leen. Ek bar abhiman rahit hokar ar bhav se dainya se prem mein barkar ek naam pukara jae to bhagwan uska sang kabhi nahi chhote aur usko darshan de dete hain. Ab bolo ek naam mein bhagwan ka darshan ho sakta hai. Lekin shart hai abhiman rahit dainya aur prem yukt. Abhi abhiman rahit hona, danyata ana, prem yukt hona kitna samay lagega? Abhi to bhagwan jane. Isiliye ham kitne samay mein sari kamnao ko shant karke bhagwan ke charnon mein badhte hain.
ismen hamari lagan kam karegi. Ismen sankhya nahi kam karegi. Ismen lagan kam karegi. Ham kitni lagan se naam jap karte hain, kitne bhav se naam jap karte hain. Kitni asakti purvak naam jap karte hain. Wahi prabhav dikhega. Agar hamara ekagrata purvak naam jap ho to kam naam jap se hi bahut jaldi unnati ho jaegi. Ekagrata naam ka darshan karte hue naam ka shravan karte hue naam mein asakti rakhte hue to bhai yah to bola nahi ja sakta ki itne naam jap karo bhagwan mil jaenge. Itna naam jap karo to shanti aa jaegi.
ab pata nahi kitne janmon ke paap aapke kaun-kaun se jama hai unko nasht karne ke liye naam bhagwan ko kitna samay lena pare. To isliye yah bhagwan ke upar chhodkar ke apne ko nishcint hokar naam jap karna chahiye. Jitna adhik naam jap karoge utne hi bhagwan ki kripa se aapke hriday mein shanti, anand aur nishakmata badhegi. Dashrath ji maharashtra se Radhe Radhe maharaj ji maharaj shri sukshm sharir karan sharir evam sthul sharir paraspat ek dusre se viparit aacharan kyon karte hain andar kuch soch rahe hain bahar aacharan mein aisa bhav shayad hai maharaj ji nahi aisa ho hi nahi sakta aisa nahi ho sakta swabhav accha ho man theek sankalp kar raha ho to sharir se bure aacharan ho hi nahi sakte.
swabhav mein malinta hai. Man mein bhogon ki ichchha hai. Lekin ham aacharan pavitra karna chahte hain. Wah apvitra aacharan honge. Yah sukshta ki baat hai. Aap use samjh nahi pa rahe hain ki karan sharir swabhav, sukshm sharir, antahkaran, sthul sharir, panch bhautik in tino ka connection hai. Swabhav se prerit hokar man bhogon ki taraf ya paramatma ki taraf jaisa swabhav hua. Jaisa sankalp bana. Ab galat sankalp bana to hamara jo baudhik nirnay hai wo kahta to hai usmen do vibhag hai sumati ek kumti to sumati kahti hai tum galat aacharan karne ja rahe ho to kumti kahti hai koi baat nahi hai aur wo sahyog kar deti hai man ko aur jahan man ko sahyog hua tabhi sharir mein halchal hoti hai sharir ki kriya bina man ke nahi hoti dhyan rakhna jaise ek machchar kata ab andar suchna di gayi.
twagda ne man ko yah sab second mein hota hai. Twagendra ne man ko suchna di. Kuch yahan hai. Buddhi ne nirnay kiya. Haan hai. Buddhi ne man ko adesh kiya. Man ne is twagendra mein kya hua? Is jankari ke liye karmendra hastri ko adesh kiya. Wo turant wahan gayi masal diya masalte samay twagendra ke sparsh se anubhav hua accha machchar tha to twagendra mein hastri mein sthul sharir mein jo kriya hui uska karan kya tha sukshm sharir sukshm sharir mein jo kriya hui us swabhav ke antargat hui yadi sadhu swabhav ka hai to dhire se dekhiyega koi jeev to nahi hai aur agar agar rajsik tamsik swabhav masal diya ab wo chinti hai ya machchar hai wo mar gaya sadhu swabhav ke dhire se dekhega koi jeev to nahi haan jeev hai to use pakar ke hata ke swabhav se prerit sukshm sharir sukshm sharir se prerit sthul sharir kriyaen wahi hoti hain jo hamare man mein sankalp banta hai.
man vaisa hi sankalp banta hai jaisa swabhav hota hai. Isliye yah baat aap kaise siddh kar sakte hain ki tino mein viparit karya ho rahe hain. Ji aisa aisa bhav ho sakta hai ki andar se ham bhajan bhakti marg pe nahi chal rahe bat bahar dikhava kar rahe hain. Bat andar ka wo to pakhand hai. Wo pakhand hai. To uski buddhi ashudh hai. Uska swabhav ashudh hai. Tino ke karan pakhand ko sweekar kiye hue hain. Viparit kahan ho sakta hai? Viparit shastr ke ho sakta hai. Santo ke viparit ho sakta hai. Lekin in karnon ke viparit nahi.
inhone sweekar kiya tabhi hua. Agar yah sweekar na karen to hoga hi nahi. Swikrati se hi hota hai. Ab wo antarmukh zyada nahi hai isliye wo is baat ko samjh nahi pa rahe hain. Prins ji jabalpur se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab aap ganga kinare rahte the tab aapko kai din tak bhukhe rahna parta tha. Phir bhi aap sharir se bahut balvan the. Aisa batte hain ham din bhar khate rahte hain maharaj ji phir bhi duble patle se hain maharaj iska kya karan hai ham prasann rahte hain aaj bhi ham abhi apne janon se kisi se kah rahe the ki hamen rog ke chintan karne ka swabhav nahi hai.
ham na chahte hain ki hamara kabhi chintan sharir ya rog ka ho. Isliye ham prasann rahte hain aur prasannata ke karan ham svasth rahte hain. Bhayanak rog hone par kidney phayl hai. Roz dialysis ho raha hai aur par ham ek apne ko svasth mante hain. Ham bimar nahi mante aur bhagwan ka chintan aur aisi ham dincharya banate hain jisse ham ye soch hi na paye ki ham rogi hain. To swasthata prasannata se judi hui hai. Nahi aap chahe rabri pao aapko tension mein rakh diya jae to aap svasth nahi rahenge. Aap namak roti pao aur aap prasann raho to aap mein bahut bal tej aadi aa jaega.
to Gangajal mein sampurn samarth hai. Jaise gau ke dugdh mein waise Gangajal mein hamne anubhav kiya hai. Gangajal mein wo sab poshak tatv hai jinse aadmi marega nahi. Aur paushtik balvan hokar ke chalega. Do char din thoda naye-naye mein lagega aisa par abhyaas karne par jaise Narmada ji hain, ganga ji hain. Inke jal mein poshak tatv hai. Jo hamen chahiye jeevan jine ke liye wo usmen hai. To jaise bhookh se vyakul hokar Gangajal bhar pet pite the. Ham mein bilkul waise hi power aata tha jaise gay ka doodh pine par hamen kabhi nirbalta ka aaj bhi nirbalta ka anubhav nahi.
yadyapi hamari samarth nahi ki main khada hokar chal paun. Lekin hamare andar utsah itna hai ki matlab svasth purush ko bhi ham kuch nahi sochte. Aisa swasthata hai andar prasannata hai. Wo bhagwan ki sharan ke karan to baat bhojan ki nahi hai. Baat chintan ki hai. Ki aapka sharir dubla patla ya mota hona koi khas baat nahi. Svasth hona, prasann rahna, sahi chintan hona yah baat dekhi jati hai ki aap svasth hain matlab prasann hai. Aapka chintan theek chal raha hai. Yah khas baat hoti hai. To bhagwan ki kripa se bhukhe rahne par bhi chintan nahi bigdta tha.
agar ann ka chintan ho to phir bigad jae. Chintan bhagwan ka rahta tha aur ganga maiya ka dugdh pan karke pusht rahte the. Bahut pyar ganga maiya ne diya hai. Bahut pyar ganga maiya ka ham kabhi vismaran nahi kar sakte. Jab ganga ji ki yad aati hai to aise maa aise hamari ganga ji thi. Ganga ji ne hamen poshan gyan vairagya bhakti sab marg se pusht kiya ganga maiya ne. Dhanya hai jo ganga ji ka sevan karte hain wo dhanya hai. Aur ek din dhanyata ka anubhav karenge. Ganga ji koi sadharan nahi. Brahm drav hai.
sakshat bhagwat swaroop hai. Shri Krishna swaroop hai. Bhagwan shankar ne apne mastak par isiliye dharan kiya. Ganga ji apaar mahima yukt hai. To Gangajal pine matra se aisa bal ab to lagbhag 28 varsh 29 varsh ho gaye honge. Ganga ji ki dhara nahi dekhi. Kyonki Vrindavan akhandwas aur waisi dincharya hai. Par man kabhi-kabhi vyakul hota hai. Wo ganga ke kinare ka drishya jo hai wo hriday ko churata hai. Ki yar kya jeevan tha kisi se koi sampark nahi koi matlab nahi. Akash vritti se jo mil gaya khaya nahi. Ganga kinare pare har samay bhagwat anand mein dube.
yah koi satya vastu nahi hai. Aap sachchi maniega ye sab maya ka prapanch hai aur yahan koi pyar karne wala nahi mila mujhe aaj tak sansaar mein paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanch samne kahenge main aapka aur piche yahi baat kitne se bole hue hain samne aisa pradarshn karenge piche kya hai to satya vastu bhagwan mein chitt lagane se har samay man prasann rahta hai aur sharir ke dukh sukh ka prabhav nahi parta isliye anand mein jeevan ho jaata hai. Paramanandmay jeevan ho jaata hai jo bhagwan ke chintan mein rahta hai.
shri Radha vallabh lal lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…