॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab sab raste band ho jaen, tab bachne ka ekmatra rasta

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

nardanand Saraswati ji maharaj naimisaran ke jahan 88,000 rishiyon ki param tapobhumi hai wahan satsang karte hain. Lakho unke satsang premi jan the. To unke shishya Swami shri Vivekanand ji maharaj bade achhche gyani mahatma wo naye kapda pahnkar ekdam aae. Swami ji ke satsang mein hi drishti padi. Niji jan ko ek ko bulaya. Bole jao gaushale mein gobar jitna hai use gila karo pani dal ke aur unko bulaya Vivekanand jao ek chhaviya mein wahan gobar bhara milega use utha ke lao aur yahan satsang mein khade raho jab tak satsang ho gobar rakh ke khade raho ji agyaa ullanghhan nahi ho sakta wahan gaye to pehle pani dal ke gobar gila karke chavi mein rakh utha ke sir mein aise satsang ke bagal mein tap tap tap unke jitne naye kapde pahan ke aae the sab sab shant jao wahi akhri mein wahan ke mahant bane maharaj ji ki jo gadi thi usi ka sanchan kar ahankaar ka met ya met gurujanon ki drishti ahankaar par hoti hai sadhan par nahi hoti sadhan to unka diya hua hai wo khud jaan rahe hain na tumhen jo doodh pila rahe to pata hi na unko tumhen batane ki zaroorat nahi par wo jo tumhara paramarth marg ka virodhi shatru tumhare hriday mein baitha hua usko tum nahi rad paoge usko radne ke liye bhagwan Gurudev rup mein ate hain guru Govind hai Govind hi guru hai wo kripa karte is ahankaar ko mitane ki keval ek hi dawa hai.

bhagwat premi mahatmaon ke charnon mein apni marji ko mila dena. Bhagwan ke rahte hue aaj tak hamara udhar nahi hua. Anant janm ho gaye lekin jab sant ka milan hua tab udhar nischit ho gaya. Isiliye more man prabhu was vishwasa Ram te adhik Ram kar dasa. Bhagwat kripa utna hi adhik aapke upar utarti chali jaegi jitna aap ahankaar samarpit kar diye. Jo thoda bhi apna bal manta hai to aati hui bhagwat kripa intazar karti hai uska samay lagega bahut kyonki ashrit hai nasht nahi hoga name bhakt prannasati bhag le bahut bada maidan hai bhag kab tab bhagega jab thak jaega to phir laut ke dekhega aur jab laut ke dekhega to wahan akpa nahi milegi yahi hamare prabhu ka swabhav hai vimurkh bhay nimish na akpa jab chit tab waise balihar hai jab chit tab par itna samay to barbad ho raha hai na unko wo to agadh gyan samudra hai unki taraf thodi ye hoga ki ab wo rosh nahi jab chit tab waise vimurkh bhae nimish na akripa jab chit wo intazar karegi kripa tumhare manmani aacharan jab band ho jaenge ashrit ho jaoge har jaoge phir utha degi name bhakta prannasati samay lag sakta janm ke janm vyatit ho sakte hain.

par ab durgati nahi hogi. Sharan mein ho chuke. Ek bar sharan mein ho gaye durgati nahi hogi. Lekin pramad sthiti mein samay nasht karna yah buddhimani nahi hogi. Sharanagat hone par badi vilakshan chittritti ho jati hai. Aa akhand atuut kripa use dubo deti hai. Aap apne ahankaar ko beech mein lakar kripa ki us aati hui dhara ko modie mat. Aap keval ashrit rahie. Dekho dheevar machhuara machhliyon ko pakdne ke liye jal phenkata hai nadi mein. Jitni jal ke antargat aaenge sab machhliyan phaseng. Lekin jo dheevar ke charnon ki taraf badh gayi jal use nahi fansa payega.

jal samne phansata hai. Ye jal hai ahmta mamta ka maya ka jal. Ye aisa faila hua hai. Har jeev isi mein fansa hua hai. Ek ahmta mamta ye jag mein hai dukhdai. Par is jal ko dalne wala kaun hai? Mayapati shri hari. Aa jao inke charnon mein. Sansaar samudra se inke charnon ki taraf aao. Jal nahi fansa payega. Jaise chakki chalti hai har dana pis jaata hai par jo kil ke paas aa gaya dana wah surakshit rah jaata hai aise bhagwan kahte hain mame prapaddyate maya mentam tarti ekmatra upay aja meri sharan mein kahan se aja hriday ke ahankaar se hatkar aja do hi kshetra hai ek bhagwan aur ek ahankaar sara ka sara srishti ka khel isi aam se chal raha hai.

yahi aam teen rupon mein hua shatah rajham aur tamham isi se Rakshash devta pashu pakshi manushya sab isi se srijan hua hai. Mahatatwa ke baad sidhe ahankaar hai. Ahankaar se hi sari srishti hui hai. Brahm mul prakriti aur trignatmika ye prakriti aham se yukt isi se sampurn srishti ka srijan hua hai. Iska lay hone ke liye buddhi ka nischay mahatatwa buddhi ka nischay bhagwat charnarvind mein bas sidhe pahunch gaye brahm ke samip bahut nazdik ye bandhan bahut bada hai sanskriti mul shul prad nana sakal sukh ye bada sukshm ahankaar hai jab ahankaar hoga aur aap ye baat sunenge to aapko jalan shuru ho jaegi.

ham aapko pehchan bata rahe hain aur andar aapke aayega main kahan ahankaari hoon. Main kya ahankaar karta hoon? Kis baat ka ahankaar hoon. Wo ahankaar hi aapko savdhaan kar raha hai ki main hoon chinta mat karo main hoon aur jab aapke andar yah baat na ave aur aapko rona aa jae vastvik bhram ho gaya to aap samjh lena ki sahi marg par aap chal rahe hain aapka marg se jab aapko rona ave bhagwat baten sunkar kab meri aisi sthiti hogi kab main ahankaar rahit hounga nath main apne aap sudhar shuru ho jaega sansaar aur prabhu ke charnarvind ye do kshetra hai sansaar ke jo sanmukh hai wah prabhu ki baten kar sakta hai par sthiti nahi aayegi aur sansaar se vimurkh hokar prabhu ke jo sanmukh hai wo bole na bole sthiti prajya ho jaega ye khas baat hoti hai bolna sunna sunana ye sahaj hai lekin sthiti ana ye bahut kathin baat hai sthiti aati hai samarpan se samarpan se jab aap samarpan ki baat nahi samjh pate tab sadhan ki baat kahi aisa karo aisa karo aisa karo to karte karte tum har jaoge.

jab har jaoge to bhakti ka akhiri swaroop hai atma samarpan. Ab yahan se prarambh hogi pai ras bhakti gun jug jug jag durlabh bhav indrad vidhim kaise pai atma samarpan se. Atma samarpan kaise hua? Sadhan se. Chalo is sadhan mein chalo. Khas baat hai atmsamarpan. Yadi abhi vivek kam kar jao aap atmsamarpan to abhi ras bhakti ka pradurbhav ho jae. Khas baat yah ahankaar atma samarpan nahi hone deta. Sansaar aur prabhu do pragat mein marg rakhe hue hain. Sambandh ghor sansaar se hamara lag gaya. Dekh lo andar ki vritti dekh lo.

hamen kya kami kisi ke aashray ki zaroorat hai. Hamare paas rupya hai, vyvastha hai, makan hai, log hain sab kya hamen? Sambandh kiska hai tumhare hriday mein? Aur is ras ko wahi prapt kar sakta hai. Chakravarti samrat amresh ji hain. Lekin sambandh keval bhagwan ka hai. Na apne bhajan ka hai na apni pavitra ka na apne rajapne ka hai. Ek mahatma apne tap ka bal dihakar unko bhayabhit karna chahta hai. Durvasa ji ek kadam piche nahi hate. Aise hath jode khade rahe waise hi aur unka prabhav shri hari ka sambandh hai.

to sambandh ne sambandhi ki raksha kar li. Sudarshan chakra unko pata bhi nahi hai. Yah sambandh bhakti ka khas vishay hai. Sansaar ka sambandh tumne mana hai. Prabhu ka sambandh hai mano ya na mano ham unke hain. Man loge to sansaar ka mana hua sambandh hat jaega. Nahi manoge to bhi wah aapke hain. Jab aapko samjh mein ave tab man lena. Kisi baat ko lekar ke apne mein kuch jo visheshta dikhti hai usi ka naam ahankaar hai. Yadi tumhen vidya ka, buddhi ka, dhan sampatti ka, jan ka, tyag ka, vairagya ka, bhajan ka inka abhiman hai to aap abhi paradheen hai.

abhi aap mein bal wo bhagvatik jagrit nahi hua kyonki aapki shuddh sharanagati nahi. Kan ke bal bhajan ko kan ke achar yah sharanagati vyas bhrose kunwar ke keval keval hamare mai shyama jiu koraj raat din unhin ka chintan hai par bal unka hai yah chintan unhin ki kripa se ho raha hai dhan ko lekar agar visheshta hui to dhan ki dastaen prabhu ki nahi sansaar ke kisi bhi jan vyakti vastu padaarth ki sambandh vritt uski dasata hai. Yah tumhari heta hai. Tum apne param pad se dalit ho chuke ho. Parantu jo bhagwan par nirbhar hai, prabhu par nirbhar hai, yah swatantr param pad hai.

shastr sadguru bhagwat vani ki paradheenta ye swatantr param pad hai. Maya mukt karne ka hai. Prabhu chahe usko apna mukut mani bana le malik bana le ya usko sabse nich ghoshit kar de usko koi fark nahi parta. Jo prabhu ko samarpit hai. Haan. Dekho bade-bade siddho ko pitva diya thakur ji ne. Pehle to bhejte hain sundar bhog ki thal kha pi ke thal laga dete bahar dho ke rakh dete samudra ke se phir bhejte hain apne paas. O tumne thal churai pitva diya. Donon mein saman kyonki donon mein prabhu ki madhur leela dekhte hain.

prabhu ka hamara sambandh jo dridh hai, usmen anukulta, pratikultaa ka prashn hi nahi uthta. Agar apne mein bhakti ki bhi visheshta dikh rahi hai to yah abhiman hi hai aapko kyonki jinme vishesh bhakti jagrit hui wah dainyta ki murti hue tumko kaise anubhav ho raha hai ki tum vishesh bhakt ho jo vishesh bhakt hai wo apne ko kaise bol rahe tachchha param madhma bhakt mein jo vilakshanta utarti hai wo is tarah utarti hai ki uska sharir indriyan man buddhi sab bhagwat swaroop hai par wah sadaiv is baat se galit rahta hai hriday ki main nich dharm kisi yogya nahi wo bhagwat swaroop sthiti hai.

phir unke sharir mein aur unke swaroop mein antar nahi rah jaata. Sharir ko panch bhautik kaha gaya. Swaroop ko chidanand kaha gaya to unka sharir bhi chidanand ho jaata. Gyani ka sharir chidanand nahi hota. Kyonki mithya bhav karke brahm satya mein sthit hua hai. Lekin bhakt ka sharir chidanand ho jaata hai. Sakshat viman mein sadaiv paramdhaam shri Tukaram ji gaye. Param bhakta shri meerabai ji sadaiv prabhu mein leen ho gaye. Shri mahaprabhu chaitanya dev sadaiv Jagannath kitne se bhakton ke charit ate hain. Gyan marg mein sharir Chinmay nahi hota kyonki gyani asat se sambandh vichchhed karke sat mein sthit hota hai.

parantu jab bhakt prabhu ke ashrit ho jaata hai to uska sharir bhi indriyan bhi man bhi pran bhi sabhi bhagwat swaroop ho jaate hain. Isliye keval prabhu ki sharanagati hi hamen ek bar pragya chaksu sant shri manav seva ashram ke Swami ji ka sharnanand ji maharaj agre ja rahe the yamuna ji ke kinare kinare to the nahi bahar ke to antarik netr to khule khule hue hi the unko pata nahi chala marg se lathi se aur pragya chaksha janon ko kuch Bhagvati kaisi drishti hoti hai ki hamne dekha hai ki age gay hai aur wah ghum ke nikal rahe to phir bataya ki Baba dekho ye bat vriksh aa gaye na mod wale aa gaye na bat vriksh inki bhi parikrama karni kaha aap sachchi batao to Vrindavan mein tumhen dikhayee deta hai ki nahi to kaha Baba bilkul nahi hamari to ankhen wo to kaha tumhen pata kaise chala bole hamen ek ek pag se pata hai ki is samay ham yahan aa chuke hain ek-ek pag matlab andar aise hi wo agre ja rahe the akele the lathi liye hue lathi ke sare ekdam darar phat gayi aur yamuna ji mein gir gaye.

girne se lathi bhi chhut gayi. Accha pragat mein aankh ho to pata ho ki ham kahan hai kidhar hai. Jal mein hai keval aur to ab hath pair mare to kuch samjh mein nahi ki kidhar ko mare bhai. Pata ho ki idhar kinara hai to kuch hath pair lathi dikhayee nahi de rahi thi. Ab ek baat keval ai ki bhagwan hi sahara hai. Chhod diya apne. Agar mrityu ka samay aa gaya to sharir chhut jaega. Agar bhagwan ko bachana hai to wahi bacha sakte hain. To bas he prabhu he hari ham aapki antim mein ekdam bhagwat smaran aisi aisi ek lahar si ai jaise kisi ne hath pakar kar ghaseeta ho aur lathi bilkul nazdik aa gayi lathi pakda ekdam kinare aa gaye usi din se unhone apna naam sharan are prabhu ne ye to baat sunne mein saral lagi lekin unki baat thi unki hriday ki ki ab to pran ja rahe hain tarna aata nahi hai aur kidhar hath pair mare kuch dikhayee nahi de raha kinara kidhar hai pata hi nahi aur jo lathi ek sahara tha wo bhi chhut gayi.

ab unka hridyartha bhav mein prabhu o o ye chamatkar prabhu ne kripa ki lathi swayam aa gayi nazdik swayam kya ho gaya? Hath pakar kar nikal liye. Wo sarv samarth par chhod do. Hath pair marna chhod do. Tumhen dikhayee nahi de raha ki tum bahut samudra se kidhar jaoge. Kinara kahan hai? Hath pair marna. Ahankaar chodo. Aise ashrit ho jao. To pakar kar ke lathi de di. Sadhan de diya. Lathi kya hai? Sadhan. Yah pakar sadhan. Chal is sadhan se chal. Aur yah kinara hai. Tairne ki zaroorat nahi. Yah kinara hai aur yah chal.

ye bhagwat kripa se prapt. Ham log andhe hain. Hamen pata nahi ki hamara kya sadhan hona chahiye jisse ham bhagwat prapt ho sakte hain. Wo prabhu hi sadhan dete hain. Prabhu hi hamen sansaar kinare le aae. Dekho na shri dham mein aa gaye ho. Sharanagat ho gaye ho. Kinare lag gaye ho. Haan lathi mil gayi. Sadhan chalo ab isi ke sahare chalo aap pahunch jaoge apne bhavan tak pahunch jaoge swamini jo badi kripalu hai hamari keval bhagwat charnarvind ki nishtha jagrit ho jae aham shunya ismen sant jan udaharan dete ki ek bakri charane wala bakri chara raha tha to ek bakri hari hari pattiyan chunne mein khub magan thi aur sandhya kal hua to sab bakriyon ko lekar chala gaya na us charane wale ko hosh raha uska aur na charne wali bakri ko hosh raha.

ab sandhya andhera ho gaya tab use chetna ai. Dekha aaspas koi nahi. Ab wo dar gayi. Ab wo chali to samne ek jalashay dikhayee diya to socha ab jo hoga pyas lagi pani pi lete hain. Ab jo hoga pani pine gayi to pani pite hi usko wahan geele mein aise panje dikhayee diye. To kisi balvan ka panja hai. Dekhte hain prayog karke baith gaye. Wahi bhediya aaya to uski dular tapakne lagi. Bakri hai khane ko accha milega. Bakri ne kaha ae ye panja dekh rahe ho ham iske sahare sinh ka panja. Bhag gaya bhediya ki are agar sinh ne iski raksha ki to wo hamen mar daelga.

bhag ab usko aur vishwas ho gaya. Anubhutiyan bhagwat charnarvind ki samarpan vritti ko aur badhati hai. Usko aur vishwas hua. Are bacha liya mujhe aise jo bhi jeev aata aur uski taraf gurata to bade thesak mein kahte ae ye panja dekh rahe ho ye to sinh ki prichay bhag jaate hain sinh aaya aur dahad mari ae sham ke andhere se lekar abhi tak isi panje ke sahare mein bachti rahi hoon is panje ko dekh lo kaha accha ye to mera hi panja hai to bole ab ham to is panje ke sahare se abhi tak bachti rahi ab to unhone kaha phir tum chinta mat karo panja to hamara hi hai.

hathi ko kaha ki agar hamse virudh chaloge to ham tumhen nasht kar denge. Jhuko soond se uthao isko apni pith mein baithao aur pure jangal ki komal komal pattiyan isko charao aur apni pith par rakhna. Koi bhi isko chherd na sake. Samjhe iska aashay? Sansaar van mein ham bhogon ki vishay chat mein bhul gaye. Aur jo kal rupi charwaha hai wah hamko chara raha tha vishyon mein hamare samay ko nasht kar raha hai. Ab charte hue ham bhul gaye apni madandhta mein apne swad mein ham bhul gaye. Ab dhyan aaya ki are ye to ratri ka samay ab to mrityu ka samay aayega.

mujhe kaun bacha sakta hai? Ekmatra hai gehre panje jinke hain shri hari charnarvind aashray le liya to jie kal bas na pare jo in charnon ka ashra samjh jae sharan te darat na kal dar phir log kahte hain ki mahatma log to badi mauj le rahe hain yar ye sinh ki sharan mein hue uska hukum hua ki komal komal pure jangal ki pattiyan lakar isko kyon kyonki meri sharan mein hai meri sharan mein vishv brahmand ki samasth samasth siddhiya samasth sampattiyan uske charnon mein lutti hai jo bhagwat ashrit ho jaata hai. Ekmatra bhagwan ka vaibhav hai sab anant brahmand aur unhin vaibhav pati ki sharan mein ab uske liye kya kami jake Ram dhani vakya kaun kami ham prabhu ke charnon ka aashray le lenge to wah hamen jana denge ki main kaun hoon hamen pata nahi kaun prabhu hai roz wo dekhte hain hamse milte hain roz ate hain hamare paas hamse milte hain par kaun se rup mein ate hain ye ham pehchan nahi par wo jab roz dekhenge na ki tum usi panje ke sahare baithe ho to ek ek din bata denge ki yah mera hi panja hai aur ab dekh mera samgr aishwarya, samgr gyan, samasth, samgr prem main tujhe purn kar deta hoon.

ab kisi anya ki zaroorat

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi