ekantik vartalaap evam darshan #1270 · 19 mai 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha he Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai Manish Tiwari ji Hyderabad se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya atma sach mein hoti hai agar haan to uska swaroop kya hai tum kaun kaun ho?
kaun ho tum? Manish Manish Tiwari. Haan Manish Tiwari to is danche ka naam hai. Is danche ka naam hai. Tumhara naam thodi hai. Tumhare danche ka naam Manish Tiwari hai. Itna kaat diya jae to tum kat gaye kya? Tumhara hath kata. To jisse hamara sambandh hota wah main nahi hota. Samjh pa rahe ho hamari baat? Main aur mera mera alag hota hai aur main main hota hai. Theek hai? Ab ham aapko le chalte hain. Mera sir, main sir hoon aisa to nahi. Meri aankh, mera kan, mera muhn, meri chati, mera pair, pure danche ko mera sharir.
kabhi ye to nahi bolte ho main sharir hoon? Mera sharir bola jaata hai ya main sharir bola jaata hai? Mera bola jaata hai. Mera mike, meri takiya, mera table. Itni dur hai hamse wo. Aise hi dur hai hamse jaise ye agyaan ke karan ham samete baithe hue hain aur ise main mane hue hain. Lekin ye main nahi hai. Ye mera hai. Theek hai? Andar chalo. Ye bahar ka dhancha ho gaya. Man aaj mera man lag nahi raha. Mera aaya na? Main man to nahi aaya na to mera chitt aaya na ahankaar mera ahankaar aaya na main ahankaar to nahi aaya na meri indriyan mera man buddhi chitt ahankaar mera main to nahi aaya aur andar chalte hain tisra sharir karan sharir use swabhav kahte hain.
mera swabhav hai ki main to tino sharir main nahi hue to main kaun hai iske andar? Wahi atma main Manish Tiwari nahi hai. Main shuddh brahm atma hai. Manish Tiwari is danche ka naam hai. Ab itna gyan ho gaya to moksh ko prapt ho jaoge na. To khilwad hai itna gyan hona. Ab sadhna mein lagna padega. Jab sadhna mein lagoge aur ek-ek sharir ka tyag hota chala jaega tab anubhav hoga. Aur jab main ka anubhav ho gaya to mukt ho gaye. Par ji abhi to sun liya abhi gyan bhi ho gaya to yah gyan kam nahi karta abhi to kaha nakli gyan aur asli gyan mein antar hota hai nakli gyan hota hai padh sunkar aur asli gyan hota hai bhajan karke anubhav karke halwa ka pura haan aapne kanthsth kar liya itne gram ata hona chahiye itni bar kal ana chahiye vaisa rang ho jana chahiye itna ghee itna chini sab pani aur sab pura lekin khaya kabhi nahi to matlab kya raha?
khana hai atmabadh hona aur gyan hai atma ka ya halwa ka banane ki prakriya puri seekh sunkar ke bolna anubhav karna halwa bankar khana yah sadhna sadhna karo sadhna se tab atma bodh hoga. Kisi guru ka aashray lekar uske anusaar bataai hui sadhna mein chale to atma bodh atma to tum ho dekho yah chal raha hai. Hamari awaz kawar kar raha hai. To ismen power bijli ka hai ki nahi? Agar karant na ho dikhayee nahi de raha. Lag nahi raha lekin karant hai ismen. Agar power na ho to yah chalega nahi. Accha wahi power ismen awaz khinch raha hai.
wahi power haidrojan mein light de raha hai. Wahi power AC mein thanda kar raha hai. Wahi power heater mein garm kar raha hai. Power hai. Jab power nahi rahega to is sharir ko jala diya jaega. Gad diya jaega. Phenk diya jaega. Power hai. Usi power ka naam Shastri shabdon mein atma kahte hain. Samjh rahe ho? Haan. To hai na power hai usi power ko jis power se aap hath jod rahe ho jis power se aap bol rahe ho jis power se aap sun rahe ho jis power se aap dekh rahe ho usi power ka naam atma hai ab us power ka jisko ham varnan kar rahe hain wo main hai wo main hi hoon aur main hoon main shisha mein dekho main hoon to ye lagega main hoon bas yahi bhram hai yahi maya hai isse hato karo aur phir andar dekho jo main hai wahi power hai wahi brahm hai wahi atma hai wahi paramatma hai wo hai uske bina satta hi nahi hai jab aadmi mar jaata hai to dhancha to yahi rahta hai na lekin jo gaya wo power bijli off ho gayi power khatm bole mar gaya power aa gaya are bole ji gaya bijli ka power hai jaise bijli hai to prakritik power hai.
atma hai to chidanand power hai. Usi power se anant brahmand jad chaitanya sab chal rahe hain. Power wahi hai. Ab jaise bijli karnon mein karan mane samjhte ho na ye sab karan hai. Karnon ke prabhav se anek dikhayee deti hai. Nahi dikhayee deti. Ab man lal hai to lal light hai. Hari to hari light hai. Ab light uska keval ek prayojan nahi hai. Uske lakho prayojan hai. Agar lakh karan hai to bijli lakh prakaar se dikhayee degi. Motor mein pani khinchte hue alag-alag sab hai na. Lekin bijli to ek hi hai na. Kyon? Bijli 10 20 prakaar ki to hoti nahi.
bijli to ek hai. 10 20 prakaar se uska prayog hai. Alag-alag uska prabhav hai. Wahi bijli ek jagah thanda kar rahi. Wahi bijli ek jagah garm kar rahi. Wahi bijli jeevan hai. Wahi bijli maran hai. Nahi hai. Mar degi aapko jala ke rakh kar degi. To bijli to ek hai. Aise hi paramatma ek hai. Kahin janm leela kahin palan leela aur kahin vinash leela usi ek ki ho rahi. Jab gyan ho jaata hai to jeev shant aur aandit ho jaata hai. Abhi hamen yah vachik gyan keval sunne mein aaya. Anubhav mein tab aayega jab bhajan karoge, sadhna karoge tab anubhav aur jab anubhav mein aayega tab mukt ho jaoge.
yah keval bol lene se ya sun lene se mukt nahi ho jaata. Uska anubhav karen tab jaise hamari bhookh keval bhojan ki prakriya sun lene se bhojan ke prakaar sun lene se bhojan ka swad sun lene se hamen swad nahi aayega hamari bhookh nahi mitegi hamen khana padega aise hi iske shravan matra se kam nahi chalega hamko sadhna karni padegi hamko Gurudev ka aashray lekar sadhna ke dwara ye anubhav karna hoga maharaj ji kitne saral dhang se maharaj ji jo vedon ka sar hai ekdam aisa lag raha tha ki ekdam clear clear clear ye parat ye parat ye parat haan to ab ye jab anubhav mein aa jaega tab kitna accha lagega dukh sukh se pare janm mrityu se pare koi chinta nahi koi shok nahi ek param anand wahi to Paramhans sthiti hoti hai sadhna ki shuruaat kahan se hoti hai Gurudev ke charnon se guru ka jaise aap is vishay ko jane to shuruaat sant samagam se hui na sant samagam se iski shuruaat sant samagam se hui aur iski purnata bhi sant samagam se hi ho jati hai.
jab ham santo ka aashray le lete hain. Ab jaise agla prashn ho to iski pratham sadhna kya hai? Phir iski dviti sadhna kya hai? Ab mujhe itna aisa anubhav ho raha hai. Ab iske age kya hai? Isliye pure jeevan ko samarpit karke Gurudev ke adhar par chala jaata hai. To dhire-dhire kram bye kram sthiti ane lagti hai. Anuradha Goyal ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji jaise ki ham kathaon mein padhte hain ki sadhu sant jan mahapurush jan apne dwara arjit kiye hue satkarmon ko premwash ya karunavash kisi ko dukh ya dard ho raha hai to usko dan kar dete hain.
wah aisa kyon karte hain maharaj ji kya unke dwara dan karne se unke satkarma samapt ho jaate hain? Phir uska dabal phal milta hai. Hamne aapko 100 gram diya to iska bhi to phal hoga. To hamko 200 gram mil gaye. Kabhi ghata thodi hota hai. Jaise hamne 10 mala bhajan kiye aur kisi jeev ko de diya ki iska mangal ho to 10 mala bhajan ke dan ka bhi to phal hua nahi hua uska phal hua bhagwan prasann hue sant jan aur koi phal nahi chahte je vidhi prabhu prasann man hoi karuna sagar kije soi jismen hamare prabhu ka man prasann ho to ham jo bhi karya karte hain wo jab ham dusron ko sab mein prabhu virajman hai to jab ham dusron ko sukh dete hain jisse jisse hamare prabhu prasann hote hain.
to us kriya ka phal hua prabhu ki prasannata aur prabhu prasann ho gaye to durlabh kya rah gaya? Baat samjh mein aa rahi hai? Isliye sant mahatma jan apni sadhna apni tapasya apna bhajan sarv lok ko dete hain. Sarve bhavant sukhina sarve sant niramya sarve bhadran pashyantu ma kaschit dukh bhag bhavet sab sukhi rahe sab nirog rahe kinchin matra kisi ko dukh na pahunche yah santo ke hriday ki dharana hoti hai to wo apne bhajan ko tapasya ko vrat ko niyam ko sanyam ko sab mein bant dete hain isse bhagwan prasann ho jaate hain aur wo bhagwan ko prapt ho jaate hain jab bhagwan prasann to jahan par kripa Ram ki hui ta par kripa kare sab koi parmanand ki anubhuti ho jati hai.
Maharshi ek siddhant mein aap hi ke shri mukh se suna hai ki matlab ashirwad ke rup mein kisi ko de diya bhajan ya koi matlab krodh vritti ai to usse bhajan nasht ho jaata hai. Haan wo bhajan ka bhav alag hai. Jab ham bhagwan ka bhav karke de rahe hain ki mere bhagwan sab mein hai aur sukhi ho jae aur jab ham personal ashirwad denge kisi ek ko ki hamara shishya hamari bahut seva ki to phir wah jo bhajan jaega wo uska labh karega lekin dene wale ka labh nahi hoga kyonki usne seva sweekar kar li hai. Haan kya jao tumhare putr hoga jao tumhare wo phir wo bhajan to in donon mein uska jo bhajan jaega wo bhagwat prapti karane wala nahi hoga ashirwad aur shaap ye donon hai to ismen hamari prakriya kya honi chahiye jaise ham kisi dusre ko bhajan de rahe hain apna 10 jaise aapne bola bhagwan samne dekhte hue ki hamare bhagwan is rup mein aae hain aur unhin ke sukh ke liye bhajan kar rahe hain to he bhagwan ye bhajan aapko sukh pradan karen to usse hota hai ya agar ham aisa bhav na dekh pave to ye jeev sukhi ho jae aur iska phal ye ho ki bhagwan prasann ho jae to wo ho jaega.
usmen matlab swarth buddhi nahi hai ki isne hamari bahut seva ki wo aapka personal rag dves ho gaya. To isliye usse bhagwat prapti wali baat nahi hogi. Isiliye jo siddh mahapurush hote hain wo personal na kisi ko ashirwad dete hain na kisi ko shraap dete hain. Wo sarvjanik ashirwad dete hain. Sabka mangal ho. Sab sukhi ho sab aandit ho aisa asha ji Kanpur se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji hamara man hamara mitra hai ya shatru kyonki kabhi-kabhi ye bhajan ya naam jap mein sahyog karta hai athva karne ke liye prerit karta hai to kabhi bilkul bhajan se vimurkh kar deta hai kahta hai ki aaj bhajan karne ka bilkul hi man nahi hai to ham kya aur kaise ise do vibhag man ke hain.
ek sat vibhag hai ek asat vibhag hai. Jab sat vibhag wala man satogun hota hai tab wah jor pakdta hai. Bhajan karo, dan karo, tirth yatan karo, shastr swadhyay karo, chalo dev darshan karte hain, satsang karte hain. Waise Bhagvati aur jab asat man wale ko rajogun ya tamogun ka sang mil jaata hai tab wah bhog vasna dves hinsa aise pramad alasya aisi sthitiyan lata hai to do vibhag hai man ke sat vibhag aur asat vibhag ek hi man ki do sphurnanaen hain to hamen chahiye ki uski asat sphurnaon ko nasht kar den asat prerna ko na mane.
jab ham satvic bhojan karenge, shastron ka swadhyay karenge, naam jap karenge to yah ham mein vivek jagrit ho jaega ki yah asat hai aur ham usko nakar denge. Jab ham man ko nakarte hain to wah hamen jalata hai. Us jalan ko jo sah jaata hai wahi paramatma prapti ke yogya ho jaata hai. Isliye man ki asat vasnaon ko, asat sphurnaon ko, asat chintan ko, asat sankalp ko hamen tyagna hoga. Dhire-dhire hamen pahchanana hoga ki yah satya hai aur yah asat hai. Yah sat asat ki pehchan vivek se hoti hai aur yah vivek shastr swadhyay aur satsang se prapt hota hai.
bin satsang vivek na ho. Jahan vivek hua to wo sat asat ki pehchan bata dega ki galat hai. Yah sahi hai. Jo sahi hai wah baat ham man lete hain. Aur jo man ki spana galat hai wah ham baat nahi mante. Ab hamen chahe jitna jalae hamen ashant karega hamen jalega lekin hamen uski jalan ko sahna hoga jo sah gaya wahi paramatma prapti ke yogya ho gaya jo tut gaya wahi bhogon mein phas gaya samjh mein aaya babeeta ji Gurudev bhagwan mera prashn hai ki aap hi mein apne prabhu ko dekha hai to yadi marte wakt yadi smaran shakti bani rahi to isht ka smaran karen ya shri Sadgurudev bhagwan kam agar itni smriti bani rahi ki mujhe nirnay kya karna hai to phir abhi prem hi kahan hoga?
agar hamko yah bhed bana raha ki isht aur Gurudev alag-alag hai to abhi sthiti hi kya ai? Guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah jo param brahm paramatma isht hai wahi Gurudev ke rup mein hai dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh mulam guru jab guru mein hamari tadatma bhav ho jaata hai to isht ka darshan hone lagta hai. Isht hi Gurudev hai. Gurudev hi isht hai. Aisa anubhav ho gaya to jeevan mukt ho gaya. Ab yah ki ham nirnay karen us samay ki Gurudev ka chintan karen ki isht ka matlab do do to matlab dvait dvait to matlab agyaan agyaan mein phir ye chintan ka samay hi nahi rahega mrityu le jaegi chintan ka samay to gadh prem mein hota hai ki apne Gurudev ke chintan karte hue sharir ko chhoda to Gurudev sakshat param brahm to paramatma ko prapt ho gaya wahi paramatma Gurudev hai koi dusra thodi hai manju ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aishoram ki life jeena kya galat hai kya rog ko badhana kya sahi hai rog ko koi rog ho aur uske badhane wale padaarth ham khain to kya accha kaha jaega kya to bhav rog hamare upar laga hua hai bar-bar janm bar-bar maran bar-bar vipatti bar-bar dukh bar-bar nana prakaar ke prapanch aur isko badhane wala hai bhog vilas esho aram vilasita to galat hua ki nahi hua ki ham esho aram mein man lagakar aur bhogon mein badh rahe hain.
aur gandi baton mein badh rahe hain. Dekho dhire-dhire apvitrata badhti ja rahi hai. Yah bhog vilasita hi dharm ka nash kar rahe hain. Jab ham apni patni se ya apne pati se santusht hokar dharm purvak chalte hain to hamara marg dusra ho jaata hai. Aur jab ham bhog vilasita mein chalte hain to ham apne pati mein santusht nahi hote. Phir aur purushan mein ham apni patni se santusht nahi hote. Phir aur striyon mein to yah marg narak ki taraf le ja raha hai aur bhav bandhan ko pusht karne wala hai. Bhog vilasita ko bhog vilasita mankar na bhoga jae.
use bhagwan ki aradhna mankar kiya jae aur bhajan kiya jae to marg dusra ho jaega. Jaise kuch sampatti hai to ham mandir banva dete hain, gaushala khulwa dete hain, aspataal banva dete hain aur free davaen dete hain. Ab hai to bhog vilasita lekin wah swayam sadgi se rahta hai. Dharm se chalta hai. Koi galat aacharan nahi karta. To rupya hote hue bhi dhan hote hue bhi wo narak wala marg nahi pusht hua. Wo bhagwan ki prapti wala marg pusht hua. Aur jab aise rupya badhta hai to phir sharab pina, par stri gaman karna aur chori karna, jhooth bolna, hinsa karvana yah sab badh jaata hai.
ye bhog vilasita hi to narak ki taraf le jati hai. Bhog vilasita hi to gande acharno mein le jati hai. Ye bhog vilasita hi to durgati karva deti hai. Isliye hamen lagta hai ki ham bhav rog ko badhaye na isko mitaen. Jas naam bhav bheshaj haran ghor trishul jin bhagwan ka mangalmay naam is bhav rog ko mitane wala hai unka naam jap karen paise ka sadupyog kiya jae ab wahi vilasita mein ek party mein gaye 50 hazar kharch kar aae sharab piye char dost aur waise magar ab wo narak ka rasta ban gaya aur ek bar gaye aur 50 gaun ko bhojan pawa ke pranam karke unke khurki raj mastak pe aur he bhagwan yah satkarma aapko samarpit lok parlok sab ban gaya to bhog vilasita to hamen lagta hai theek nahi hai bhog vilasita ka yadi aapke paas samrajya hai to dusron ko bantie dusron ko sukh dijiye aur swayam theek se rahie dharm se rahie to wahi bhagwan ki prapti ka hetu ho jaega to hamen lagta hai bhog vilasita buddhi ko bhrasht kar deti hai aur narak ka bilkul path pusht kar deti hai.
agar hamen bhog vilasita mile to hamen dharm mein lagana chahiye. Dusron ke karyo mein lagana chahiye. Apne bhog mein uchit bhoge aur dharm purvak chale to manushya jeevan sarthak hai. Nahi to bilkul bekar hai. Maharaj ji ismen do paksh hain maharaj ji. Ek to jo hai usmen abhi kude hue hain. Bhog vilasita mein andh ho chuka. Unko hamari baten nahi samjh mein wah samjhna bhi nahi chahte aur wah samjhenge bhi nahi. Ek hai jo unko dekh ke lalchal rahe hain ki yar hamari bhi aisi life hoti to theek tha. Haan isiliye to durgati zyada hoti hai.
sadgati kisi ek ki hoti hai. Sadgati kisi ek do ki hoti hai. Durgati zyada ho zyada hoti hai. Kyonki bhagwan ke marg mein chalne mein indriyon ko smetna hai aur un par vijay prapt karni hai aur bhogon mein indriyon ki vilasita hai. Indriy sukh hai to tatkaal sukh ke liye man lalayit ho jaata hai. Kisi ko ham dekhte hain bhog bhogte hue lekin nahi. Wah sundar jeevan nahi hai. Yah keval maya ki chamkahat hai jo aapko apni taraf khinch rahi hai. Aapko dharm se chalna hai. Aapko apne paas jo bhi bhog samgri dharm purvak bhogte hue dusron ki seva mein lagana hai.
isse aapka mangal hoga. Baat man lo. Yadi manmani aacharan karoge to mangal nahi hoga. Wo vilasita mein hi sab tumhara dhan aur samay aur jeevan nasht ho jaega. Ye pakki baat hai. Shreya sinh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mujhe janna hai ki mera is dharti par paida hone ka uddeshya kya hai? Bhagwat prapti nartan kar phal vishay na bhai bhaj Ram sab kam bihai. Is manushya sharir ka phal hai samasth kamnao ka tyag karke bhagwat prapti karna. Bachpan mein yahi baat hamko bhagwan ne di. Hamare andar ek prashn khada ho gaya.
jab ham panch chha mein padhte the to hamare andar amma ko bahut pyar karte the. Maa ko bahut pyar karte the. To jab school se ate maa ko dekhte to ekdam dimaag mein aata maregi. To hamare dimaag mein aata phir main kaise rah paunga? Maa ke bina kaise rahun? Pitaji ki taraf dekhte yah bhi marenge kyonki mrityu lok hai sab mare yar jab sabko marna hi hai to mera kaun aisa hai ki jo mere saath rah sake bas dimaag mein ek hi baat ai bhagwan aise hain jo avinashi hain wahi hamare sache mata-pita hain wahi hamare mitra hain.
bas isi baat ne manushya jeevan ka lakshya kya hai? Manushya jeevan mein priyata kisse karni chahiye? Bas isi baat ko dhundne ke liye nikal pare the. Bacchapan se nikal pare the. To ab to jeevan ki sham hone ja rahi hai. Dhire dhire dhire dhire to jeevan ka param lakshya bhagwan ki prapti hai. Agar manushya jeevan mein akar bhagwan ko nahi bhaja gaya to bahut badi hani ho gayi. Isse badi koi hani nahi hai. Ye man lo aaj man lo nahi kal pachhtaoge. Suar kutta chiliya nali ka kida bithe ka kida kya bana diya jae karm ke anusaar kuch pata nahi aaj bada sundar rup hai aaj badhiya badhiya kapda pahne ho gaadi mein chalte ho har vyvastha hai lekin paap karm karoge to kal nali ka kida bana diya jaega phir kya hoga phir tum kaise apne ko ubar paoge us dukh se kal tumhen aisi jeev jantu bana diya jaega jo log ubal ubal ke khaenge.
phir kya aap apne ko bacha paoge? Aaj aapko yahan pida hai to aspataal jakar dawa lete ho. Kal pashu pakshi banoge. Aapke sharir mein pida hogi. Aapko dawa mil paegi. Aapko suraksha ho paegi. Kya kar sakta hai? Kitne aise jeev hain jo samne apne parivaar ka nash dekhte hain wo becharey to hamen lagta hai in sab baton par vichar karke manushya sharir mein dharm purvak vishyon ko bhogte hue bhagwan ka naam jap karte hue papacharan se bach jae yahi manushya jeevan ka lakshya hai manushya jeevan ka lakshya hai bhagwat prapti ashika ji mumbai se Radhe-Radhe guru ji Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev nirantar bhakti bhav samay ke anusaar badte rahte hain.
kabhi shiv ji hanuman ji to kabhi Radha rani ji ke prati bhakti aati hai. To kya yah bhav bhakti badlav ana sahi hai? Yah prambhik hai. Iska koi mahatva nahi hai. Yah shuruaat hai bhakti ki. Bhakti ka to tab rang hota hai jab ek bharoso ek bal ek aash vishwas ek Ram Ghanshyam hit chatak tulsidas ek bhagwan ke naam mein bhagwan ke rup mein asakti ho jae hamare Ram ji hamare Shyam ji hamari kishori ji hamare bhagwan shankar ek jagah aa jao ab yah prarambh mein sabka aisa hota hanuman chalisa padh li, shiv chalisa padh li, Ram raksha stotr padh liya, yah sab aise chalta hai.
prarambh mein sabke chalta hai. Lekin jab bhakti rang lati hai to phir ek hai mere to Giridhar gopal dusro na koi. Jake sir mor mukut mero pati soi. Bhakti rang laye to phir ek mein agar shiv to bilkul anannya shiv. Jaise Parvati maiya kahti koti janm lag ragar hamari barhu shambh nau kunvari karod janmon tak bar-bar janmungi aur har bar tapasya karke yahi vardan mangungi ki bhagwan shankar mere pati ho to ham jahan lage wahan ananyata se lage thodi der Ram ji ki puja thodi der Shyam ji ki puja thodi der mata ji ki puja thodi der anya devi devtaon ki puja yah prarambh mein ham bhi karte the.
prarambh mein sab koi karta hai. Phir jab uska rang aata hai tab ek mein ho jaata hai. Phir anannya bhakt kahlata hai. Wahi anannya ye koi dosh nahi hai. Ye sab koi karta hai. Kyon? Sabke yahan sab mata ji ho, bhagwan shiv ji ho, Ram ji ho, Ganesh ji ho, lakshmi ji sab sab virajman rahte hain. Phir jab bhakti rang lati hai tab ek mein ananyata aa jati hai. Jageeta ji mumbai se ji maharaj ji it vihaar na ut paramarth beech hi beech jo janm gavayo jo dharmin so priti karat nahi kahan bhyo dharmi jo kaha Gurudev ismen sansaar aur paramarth donon ka kya swaroop hai gasth ashram mein rahte hue donon ko balance karke chalna parta hai vihaar ko jo grihasth dharm hai ismen paramatma prapti ke liye samasth karmon ko shastr ke anukul phool karte hue shri bhagwan ko samarpit karte hue aur bhagwan ka smaran karte hue yadi ham samay vyatit karen dharm purvak dhan
kamana kamae hue dhan se kuch hisse mein paramarth karna aur kuch hisse mein apne parivaar ka poshan karna agar ham bahut savdhani se chale to grihasth dharm mein bhi paramatma prapti ho jae par aisi mudhta chhaa jati sevak ji ne kaha ki aise na waise rahe majre dho na idhar ke rahe na udhar ke rahe na vihaar nirvah kar paye na paramarth ab grihasth mein hai papacharan karte hue dhan kamate hain aur papacharan manmani gande aacharan karte hain vybhchar manush madira ye sab khanpan to na grihasth dharm ka nirvah kar paye virakta dharm to bahut hi kathin hai to narak ki prapti hi na it vyavharat na ut paramarth beech hi beech janm gamayo jo dharman so priti karat nahi kaha bhyo dharmi jo kayo yadi bhagwat dharm prem dharm ko dharan karne wale sant mahapurushon se sang nahi kiya aur apne acharno ka parivartan nahi kiya wahi gande aacharan wahi gande vichar to sevak ji maharaj kah rahe hain na vihaar ke rah gaye na paramarth ke rah gaye phir narak bhogo phir punarp jannam punarp maranam punarp janani jathre saiynam to grihasth dharm aisa nahi
hai. Grihasth dharm bada mahan dharm hai jismen virakta paida hote hain. Virakta virakto ka poshan hota hai. Virakta unke darwaze akar bhiksha lete hain. Kitna mahan grihasth dharm hai. Jitne bhi sant mahatma hain grihasth ke yahan to paida hue prakt hue aur jitne sant mahatma hain sabka bhikshavitti grihasth se hi to hoti hai. Agar grihasth dharm se chale to wah apne dharm se bhagwat prapti kar sakta hai. Par dharm se chalna bada kathin hai. Hamare yahan char purusharth hai. Dharm, arth, kam, moksh. Jab dharm se arth kamaya jae aur dharm purvak kamnao ki purti ki jae to moksh padvi ki taraf hamari gati ho jae.
yadi adharm se ham dhan kamaenge to kamnayen mano purn karne ke liye manokamnaen purn karne ke liye ham manmani aacharan karenge aur aaj sab prayah manmani aacharan karna chahte hain. Shastr ke anusaar ya santo ke kathan ke anusaar nahi chalna chahte. Isi baat ko sevak ji kah rahe hain ki aise na waise na it paramarth na ut vihaar na vihaar ke rah gaye na paramarth ke rah gaye beech hi beech jo janm gavayo beech hi beech na dharm aur na moksh beech mein kamnayen aur arth ke pisach bankar ke nana prakaar ke kukarma kiye aur parinaam swaroop durgati ko prapt hue to hamara manushya janm mila hai bhagwat prapti karne ke liye chahe ham grihasth ho chahe virakta ho donon apne apne dharm se chale to bhagwat prapti ho jaegi.
dharm chhod den to virakta banne par bhi bhagwat prapti nahi hogi. Virakta bhesh hai aur virakta dharm ka ham aacharan na karen. Bhagwat bhajan na karen. Tyag vairagya se na rahe. Indriyon par vijay prapt na karen to moksh thodi prapt hoga. Aise hi grihasth dharm mein donon apnepne dharm se chale to bhagwat prapti ho jaegi. Chahe grihasth ho chahe virakta ho sabko manushya janm keval bhagwat prapti ke liye hi mila hai. Sadhan dham moksh kar dwara paye na je parlok samara so partr dukh pav sir dhun dhun pachtae kalah karm ishwar mithya dosh lagae jo manushya sharir prapt karke sadhna karke moksh prapt nahi karta use bada dukh bhogna padega so partr dukh pav sir dhun dhun pachtae ab anya yoniyon mein jane par bhajan to banega nahi keval bhog yoniyan hai bhajan to ban sakta hai keval manushya yoni mein ab manushya yoni mein akar bhogon mein lag gaye bhajan chhut gaya to phir mahanta kya rahi manushya janm ki isliye sevak ji kahte
hain ki it vihaar na ut paramarth beech hi beech jo janm gavayo vinay Goyal ji Radhe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji dainik dincharya mein kai bar sanshay hota hai duwidha aati hai to sahi chetna aur margdarshan kaise prapt apne guru se apne guru se apni dincharya banva leni chahiye jo sansarik karya hain unki dincharya to aapki hai hi ki aapko 8:00 baje office jana hai aur sham ke 4:00 baje wapas sona hai lekin jo hamari office jane ke pehle dincharya bhagvatik honi chahiye office jane ke baat ki bhagvatik dincharya honi chahiye.
wo apne guru se banva lena. Itna path, itna bhajan, aise niyam, aise dharm to hamara daut khatm ho jaega. Kyonki guru agyaa mein daut nahi hota. Bin vichar kar shubh jani. Agar Gurudev agyaa kar rahe hain aap aise karo to usmen vichar ki gunjaysh nahi. Agar vichar kiya to dosh hai. Guru agyaa mein bina vichar karke jaisa wo bol rahe hain vaisa kiya jae to param mangal ho jaega. Guru agyaa aur updesh hi hamare har sanshyon ka nash kar dega. To hamari dincharya mein jo daut hai usko guru agyaa se nikal dena chahiye.
sanshay nahi rakhna chahiye. Agar sanshay bana rahega to dridh vishwas nahi aayega. Hamari purn shraddha nahi hogi. Sanshyatma vinashyati agar zyada sanshay ban jae to phir vinash ki taraf bhi hamari sadhna nasht ho jaegi. Hamari bhavna nasht ho har baat mein sanshay hone lagega. Yah mantr diya pata nahi ismen kalyan hoga ki nahi. Yah naam diya isse kalyan hoga. Yah baat kah rahe the pata nahi ismen kalyan hoga. To sanshyatma vinashyati sanshay ka nash kar dena chahiye. Nahi sanshay hamara nash kar dega. Agar vyavahrik paksh ho to ye kam karun ya na karun ya ismen sanshay aae to to jab sadhna karoge to aapki buddhi itni pavitra hogi.
waise to hamne sabse kaha hai chahe jitna papi purush ho jab wo paap karne ke liye galat aacharan karne ke liye sankalp karega usi samay andar se ek awaz aati hai satya ki tum galat ho galat ja rahe ho agar us awaz ko man lo to kisi ko updesh ki zaroorat nahi andar paramatma baitha hua sadguru rup se wo sabko updesh karta rahta hai koi bhi aap galat karya karne ja rahege to aapko pehle andar se sadguru updesh karega ae yah galat hai phas jaoge mare jaoge durgati hogi lekin wah pramad ke karan dhyan nahi deta aur manmani aacharan kar leta hai yadi aap bhajan karoge to aap us baat ko manoge to aapka galat aacharan ruk jaega prashn ye hai ki guru paradhyay se paas mein ki Radha rani ke bare mein jante the aur jo jitne bhi devi devta dev devta devi hai unke rup mein jab jante hain unke bare mein sochte hain to jab baat aati hai ki adwaitwad sare ek hai to hamen accha lagta hai jaise main kabhi dik upasna kar raha hoon kabhi Radha rani ki upasna kar raha hoon kabhi jaise navratra rahta hai to ki puja karne ka man karta hai
aise Radha rani ke bare mein prarambh mein sabki hi upasna hoti hai abhi piche wale batch mein bhi bataya ki prarambh mein koi hanuman chalisa padhta hai, shiv chalisa padhta hai, Ram raksha stotr padhta hai. Prarambh mein sabki sadhna sarvbhaum hoti hai. Kyonki sab bhagwan use priy lagte hain. Ganesh ji bhi virajman hai. Lakshmi ji bhi virajman sab par jab upasna ka rang aayega to ek mein aayega. Kyonki ek hi bahushyama ved kahta hai ekom bahushyama ek aham bahushyama wo param brahm paramatma ek hi bahut rupon mein vyapt hai to jo upasna kar rahe ho galat to hai nahi kyonki sab rupon mein wahi vyapt hai wo galat nahi hai.
par jab prem wali baat aayegi tab phir ek mein hota hai ki hamen mata ji se prem hai. Hamen Radha rani se prem hai. Hamen hanuman ji se prem hai. Hamen Ram ji se prem hai. Jab prem aata hai to prem galiyat sakri tame do na samae. Usmen do nahi samate. Wo ek hai aur wah ek mein lag jaata hai. To hamen chahiye dhire-dhire apne man ko samet kar kisi ek prabhu ke naam rup mein laga de. To phir hamara bhajan jo hai wah unnatisheel ho jaega. Abhi kya hai ki hamari kamnayen hain to jab jahan jaisa manaya tabhi koi aradhna ka niyam to hai nahi koi aradhna ke prati asakti bhi nahi hai.
jab jahan jaise manaya ye prambhik bhakti mein hota hai. Age chalkar ke wo jab sadhak theek se bhajan karta hai to phir samit jaata hai. Prarambh mein ham bhi aise karte the. Devi ji ko jal chadna, shankar ji ko jal chadna, hanuman chalisa padhna, shiv chalisa padhna, Ram raksha strot, Gajendra moksh, gopal sahasra naam, Vishnu shastr ye sab ek hota hai na to wo dhire dhire dhire dhire jakar ke wo jab purnata ko prapt hota hai tab ek hota hai aur ek mein aasakt ho jaata hai. Jaise Meera ji kahte hain na mere to Giridhar gopal dusro na koi aise ek mein sthit ho jaata hai.
prarambh wala koi nindniy nahi hai kyonki ek hi paramatma to bahut rupon mein hai. To bahut rupon mein bhi jo aradhna kar raha hai wo ek hi paramatma ki to kar raha hai. Wo jane na jane apne to jaan rahe hain na ki bahut rupon mein jo aradhna kar raha hai wo ek hi paramatma ki kar raha hai. Kyonki ek hi bahut rupon mein hai aur jab bahut rupon se man purn hokar ek rup mein lag jae to use prem kahte hain. Prem mein do nahi hote. Ek prem galiyti sakreeta mein do na samae ek ek hokar ke gaya jaata hai.
samjh rahe hain? Haan lakshmeeram ji Hyderabad se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev man hamesha bhavishya ki ichchhae, kalpanaen, atma sandeh aur kuch bada pane ki bechaini mein uljha rahta hai. Kripya margdarshan karen ki main is chanchal man ko kaise shant karun aur purn rup se vartman mein jeeun. Waise sabka man jo hai bada banne ki chah rakhta hai. Nahi rakhta. Sabka man kisi ka bhi man kisi se pocho tum chhota banna chahte ho kya to sab bada banna chahte hain. Matlab agar wo dakait hai to wah bhi bada dakait banna chahta hai.
bura aadmi hai to bahut bura banna chahta hai. Kyon? Aisa kyon? Kyonki ham bahut bade ke bachchhe hain. Bhagwan sabse bade hain na. Ham bhagwan ke ansh hain. To ham jis disha mein jana chahte hain us disha mein sabse bada banna chahte hain. Kyonki bhagwan sabse bade hain. To ham sabse bade ke ansh hain. To hamare andar yahi baat rahti hai. Keval man bhavishya ki hi chinta nahi karta. Bhut ki baton ka bhi chintan karta hai. Nahi karta. Biti hui baton ka chintan aur vyarth baton ka bhi chintan karta hai. Yah bhut, bhavishya aur vyarth teen baton mein ye hamko barbad kiye hue hain.
jo vartman mein hamara samay sarthak jana chahiye. Ye vartman ki chinta nahi karta. Yah bhut bhavishya ki baton mein lag ke hamare vartman ko nasht kar deta hai. Ham vartman ko yadi sambhale to hamara bhut bhi pavitra ho jaega aur bhavishya bhi ujjwal ho jaega. Vartman sambhalna ham dharm purvak karya kar rahe hain aur Radha Radha naam jap kar rahe hain. Koi paap nahi kar rahe. Aaj vartman mein abhi har samay hamare liye vartman hi to rahega na. Vartman vartman vartman to vartman mein ham koi paap na karen vartman mein jo karya karen wah dharm purvak karen aur naam jap karen pavitra bhojan pave koi nasha na karen koi vybhchar na karen to aap jo bada banna chahte ho sabse bade ban jaoge bhagwan ke bhakt se badhkar ke koi pad bhi hai kya jiske piche bhagwan dole jahan mera bhakt charan rakhe wahan rakhun main hath aur piche piche main chalun kabhi na chhanu saath bhagwan aisa kahte hain nirpekshm munim shantam niram samdarshanam anujamyam nityam putang renu bhi jo nirapeksh hai sadaiv mera manan karte hain shant hai koi dwaand unko ashant nahi kar pata samdarshi hai kisi se vair nahi karte.
aise bhakton ke piche piche main dolta hoon. Unki charan raj mere upar par jae. Itna bhagwan sammaan karte hain bhakt ka. Jab swayam bhagwan karte hain to isse bada kaun hua? To sabse bada kaun? Bhakt. Kyonki bhagwan swayam apne bhakt ka sammaan karte hain. Dekho arjun ji unche mein baithe hain aur bhagwan niche baithe hain. Jahan arjun ji ke pair hain wahan bhagwan ka asan hai. Sarathi ka asan kahan hota hai? Rathi ke juton ke paas. Kyonki wo jaise baitha hai na to uske pair ke paduka jahan hoti hai va sarathi ko baithe aur hai kaun?
dharm sada paribhashta doham teespadam shiv chatam sharanyam pranat pal bhavapotam vande mahapurush te charnarwindam itne bade mahapurush bhagwan shri Krishna jiski shiv brahmad charan vandna karte hain wo apne bhakt ke charan ke paas baithe bhakt ko uncha baitha le isse bada sammaan ka kya ho sakta hai ki swayam bhagwan niche niche baithe hain. Arjun ji upar baithe hain. Dekho agar hamko vastvik sahi mein bada banna hai to hamen bhajan karna padega. Hamen bhagwan ki leela kathayen sunkar bhagwan mein priti karni padegi. Aur jab bhagwan mil jae to phir bakaya kya rah gaya?
sab jitna maya hai yah sab bhagwan ki hai. To isliye bhagwan ka bhajan karo aur is ichchha ko bhagwan ke charnon mein samarpit kar do.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…