॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1296 · 14 june 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki shri Sadgurudev bhagwan ki jai jyoti ji mumbai shri Harivansh Radha vallu shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji ham apne bachchon se kaise moh ka tyag karen bhagwat bhav karke ab hamare adhyatma ke bhav mein bhagwat bhav karke kyonki bhagwan us rup mein akar ke aapko maa ka pura kartavya karna hai.

ye jo aajkal apne kartavya se chuk rahe hain bachchhe mata-pita ki seva se mata-pita bachchon ke apne mauj masti mein wah bachchon ke kartavya ke liye unko prerit nahi karte prerit jab tak adhyatma mein mata-pita nahi to mata-pita ko hi nahi pata bachchon ka kartavya kya hai. Keval hai ki padhai likhai adhyatmik koi matlab nahi to phir unke andar adhnikta itni bhar jati hai ki kama aadi dosho se yukt hokar vyasan aadi mein chale jaate hain. To hamen lagta hai ki agar ham apne bachchhe mein bhagwan ki bhavna kar le to hamen moh tyagne ki zaroorat hi nahi hai.

kyonki bhagwan ke bina ham kisi ko pyar kar hi nahi sakte. Jaise bachchhe ke andar se bhagwan chale jae to bhala us sharir ko ham kitne minute rakh sakte hain? Socho priy se priy sharir ko ham bhasm karva dete hain, nasht karva dete jab uske andar se bhagwan chale jaate to ham vartman mein apne bachchhe mein bhagwan mankar pyar karen to kya kami ho sakti hai? Kiska prashn tha? Ham kah rahe hain ki ham ek shri vigrah mein bhagwan mankar pyar karte hain to pran pyare lagne lagte hain. Agar ham bachchhe mein bhagwan ko dekhkar pyar karen to hamen pareshani kya hai?

hamen moh chhorne ki zaroorat nahi hai aur moh karne ki zaroorat hai. Kya? Abhi ham putr man ke moh kar rahe the. Ab ham bhagwan mankar pyar karenge. Ki mere bhagwan is rup mein aae. Mujhe maa ka saubhagya diya hai. Main man vachan karm se inki seva karungi. Bas ho gaya. Agar ham ek pashan murti mein bhagwan ki bhavna karte hain to ham bhagwan ko prapt kar sakte hain. To ham chalte phirte mein agar bhagwan ki bhavna karen. Jaise hamare shastron mein kaha gaya patni apne pati ko bhagwan rup dekhe. Pati apni patni ko ardhangini rup dekhe.

mata-pita ko bhagwan rup dekhe. Ye sab kyon kaha gaya? Kyonki zyada bahar daudne ki bhatakne ki zaroorat nahi. Apne ghar mein hi bhagwat bhavna kar lo. Patni pati mein bhagwat bhavna kar le. Pati apni patni mein bhagwat bhavna kar le. Mata-pita mein bhagwat bhavna kar le. To bahut zyada kuch karne ki zaroorat nahi. Naam jap karo. Dharm purvak kamao. Parivaar ki seva karo. Bhagwan ko prapt ho jao. Kyonki aapne bhagwat bhavna ki aur bhagwan mein bhi bhagwat bhavna na ho to kam nahi banega. Duryodhan ne bhagwat bhavna nahi ki.

shri Krishna chandra mein to shri Krishna ki baat manne ke liye tayyar hi nahi hua. Gaye to the sandhi dut bankar bhagwan gaye the aur kaha tha ki aadha rajya de do pura rajya na sahi yadyap tumhen de dena chahiye kyonki 12 varsh ka vanvas ek varsh ka agyatvass pura hote hi aapne kaha tha main rajya de dunga de do nahi diya to kaha panch ganv de do panch ganv bhi nahi diya kaha sui ki nok bhar le denge bina yuddh ke to bhagwan ne kaha phir tathastu yuddh ko hi to hamen lagta hai ki yadi ham apne putr mein apne parivaar mein bhagwat bhavna karen to kitna premay jeevan hoga.

socho bhai bhai thodi-thodi vastu ke liye ek dusre ko mar kaat rahe hain aur thode aisi naujvano ki buddhi maya grasit ho rahi ki asmarth mata-pita ko dand de rahe hain. Peet rahe hain ya nikal rahe hain. Hamen lagta hai ki agar unhin mein bhagwat bhav karke sundar-sundar bhog bankar unko pavave. Unki seva karen to hamen kahin jane ki zaroorat nahi. Unhin se bhagwan hamare kalyan kar denge. Ab yah parivaar jo hamen bhagwan ne diya pyar karne ke liye diya hai. Dekho ham log Baba ji hain. Lekin ham kya kar rahe hain?

aap sabko pyar hi to kar rahe hain na. Aap sabse pyar se batchit karna, pyar se milna. Hamara uddeshya ham sabka pyar hai, prem hai. To hamare parivaar mein jo sadasya hain agar ab unmein pyar yukt vihaar karke dharm yukt aur naam jap karen to kya bhagwan ki prapti nahi ho jaegi? Bhagwan jab Ram ji kaushilya ji ki to aap wahi bhavna kar lo ki jo lala aae hain ye bhagwan aae to muhn hatane ki zaroorat hi nahi bhagwat bhav ho gaya aur aise agar muhn hatane ki baat karo to muhn pehle sharir se hatana chahiye apne kyonki sabka connection isi se hai na putr ka pati ka parivaar ka duniya ka connection isi se hai deh pran te priy kachu nahi ab isko to ham manaye rakhte hain chahe jahan bhag ke chale jae to phir naye sambandh bante rahenge.

moh ka nash hoga nahi. Pura moh ka nash iske rag se nasht hota hai. To ham yahan bhi bhagwan ko dekhen. Jab sabke hriday mein bhagwan hai to mere bhi hriday mein bhagwan baithe hue hain. Abhi bas bhav se hi kam hota hai. Jitna sundar bhav banta jaega utne hi aap nazdik bhagwan ke hain. Aur jitna bhav bigdta jaega utne hi aap dur hai bhagwan ke. Kasht hota hai to taklif hoti hai bachchon ko dekhte ki kahin sun nahi rahe hain kab hamara jitna prayas hai ham kasht nivaran ka prayas karte hain iske baad ham jis bhav mein hain us bhav mein aa jaate hain he bhagwan ham to aapke kathan anusaar sevak hi hai na ab aap Swami ho aap dekh lijiye mere paas jitna aapka diya hua dhan bal buddhi bal sharir bal hai usse main aapki seva aur iske baad prabhu main asmarth hoon aap dekh lijiye wo wo bhagwan dekh lenge kyonki aapke aur putr ke beech mein bhagwat bhav hai.

aapke aur parivaar ke beech mein bhagwat bhav hai. Bhagwat bhav purnata le aata hai. Bhagwat bhav ya to aapko gyan de dega ya udhar ki samasya hata dega. Donon baten ho sakti hai. Ho sakta hai udhar ki samasya na hatani ho bhagwan ko to aapko gyan de denge. Aapko shanti de denge. Aap shantipurwak us dukh ko sah lengi aur ya phir bhagwan use mita bhi sakte hain. Donon samarthyavan hai bhagwan par wo jaisa kare donon mein raji rahna chahiye. Jo jo pyaro kare soi moh bhave wahi bachchon ko bhagwat prapti ke liye prerit kar jaate aadhunik padhai ke liye prerit kar donon ke liye aadhunik padhai bhi padhaey aur bhagwat prapti ka bhi marg pusht karen agar keval aadhunik padhai hai to baat nahi banegi aur keval bhagwat marg ki baat tabhi samjh mein aayegi jab aadhunik padhai to ho agar ka kh ga matra ka gyan na hota to aaj ham aapse varta kaise kar lete agar aadhunik padhai hamare jeevan mein na hoti to ham adhyatmik padhai ko kaise padh pate aadhunik padhai hamare jeevan ki niv hui aur adhyatmik padhai uske upar mahal hua to donon padhai ki zaroorat hai.

aisa nahi ki ab jaise mana ham bhajan karke bhav prapt kar sakte hain lekin aapko bhav vyakt nahi kar sakte kyonki aadhunik padhai nahi hai. Agar hamen sanskrit ka gyan na ho Hindi ka gyan na ho matraon ka gyan na ho to ham jo bolna chahte hain hamen shabd ka gyan nahi to aapko kaise? Isiliye kaha ki shabd brahm aur parbahma donon ka gyan hona chahiye. Shabd brahm ka pargami vidvan aur parbahma ka anubhuti tabhi wo jagat ka kalyan kar sakta hai. Isliye aadhunik padhai bhi aur adhyatmik baat bhi donon batani chahiye.

vishesh kumar jhaa ji shri Harivansh Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji prem bhakti aur vairagya tyag ke beech mein kya sambandh hai? Kya hamen bina vairagya ke prem bhakti ka bhav aayega? Nahi bilkul nahi. Jo sharir mein ragi hai, jo bhogon ka ragi hai, jo sharir sambandhi ka ragi hai, usko prem kaise ho sakta hai? Prem to tab hota hai jab janani Janak bandhu sutdhara tanu dhanu dham suhad parivara sabki mamta tag batori mam pad manah bandh bar dori yah jo sabki mamta batorna hai yahi vairagya hai rag rahit ho vairagya ka matlab bhash parivartan par mat jana vairagya ka matlab antarik sabki mamta tag batori mam pad mane bandh par dori prabhu aise pyare lagne lage ki unke siva kuch aur pyara na lage use prem bhakti kahte hain.

prabhu ke siva hamara pyar ka vishay koi na vastu ho na vyakti ho na sthan ho use hi prem bhakti kahte hain. Jab hamara kahin kisi se to hamara man kahin jaega hi nahi aur sav man Krishna padarwind bhagwan mein man laga hai. Yah prem lakshan bhakti vyakhya saral bhasha mein prabhu ke siva hamara koi nahi. Meera ji kah rahe mere to Giridhar gopal dusro na koi to jisse ham pyar karte hain wah hamare drishti mein nahi aaya to virah paida hota hai aur jab wo mil jaata hai to anand prakt hota rahta hai to do prakaar ke ashru bahte rahte hain ya to tadpan ke milan ke aur ya anandashru prem bhakti ka do swaroop hai ek virah aur ek milan virah mein tadpna ha Krishna ha kishori kab mil miloge aur anand mein itna sundar rup hai.

itna anand hai ki saha nahi ja raha. Itna anand hai ki wo anand saha nahi ja raha. Us sharir mein kampna, romach ho jana, ashubh pravah hona ye tabhi hoga jab hamen koi vastu vyakti, sthan bahar priy na lage aur andar hamari vritti ekmatra prabhu mein jab prabhu ke siva hamara koi hai nahi wo andar se andar chintan mein to wo gadh bhav jo chintan ka hai usi ko priti kahte hain. Jo andar hamara prabhu se gadh anurag hai usi ko priti kahte hain. Wahi prem hai. Wo hriday gufa mein rahta hai. Wo bahari koi pradarshn ka vishay thodi wo to hriday mein rahta hai.

samjh pa rahe ho aap? Grihasth bhav mein matlab are grihasth virakti sab bahari baten hain. Bachchha priti andar ki baat hai. Samjh rahe ho na? Aap pat shirt pahan rahe ho. Bhagwan se pyar karte to aap mahatma ho aur aap mahatma ke vesh mein ho. Prapanch kar rahe ho to aap prapanchi ho. Grihasth virakta ek hamare jine ke tarike hain. Aap samjh rahe hain na? Grihasth virakta hamare ek chalne ke marg hain. Lekin ham chal to donon usi prabhu ke paas rahe hain na. To bas andar se priti prabhu ke siva kahin na rahe. Usi ko vairagya kahte hain.

kah jag te bhyo phire bairagi Vrindavan ras mein anuragi. Jab hamara to ab us yah andar ka vishay jaise pardesh gaye hue pati ke pativrata jo keval ek pati se prem karti ab wo apni sas sasur devra nand sabke saath rah rahe sabki seva kar rahe has batchit bhi kar rahe hain lekin uske chitt mein ek pida hai. Us pida mein har samay apne pritam ka chintan karti hai. Kabhi koi phone aa jae, kabhi koi sandesha aa jae ya kab aaenge, kab milenge? Har samay uske hriday mein jo ek pida hai use priti kahte hain. Wo priti ka pradarshn sabse kar rahi hai.

sas, sasur parivaar ke sab janon se koi jaan nahi pa raha. Sab koi samjh rahe khushi hai wo khushi nahi hai wo andar hi andar ek dah mein jal rahi ki kab wo saubhagya din jaise wo apne pati ke liye aise sadhak kab wo saubhagya ka din hoga ki mere pritam ka koi sandesha aa jae ya pritam ane wale hain ya hamse baat kar le wo wo andar hi andar baten karti rahti hai. Andar hi andar unka chintan aise upasak andar hi andar prabhu se baat karta rahta hai. Andar hi andar unko pukarta rahta hai. Bahar se grahasti ho ya virakta vihaar sab aise sansarik purush jaisa kar raha hai.

andar ki priti dekho goswami ji ne bhagwan se kaisi priti mangi yah bahut vicharneey vishay hai. Kah rahe kamini nari piyar jim aur lobhi jim priydam ti Raghunath nirantar priy lago mein jaise kamini purush ko kamini priy lagti hai. Jaise kamini ko apne priykant lagte hain. Jaise lobhi ko dhan priy lagta hai. Wo andar hi andar chintan karta hai. Bahar ka vishay nahi hai. Aise hi prabhu mujhe priy lago aap nar piyar jim lobhi jim priy dham tim Raghunath nirantar priy lago mohe Ram. Ismen grihasth virakta ka ye bahari rahni hai.

priti andar ka vishay hai. Priti bahari dikhave ka vishay thodi hai. Wo to hriday ka vishay hai. Wo kahin bhi kisi ke bhi hriday mein jagrit ho sakta hai. Jo nirantar naam jap karta hai. Bhagwan ke siva kisi se apna sambandh nahi rakhta. Usko kaise jiya jaega. Tabhi wo jo tadpan aati hai usi ko to priti kahte hain. Ki ab to kaise jie aapke bina? Itna samay ho gaya aap mile nahi keval aapke bhrose aur hamara koi hai nahi aap dikhayee nahi diye kab miloge prabhu wo andar hi andar vyakul hokar prabhu ko jo pukarta hai usi ko priti kahte hain aur jisko mil gaye ab wo ji nahi sakta unke bina ji nahi sakta jinko mil gaye ab milne mein itna apaar anand hai ki wo use sah nahi pa raha to kabhi vikal ho jaata hai kabhi murchhit ho jaata hai use mil mile nahi to vikal ho jaata hai.

murchhit ho jaata hai. Use mile to vikal ho jaata hai. Murchhit ye donon aisi prem ki dashaen hain jinme kabhi bahirmukh hone ki dasha hi nahi hoti. Wo bahirmukh hota hua bhi bahirmukh nahi ho pata. Ek swabhavic ek parmanand sthiti wo isiliye prem ko kaha gaya anirvcni swarup jiska varnan nahi kiya ja sakta. Kamna rahitam sukshmatram anubhav swarup anirvchaniyam prem swarup mu ka swad anud bas keval andar ka vishay hai bhai bhakti ke bahari aacharan to bahar dikhayee de ke bhagat hai lekin premi ko nahi aap pehchan sakte wo andar priti jaise koi is dil ko masla kare shayad isko hi priti kahte ho ek dil ki ek ajeeb pida apne pritam ke liye ek ajeeb tadpan ek ajeeb jaise aapka kisi se apnapan ho jae kisi se bhi apna aur uske milne mein badha ho ab aap dekho kaisa hriday hota hai na bhojan accha lagega

na pani accha lagega na kisi se baat aisa lagega uske sambandh ka koi vyakti aa jae aur mere se baat kar le jo uske sambandh ka vyakti koi us gali ka vyakti aa jae to baat kar le mere se mujhe santosh ho jaega aise premi koi bhagwan ka premi mil jae jahanjahan pi ki baat sune khojat tin gahnan mere prabhu ki koi baat suna de mere wo priti andar ka vishay hota hai bhakti bahari acharno se pahchani ja sakti hai lekin priti nahi pahchane wo hriday ka vishay hota hai wo hriday mein wo andar ka vishay hota hai pat shirt mein bhi bhagwat premi ho sakta hai aur bhagwat vesh mein bhi pakhand ho sakta hai to ye prem hriday ismen grihasth virakta ismen wo hriday ka vishay fawda chala raha hai bhagwan ka naam jap kar raha hai.

wah bhagwan ke liye pratyek karya kar raha hai. Uski smriti mein bhagwan wo mahapurush hai. Sansaar ka chintan kar raha hai. Sansaar ke rupya paisa man pratishtha ka koi bhi ho sab pakhand hai. Priti ek andar ka vishay hai. Priti bahut gupt vishay priti hai. Aur bahut samarth is priti mein hai. Jiske andar prem aa gaya to dekho bhagwan rath haak rahe hain. Bhagwan charan chap rahe hain. Bhagwan sevkai kar rahe hain. Kahan itne bade bhagwan aur kahan jahan arjun ke jute wahan bhagwan baithe hain. Prem ka hi to khel hai.

bhagwan madhvdas Baba ki languthi dho rahe hain. Kahan bhagwan ham log kahan adham jeev kahan itne bade akash prithvi patal sab anant bramhandon ko rachne wale aur bhakton ke das ban jaate hain. Yah priti jo matlab wo yah sab buddhi ka khel nahi hai. Yah to bhagwan ki kripa se hriday ka vishay hai. Prem ho jae tab dekho prem ki dasha kya hoti hai. Matlab apne prannon ka vismaran ho jana. Pran tinke ki tarah lagna ek sadharan prem mein dekh lo. Ladka ladki bachchha bachchi prem karte hain aur unke milan mein badha ho jae aur unki prabal asakti ho to donon apne pran dene ke liye tayyar ho jaenge.

nahi pran de nahi dete jahr kha liye se ham bhagwan se prem karte hain aur hamen khanpan accha lagta hai sansaar accha lagta hai prem to nahi hai sansaar ka prem kiya shariron ka wo nahi jante ek dusre ko keval rup sharir sansaar ko dekha to unko prem ho gaya to pran nyochhavar kar diye aur ham bhagwan se pyar karte hain hamko sansaar accha lagta hai to bhala prem kahan ho sakta hai prem to bahut ek alag hriday ka vishay to prem prem lakshna jo bhakti hai wo bhagwan aur asim kripa jab karte hain tab wo andar jagrit hoti hai wo swayam usmen banavti pate wo sidhe priti na kan ki kan bichare marg apmarga vitit man kaun sharat nivare ja sarita savan jal umgat sanmukh sindhu sidhare prem ki vritti kaise hoti hai bhakt ki jaise yamuna ji baadh mein aae to koi rok le savan mein jaise badhat na ab wo ja rahe samudra ki taraf sab cheerte hue aise us upasak ka hriday kisi bhi bandhan ko sweekar nahi karta kisi bhi bhog ko sweekar nahi karta narayan hari bhajan mein panchon anuswar vishay bhog nidra hansi jagat

priti bhogwad sat trati sat trati lokantarya jo bhagwan ka premi hai ashik hai usi se to pura bhavan ka bhavan pavan hote hain jo bhagwan ka premi hai samjh pa rahe hain aap naam jap karo khub naam jap karo maharaj shri ji maharaj ji ek prashn tha maharaj ji jaise aapne bola ki andar ka chintan prabhu ke usmen ho maharaj ji ham pura din aapke saath rahne ka saubhagya hota hai ki aap pura din aisi jaisi abhi sthiti mein jyadatar aisi sthiti mein rahte hain bat aapka vihaar bhi utna hi matlab perfect hota hai ki matlab aap vyavahrik sevaaon mein bhi aur andar ke chintan mein bhi ek jaise jaise abhi jis bhav mein abhi bhi aap apne vihaar mein ekantik vartalaap kar rahe hain.

apni puri dincharya kar rahe hain. Ji do ek saath kaise ismen bhagwan ki samarth se hota hai. Ye hamari hamare bas ki nahi hai. Hamari samarth nahi hai. Ye bhagwan baithe hue wahi bulva rahe hain. Wahi karva rahe hain. Wahi apne bas ki baat nahi rah jati. Jaise abhi man aur buddhi, chitt aur aham aur indriyon se karya hote hain. Kam waise hi honge par wo bhagwan se honge. Man buddhi indriyon se inki samarth nahi hai. Prem ka prabhav chadha aur phir kisi se baat kar le. Donon ek saath bhagwan ke chintan mein gadh avastha phir vihaar kar le.

yahi kam kartum akartam anytha kartum sarv samarth sa eeshwara wahi bhagwan aisa karte rahte hain. Unhin ke dwara hota hai. Yah manushya ki samarth ke bahar ki baat hai. Ek jagah kahin man lagao phir dusri jagah ka uttar de de. Aisa kaise ho sakta hai? Ya to man nahi laga. Jahan uttar diya ja raha hai wahin man laga hai. Par aisa nahi hai. Ek jagah bahut gadh sthiti mein man laga hua hai. Phir bhi vihaar mein sare uttar ho rahe hain. Ye bhagwan ki samarth se hota hai. Ab jaise chal padi to ab chalti rahegi.

agar ruk jae to phir ruk jae. Ab hamari buddhi thodi kam kar rahi. Wo to battery charge bhagwan se ho rahi to wahi unhin ke bal se nahi to phir vihaar nahi hota. Aise hi ek grihasth aadmi bhi bhagwan ke prem mein rahte sare kam kar sakta hai. Sare karya kar sakta hai. Wah matlab ek alag sthiti hoti hai. Usmen apne ka kuch matlab kuch nahi. Ab jaise hamse pocho aap kya to ham kuch nahi. Yahan kuch nahi hai. Ho raha hai. Aap pakar lo jo pakar lo jo matlab ek jaise kisi ke upar bhut ka avesh ho phir aise aise bhagwat avesh udaharan ke liye de rahe hain.

bhut to prakritik malin avesh hota hai. Ye to satchidanandmay bhagwan ka isi avesh mein bhakt ke dwara sare karya hote rahte hain. Dekhne mein hota hai. Bhakt karya kar jaate hain. Bhagwan karen karave aap sab jai. Dekhne mein lagta hai ki amuk vyakti amuk namdhari lekin wo wahan nahi hota. Bhagwan bhagwan virajman hote hain. Jaise hamare samne kya hai? Tumhen kya dikhayee de raha hai? Hamare samne jo hai ham usko dekh ke bhi aapse vyavahrik baat kar sakte hain. To ham nahi kar rahe hain. Wahi kar raha hai jo ek saath bahut se karya kar sakta hai.

wahi paramatma nahi to kahin tumhara man laga ho to dekho tumse koi baat kare to kya kahoge? Are rahne do. Kahin bhi man laga ho ekagrata ho to aap phir baat nahi karo. Yah bhagvatik hota hai. Bhagwan ki kripa se hota hai. Anand kumar ji Radhe Radhe Radha vallabh shri Harivansh Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji mansik seva mein deh bhav ke karan Raghunath ji ki aur shri ji ki prati kabhi-kabhi gande vichar aa jaate hain. Maine suna hai ki jab tak guru agyaa na ho tab tak mansik seva nahi karni chahiye.

main kya karun maharaj ji? Mansik seva jo thoda hota hai wah band karna nahi chahta. Mansik seva to tabhi prarambh hoti jab mansik dev hamare manas patal par jhalakne lage. Om radheshyam ki ya Siyaram ki ya shiv Parvati ki kisi ki bhi agar mansik seva karte hain to hamare manas patal par pehle prabhu hote hain aur jab itni kshamta aa jaegi ki samne prabhu hai to gande bhav kaise jagrit ho sakte hain dehabhmani ko gande bhav hote hain bhagwat bhav wale purush gandagi ka kahin pravesh koi bhi gandagi aa bhi jae to milkar ganga mein jaise nala milkar pavan nahi ho jaata.

aise gandagi bhi akar pavan ho jati hai. Aapki pavan avastha mein gandagi aati hai to iska matlab aapke manas patal par prabhu abhi nahi padhare. Naam jap mein dhyan dijiye. Pradhanata naam jap ki kijiye. Jitna adhik naam jap karenge wahi durvasan ka mitiya met karta chala jaega. Aur naam mein hi rup jagrit hota hai. Jab rup samne hota hai to phir main ka vismaran hota hai to gandi baat kisko aati hai? Aap purush bhav mein hai isiliye gandi baat hai. Aap atma swaroop mein to hai nahi. Aap bhav deh mein to hai nahi. Aap prabhu mein to sthit nahi.

to isiliye sadhak ko chahiye. Ab kahara aata nahi. Phd ka bhashan dena shuru karen to pakda jaega na. Phir phas jaega na. Pehle kahara yad karen to prathmik bhakti se agar ham chale to nirwasnik hote hue ham bhagwan ke marg mein age badh jaenge. Ham pehle khub leela katha sune bhagwan ki lilaon ka gayan karen. Naam jap karen. Sant samagam karen. Mata-pita parivaar ki khub seva prakt karen. Ye siddho ka hai mansik seva. Ab abhi sadhna mein to phir galat ho jaega na. Ab aap mansik dosho se yukt ho jaenge to phir kya hai?

phir sab bigad gaye. Mansik pavitra hamen chahiye tab to mansik seva hogi. Bina pavitra patr hue seva hoti hai kya? Jab ham seva karna prarambh karenge to pehle bartan manenge nahi. Hamare sare bartan ashudh hai. Man, buddhi, chitt, ahankaar, indriyan ye sab bhogon mein ashudh hai. Pehle inka marjan karen. Gyan ke dwara naam jap ke dwara shastr swadhyay paropkar dusron ki seva tab baat sun mata-pita hain roz pair chhute ho mata matlab bahar koi mata-pita jo bujurg apne priyjan hain unki seva karte ho jitna ho sakta hai karte to pehle unki pragat dev ki seva karo unke ashirwad se buddhi shuddh hogi tab mansik dev ki seva hogi naam jap karte hain thoda thoda mora hota hai baat kar phir mansik seva maharaj ji aap bol matlab ekantik mein bole the haan to aap samjho pehle satsang mein ka se lekar gya tak ki varta hoti hai medical store mein har dawa hoti hai par doctor se parcha banva ke le jao ki tumhare liye dawa kaun si chahiye sadguru vaidya vachan vishwasa satsang mein to ham khula har ek se le 100 tak ka sabke ke liye bant rahe hain.

ab jo adhikari jhaank ko to 100 wala pakdoge kya? Ek wala pakdo. Ek se chaloge to 100 tak pahunch jaoge. 100 wala pakdne ki koshish karoge nahi. Adhi chhod puri ko dhave puri mile na adhi pave. Baat samjho. Medical store mein sab dawa hai. Hamko kaun si chahiye? Doctor se likhwa ke lana padega. Aise thodi ki hamari neeli pili dekhkar jo chahe wo pasand kar le. Satsang hai medical store. Usmen chhoti se chhoti baat badi se badi baat to hamko mahapurushon se santo se milkar yah nirnay karna mere liye kaun si baat uchit rahegi satsang mein to panch minute hi sahi mansik seva to kijiye wo samne kaun baithe hain sahab virakta baithe hain saikadon ki sankhya mein wo virakta baithe hain jo varsho se aradhna mein sanlagna hai unke liye ishara kar rahe hain panch minute to dekho aisi bhavna karo kitni sundar yamuna ji hai ab ham kah rahe dekho bhavna karo karo to jo to bhavna mein ane lage Shyam varn ki

yamuna ji dekho neel kamal shwet kamal swarnnim kamal kaise khile hue hain dekho unse bhavre gunjar kar rahe hain hamare Priya pritam galbiya di hui hai bhavna karo dekho aisi yamuna ji ke samip pahunch rahe hain ab wahan bilkul bhavna mein phuanchte hue aise to ye sab koi thodi pahunch raha hai jo bhagwan ke jitna adhik nazdik pahunch raha hai bhajan mein usi ke bhavna se pit dh hai kaise sundar gore sanvle charnarvind Vrindavan ki pavan bhumi ka sparsh kaise renuka ka sparsh karte ekdam tanmay hai Priya pritam yamuna kinare pahunch kaise aaspas sab sakhiya hai kaise yamuna ji ke jal mein machhli kilole kar rahi Priya pritam ko dekhkar aandit ho rahi Priya pritam unko dekhkar aandit ho rahe jaise ek satsang mein bolte hain ekantik mein bolte to adhikar anusaar abhi aap shri ji ki bhavna thodi kar sakte hain kyonki purush bhavna pusht hai to aap dekho bole na ki mujhe vikar dosh aa jaata hai.

pehle to vikaro ka daman karne ke liye hamen sadhna karni padegi na tab ham us unchai par paunchenge. To satsang shastr swadhyay ye sab medical store hai. Isiliye Gurudev ki avshyakta hoti hai. Wo hamare anusaar bolenge. Tum ye sadhan karo. Tum yah sadhan karo, tum aisa karo tab age badhoge. Theek hai? Abhi Radha naam ka dhyan karo. Radha naam jap karo aur Radha naam ko bhog lagao. Radha naam ki aarti karo. Manas patal pe koi vikar nahi aayega. Aur wo baat wahi rahi. Phir jab rup prakashit hoga Radha naam itna pavitra ho chukoge ki phir ye gandi baat nahi rahegi man mein.

theek hai. Swami harihranand ji maharaj. Maharaj ji charnon mein pranam. Maharaj ji sakshi bhav ka gyan hone par bhakti shreshth hai ya pehle bhakti mein par gyan shreshth hai? Upasak ki ruchi visheshta ismen kam karegi. Ek dusre ko laghu ya shreshth ka vishay nahi hai. Sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir inko guru pratap se vedant ke dwara, pavitra ki hui buddhi ke dwara tino ka rag tyag de. Apne swaroop mein sthit hone ke liye sakshi bhav se wah tino ko pehle badhit karta rahta hai.

sthul ki kriyaen, sukshm ka chintan aur swabhav ke prabhav satoguni, rajoguni, tamoguni ye tino mere nahi hai. Iska wo sakshi drashta matra hai. Ab is bhav se dhire dhire dhire dhire chintan shunya ho jana. To jo bacha wah apna swaroop bacha aur isi tarah bhakti mein bhi hai mani baat ki param brahm paramatma hamari jo atma swaroop hai wah bhagwan ab unka naam rup leela gun chintan karte hue ismen tadatma bhav se chintan ismen sakshi bhav nahi hota bhakti mein sakshi bhav nahi hota ismen tadatma bhav hota hai itna tadatma bhav hota hai ki main ka vismaran ho jaata hai.

jaise gyan mein itna atma swaroop mein rati ho jae ki samasth tu ka vismaran ho jae. Tu shabd hai hi nahi srishti mein. Keval main hi main hai. Ab wo to brahm swaroop mein sthit ho gaya. Aur bhakti mein main ka vismaran hai. Main kaun hoon? Iska vismaran itna tanmay ho gaya prabhu mein ki brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni sudhi na rahi ek raho Nandlal ek ishta kar sawal hal hoga ek mein hi ab bhakti se shuru hua main ka dehatma bhav ka vismaran hua jo atma swaroop prabhu hai wo usmen tanmay ho gaya to bacha to ek hi main hata to jise ham tu mankar aradhna kar rahe the wahi paramatma mein ho janat tumhen tumhen ho jae aur bhakti mein jis samay bhagwat sakshatkar hota hai to do karya hote hain.

bhagwan se prem aur apne swaroop ka bodh ek saath hota hai. Mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa ab gyan mein wahi jo shri Krishna prem hai bhagwat prem hai wahi atmarti hoti hai. Atmarti ga apne swaroop mein priti sarvatra brahm bhav wahi brahm main antahkaran ki samta antahkaran ka chintan shunya ho jana aur apne swaroop mein sthit ho jana gyan ka to bhagwan shankaracharya ji ne kaha swarupanusandhan bhakti garsi swarupanusandhan mein bhakti shreshth hai to bhakti isliye shreshth hai ki bina bina guru charan aradhna ke kisi ko aaj tak brahm bodh nahi hua.

to jaise ham sakar rup bhagwan shri hari ko mante hain. Aise hi ham bhavna karte hain ki wahi nirakaar param tatv Gurudev ke rup mein virajman hai. Jo brahmandam param sukhdam kevalam gyan murtim dwandateetam gagan sadsam tatwasyad laksham ekam nityam Vimal achlam sarwadi saksheebhutam bhavateetam trigun rahitam sadguru tam to ham sadguru ke charnarvind ki seva paricharyaa aur unke vachno ke chintan ke prabhav se ham apne swaroop ko prapt ho jaate hain. Sadguru aradhna jaise sakratmak bhav aise sakratmak bhav bhakti ka aradhan hai.

par donon mein bas thoda antar ye hota hai ki ismen prarambh bhed se hota hai aur us abhed ho jaega ismen bhi aur usmen prarambh hi abhed se hota hai. Gyan marg mein abhed se prarambh hota hai. Aap samjh pa rahe hain ismen koi sanshay? Ham to is bhav se chalte hain. Jab tak vichar hai tab tak sansaar hai aur jab nirwichar ho gaye. Nahi to ek ek chij yah dekhna hai ki sadhu mein sansaar ka vichar hai ki brahm vichar hai. Brahm vichar phir sansaar kahan hai? Aapse pooch rahe hain sadhu ka to brahm vicharam to phir sansaar kahan hai?

kya aap swapna ki satta manoge kya? Phir kaise sansaar ki satta man rahe ho? Jab tak vichar hai tab tak sansaar hai to aap sadhu hain. Aapki manyata brahm vichar ki hai to sansaar kahan hai? Is par vichar kijiye. Is par vichar kijiye. Aur jab brahm vichar hai uske siva koi hai nahi. Nasto vidyate bhav na bhav vidyate satta asat ki kabhi satta nahi. Sat ka kabhi abhav nahi raha to aap asat kyon satta dene wale hain ya sat ko? Agar shat ko to uski satta hi nahi jiska aap kah rahe hain ki tab tak sansaar hai uski satta hi nahi prabhu kyonki aap ek uchh koti ke mahatma ke isliye aapse agar koi sansari purush karta to mohar laga dete ham haan jab tak vichar hai tab tak sansaar hai vichar shunya sansaar rahit lekin aap koi sansari aadmi thodi hai aap logon ki kripa hai soman sarkar ka ashirwad hamen hai aur ham jaate the aap ek bar ham dekha tha aapko accha accha shobhal dekha tha kya ha seva karen aap koi nahi yahi jo hai seva hai ab kya hai ji richa ji soneepat se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jaise parikshit ji ka narad ji ka dhundhkari ji ka udhar hua kya waise hi moksh ki prapti hamen bhi hogi aapke mukharvind se bhagwat katha sunne ka param saubhagya mila hai manan kitna hota hai parikshit ji ne ek bund pani nahi piya.

ek bhi kaval ann nahi paya. Aur Paramhans shri Sukhdev ji ke ek ek vachno ka manan kiya to moksh ko prapt ho gaye. Dhundhkari ne ek bund pani nahi piya. Ek kaval ann nahi paya. Sat din raat din bhagwat katha ke smaran to sat din mein param pad ko prapt ho gaya. Narad ji balyvastha purv janm ki dekhiye unki. Kitna santo ki seva karke pura jeevan bhajan mein phir narad ji to bhagwan ke swaroop hi bhagwan ke avatar hain. Hamara bhajan kitna hai? Hamara manan kitna hai? Hamara chintan kitna hai? Ham shri parikshit ji ki hod nahi kar sakte.

unki parikshit ji ko garb mein hi bhagwat sakshatkar ho gaya tha. Jab ashwatthama ne Brahmastra ka sandhan kiya to bhagwan shri Krishna garbhsth shishu parikshit ki jab raksha ki tab parikshit ji dekh rahe the garb mein wo bhagwan sudarshan chakradhari shri Krishna ko to aise mahapurushon se ham ho to nahi kar sakte haan unki charan raj ka aashray lekar ham bhi moksh ko prapt ho sakte hain. Ye kah rahe hain ki ham to sahachari bhav ke upasak na to hamen nikunj jana hai. Unki seva karni hai. Aapki agyaa manani hai to kya hamen bhagwat katha sunni chahiye?

haan bhagwat katha sunne se shri Krishna mahima jagrit hogi aur jab shri Krishna mahima jagrit hogi to lal ranghilo gaiye tate priti rangili paie lal ji itne mahmmahim hamari pyari ji ke samne hath jode khade hain is baat se hamari chati phulegi lal ji hain kaun pehle pata hona chahiye isiliye pratham sune bhagwat bhakt mukh bhagwat vani pahla hamara sadhan hai gita ji bhagwat ji khub shravan karen jisse ham bhagwat tatv ko jane tab ham prem tatv ki taraf badhe pyari jo prem tatv hai prem tatv ko tabhi jana ja sakta hai jab pehle bhagwat tatv ko jana jae.

agar ham bhagwat mahima nahi jananenge bhagwat tatv nahi jananenge to ham prem kaise jaan payenge? Bhagwat prem to tabhi jante hain jab itne mahan bhagwan hamare pritam hai, hamare sakha hain, hamare surhad hain ya hamare swamini hai, hamare Swami hai yugal sarkar. Priya pritam ki yadi mahima nahi pata chali, unke brahm swaroop ka gyan nahi hua to phir bhakti mein phir rang nahi aayega. Gyan ke baad jo vismaran hai main aur sabka keval mere pritam wo rasmay hai. Pehle dvait se adwait aur adwait ka premadwait yah bhakti ka swaroop hai.

gyani dvait se adwait mein sthit hokar moksh ko prapt ho jaata hai. Par premi yahan tikta nahi hai. Wah prem bhav ko sweekar karne ke karan dvait se shuddh adwait aur adwait se usi mein khelnaa raso ya parmanand ek dwadha sada shri Radha Krishna rupabh tas tasmai namo namah jo rasmay paramanandmay parbrahm paramatma hai jise ved kahta hai raso vaisa hari labdh jo ras swaroop paramatma hai usko jo prapt hota hai wo anandmay ho jaata hai to wahi paramatma khel ke Radha Krishna ke rup mein Priya pritam ke rup mein to jab tak hamen gyan nahi hoga tab tak hamen Priya pritam mein rati kaise bin jane na hoe

parti aur bin parteet hoe nahi priti to isiliye hamen bhagwat sunna chahiye gita sunna chahiye santo ke vachan sunne chahiye ab hamari gati jahan hai udhar ham chalenge Priya pritam ki taraf to apne aap moksh nahi hoga thoda bhi dvait sweekar karne wale ka moksh nahi hota thoda bhi kinchin matra moksh to premi jan moksh na prapt karke bhagwan ke prem ko aur bhagwan ke dham seva aadi ko prapt karte hain aur gyani jan kinchin matra dvait hai hi nahi to sweekar kya karen wo adwait sthiti

ko prapt apne swaroop mein mukt ho gaya kyonki mukt tha mukt hai mukt rahega keval mana hua uska jo bandhan hai jaise maharaj ji kah rahe the vichar jab tak vichar hai tab tak jivtv hai tab tak jagat hai wo to aapke liye uttar diya tha. Jaise laukik vichar to jab tak vichar hain aur sansaar ka astitva hai tab tak jivtv hai. Jivtv hai to phir sansari hai wo kahan mukt kahan ho sakta hai? To inheen vicharon ko bhagwat vichar mein inheen vicharon ko paramatma swaroop karne ke liye ham nirantar naam jap karen.

bhagwat leela sune. Bhagwat leela katha ka gayan karen. Bhagwan ki seva karen. Gurujanon ki seva karen. Sant janon ki seva karen. Mata-pita, parivaar, sas, sasur sabko bhagwan ka swaroop man ke seva karen mukt ho jaega. Wo bhagwat swaroop ho jaega. Agar ham prapanch karenge, idhrudhur ki baat karenge, paap aacharan karenge to hriday malin rahega. Phir hamko hamari durgati ho jaegi. Ye baat hai. To hamen khub sunna chahiye. Sevak vani mein likha hai shri sukh mukh jo vachan sunavo tab shri Harivansh sunam kahav man sumiran bisre nahi.

har samay naam sumiran karte rahe bhagwat katha. Ye to hamara jeevan hai. Ji Varma merath se Radhe-Radhe maharaj maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aapke shri mukh se suna hai ki nirantar naam jap ke liye ham vihaar mein kisi se baat karte hue uske chehre par naam jap ya naam likhne ka prayas karen. Shri ji ki kripa se ham prayas to karte hain parantu kisi gadh baat par charcha karte hain to naam chhut jaata hai aur naam likhne aur dekhne ka prayas karte hain to us baat ko ham samjh nahi pate. Maharaj ji itihas kaise isko agar us kiska prashn hai agar us samay ham bhul jaate hain to us samay ham charcha kya karte hote hain ye dhyan dene ka vishay hai yani jaise vyapar mein koi charcha chalti rahti hai uske haan vyapar mein to jab tak ham apne naam jo jap kar rahe hain ya prabhu ka jo chintan kar rahe hain jo aap batayen usse badhkar koi labh prapti ki baat hogi to hi bhul jaoge nahi bhuloge aap hamari baat par dhyan dhyan dijiye jab ham prabhu se badhkar kisi ko dekhte hain vyakti ko vastu ko sthan ko tabhi to bhul gaye usse bada koi aaya usse bada swad aaya tabhi to bhul gaye man lo ham bhojan mein bhul gaye prabhu ko to bhojan bada hua prabhu se tumhare hriday mein abhi bhojan ka mahatva adhik hai tabhi bhul gaye prabhu ko rupya ko dekha prabhu ko bhul gaye to prabhu ka mahatva kam ho gaya rupya ka adhik ho gaya jab tribhuvan ki rajya lakshmi dene par adhe pal ke liye bhi prabhu ko na bhule use maha bhagwat kahte kahte hain use bhakt jan kahte hain.

tribhuvan ki raj lakshmi. To jab ham vyapar ki baat karen to andar hamare ek chintan hai ki sabse bade mahatva mahima shri bhagwan ke smaran ki hai. To ham smaran nahi kar pa rahe par andar hi andar hamare dimaag mein jo chhaya hua hai use bhajan kahte hain. Use sukshm smriti kahte hain. Jaise abhi aapko 10 minute mein Mathura pahunchna hai. Ab aapse kitne pyar ki baat karen bhagwan ki baat karen lekin andar andar jo aapki ghaseetan hogi Mathura ki taraf kab chode maharaj main bhagu kahin hamari train na chhut jae aise aise bhakt ka bhajan hota hai jaise char sakhiya brajwasini matke ke upar matka rakh ke chalti hain baat karti hai ek hath mein rassi balti hai aur aise agar jara sa hil jae to pura matka niche aa jaega to raskhan Govind ne yu bhajie jo nag ko chit gagar mein wo baat kar rahi hans rahi chal rahi lekin uski puri antarik chittritti ekdam alert savdhaan agar khopdi ka jara sa balance bigda to sab matki niche aa jaenge jaise driver gaadi chalate hue bada gadh vishay gaadi chalana hai agar chuk gaya to khud mara dusre ko mar diya baat karta hai hansta hai ho sakta hai vyasan karta hai to bidi bhi pita ja raha hai lekin uski antarik aur bahya drishti keval apne lakshya pe hai aise hi ham vyapar karte hue bhi yuddh yuddh karte hue bhi kisani karte hue bhi har samay bhagwat bhajan kar sakte hain.

mam nismar yuddh bhajan ka matlab samjhte ho antarik mahatva buddhi agar antarik mahatva buddhi bhagwan aur paramatma mein hai to ham har samay baat karte hue bhi usi mein sthit hain. Ham chalte phirte khate pite sote jagte har samay paramatma mein sthit hai. Us samay aapka mahatva vyapar mein ho gaya. Pura ka pura to antarik ki sthiti mein jalan hoti hai ki nahi ki bhagwat vismaran hua. Baad mein hoti hai to vartman mein hona agar shuru ho jae to smaran abhyaas karte raho jab vartman mein chhutne na pave to ham baat bhi karte rahenge hamara smaran bhi chalta rahega jaise ham aapse baat kar rahe hain lekin hamara dimaag jo hai pura wo apne lakshya pe hai to lakshya ki hi baat kar rahe hain lekin agar hamen vyapar sansaar ki baat karni pare to bhi antar nahi hoga kyonki pura agar hamara pravachan ye suna na ho jo aap kah rahe hain abhyaas ki baat usmen pura ki jab kabhi aapke paas koi grahak ave ya koi vyakti aae to sabse pehle usmen bhagwat bhavna kijiye.

suna hai aapne kabhi? Agar satsang sunte ho to ye sunne ko mila hoga. Man lo grahak aaya to bhagwan mere grahak ke rup mein hai. To pahla pahla ham kuch nahi kar rahe. Pranam nahi kah rahe kuch lekin pahli drishti mein aaya ki shri bhagwan is rup mein ab ham aadha ghanta usse baat kar rahe hain vyapar ke vishay mein iske baad wo chala jaata hai hamara ek bar bhi naam jap nahi hua aur us samay ko hamne prabhu ke charnon mein samarpit kar diya yah bhajan hai ye karm yog hai ye karm samarpan ho gaya to wah bhi bhagwan ki hi prapti karwaega accha maharaj ji jaise thodi bahut der matlab naam nahi chalta jaise wah vyakti gaya uske uske baad man mein yah vichar aata hai ki bhajan to chhut

gaya lekin yahan tak ki charcha shri ji ke bas ho gaya ho gaya wo ho gaya wo haan wo bhagwat samarpit samay ho gaya aur uska phal isi janm mein bhi aapko dekhne ko milega ki har paristhiti mein aapka bhagwat vismaran nahi hoga kamih nari piya jim lobhi jim priydam wo japta thodi hai kam hi nari andar ka vishay kam hi nari piya pyari jim lobhi jim priy dam tim Raghunath nirant priy lago mohi Ram andar hi andar ye priti ka wo aa jaega karm samarpan se hriday pavitra hoga aur ye tar chintan chalta hai jaise kahte hain ki bhagwan ka chintan chhut jaata hai tumne bhagwan ko mahatva nahi diya tumne prabhu ka mahatva nahi rakha isiliye chhut gaya kaise chhut sakta hai aur bhagwan ke liye kaha gaya tribhuvan ki rajya lakshmi dene par bhi jo adhe pal ke liye bhagwan ko na bhule wah bhakt iska matlab abhi Ram naam ki keemat Krishna naam ki keemat Radha naam ki keemat ham nahi samjh paye isliye chand rupaye chandra bhog chand labh ke liye ham chhod dete ham ek bar bola Radha ab iski keemat kya hai ek bar bola Ram iski keemat kya

hai vichar karke to jab aisa mahatva jag jaata hai tab phir wo jaban se nahi rom rom hriday se hriday mein jaise dhadkan swayam ho rahi aise prafulit hokar har samay naam wo ek sthiti hoti hai. Wahi sthiti ke liye sadhan bataya hai ki har karya ke samay ko bhagwan ko samarpit kar do aur jara sa vismaran hone par hriday mein jalan hone lage aur bhagwan ka naam phir chalne lage to yah nischit aap jo chahoge prapt ho jaega. Aap chahoge vishuddh bodh ho jae to vishuddh bodh ho jaega. Kyonki soi jane je dev janai guru rupi bhagwan hi gyan karate hain to agyaan ho jaata hai.

aap prem chahoge prem ho jaega. Lok parlok ki sampatti chahoge wo bhi de denge. Wo to sab vaibhavshali prabhu naam jap karo aur aise hi chalo jaise kah rahe hain bas koi galat ahar na ho. Galat aacharan na ho. Ahar galat hua to buddhi bhrasht ho jaegi. Galat aacharan hua to paramarth chhut jaega. Pakka samjh le isliye bahut savdhani

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi