॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab maharaj ji ne kaha "aaj pahla prashn ham karenge".

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

sabse pahla prashn ham karenge. Aapko uttar dena hai. Bhajan ke liye suvida hai ya suvida ke liye bhajan hai? Uttar dijiye. Ji. Bhajan ke liye suvida hai. Suvida pakka dimaag mein hai. Nahi dekh lo. Vrindavan mein baithe ho tej ho gaye maharaj ab dekh lo matlab ab isiliye pehle prashn kiya hai ki bhajan ke liye suvida hai ya suvida ke liye bhajan hai? Bhajan ke liye suvida jinki hai wo hath khada karen. Aur suvida ke liye bhajan hai wah hath khada karen zyada dusre theek hai bhajan ke liye hi hamari jitni bhi jivni shakti hai jitni bhi bahya vyvastha hai jitna bhi pariviarik sambandh hai bahut dhyan se sunna aap adhyatma ki charcha sunne aae hain yahan vyarth ka varta to hai nahi.

aapka manushya janm lena, aapka grihasth ya virakta hona, aapke paas jo bhi sukh suvidhae hain, wah sab keval bhagwat prapti ke liye hai. Ab age kya hona hai? Ab age yah ho jae, ab age wo ho jae. Aur hamare dimaag mein yah baat nahi aa rahi ki age mrityu aa rahi hai jo sarvasv aphrn kar legi. Agar ham bhagwan ki prapti nahi kar paye so partr dukh pavai sir dhun dhun pachtae kale karm ishwar mithya dosh lagae. Are bhai bhagwan anukul nahi the isliye kal anukul nahi tha. Ye isliye sabse prarthna ham karna chahte hain hriday se.

aap log hamari baat ko samjhiye. Bhagwan ne suvida di hai bhajan ke liye. Bhajan avinashi hai. Avinashi bhajan ke badle mein suvida mat mango yar. Dhoke mein ho jaoge. Sone ka sikka dekar ke vyarth ki vastue, khilwad ki vastue khareedna aisa samjho ya vinashi Ram naam, Krishna naam, hari naam, Radha naam aur iske badle mein suvida bhog akhirkar wo to praarabdh ke adhin aa hi jaenge. Swami haridas ji maharaj kah rahe hain hari bhaj hari bhaj chhan man nar tan ko mati bachhe re mati bachhe til til dhan ko an mange age avego jo pal lage pal ko kahe haridas meech ja ave ton hai dhan aapan ko jaise palak bina kisi prayas ke jhapakti rahti hai aise sukh aur dukh dhan sampatti ye praarabdh ke anusaar aa jaegi.

aap bhajan mein lago. Apne kartavya ka palan, apni suvidhaon ko bhajan ke liye rakho to aapka jeevan siddh ho jaega. Aap grihasth mein ho to paripakva ho jaoge. Virakta mein ho to paripakva ho jaoge. Kaise hamari sukh suvida badh jae? Phir ham bhajan karenge. Maya avsar nahi deti. Abhi bhajan kar lo. Yah sab hota rahega. Bhajan ke liye jeevan hai. Yah ham aapke dimaag mein baithalna chahte hain. Baitha lo. Bhajan ke liye jeevan hai. Bhajan ke liye nahi to vyarth jeevan hai. Kuch bhi ban jao. Bade-bade chakravarti samrat khak mein mil gaye.

kuch nahi. Ye ek bar rajasva yagya mein maharaj arjun bhagwan shri Krishna ke paas baithe hue the to dekha ek chita ek chaval ke dane ko badi mehnat se ek tang tuti hui thi teen tang ke bal jor laga ke ek chaval ke dane ko le ja raha tha. Arjun kafi der se us par nazar gadae hue the. Bole prabhu kitna kitna vaibhav dete ho logon ko is becharey cheente ko dekho ek dana chaval ka lekar kitne shram se apne lakshya ki taraf ja raha hai iski ek tang tuti hui hai kya is par bhi kabhi kripa hogi kabhi ise aishwaryavan sukhwan banaoge to bhagwan ne kaha tum ise jante ho bole nahi bhagwan ne kaha ham ise jante hain 14 bar indra ban chuka hai wah cheeta pita 14 bar indra ban chuka hai.

jaise indra ki padvi se direct ajgar ki yoni mein maharaj nau aisa thodi ki tum indra ban gaye. Devraj indra ban gaye to devta bane rahoge. Devraj indra ki padvi se direct aae to ajgar ki yoni ko prapt hue. Ae bhai manushya yoni manushya yoni mein sari suvidhae apne dharm ka palan karte hue bhagwat prapti ke liye hai. Yah baat samjh lo. Bhagwat prapti na kar pao to kam se kam bhajan itna kar lo ki agla janm hamen phir manushya ka mile aur ham phir bhagwan ki aradhna karke bhagwan ko prapt ho. Agar bhagwan ki prapti nahi to mujhe sab dhokha lag raha hai yar.

sab natak maya ka sab dhokha lag raha hai. Hamari baat suno. Marne ke baad ki baat batao kya hai tumhare paas? Aur wo ane wali hai mrityu kab ane wali hai thodi pata nahi yar. Ek minute mein aa sakti hai. 10 varsh baad aa sakti hai. Ye is sharir ke 55 56 varsh vyatit ho gaye. Aise vyatit ho gaye. Pata hi nahi lage. Ab 56 sal ka sharir pata nahi kitne minute hai. Aur sab chhut jaega. Sab ye sharir bhi chhut jaega. Sara vaibhav chhut jaega. Jaega kya? Kya kamaya? Tatv bodh. Bhagwat prem bhajan. Khas baat samjho. Satsang ka matlab hota hai jagrti.

sadhu sang ka matlab hota hai adhyatma mein sthiti. Manoranjan nahi. To aap us din ki socho jis din hans akela udne ke liye tayyar hoga. Us samay kaun hai tumhare paas? Kya hai tumhare paas? Isliye bhai suvida bhajan ke liye hai. Suvida bhajan ke liye hai. Bhajan suvidhaon ke liye nahi to bahut bada dhokha ho jaega. Bhajan karke suvida chahoge to bahut ghate mein ho jaoge. Agar suvidhaon ka prayog bhajan mein karoge to param labh prapt ho jaega. Yahi log thodi hai. Ye to bahut ganda lok hai yar. Ise marta lok kahte hain.

bade sundar sundar lok bhagwan ne rachna ki hai aur sab loko se bhagwan ne paramdhamon ki rachna ki. Shreshth paramdhamon mein bhi bade premay bhagwan ke mangalmay dham hai. Mangalmay rup hai. To ham wahan chalne ki soche yahi kyon? Isliye amrit kund ki taraf tamso ma jyotigam mrityu ma amritam gam amrit ki yatra karo. Yahan aap log jude ho Vrindavan mein akar ke to bhagwat marg ke liye jude adhyatma ke liye jude ho laukik sampatti to piche ghumegi isliye ham sabse yah baat samjhana chahte hain ki manushya jeevan se lekar har suvida keval bhagwat prapti ke liye mili sadhan dham moksh kar dwara paye na je parlok sambhara ye parlok sambhalne ke liye mila hai to hamari prarthna man lo jisse jitna adhik se adhik ban sake naam jap karo krit dhate Vishnu tretaya yate makh dwapre parichyam kaldhar keertanat kalyug mein bhagwan ke naam ki vishisht mahima waise chaug chauti naam prabhav kal vishesh nahi aa pau kalyug mein to vishesh bhagwan naam se hi kalyan hota hai to adhik se adhik Radha Radha japo Ram Ram japo Krishna Krishna japo aur paap paap aacharan se bacho to manushya jeevan ka jo param labh hai wah bhagwan ki prapti ho jaegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi