॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1302 · 20 june 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha he Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai ranjeet Varma ji Australia se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj [gala saaf karne ki aawaz] ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji main Australia ka nagrik hoon aur aapke YouTube par pravchno se prabhavit hokar bharat priy desh aaya hoon to aapki tapasya ki ojh atmasat karne aaya hoon.

maharaj ji inka ek lambe mein hai bat mukhyata prashn hai ki agar ek majdur sahi niyat se kam karen majduri ke paizon se parivaar ka sadasyon ka sabhi jarurten puri karen mehmanon ka maa-bap ka sabka satkar aur jo jimmedari hai wo puri karen parantu na koi puja kare na koi naam jap kare bas niyat sahi rakhe to kya uske moksh milega ishwar se ekakar hoga nahi hoga jaise ham udaharan mein aapko batte hain bharat sarkar aapko apne karya ke liye Australia bhejen. Aap bhartvassi ho aur aapko apne karya ke liye Australia bhejen aur aap Australia mein suvida mange bharat sarkar se makan har vyvastha honi chahiye aur wo aapke wahan byah karva de makan de de har vyvastha kar de lekin apne karya ke liye jo bheja tha sarkari karya ke liye wo sab suvidhae de aur aap ladka bachchha paida karo padhao likhao sabko khavao pio sarkari kharche se sab vyvastha hoti rahi aur aapko 20 varsh baad bulaya jae aur iske baad pucha jae ki aapne sarkari kam kya kiya?

to aap kahoge hamne apne bachchhe paida kiye. Unko padhaya likhaya unke byah kiye. Hamen sarkari kam to aap dandniy aparadhi mane jaenge ki nahi mane jaenge? Mane jaenge. Aparadhi mane jaenge. To bhagwan ne aapko manav deh di hai bhajan karne ke liye. Ab aap bhajan virakta hokar nahi kar pa rahe the. To aapko patni diya, aapko vyvastha di, bhog samgri di. Lekin aap bhajan nahi karen aur un sab karyo ko karen aur bhagwan ka na bhajan kiya na chintan kiya to aapko dandniy aparadh hai. Aap jab sharir chhutega to aapko dand milega ki anya yoniyan hai unmein bhogna padega.

zabardasti jana padega. Isliye bhajan aniwarya hai. Sarkari kam hai bhajan karna. Yahi tan kar phal vishay na bhai bhajie Ram sab kam bihai. Manushya sharir ki pradhanata hai. Kya jaata hai? Ram Ram Krishna Krishna hari hari jaban se bol rahe hain aur sab mehnat wahi kar rahe hain aur sab karya ko bhagwan ko samarpit kar dete hain. Isse bhagwat prapti ho jaegi. Haan dhyan haan dhyan sahi rakho. Haan dhyan hamara prabhu mein laga rahe hain aur ham karya sansaar ke kar rahe hain. To hamen bhagwat prapti lekin achit bhavna vihin bhagwat bhavna vihin phir to aise rahe.

phir to asankhyo log isi mein lage hue hain. Apne parivaar ko mehnat karke khwa rahe hain, pila rahe hain, poshan kar rahe hain. Phir moh mamta kise kahte hain? Phir maya ki phansi kise kahte hain? Isi ko to kahte hain bhagwan ka naam jap karo aur parivaar ko bhagwan ke sadasya samjho aur khub mehnat karke khavao piyao. Isi se bhagwat prapti ho jaegi. Mera indiketeshan ye tha. Ji yadi uski niyat sahi hai. Ji niyat sahi hai. Ji. Aap niyat ka matlab samjh rahe ho koi galat kam nahi kar raha. Lekin sabse bada galat kam kar raha hai ki manushya jeevan bhagwat smriti ke liye tha bhagwan ki smriti se nahi hai.

to isliye uski niyat sahi nahi mani jaegi. Haan jaise sarkari aadmi bankar aapko sarkari suvida di gayi hai to wah har mal sarkar ka hai. Aap har mal sarkar ka bhog rahe hain. Bhagwan ki patni di hui hai. Bhagwan ka putr diya hua hai. Bhagwan ka vaibhav diya hua hai. Bhagwan ka dimaag diya hua hai. Bhagwan ka sharir diya hua hai. Aur bhagwan ka naam jap nahi kar rahe hain to pahli baat to aap niyat se ulta chal rahe hain. Agar agar usko yah samjha jae ki bhai main koi beimani to nahi kar raha to sabse badi beimani kar rahe ho bhagwan ki chij ko apna man rahe ho.

sahi baat hai. Bhagwan ke karya ko na karke apni manmani karya kar rahe ho. To ab niyat kahan sahi rahi? Niyat to tab sahi rahi jab mukh mein bhagwan ka naam hai aur sab kuch bhagwan ki seva hai aur main bhagwan ka das hoon. Ab niyat sahi hai. Isse lok parlok sab mangal ko prapt ho jaenge. Ye baat samjho. Aap bahut achhche aadmi hain. Aap bahut accha soch kar rahe hain. Par wo baat na aap nahi samjh pa rahe jo ham kahna chahte hain. Nahi nahi samjh gaye main. Samjh gaye na? Haan. Ishwar ka naam bhi zaruri hai. Niyat saaf bhi zaruri hai.

haan. Niyat saaf tabhi mani jaegi. Nahi pahli beimani to aapne shuruaat mein hi kar li. Aapne apne sharir ko apna man liya aur apni patni ko apna man liya aur wo bhagwan ki di vastu to niyat to wahin se kharab ho gayi. Muneem malik ki sampatti par apna kabja jama le. Uski niyat achchhi mani jaegi kya? Nahi nath sakal sampada tumhari aur main sevak samet sut nari ye hai sahi niyat sahi niyat yah hai nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari ab sahi niyat se chalo bhagwan ki vastu man karke aur bhagwan ka chintan karte hue karo ab vijay ki prapti hogi ab lok parlok sab mangal ho jaega ab aap kah rahe ho ki patni meri putr mera dhan mera sampatti mera sharir mera ab samjhna to pahli baat to beimani yahi se shuru ho gayi.

sahi baat. Malik main aa gaya. Haan. Aur malik ki vastu ko aap malik ki na mankar apni man rahe hain. To niyat saaf kahan hai? Nahi na? Wo to pehle manna chahiye. Main to ek majdur ka udaharan liya kisi ka. Dekho ham sab majdur hain. Ham sab majdur hain. Ham sab majdur apnep department mein sab majduri karke apnep udar poshan apneep seva kar rahe. Ham bhi to majduri kar rahe hain. Ham nahi majduri kar rahe. Hamko bhi payment mil rahi. Kripa bhagwan ki kripa jab ham aapse bhagwat charcha kar rahe hain duty bye duty roz ham apni dincharya kar rahe hain to hamen bhagwan ki kripa mil rahi to ham sab majdur hain ham sab lebar hain malik to ek hi hai to haan aur usi ke banae hue sab hain sari srishti yahi baat man lo yahi andar se man lo to jab uski vastu hai to jaise ham malik ki kar ka prayog karenge na aur aapse koi poohe ki bhai kar bahut jor ki hai to aap kahoge nahi nahi meri nahi meri malik ki hai malik ki aap bhale jaban se na

bolo lekin andar rahega malik ki hai wo abhi kya hai meri hai ye beimani niyat saaf nahi hai niyat saaf jise kahte hain wo niyat saaf nahi hai hamare adhyatma mein accha adhyatma mein sansaar mein to agyaan ke karan wo main mein sab kuch haan lekin adhyatma mein nahi aap samjh paye prabhu santusht hai aap bilkul bilkul santusht hai mohan lal sharan ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwat prapti ke liye tatv gyan ka hona zaruri hai aur achar achar mein jad chetan mein bhagwan ko dekhna hai uske liye kaise naam jap karo khub bhagwat leela katha suno papacharan se man ko bachao pavitra ahar bhagwan ko prasadi karke pawa ke pao samaj mein jiski seva karne ka avsar mile use bhagwat bhav se seva karo.

abhi shuddh gyan hona shuru ho jaega. Ab kiska prashn hai? Haan shuddh gyan bhagwan ki kripa se hota hai. Soi janai jeh dehu janai janat tumhen hi tum hi hoe jai. Bhagwan hi apne tatv ka gyan apne sharanagat bhakton ke hriday mein prakashit karte hain. Khub naam jap karo. Bhagwat leela katha suno. Ab to aapka vridh sharir hai. Bhagwat prasadi ke siva kuch mat khao piyo. Pani bhi piyo to prasadi karke hi piyo aur satvic bhojan pao aur bhagwan se prarthna karo. Wo tatv gyan kara denge. Agar tatv gyan nahi bhi hota hai aur aap naam jap karte hue sharir chhote hain to aapko bhagwat prapti ho jaegi.

pakka vishwas karo naam ant mein agar mukh se nikal jae to bhagwan to ham agar jeevan bhar prayas karte hain naam jap karne ka wo antim samay murcha mein ya mrityu ke bhayanak kasht mein ham naam nahi jap pate us samay bhagwan bhagwat smriti bante hain kyonki unki sharan mein na wo bhagwat smriti bante hain aur us dukh avastha mein uske hriday mein bhagwan ka smaran hota hai aur anta mati sogti bhagwan ke smaran ke prabhav se use use bhagwat prapti ho jati hai. Ab samay nahi rah gaya hai ki aap asan mein baitho ya koi sadhna karo.

ab to ek hi baat hai ki bas prarthna karte raho prabhu se aur naam jap karte raho ki prabhu mera jeevan aapke charnon mein hai. Ab aap dekh lo. Bar-bar bhagwan se prarthna karun ki sunri maine nirbhal ke Balram. Main nirbhal hoon. Prabhu mere bal aap ho. Na mere paas apna koi bal hai na dhan bal hai na tapasya bal hai na bahubal hai apbal tap bal aur bahubal chautha bal hai dam surya kishor kripa te sab bal thare ko hari naam he hari main aapki sharan mein he priyaju main aapki sharan mein hoon unse prarthna karo naam jap karo wo aisa sanyog bana denge ki aapka antim badhiya ho jaega aur antim final ho gaya badhiya to pura jeevan badhiya mrityu badhiya ho na to sab kam badhiya ban gaya.

to dekho pahli baat to aap Vrindavan vas karte ho aur hamen lagta hai akhand vas karte ho to ab to aapki bhagwat prapti mein koi sanshay nahi hai. Vishwas kijiye char jaise chaddar ke char kone hote hain aur ek kona pakar le to pura chaddar aa jaegi nahi aa jaega. Aise hi naam dham rup leela ye hamari upasna ke char hain khmbe. Naam rup leela dham char hai na accha ham naam bhul gaye hamare andar rup ka chintan nahi ho raha ham leela shravan gayan dhyan nahi kar rahe ham dham mein to pare hain ek kona to hamare hath mein hai to jo naam pradan karta hai jo rup pradan karta hai jo leela pradan karte wahi dham pradan karta hai to dham vas bhagwat prapti nischit bas Vrindavan basik itno bado sayan jugal charan ke bhajan bin nimish na dijiye jaan hamara prayas rahe ki ham har samay shyama Shyam ji ka naam jap karte rahe nahi to ham pare hain

yahi pran chhutenge aur hamen bhagwat prapti hogi dham ke prabhav se kashi mein jab kisi ke pran chhute hain na to devdhidev mahadev tarak mantr dekar aur ye to Vrindavan dham jahan ki charan raj ke liye jo raj shiv sankaadik yachat suraj shish chadhaun kishori tere charan ki raj paun baith rahun kunjan ke kone Shyam Radhika ganv to badhiya kunjan ke kone Vrindavan dham mein vas de diya Radha Radha Radha Radha rato aur pyari ji se prarthna karo ki mere banae na banegi aap hi ke banae banegi ab dekh lo kaise

banana hai ham to aapke charnon mein aapke bulane par ham nahi aae aapke bulane par aapke charnon mein akar aapki kripa se par rahe hain ab aap dekh lo kan ke bal bhajan kan ke achar aur vyas bhrose kunwar ke shrovat pav pasar ab aap tatv gyan ki chinta na karo wo sab apna kar wo unka kam hai apna kam hai Radha Radha karke pare rahna Radha vallabh das ji loop pith se shri Harivansh maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji ek sadhak sab svaroopon mein apni ananyata ko kaise bachhae sab jagah bhagwat darshan kaise karen ananyata kya hai pahli baat to anya koi hai hi nahi hamko is baat ka anubhav karna hoga.

yah batchit se thodi hogi. Yah to sthiti hoti hai. Jaise goswami ji ne anubhav kiya jad chetan jag jeev jat sakal Ram may jani. Mani nahi kaha keval manyata se nahi baton ki manyata nahi. Ham to mante to aap mante hain lekin aapne jana kya wo spasht wo kah rahe hain Ram main jani chaupai mein kahte hain Siya Ram main sab jag jani mani nahi kah rahe jaan karke aur janne ka phal hai ki janat tumhen tumhen ho jai janne ka phal hai je jane jag jae hirai jage jatha swapna bhram jai jab tak ham tatv bodh nahi karte tab tak bahari pratikul vihaar dekh ke ya dharm virudh aacharan dekh ke ham us par bhagwat bhav nahi kar payenge kyonki ham kriyon ke drashta hue karan tatv ko na janne ke

karan kriya pradhan buddhi hone par gun aur dosh hi dekh payenge paramatma tatv nahi dekh payenge aaenge suno tat maya krit gun aur dosh anek gun ya ubhay na dekhi aur dekhi so abhivak wo agyani hai wah abhivki hai jo gun dosh dekhta hai jo tatv drishti rakhta hai wahi mahatma hai aur jo sarvatra tatv hai use Ram kaho Krishna kaho brahm kaho paramatma kaho bhagwan ko jo kaho kaho tum wo hai ek wo do nahi hai wahi ek param tatv virajman hai to jab hamare andar yah sthiti baith jae so anannya gati jake as mati

na tare Hanumant main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant asti na tare he hanuman ji shri Ram ji maharaj kah rahe he hanuman ji jiski mati aisi sthit ho gayi hai ki wo kriyon ko dekhkar ke kisi bhi tarah bhramit nahi ho sakta wo sarvatra apne aradhya dev ko dekhta hai wahi anannya bhakt hai. So anannya gati jake as mati na tare Hanumant mati na tare vidya vinay sampann brahmin gavi hastani chuneech supakecha pandita samdarshana jo vidya vinay sampann brahmin mein gay mein chandal mein kutte mein hathi mein sab mein usi paramatma tatv ko dekh raha hai wahi vastvik theek drishti wala hai nahi to aur to sabki drishti kharab hai kahin stri dikhayee de kahin purush dikhayee de kahin uttam kahin adham ye to drishti dosh se dikhayee de raha hai.

drishti shuddh hogi to ek brahm dviti nast drishti shuddh hogi to eevasdam sharan yat kinch jagtam jagat ek bhi kan paramatma se vilag nahi hai aisa manna hi ananyata hai sawal hal hoga ek mein jab aapka pura shesh ek bache tab sawal hal mana jaega aur agar shesh mein ek nahi bachta to sawal galat hai. Adhyatma ki purnata ek mein hai. Jab pura ka pura vishv brahmand anant mahimashaali prabhu ka sab ek mein aa jae kyonki ek se bahushyama mein gaya to bahushyama mein ek mein laut ke aa jao sawal hal ho jaega ek mein jahan aae bahushyama se ek mein to aapki yatra puri ho gayi kyonki ek oham bahushyama se yatra prarambh hui thi aur ek mein ane par hi yatra thap ho gayi aur jab ek rah gaya so anannya gati jab anya hai hi nahi to ananyata ka tatparya ek ko brahm dviti naste ek sab mein jo rama hai use Ram kaho Krishna kaho hari

kaho brahm kaho nirgun kaho sagun kaho wo apni bhavna hai wo hai aise ek bhavna ke anusaar vivid upasna vivid marg vivid acharya vivid bhav wo hai ek jaise yamuna ji ki dhara ek hai ghat anek hai kisi bhi tarah kaise bhi avgan karo wo yamuna hi hai wo paramatma tatv hi hai samjh pa rahe to ham apne isht par itna anannya ho jae hamari ek ek ek vritt itna ishtkar ho jae ki ham smaran kar rahe hain yah bhi gayab ho jae aur yahan bhi isht hi rah jae to sawal hal ho gaya apni sudhi na rahe ek raho Nandlal bhagwadakaar vritti abhi deha abhimani abhi kartva bhoktatwa bhav to sevak Swami bhav aur jahan tanmayata hui tanmaya sthiti aur apni smriti khatm to ek hi ek rah gaya chahe use Swami kaho chahe brahm kaho chahe jo kaho ek hi rah gaye do nahi rah gaye khojne wala jab na rah jae tab sahi chij mili hai agar khojne wala paya aur khud hai to abhi wo nahi paya jo pana chahiye aur jab wah vastu milti to khojne wala nahi rahta kyonki wahi tha jise khoj raha tha wah wahi tha janat tumhen to chahe jis

marg se chalo jo hai wahi to anubhav mein aayega chahe bhakti se chalo chahe gyan se chalo chahe yog se chalo jo hai satya vastu wahi aayega je jane jag jae hirai pura vedant hai je jane jag jae hirai aur jage jatha swapan brahm jai aur jahan jaan gaya to brahmavit brahm bhavti jo apne swaroop ko jaan jaata hai wo hamara swaroop bhagwat swaroop hi hai. Yah jab tak shisha rakha hai tab tak dvait hai. Ham aur yah aur shisha hata do to main hi main bach gaya. To wo shisha hai. Antahkaran ki satyatwa buddhi antahkaran mein jo aham hai us par purn mamtv purn ahmatwa.

to antahkaran dharm se yukt matlab darpan hai dvait ka aur antahkaran ka lay ho jane ka matlab hai jo hai wah hai ab wo dvait nahi rah gaya antahkaran mein jo ham hai na man buddhi chitt ahankaar usi ahankaar ka bandhan hai wo ahankaar kshay ho jae to jo shuddh mein hai wo brahm swaroop hai shuddh mein bhagwat swaroop hai aur jo wo sarvatra hai to yahan bhi hai. Ab yah agar ginne wala apne aap ko nahi ginega to ginne wala aur gina jane wala phir sawal hal nahi hoga. Jab idhar bhi gina to idhar aarti idhar bhi aarti wah yahan bhi virajman hai.

wah yahan bhi virajman hai. So anannya gati jake as mati na tare Hanumant sarvatra sarvatra Swami hi Swami virajman hai. Maharaj ji jaise vivid svaroopon mein jaise ham jab tak ye gati nahi aayegi. Nahi vividhta vividhta hamare agyaan ke karan hai. Satya nahi hai. Nahi maharaj ji ye prashn kisi ne hamse karaya hai. Wo aa nahi paye to wo kah rahe hain jaise ham Radha vallabh ji ya hamari Ram ji isht hain to bahut se log aisa hote hain ki Ram ji isht hone se Radha vallabh ji ke darshan nahi jaenge. In sab bahari baton ka is sthiti pe koi fark nahi.

dekho mandir jana na jana ye sab ye bahut matlab alag baten hain. Ham jo baten kar rahe hain un baton ko samjhiye aap. Abki prashnakarta aapne dusra kah diya isliye baat hamari taph ho jaegi kyonki hamari baat prejent mein hoti hai. Aap jaise prashnakarta vartman mein upasthit hai to ham uski netron mein netr dalkar baat to kar sakte hain. Uski bhavna ko to samjh sakte hain. Uske liye mere mera samadhan ho gaya. Haan to bas yahi baat hai. Aur sabse badi baat dekho mandir jana mandir na jana. Khas baat hai aapka chintan kya chal raha hai?

aapke hriday mandir mein kya ho raha hai? Aapka hriday ka chintan sahi chal raha hai. Hamari khas baat hoti hai antarik chintan. Antarik aapka kahan chintan hai? Wahi aapki upsthi mani jaegi. Antarik chintan hi aapki upsthi hai. Ab wo dekh lijiye. Accha hamare prabhu ke Ram ji naam hai, Radhavallabh naam hai, Shyam ji naam hai, shiv naam hai. Itna to sadhak ko samjh lena chahiye ki mere anant prabhu ke hi naam hai. Ab jhagda kis baat ka? Ab koi jaise priy usko lagta hai Siyaram Siyaram to hamko kya karna chahiye?

uski charan arja lekar mathe par lagana chahiye. Dhanya hai aap. Aap aap prabhu mein itne magan hai aapki kripa ho aur hamko bhi jo naam guru ji ne diya us naam mein priti ho jae. Usmen irshya dves ya bardai ya chhotai ye sab bahut prambhik agyaan ki dhara ki baten hain. Paramarth mein inka kahin koi gunjaysh nahi hai. Paramarth mein inki koi gunjaysh nahi. Ye jo ladai jhagda oonch nich nirgun sa sagun wo lekar sab jhagde na ye sab bahut prambhik sthiti ke hain wo matlab paramarth mein inka pravesh nahi hai.

in baton ka paramarth se koi lena dena nahi hai. Ye sab paramarth vihin jhagde hain. Jo paramarth hai na usmen koi jhagda shabd hai hi nahi. Kyonki paramarth mein nindniy aur vandneey wo ek hi tatv hai jiski tum ninda kar rahe ho. Jiski vandna kar rahe ho. Dohit hai hi nahi to kiski ninda kare? Kiski vandna karen? To nindni aur bandhni ye donon bhav khatm ho jaate hain. Wo jo hai wo hai. Jab tak nindni aur bandhni bana rahta hai tab tak shuddh paramarth jagrit nahi hota hai. Madhumita Gosh ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main vivid vaishnav gurujanon ke pravachan 2016 se sun rahi hoon.

last teen sal se aapka satsang sun rahi hoon. Mere hasbaind kathiya Baba paneeghat wale maharaj ji se dixit hain. Maharaj ji mera ek prashn hai. Aap kah rahe hain ki inko bahut dar lagta hai dard se. Ye kah rahe hain ki jab inko matlab marne ka marte samay jo pen hoga us pen se kaise bahar aa sakte hain? Us dar se abhi se jo nirantar bhagwan ke naam ka jap karta rahta hai. Antim samay uske aise sharir chhutta hai jaise maha matvale garjaj ke gale se malti ki ya malli ki ya raybel ki chhoti-chhoti jo wo mala tut ke gir jae to usko pata bhi nahi chalta.

aise jo janmat marat dushah dukh hoi wo usko nahi vyapta jo nirantar bhajan karta hai. Bhajan kijiye samasth bhayon se kiska prashn hai? Bhajan kijiye bhajan se sab dar khatm ho jaata hai. Marne se sab jag dara mero man anand kab mar ho kab bhet ho purn parmanand. Mrityu se dar lagna chalo accha tabhi hoga jab dar kar bhagwan ki sharan mein chala jae aur naam jap karne nahi to wo to dukh bhogna hi padega darne se thodi kuch hoga wo to bhogna hi padega agar dar kar jo sabhi awa sharnai rakhiyo tai pran ki nai bhagwan kahte hain yadi sansaar ke dar se dar kar koi meri sharan mein aa jae to main use prannon ki tarah pyar karunga naam jap kijiye bhagwan kripa karenge antim antim samay mein bhagwan ki smriti aisi chalegi ki kab sharir chhut gaya pata hi nahi chalega.

jo bada dukh hota hai na wo bhakt ko nahi hota. Janmat marat dusha dukh jo ho wo bhakt ko nahi vyapta jo nirantar naam jap karta hai. Naam ka bada prabhav hai. Naam ke prabhav se bhari se bhari dukh ko aram se saha ja sakta hai. To har kasht ko sahne ki samarth bhagwan ke naam japak mein aa jaata. Bhagwan ki sharan mein hokar naam jap karo wo nirbhay kar denge jo sabhi awa sharnai rakh tai pran ki nai dusra upay nahi wo to bhogna hi padega maa ke garb mein jo dukh bhogna parta hai usse kai guna dukh hota hai jab sharir chhutta hai bhayanak pida hoti hai asay nahi wo to wahi janta hai jiska sharir chhutta hai to us samay ke liye bhajan kiya ja raha hai ki bhagwan hamara mangal kar den ham bhagwan ko prapt ho jae bar-bar janm maran ke chakra mein nana na pare.

isiliye naam jap karke wah har kasht sahte hain. Apne naam jap ka prayog nahi karte. Jaise bade-bade sant mahatmaon ko dekho bada kasht rahta hai aur bhajan karte hain to wo dusron ke kasht hata sakte hain. Lekin apne kasht kyon nahi hatate? Agar unmein samarth hai to kyon nahi hatate? Kyonki us samarth ka prayog wo bhagwat prapti ke liye karte hain. Swayam kasht sah lete hain aur bhagwan ko prapt ho jaate hain. Janm maran ke chakra se mukt ho jaate hain. Khub naam jap karo. Naam jap hi samasth dukho se bhayon se aapko bacha sakta hai.

maharaj ji inka ek aur hai ki brahm sthiti bahut bar suna hai ki usko varnan nahi kiya ja sakta. Bat jo sthiti ko prapt hai wo kitna samay is sthul sharir mein rahte hain. Kitne samay ka praarabdh hai. Ab man lo 40 varsh ka praarabdh 40 varsh unko jinda rahna hai. 5 minute ka hai to panch minute rahenge. Jitne samay tak ka praarabdh hai unko us samay tak sharir unka chalega. Praarabdh ke anusaar phir sharir praarabdh se chay ko prapt ho jaega. Wo brahm bodh to pehle hi ho chuke the. Wo bhagwat prapt to pehle hi ho chuke the.

bas sharir chhuta apne swaroop mein to the hi. Unko kahin ana jana to hai nahi. Par wo sthiti jab tak prapt nahi hogi tab tak us sthiti ko samjha thodi ja sakta hai. Naam jap karo. Naam jap kalyug hai ismen kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utrah para khub naam jap karo yug dharm ke anusaar bhajan karo badi jaldi labh prapt hota hai khub naam jap karo meenu ji muradabad se shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam prabhu kisi bhi kul parivaar mein jab kisi ka janm hota hai ya mrityu hoti hai to bade lambe samay tak puja archan karne ko mana kar diya jaata hai jabki sabhi baki sare nirantar kam hote hain.

khana khelnaa sona hansna sab kuch aise hi dasha chalti hai. Jab puja aur nitya vandna ka samay hota yahi sansaar ka yahi sansaar ka khel hai. Yahi sansaar ka khel hai. Ham apne siddhant mein nahi mana karte. Jo hamare Vrindavan upasna ka kshetra chahe koi janme chahe koi mare usse koi fark nahi parta. Hamare thakur ji ki seva hamara bhajan hamari paddhti chalti rahegi. Aise bada parivaar to ek janmega ek marega. Hamare thakur seva hi nahi hogi. Aur us samay agar ham mar gaye to hamara chintan chala gaya. Sansaar mein to phir fayda kya hua?

ab 100 kilometer dur bachchhe ne janm liya to phir uski khushi manai. Sare kam hue aur jab tak uska namakran nahi hoga tab tak haan 10 din 10 din sovar manai jati hai. Gurudev ab to jaise operation hua hai to sava sava mahine bhi ki baith nahi sakti hain bachchhe ki maa namakran ke liye. To Gurudev aise man karta hai ki na kuch khane ka man hai jab tak mere prabhu ki nahi nahi nahi ise ise nahi man aise nahi manna chahiye waise bhi matlab jo manne ki prakriya hai Shastri paddhti jiske vaidik puja siddhant hote hain usmen bhi teen pidhi mani jati hai jaise beta hua ek pidhi pita hua do pidhi aur unke Baba agar usmen se koi jaata hai to phir wah 101 din wah bhi vaidik siddhant ki puja apne yahan siddh apne yahan nahi hai aisa apne prem ki upasna hai jaise ham apne bachchhe ko bina pavaye nahi rah sakti aise ham apne prabhu ko bhog lagae nahi rah sakte koi mare ya jie ye to marna jeena sansaar mein laga hi rahta hai hamari prabhu ki seva nahi chhutegi vaidik siddhant mein aisa hai ki ter hi tak marne par na seva kare aur 10 din shovar ke hote hain isliye usmen nishedh kiya gaya apvitrata vaidik siddhant mein lekin bhagvatik jo hamara prem prem marg hai.

hamare prem marg mein yah hai ki ham dusre ki tirah ka bhog nahi lagaenge. Jaise man lo aaspas pdos mein mohale mein tera hi ka utsav to ham bhog nahi lage lekin apne ghar mein bhojan bana ke ham thakur ko pavaenge. Bina thakur ko pavaye ham nahi rah sakte. Agar thakur nahi payenge to ham nahi payenge. To phir hamko pana hai to thakur ji ko pana hai. Kyonki bina thakur ko bhog lagae pa nahi sakte. Hamare yahan siddhant mein yah baat nahi mani gayi hai. Gurudev bhagwan maine parivaar mein ye baat boli thi to mujhe bahut dant padi.

to maine kaha main to apne Gurudev bhag nahi parivaar ke kya hota hai ki ek mansiktaen ban chuki hai. Hamara prem ka marg hai. Jaise karma bhai subah 3:00 baje khichdi lagati thi aur bhagwan aake god mein pate the. Bhagwan prem ke bhukhe hain. Jo nem prem na prakashit kar sake wo nem kis kam ka? So sab dharm karm jar jau ja Ram pad pankaj bhau thakur ka bhog nahi lagega to ham bhi nahi payenge thakur agar pani nahi piyenge to ham pani nahi piyenge tab to upasna banti hai jake par grihasth mein jab tak shuddh satsang nahi milega tab tak ye bhawnaen to bahut vichitra bani hui hai bhawnaen bahut vichitra bani hui ab 500 aadmi ka parivaar hai unmein koi ek dhang ka koi ek janma to thakur se wahi band hai aradhna nahi ho bhagwan ki to aisa aise aise aise bhavanon ka poshan nahi kiya sab vihaar hoga

bhagwan ka bhajan nahi hoga bas bhagwan bada vichitra sansaar ka itni itna andar se pida hoti thi bahut itna roti thi ki ye kyon karte hain log kya haan aisa prayah pure vishv mein matlab jo apne is dharm ko manne wale hain to vaidik siddhanto mein purani chali ai riti usi usi ke anusaar karte hain par usko samjh nahi sakte usko sujh nahi sakte agar sujh jae samjh jae to bahut mangalmay bhagwan ki aradhna hai prayah sabke ghar mein bhagwan honge bhagwan to prayah sabke apne sanat ab bhagwan ko 10 din tum bhojan nahi pavaoge yar kaise aradhna kaise kya abhi tak bhagwan mante rahe ab unko bhagwan nahi manoge 10 din 10 din unko bhookh nahi lagegi 10 din unko pyas nahi lagegi to hamari to samjh mein nahi aata kaun si upasna chal rahi hai bhav yah hai ki ham bahari suar sudak ke bhog nahi lagaenge apne prabhu ko lekin apne ghar ki rasoi pavitra karke roz ham subah sham bhog lagaenge apne thakur ko ham roz hamare ghar mein sovar shodhak ho jae to hamare bachchhe hain na unko ham padosi ko to nahi de dete na

hamare ghar mein pate na to aise hamare bachchhe hain gopal ji hamare Priya pritam bachchhe hain agar ham unko nahi pavaenge to nahi payenge unko nahi sulaenge to nahi soenge wo to ham unko sulaenge unko nahlaenge unko pavaenge aise bhav karenge haan pdos mein agar jaise kisi ke tirhi ka utsav to uska bhog ham apne thakur ko nahi lagaenge apne ghar mein bana ke lagwaenge baat samjh rahe ho na pavitra bhoj bhog ab jo ghar parivaar mein purani bahut si aisi reetiyan chali aa rahi hain ki jinke age matlab

sabko natmastak hona parta hai. Purani reetiyan ganv gharo mein aisi chali aa rahi hai ki wo nahi samjhna chahte kyonki itna vikas gyan ka nahi hua hai wo nahi samjhna chahte wo khud manmani sab khaenge piyenge hasenge khelnge kudenge bhagwan ki baat ko mana kar denge path nahi hoga seva nahi hogi parda lag jaega ya kisi padosi ko thakur ji de denge bhala apne bachchhe ko padosi kaise palan karega hamara bachchha hai ham jaise pyar se use dular karenge padosi thodi karega aise ham thakur ko jaise jaisa aap man lo gopal ji ko jis bhav se dekh rahe hain dular kar rahe hain dusra thodi dekhega aapka pyar aapka dular thakur ji ke prati jo wahi to bhog pate hain waise to vishv ko pawane wale unko kya pane ki zaroorat hai par jab aapne bhav kiya ki mere gopal ji to unko bhookh lag ai unko pyas lag ai ab mere gopal ji ko bhookh lagi unko ham pavae na unko ham band kar de almari mein ya padosi ko de de ham badhiya pave to aise gale ke niche to premi ke jaega bhagat ke liye gale ke niche le jaega.

abhakt hai wah baat alag hai. Premi jan to kha hi nahi sakte. Mere prabhu ko bhog nahi laga to main kaise pa sakta hoon? Ji bole hai ye jo aata jo jo Chitraketu jo putro ko bulaya to aa bola na ham to aapka bahut bar bap bana hai, ladka bana hai, ye bana hai, bahut bana hai. To ham log jo ye jo mohla ke time jo ham jo tarpsn karte hain bolta hai ki ham apna pitro ko dete hain. Wo ham to kisko dete hain Baba? Aryama bhagwan ka ek aryama naam pitr hai. To jab ham kisi bhi pitr ko dete hain to bhagwan ko prapt hota hai.

haan aur bhagwan hi sab jeevan ko jahan jana man jaise jeev aapka jo koi rishte nate ya koi bhi sambandhi hai ab wo dusri jagah janm le liya hai aur aapne uske naam ka pitr tarpsn kiya to pitro ke Swami hai aryama wo bhagwan ke swaroop hai. Tatkaal wo pind unko milega aur uska punya us jeev ke paas pahunch jaega to jaise wo kahin balak bana hai to ab uske liye sukh suvidhae badhne lagegi usko milne lagega samjh rahe hai na haan ji rajeev ji Jaipur se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam guru ji hamare aur paramatma ke beech mein jadta ke sambandh ka par raha hai.

yah sambandh jhutha hai. Phir bhi is sambandh ko chodna chhorne mein bahut kathinata hai. Is sambandh ko chhorne ke liye sadhak ko kis abhyaas ki avshyakta hoti hai? Dekho swikrati se bandhe ho aur swikrati se hi chhutoge. Jaise aap kisi ped ko pakar le. Ab bole koi upay bataiye iske chhorne ka. Koi sadhan bataiye. Aapne swayam pakda hai. Aap swayam swikrati se use chhodenge. Swikrati [nak se ki jane wali aawaz] hi bandhan hai aur swikrati hi moksh hai. Sharir ko main mankar bhogon ke prati sukh buddhi main bhogta hai.

swikrati yahi bandhan hai. Aur main prabhu ka hoon. Hai na? Bhagwan kah rahe mamo jeewo jeev bhuta sanatna sanatan mera ansh hai mera swaroop hai band kahe mein gaya mana kastan indriyaan prakriti sthan karasti is prakriti ke bhog ki vritti ne mujhe bandh liya mujh purn kam ke andar kamna paida kar diya is deh bhav ne ab ise chodna apne ko hi padega apne ne jaise bandar ban bandho kir markat ki nai jo kir markat ka udaharan goswami ji ne diya na jaise ek rassi mein pankha chalane wala ek pola hota hai na aise ghumao to pankha ghumta hai bans ka jaise aise pola dal diya us pe lasa laga ke gond aur dana rakh diya to pakshi us par baitha ghum gaya ab pakshi sochta hai agar chhod diya to main mar gaya aur agar wo chhod de to mukt ho jae bandar ne sisurai mein hath dala aur donon hath se khane ki samgri aur sochta mujhe kisi ne pakar liya.

agar wah khane ki samgri ko chhod de to mukt ho jae. Par wo muthi lobh ke karan kholta nahi. Usko bhram ho jaata hai. Use mujhe kisi ne bandh kir markat ke na bas yahi yadyap imrash chhut ati kathin ye bahut jor ka bandhan ban gaya. Pahli baat to swikrati se hateega. Wo aaj kar lo chahe sadhan karne ke baad kar lena. Ham prabhu ke hain. Jab tak yah swikrati aapke andar nahi baithegi tab tak jitne bhi sadhan hai wah samarth nahi ho payenge smrish se hatane ki. Isliye goswami tulsidas ji ne kaha bigdi janm anek ki ab sudhre aaj abhi sudhar jaegi o Ram ko swikrati kar tu main shri bhagwan ka mere to Giridhar gopal dusron na koi jahan ye swikrati hui to tera kam to ho gaya ab jeevan vyatit karna hai to bole naam jap naam jap karte hue uttama samaj gande aacharan gandi baat papachran ka tyag kar naam jap kar aur bhagwan se apnapan kar abhi theek ho jae abhi theek ho jae to goswami ji ki baat man lo main shri bhagwan ka hoon main prabhu ka hoon aur nirantar naam japne ka abhyaas karo aur gandi baton ko chhod do jo shastr nishedh hai uska tyag kar do papachran ka tyag kar do to jaise nirmal aur shant jal mein andar kya hai dikhayee dene lagta hai aise ekaagr aur pavitra antahkaran mein apne swaroop ka gyan hone lagta hai.

yah chalne par pata chalega. Tark karne par nahi chalo tab pata chal jaega. Khub naam jap karo. Gande acharno ka tyag karo aur andar ye swikrati karo ki main shri bhagwan ka hoon. Shri bhagwan hamare hain. Ham shyama Shyam ke shyama Shyam hamare. Ham narayan ke narayan hamare. Ham Ram ji ke Ram ji hamare. Jaise bhai ji shri hanuman prasad podar ji ne kaha koi samjhe ya na samjhe sabse hamri samjh bhali thakur nand kishor hamare thakuran Vrishabhan lali Priya pritam hamare isi se baat ban jaegi manyata se hi hamari sab baat bigad jati hai manyata se hi hamari sab baat ban jati hai jab ham sharir aur sharir ke sambandhi bhog aur sharir sambandhi rishte nate in manyata mein phas jaate hain to jad mein phas gaye aur jab prabhu aur prabhu ke premi maha bhagwat sant janon ka sang aur bhagwat charcha bhagwat chintan to yahi hamare moksh ka karan waise ham kabhi bandhe nahi par phir bhi bandh gaye yahi maya ka khel hai to maya se mukt hone ke liye maya pati ka aashray lekar unka bhajan karen gunmai ma mayatya mame prapte maya menta bhagwan spasht varnan kar rahe hain.

meri sharan mein aa jao. Mera naam jap karo. Mera bhajan karo. Maya mukt ho jaoge. Par papacharan na karen. Nahi bhajan karte hue bhi bhagwat anand ka anubhav nahi hoga. Phir hoga ki koi labh nahi mila. Agar chalni mein gay ko dhoe na to doodh pine ko nahi milega. Aise hi papacharan karen aur thoda mala chalae to pakhandi nich durmati ko kabhi bhagwat anand ka anubhav nahi hota. To isliye ek dridta purvak apne marg ko pakar kar chale to kuch hi din mein anubhav hone lagega. Anand ka anubhav hone lagega. Naam jap karo bure acharno ka tyag karo aur main shri bhagwan kah hoon.

shri bhagwan mere hain. Aisa chintan karo. Bahut jaldi labh milega. Kyonki jo satya vastu hai wo yahi hai ki main shri bhagwan ka hoon. Shri bhagwan mere hain. Aur age chalkar keval yah baat dhyan rahti shri bhagwan mere hain. Main shri bhagwan ko hoon. Yah bhi lay ho jaata hai. Aur phir shri bhagwan mere hain. Yah mere hain bhi gayab ho jaata hai. Keval shri bhagwan shri bhagwan rah jaate hain. Apne sudh na rahi ek raho Nandlal wo bhagwat akar vritti main sumiran kar raha hoon. Yah bhi vritti ka ho jaata hai. Wo age chalkar bahut unchi sthiti hoti hai.

soniya ji shri Harivansh maharaj ji Gurudev Radhe-Radhe. Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji main mumbai mein rahti hoon. Mera sawal hai ki jab bhi dham ane ka plan banta hai to dil mein bahut khushi hoti hai. Utsukta bhi hoti hai. Rone ka bhi man hota hai. Lekin jaise hi dham pahunchti hoon to man mein waisi khushi nahi rah jati jo ane se pehle thi. Maharaj ji iska age margdarshan karen. Aisa kyon hota hai? Itr ki dukan ke aaspas jab jae to khushbu mehsus hogi aur itr ki dukan mein ghus ke baith jae aur aadha ghanta do ghanta teen ghanta phir aapko khushbu lagegi nahi lagegi kyonki aapki ghanendra par usko balance bana legi ab usse badi koi khushbu kholi jae tab aap pata chalega sadharan bhav mein jem Vrindavan ka chintan kiya ek anand utpann hua aur jab dham mein aae ab asdhran yahan jahan chintan ho Priya pritam ka naam jap chintan baithkar ke upvas kar kar yamuna ke pavan puling par baithkar naam to aapko anand ka

anubhav ye anand dham hi hai Premanand dham hai ye bhagwat svaroopon mein sab dhamo mein mahmmahim braj 84 kosh aur braj 84 kosh mein Vrindavan ye mukut mani hai yahan agar ham bhajan karen to anand ki anubhuti hogi wahan Vrindavan ka chintan mana to Vrindavan ke chintan se paap nasht hue aur anand ki anubhuti Vrindavan ko chintwan yah deep ubar koti janm ke ag tamay kaat kare ujiyar aur aap jab dham aae to aapka chintan badal gaya ab aapka gadh chintan Priya pritam ka hona chahiye to abhi dekho anand ka anubhav hoga yahan prati kshan naveen naveen anand itne varsh ho gaye naveen naveen anand pratiphal ab us anand ki kaise vani mein shabd nahi hai ki usko takat nahi ki usko vyakt kar sake kai bar bataya ki vani bhi badi asmarth hai.

badi asmarth hai. Usko sukh varnan karne ki samarth nahi hai. Vani mein samarth nahi hai. Jaise abhi ham aapko ek gulab jamun hai. Kaisa hai? Bole mitha hai. Kaisa mitha hai? Bahut mitha hai. Nahi bahut mitha kaisa hai? Kha ke dekh lo. Age vani mein samarth nahi. Bas itne tak bol sakti hai. Ye to prakritik vastu hai. Chidanand ki samarth vani mein kaise? Pratiphal Vrindavan aisa mahan anand utpann karta hai ki bas rote raho ekant mein baithe aur kuch bolne ki ichchha nahi hoti. Wo to bhagwan seva diye hain isliye seva ke nimit se wahi samarth dete hain to wahi seva karva rahe hain.

nahi to Vrindavan mein haan ab yahan aapka sadhan bane, ab bhajan bane tab aapko yahan jaise bhagwan ke naam rup leela ka dur se chintan karo. Aur phir dham mein aao to aapko vaisa sukh nahi milega. Kyonki ab yahan aap gadh chintan karo. Ye dham hai. Yahan jab vishesh bhajan banega tab jo anand aayega wo chidanandmay anand hoga. Abhi jo anand mila Vrindavan chintan karke ye chidanand anand nahi tha. Ye anand kosh se anand tha. Ye anand samudra hai. Apna hai na annamay kosh manomay kosh pranmay kosh vigyanmay kosh anandmay kosh panchkosh hai.

unhee panchkoshon se anand. Ab jab yahan aae to yah kos nahi hai. Yah samudra hai. Ab nij dharm apno kahe tha nitya Vrindavan bahut prem sagar jahan ab sagar ka anand lene ke liye to phir ab sagar mein hai jo prem sagar priyaj jo lal jo inka naam jap karo inka chintan karo. Phir dekho yahan anand yahan to kisi kone mein khada ho jae rone ka man karega. Aisa anand bikhra para hai. Gopiyon ke asuon se bheegi hui ye bhumi hai. Premion ke asuon se bheegi hui bhumi hai. Shri Krishna ke virah mein shri Krishna ke milan mein tadap-tadap kar yahan rasikon ne aaj lakho rasikon ne apne pran visarjit kiye hain.

koi bhumi aisi nahi jo mahapurush ki charan raj, Priya pritam ki charan raj aur premion ke asuon se bhi na ho. To yahan ke anand ke liye to vishesh hriday chahiye. Vishesh chintan chahiye. Isiliye aisa anubhav hota hai ki bahar se to anand dikhayee de raha tha. Ab hamari asli kshamta aa gayi. Jaise darpan ke samne aao na. Ab yahan hamare andar anand nahi kyonki anand wali vritti nahi hai. Nahi to ye to anand samudra hai Vrindavan. Yahan to jidhar khade ho jao udhar rone ka man hoga. Mere prabhu ne yahan leela ki hai.

ye leela bhumi hai. To isliye naam jap karo. Leela gayan karo. Yahan ki raj ka sevan karo. Aisa bhavna rakhen ki yahan nazdik anand nahi hai. Nazdik to parmanand hai. Ham log to vas hi kar rahe hain na. 24 ghante nirantar prati minute prati second ek kshan ke liye bhi na man bahar na tan bahar koi hai hi nahi to man bahar kahan jae aur aajeevan ke liye Vrindavan vas ka sankalp hai to tan bahar kahan jae agar anand na mile to kaise jie jie kaise tum logon ke jine ke to aur bhi sadhan hai tv dekh rahe ho ladka bachchha hai parivaar hai koi hai hamara to keval yahi hai agar ye anand na mile to phir jeevan kaise chale aap vichar karke dekho keval khanpan thodi suvida hoti hai man ke aur bhi mange hoti hain.

sab mangon ko mitakar sacchidanand prabhu mein lagana. Tabhi to anand ka anubhav hoga. Radha vallabh shri hariv pyare Gurudev Radha vallabh shri harivash maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji sharir ki patni main ham donon aapke sharanagat hain. Hamne shri ji ki kripa se santan nahi karne ka nirnay liya hai. Donon ne nahi aisa nahi kahte. Aisa kahte hain joi joi pyaro kare soi mohe bhave. Aap kyon rokna chahte? Agar koi aa raha hai aur wah hamare rashtr ki seva hamare samaj ki seva mein ane wala ho to aap rokne wale kaun hain aur nahi ana to aap paida nahi kar sakte aapki samarth nahi hai aapki samarth nahi chahe jitne balshali ho to joi jo pyaro kare soi mein bhave aap aisa ulta vrat kaise le sakte hain maharaj shri patni ki ruchi bilkul nahi hai patni ki santan dekho ham bachchha yahi kahna chahte hain apni ruchi ko bhagwan ki ruchi mein mila dene se hamara praarabdh shabd kshay ho jaata hai.

agar hamare ko santan utpann ka yog hai to aao prabhu ham swagat karte hain. Jis rup mein aoge chahe hamko kasht dena chahe hamko dukh dena ya sukh dena ham aap apne karm se hi to aoge hamare liye ham swagat karte hain aur nahi ana to aap nishcint raho nahi hoga hi nahi chahe lakh prayas kar lo to hamen lagta hai bhagwan par is vidhan ko chhod dena chahiye apna sankalp kyon lena chahiye kai sal hue byah hue do sal ho gaye abhi bachchhe ho chup raho abhi jaise chal rahe ho waise chalo jaisa bhagwan ka vidhan ho vaisa apni taraf se sankalpit vikalp mat karo.

ye abhi markat vairagya mein ekdam nahi karna chahiye. Usko samjhna chahiye. Bhagwan ne grihasth dharm banaya hai. Kyon banaya? Wo bhi bhagwat prapti ke liye to banaya hai. Agar koi ladki aa rahi hai, ladka aa raha hai, aap usko padhaie, likhaie. Aap usko jaise aapke mata-pita ne kiya utna yogya karke bhajan kijiye. Koi pareshani aur nahi ana to aap nishcint raho. Aise aa jaega kya? Kitne aise sansaar mein hain jo svasth hain donon pati patni lekin santan ka yog nahi hai to santan hi nahi hai. Agar tumhare yog nahi hai to tum manao to nahi hoga aur agar yog hai to phir rokna nahi chahiye.

phir bhagwan ki jaisi ruchi ho aisa kar lena chahiye. Bhagwan pata nahi kaun jo tum bhajan karke nahi prapt kar sakte. Wo bhi to ho sakta hai aisa santan. Ham man lo bhajan karne wale bachchhe ho donon aur agar bhajan ke bal se koi aisa putr ho jae. Ab apne log bhi to kisi mata-pita se paida hue hain. Nahi wo dhanya hai mata-pita wo kul dhanya hai jismen bhagwan ka ladla koi bhakt paida ho jae to aap aisa kaise rok sakte hain? Man lo koi desh bhakt aa jae, koi bhagwan ka bhakt aa jae to apna jeevan sarthak ho gaya to donon paksh mein rahie.

nahi ho to jai jai aur ho jae to jai jai aise bhav se rahie. Matlab hamari salah hai. Maharaj shri aapki agyaa hi sarvopri hai. Haan nahi bachchha ismen kya hota hai? Bhagwan ka vidhan dekha jaata hai na. Agar bhagwan ke vidhan mein ham viparit chalenge to phir ham bhagwan ke bhakt kaise hain? Shri Krishna anukul pratikuls visarjan. Ham apne prabhu ke anukul chale. Prabhu ko agar santan deni hai to pata nahi kaisi tejasvi to bhagwan bhagwana chahte to ham bhog lete hain to ham aise rahe joi joi pyaro kare soi moh bhave nahi hota to radheshyam hota hai to radheshyam aise bhav se ashish Yadav ji Radhehe [gala saaf karne ki aawaz] Gurudev adhyatma marg mein chalte hue vaibhav ki ichchha rakhna uchit hai bhagwat seva ke liye waise to ichchha nahi karni chahiye chahe koi bhi par agar karen to mata-pita parivaar aur bhagwat seva ke liye jo hamen avshyakta hai wo ham prabhu se maang sakte hain.

bhagwan ne artharathi bhakt bhi kaha hai. Ar ko bhi bhakt kaha hai. Jignyasu ko bhi bhakt kaha hai aur gyani ko bhi kaha hai. Char prakaar ke bhakt batayen. To agar hamen aisa lagta hai ki hamare paas dhan hota ham apne mata-pita ki seva karte, apne thakur ji ko achhche-achhche poshak pahnate, atithi seva karte par aaj hamare paas hai nahi aur hamare andar chahat hai to ham bhagwan se prarthna kar sakte hain. To yah yadyapi yah vishuddh bhakton mein nahi hai par bhakt hai. Aap yah nahi kah sakte ki bhakt nahi hai par vishuddh bhakton mein nahi.

vishuddh bhakti mein nahi. Bhagwan se bhi mangne ki nahi. Aap jaise rakhoge waise rehunnga. Par yah vishuddh bhakti matlab jo bhakti ki sima mein aa chuka hai wah uska hriday kyon mangu? Aap sarvagya ho jante ho. Agar aap bhukhe rakhoge to jai boluga. Aap chhaka ke rakhoge to jai boluga. Mahlo mein rakho chahe jhopdi mein vas do. Aapki jai bolenge. Aapse nahi chaenge. Aapse bhi nahi chaenge. Sirf aapko chaenge. Aapse nahi chaenge. Sirf aapko chaenge. Yah vishuddh bhakt hota hai. Lekin abhi jab tak samarpan nahi hua, sharanagati nahi hui purn tab tak to hamen jo avshyakta hai apne prabhu se mange aur na den to un par naraz na ho.

kyonki jaise marij hai kupathya mange doctor se aur wo nahi de raha hai to usmen marij ka hit hai. Aise ham maang rahe hain ki hamko sampatti de do. To koi hai aisa ahit isliye bhagwan ne nahi deta. Agar bhagwan jante hain ki hit hoga to de dete. Bhagwan apne bhakt ko wahi karenge jisse mangal hoga. To ham arth mange ham apni kamna rakhen par agar wo na den to unse naraz na ho ashradha na kar le ki yar bhagwan ke paas kya kami thi unhone kyon nahi diya jab hamne manga jarur koi tumhara amangal hone wala tha hani hone wali thi isliye bhagwan ne nahi diya ham bahut vichar karenge ki bhala ismen kya amangal tha par ho sakta tha amangal bahut savdhani purvak bhagwan se mange jo mange agar waise to mangna nahi chahiye par mange bhi to yah baat mangkar unke upar chhut de de ki jisse hamara hit ho, hamara mangal ho.

jaise narad ji byah manga bhagwan se ki hamara byah karva do. Hamen sundar rup de do. Par ek baat kah di je vidhi hoe nath [gala saaf karne ki aawaz] hit mora karo su veg das main tora to bhagwan ne kaha hit hi nahi tumhara param hit jismen hoga je vidhi hoi param hit narad suno tumhara to bhagwan se manga tha sundar hari rup aur hari rup bandar ko bhi kahte hain bhagwan ne sundar rup na dekar bandar rup de diya aur byah ki kaun kahe wahan Rajkumari dekh le udhar sab gadbad ho gaya yahan tak ki bhagwan bhagwan ko saanp de diya gussa mein aake par bhagwan ne byah nahi kar le diya apne bhakt ko bacha liya to aise hi bhagwan apne janon ko bachhate hain aur us samay narad ji ko itna gussa aaya ki zindagi mein yar kabhi kuch manga nahi ek bar manga ki dulhan de do to wo swayam le gaye aur age jakar dekha to bhagwan gale mein hath dale usi Rajkumari ke ja rahe the to narad ji ko gussa laga ki yar zindagi mein to pahli bar manga tha tum hi aake apna byah karke chal diye to shraap de diya.

jaise main nari ke viyog mein tadap raha hoon, aise tum tadpoge aur jo bandar ka rup diya yahi tumhari sahayata karega. To bhagwan ne sweekar kiya. Tab hari maya dur nivari tha na rama na Rajkumari tab narad ji ko hosh aaya are prabhu tava taba to kabhi-kabhi aisa hota hai ki hamko lagta hai jo hamne manga jo hamne chaha wo usmen hamara bada hit tha. Bhagwan ne kyon nahi diya? To jarur ahit tha isiliye bhagwan ne nahi diya. Aisa mangna chahiye. Ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi