॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

swapna mein ghatnaon ka pehle hi pata chal jaata hai, par apno ki jaan nahi bacha pai.

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

deepa ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aapki isht ke prati aapki apaar shraddha hai aur kai bar unki kripa bhi mehsus hoti hai. Par yah kah rahe hain ki koi bhi chij ghatna ghatni ho inko swapna mein ya inko ehsas ho jaata hai to maharaj ji bat jab inke mata-pita ki pehle inko pata lag gaya tha to jab unka bacha nahi pai unko to bahut udasin ho gayi tum kya bacha sakte ho brahma bhi nahi bacha sakte agar ayu puri ho gayi to brahma bhi nahi bacha sakte tum to ek manushya ho thoda pavitra hriday hota hai to bhagvatik sanket hone lagte hain lekin bhagwan thodi ban jaoge ki srishti kar lo ya srishti ko pralya mein pahunch pahuncha do ya srishti ka palan kar lo wo to keval bhagwan ke hath mein hai.

sanket ana swapnana thoda pavitra hriday ka sanket hota hai aur koi khas baat nahi hai. Kiski takat hai ki kisi ki mrityu ko bacha sake. Suno bharat bhavi prabal bilak kaho muni hani labh jeevan maran jas apjas vidhha ye bhagwan ke hath mein tumhare hath mein thodi ki kisi ki tum raksha kar lo. Haan tumhen suyas prapt hona hai to kisi ki raksha ka sanyog ban sakta hai ki aap lagega ki aapne raksha kar li lekin unki mrityu nahi thi. Aapka sanyog ban karke unki raksha ka natak hona tha isliye raksha ho gayi.

nahi kisi ki takat nahi hai ki jo vidhna ne likh diya chathi rav ke ank rai ghate na til badhe rahhu re jeev nishang wo hoke rahega jo hona hai kisi ke bachhae nahi aap vichar karo dashrath ji ki mrityu nischit thi na to bhagwan bachhae kya bhagwan shri Ram hai wo chahte to ajar amar kar dete apne pita ko lekin nahi vidhan ke anusaar chalte haan Ram haan Ram kahte hue maharaj dashrath ji ne apne prannon ka tyag to tum apne pita ko kaise bacha sakte the wo jo jis samay jana hai us samay jana hi hai. Karanweer sinh ji dehradun se Radhe-Radhe Swami Radhe Radhe Swami ji kaise jane ki kaun sacha hai kaun jhutha hai kis par vishwas karen kis par na karen nahi sab mein bhagwan hai ham to yahi bachchha kahenge ki sab mein bhagwan hai pehle ye bhavna dharan karo phir aadmi jab vihaar mein jhutha nikle to use chhod do par vihaar mein jhutha nikle paramarth mein sab satya paramatma hi hai dusra nahi hai ye krura ap papino nach satam sambhas drishya sya se sar vastut nireeksh param swadhya buddham jo krur hai

papi hain dusht hain nich hai unmein mein bhi hamare Radha vallabh lal virajman hai pakki baat hai bijli to wahi hai chahe heater mein ho aur chahe fridge mein ho chahe kular mein ho chahe pankhe mein ho chahe hydrogen mein ho chahe mashin mein ho chahe train mein ho kriyaen alag-alag hai karan ke karan kriyaen alag-alag wahi bijli thanda wahi bijli garm wahi bijli jeevan wahi bijli mar de lekin bijli to ek hi hai na aise sab mein paramatma rupi bijli to ek hi hai haan khopdi ke anusaar kriyaen alag-alag ho rahi hai jaise yantr ke anusaar kriyaen alag ho rahi hai heater mein garmi paida kar rahi bijli aur fridge mein thanda to bijli to wahi hai bijli na garm hai na thandi hai wo to karan ke karan ab wo hydrogen pe gayi to prakash dene lagi aise hi khopdi raaksasi si hai to paramatma shakti usmen raaksasi bhav prakt kar di ab wo raaksasi to hamko kya dekhna hai satya vastu satya vastu kya hai paramatma ab ham vihaar dekhte hain agar vyakti ka vihaar hamare anukul hai to usse dosti kar lete hain aur

agar vihaar anukul nahi hai to udasin ho jaate hain. Udasin ka matlab hota hai na dosti na shatrutha na mitrata na shatrutha use aise udasin ho jaate hain. Aise agar ham dekhenge to sam mein dosh hai kyonki dosh aur gun se bana hua hai. Jaise sona bina milavat ke abhushan ban hi nahi sakta. Shuddh sone ka abhushan nahi banta. Usmen raeepai milavat hoti hai. Bina milavat ke wo kangan aur bala jhala nahi ban sakta. Usmen milavat hogi. Nahi kahte bole 22 hai sona. Haan [nak se ki jane wali aawaz] nahi ismen 20 hai.

ismen 18 hai. Matlab 18 aur 24 itna beech mein milavat ho gayi. Bole 20 hai to 20 aur 24 itna milavat ho gayi. 22 hai. Bole bas 2% milavat hai. Bina milavat ke ban hi nahi sakta. Aise milavat se sab bana hua hai. Kuch paap aur kuch punya. Usi se sharir ki rachna hai. To jab sharir ki rachna hai to hamse kuch paap honge, kuch punya honge. To ham yah dekh le jad chetan gun dosh mein vishv keen kartar sant hans gun gaye pe parihri vikar jaise doodh pani mila ke rakh do to hans keval doodh pi lega pani chhod dega aise hi kisi ke dosh mat pakdo gun gun lete chale jao to koi bhi aisa nahi sansaar mein jismen gun na ho gun aur dosh donon mish sthit hai bhai kisi mein 90% gun hai to 10% dosh hai kisi mein 90% dosh hain aur 10% gun hai.

aisi rachna hai. To hamen kya 100% to keval bhagwan ya bhagwan ko prapt mahapurush pure 100% nirdosh jo bhagwan ko prapt ho gaye hain ya bhagwan nahi to milavat hai bhaiya. Kahin na kahin kahin na kahin dosh hai aur gun hai. Aur agar ham aise dekhenge to charachar jagat mein gun dosh hai. To ham kya karen? Gun gun se grahan kar len. Dosho ka tyag kar de.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi