॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

aap kahte hain ki nind mein bhi naam jap hota hai to wah kaise hota hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

nameesh ahuja ji patiyala se namaskaar Gurudev maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji aapke shri mukh se suna hai ki bhagwat premi mahapurush nind mein bhi naam jap karte hain maharaj ji nind mein naam jap karne ki prakriya kaise hoti wo prakriya karne ki nahi hai wo hoti hai pehle hamen karna hota hai jaise dil dhadakta hai na nind mein band to nahi hota na aise hi pehle hamara naam shwas do bilag chalat hain inko bhed namo ko bhave shas hi naam hi shasa naam shwas ko bhed mitave yahan tak sadhak ki baat hai rom rom aur rag rag bole tap swad naam ko pehle jaban se char vani hai para pashyti madhyama vaikhri vaikhri kahte hain jo ham bol rahe hain Radha Radha Radha Radha madhyama pashyti wahi naam ham dekh rahe hain.

andar se wahi chal raha hai. Bilkul kahin koi harkat nahi ki ham naam jap kar rahe hain. Para ye muladhar kendra mein jahan wahan vani pahunchi bas wo shuru ho gayi. Radha Radha Radha ab sadhak jap nahi raha. Ab sun raha hai thade baithe pare utana Kabir kahan ham thikana jagrit swapna sushupti sphurat mein Radha pda chhata chahe wo jagrit avastha ho ya swapna avastha ho ya sushupti avastha ho har samay wo kishori ji ke charnarvind kan aur naam chal raha hai. Ye siddh mahapurush ki sthiti hoti hai. Sovat hu rasna rate Radha Krishna sunam shri Raghunath das goswami ji Radha kund sovat ho wo so rahe hain aur juban se nikal Radha Krishna Radha Krishna Radha Krishna ye nirantar jab abhyaas kiya to naam chidanand wo bas gaya ab jaise dhadkan ham dhadka thodi hai palken ham wo apne aap swabhavic hota hai aise swabhavic bhajan hota hai siddh purush ka sadhak ko karna hota hai abhi karna hi kathin hai khali khali samay mein ham kah rahe hain koi kahta hai ki hamen kam bahut hai.

kitne ghante? 24 ghante mein ham chha ghante sone ke man lete hain. Sat ghante man lete hain. Sat ghante sahyan kar lo. Nind le lo. Iske baad jo hai kitna bacha? 17 ghante. 17 ghante mein aap kitna kam karoge? Kitne ghante? Aap bolo kitne ghante kam karoge? 10 12 ghante lagataar koi kam kar hi nahi sakta. 10 12 ghante mein wah jo antray milta hai khali samay khade hue Radha aapko 10-10 minute mil sakta hai. Panchap minute chalo ham chhoda pura chhoda 12 ghante aapke kam ke. Theek hai? Ab kitne bache? Panch. 5 ghante. Do ghanta bhojan ko chhod do.

do ghanta chhod do. Ab teen ghante bache. Ye 3 ghante kahan kharch karte ho? Agar ham unko bahut savdhani se kharch karen to hamare paas teen ghante bache. 3 ghante mein dedh ghante parivaar ke liye ham de dete hain. Ab bache dedh ghante yar roz agar dedh ghante bhajan karo to bahut achchhi sthiti ho jae. Nahi dedh ghante ham diya parivaar manoranjan tv samchar. Dedh dedh ghante to seph bache. Ab dedh ghante aap bhajan karke dikha do. Dedh ghante nahi kahan dedh ghanta koi bhajan mein chitt jodta hoga. Bole hamare paas time nahi hai.

to bhai aise desh mein aae ho jahan ki kamai ka ek rupya bhi nahi le jaoge. Jaise aapko aise desh mein bheja jae ki sab suvidhae khub paisa sab lekin wahan se jab aoge to kapda tak utra liya jaega. Aisa desh pasand karoge. Aisa desh ye hai mrityu lok. Yah sharir bhi utra liya jaata hai. Yahi chhod do. Ae kuch nahi yahan ka sharir bhi yahi chodo aag laga diya jaega. Gad diya jaega. Isko bhi nahi le ja sakte. To jo le ja sakte hain uske liye samay nahi hai aur jo nahi le ja sakte uske liye pura samay diye ho to kya kaha jaega?

murkh hai to kaha jaega? Le jaega. Haan. To wah murkhta hai jo bhagwan ka vismaran karke sansaar ke dhan sampatti bhogon mein apna samay nasht kar rahe hain. Jana hai kis samay jana hai koi pata nahi. Phansi wale ko to samay nischit hota hai. Hamara to wo bhi nischit nahi hai. Kab abhi isi kshan kabhi bhi to bada bhyawah hai. Kaise bada bhyawah hai. Bada bhyawah hai. Ek hamko drishya dikhaya ki accident hua aur ek driver truck mein fansa. Aag lagi wah chikh raha hai. Ek dikhaya bachchhe fanse hue hain. Chikh rahe hain.

aag ki jwala kya bhayav drishya hai. Jinda aadmi jalenga marega. Kitni der mein marega? Aap socho apne ko jara sa ek diya salai aise chhwa ke dekho ya ek bund garam tel kitna kasht pura marega. Pura jal karke jab tak pran nasht nahi ho jaenge tab tak pran nikelte. Pran aise thodi nikelte hain. Bahut kasht prapt kab kahan kaise ghatna ghatti hai. Isliye naam jap bhagwan ka naam jap wahi saath jaega. Wahi bachaega bhi. Naam hi bachaega. Jab tak Draupadi ji ne bhagwan ko nahi pukara tab tak Dushashn ki chali. Aur jab bhagwan ko pukara to Dushashn ki nahi chali.

bhagwan ne yahi vastr rup dharan kar liya. Kandhe se vastr nahi hata. Dushashn thak ke gir gaya. Draupadi surakshit rahe. Ham log bhagwan ko apna nahi mante andar se kaise apna manna jaise koi sankat ho to sabse pehle kiska number yad aayega shri ji nahi shri ji ka to yad nahi aayega haan sabse pehle jo apne niji jan hai jo priyjan hai wahan aayega ki unko unko ye nahi aayega he bhagwan aise nahi aayega nahi bhagwan ki agar sabse pehle bhagwan ki yad ave to jaan lo ki hamara bhagwan se sambandh swikrat ho gaya hai.

sambandh to hai sabka bhagwan kahte hain mamwa ishwar se jeev avinashi par hamari taraf se swikrati ho jae. Jab koi sukh ka to bhagwan ki taraf drishya ye to bhagwan ki kripa se hai. Jab koi dukh ka to bhagwan bhagwan aap hi hamare lekin mushkil hai bhari se bhari dukh mein logon ka sahyog chahe wo koi paddhikari ho, koi mitra ho, koi rishte nate wahan jae bhagwan par drishti nahi jaegi. Bhagwan par drishti dekho bade-bade bhakton ki nahi gayi. Draupadi ji mahan vakta hai. Yagya kund se prakt hui. Pandavo par bharosa tha.

Bhishma ji par bharosa, bhujao par bharosa, dant ka bharosa. Jab dekha ab nahi tab baad mein bhagwan ka bharosa aaya. Aise Gajendra jab dubne ko ekdam tha akhiri mein tab bhagwan ki yad ai. Chatur wahi hai jo pehle hi bhagwan ki yad kar le to samasya mein na fanse. Khub naam jap karen. Achhche aacharan karen.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi