pati-patni adhyatma mein is prakaar kaise age badhen ki ve janmon-janmon tak saath rahe?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
monika vyas ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji aapka satsang sun rahe hain aur pryasrat hain us pe apne jeevan mein utarne ke liye maharaj ji ek dampati apne adhyatmik sambandh ko kaise sudridh kar sakta hai aur bhakti bhag mein ek saath kaise prakriti kar sakta taki unka sambandh keval sansarik moh tak simit na rahe balki divya prem par aa haan waise hamne kai bar iska uttar diya hai par inka age kahna chah rahe hain ki wo sabhi janmon mein ek saath rahne ka saubhagya prapt ho aur yah yatra yahi tak simit na rahe.
yah majak hai. Yah majak hai. Iski purti kabhi nahi ho sakti. Kyon? Kyonki har jeev alag-alag karm kar man lo aapka pati hai. Uske alag karm ban rahe hain. Aapka alag karm ban raha hai. Aur phal donon ko alag-alag milega. Donon ko phal alag milega. Aur is sharir mein abhi aap hain aur jahan is sharir ka transfer hua to ho sakta hai wo nark jae. Aap swarg jao. Adhyatma mein adhyatma mein nahi kyonki ham kal ke upar apna adhikar nahi rakhte. Ek grahasti mein pati patni rahte the to patni se pati ka bahut lagav tha aur patni bhajan karne wali thi.
pati udand swabhav ka tha. Par uska patni se bahut lagav tha. Prayah aisa hota bhi hai. To patni se usne kaha ki main tumhen kabhi chhodu nahi. Tum hamen kabhi na chodo. Aisa ho sakta hai ki ham kai janm saath rahe to vidvan the. Usne kaha aisa kabhi nahi ho sakta. Ye keval isi janm mein hai. To usne kaha main tumhen kabhi nahi chodna chahta. Bole ek upay hai aap bhagwan ka bhajan karo aur bhagwan se mango to agla janm bhi bhagwan de denge aur hamara aapka sanyog kara denge. To usne kaha kaise bhagwan ka bhajan karen?
to unka kaha hamare guru ji hain aaenge ham aapko diksha dila denge. To unke guru ji jab samay par aae to unhone diksha ke liye kaha to guru ji ne kaha snaan karke aao to ganv ke bahar nadi thi snaan karne ke liye gaye to char chhah mil gaye kahan ja rahe ho? Bole aaj guru ji aae diksha le aae. Are yar kahan hans rahe ho? To wo aise aa gaye. Usne kaha ham diksha nahi lenge. Aise to unhone kaha dekho hamne bhi prarthna bhagwan se ki hai ki agla janm kam se kam hamara tumhara saath ho. Agar tum bhajan karte to hamari baat bhagwan sun lete lekin tum bhajan nahi kar rahe ho isliye mujhe lag raha hai hamara tumhara saath isi janm tak hai.
usne koi dhyan nahi diya. Ab patni thi to zyada donon ka jab sharir chhuta to pati ke rag ke karan uski mukti nahi hui aur ek raja ki Rajkumari bani wo pati ke rag ke karan aur patni bhajnanandi thi to uske sankalp ke anusaar wo apne karmu jad yoni hathi ki prapt kiya par usi raja ke yahan jahan bahut se hathi rahte the unmein hathi ka bachchha bankar ke wah aaya ab wo wo pashu tha to usko purv janm mein aisi patni tapwini mili thi to uske pratap se jab Rajkumari ko dekha to usko yad aa gaya ye to meri patni hai ab mile kaise batave kaise to dur se wo jaise kabhi Rajkumari hathiyon ko dekhne ke jati wo chillata lekin ab nazdik jane nahi de sakte Rajkumari ka alag hathi ka alag jab Rajkumari ka swayambar ka din aaya to naye-naye hathiyon ko saja ke khada kiya to wah bhi nau kishor avastha ka hathi hua to ro raha tha.
khana pina sab chhod diya tha. To mahavat ne raja se is hathi ko koi rog nahi. Hamne check karwaya. Par ye na kha raha hai na pi raha hai. Rudan aansu chal rahe hain iske. Rajkumari bhajan karne wali thi. Usne drishti se dekha ki mera pati hathi ki yoni mein aaya hai. Unhone kaha pitaji do minute ke liye agar hamen samay mil jae aur main is is hathi ki aushadhi kar sakti hoon chune matra se to unhone kaha ye to bahut achchhi baat hai nazdik gayi aur kan mein kaha tu chinta mat kar jaymala tere hi gale mein dalungi aur sun piche tune bhajan nahi kiya isliye hathi ki yoni prapt ki ab agar tu meri baat man le ab Ram Ram Krishna Krishna jap le to ab hamara tumhara milan bhagwan ke yahan hoga kyonki ab main chukungi nahi ab tere mein nahi phasungi tere mein phasne ke
karan mujhe Rajkumari janm hua nahi main bhagwan ko prapt ho jati hathi bada prasann ho gaya rani jo Rajkumari thi bade-bade rajkumar aae the kisi ko nahi tab sab ne majak bana diya ki Rajkumari pagal ho gayi tab usne kaha pagal nahi hui hoon wo apne purv janm ki baat batakar kaha main isi hathi ke saath rahungi aur wo hathi ko roz roz bhagwan ki katha sunati bhagwan ka naam kirtan sunati jab hathi mara phir uska sharir chhuta donon bhagwan ke dham ko gaye to iske iske charit se lagta hai ki yadi ham donon kafi samay tak saath rahna chahe to bhagwan se paas karvana padega.
bhagwan se bhajan kar donon bhajan karen aur bhagwan aur bhagwan paas kar de to ho sakta hai ki ek do janm aur saath mil jae apne sochne se to hoga nahi ki isliye naam jap karen donon bhajan karen to lambe samay tak aisa ho sakta hai ki bhagwan kripa karen is bar pati patni raha age agli bar wo patni bane tum pati ban jae bhai kuch na kuch sambandh jo hai haan par ye nahi ki bar-bar aap patni banogi aisa nahi ho sakta. Kuch na kuch sambandh ban sakta hai. Aise bahut se pashu pakshi hote hain jo hamare sambandhi hote hain. Hamen bada pyar karte hain aur ham unko jaan nahi pate hain.
kutte ke rup mein kai aise hote hain pashu pakshi jo hamen bahut pyar karte hain. Wo hamse lagav rakhte hain. To aise sambandh hote rahte hain. Par ham log ek dusre ko pehchan nahi pate hain. To hamen chahiye ki is bhagwan se pehchan badhave aur bhagwan se pyar karen aur hamara antim janm ham bhagwan ko prapt ji aapne ek bar bataya tha chhipkali bhi banna parta. Haan ab jaise ghar se bahut pyar hai aur aapka antim samay sharir chhutne ke samay yad aaya ki hamara ghar chhut raha hai to chhipkali ban karke aoge aap. Aur kya saanp bhi banao?
haan saanp bhi banao. Ghar wale danda mar mar ke bhagaenge. Keval aashray tatv se shri ji ki charan seva mil sakti hai. Aashray se aashray aur naam jap naam jap zaruri hai. Naam jap ke bina aashray pusht nahi hoga aur jiske ham ashrit hote hain tabhi mana jaata hai jab uska satat chintan hota hai. Goswami tulsidas ji ne kaha hai bigdi janm anek ki ab sudhre aaj ho Ram ko pahla aashray phir naam jap dusri baat aur tisri baat taj kumad gandi baten sab kam krodh lobh moh mad matsar inka tyag kar do bhagwan ka nirantar naam jap karo bhagwan ke ashrit raho anek janmon ki bigdi abhi ban se
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…