॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kaise jane ki guru ne hamen sweekar kar liya hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

guru sharan pande ji Lucknow se. Radhe-Radhe maharaj ji. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji aapne mujhse pehle ekantik mein kaha tha ki diksha do prakaar ki hoti hai. Antarik aur bahrik to maharaj ji main ye kaise jaan sakta hoon ki mujhe shishya ke rup mein sweekar kar liya gaya hai. Ye guru se janne ki zaroorat nahi. Apne ko janne ki zaroorat hai ki main kitna samarpit hua hoon. Inko guru mane ki aap shishya nahi. Shishya mane guru. Dronacharya ji ne Eklavya ko hata diya tha. Ham tumhen shishya nahi mante.

kyonki ham rajkumaron ke rajguru hain aur usne ek drishti mein guru bana liya. Drishti matra se mere Gurudev Dronacharya chala gaya aur ekant mein mitti ki waise hi bhawnatmak murti banai aur roz pranam karke pratyancha chadhata aur guru Dronacharya ji ka smaran karta. Itna bada dhanurdhar bana ki arjun ko jo sikhaya tha wah bhi piche the wah age tha. Sarvshresht dhanurdhar vishv ka Eklavya. Ab arjun ne jab dekha uska hast laghav ki kutta bhonka itne mein pura muhn banon se bhar diya. Kaha hamen ashirwad diya hai hamare guru ne ki tum vishv ke sarvshresht dhandhar ho aur main aaj nirnay karta hoon ki main tumhare samne kuch nahi hoon.

tum kiske shishya ho? To unka guru Dronacharya ji ke. Baat samjh mein ai? Dronacharya ji ne hata diya tha ki ham rajguru hain kshatriya rajkumaron ke. To shishya ke mane guru na ki guru ke mane shishya. Aap kitne percent samarpit hain yah aapka hriday janta hai. Ham bilkul aapko tiraskaar karenge aur aap mante hain ki aap mere param brahm paramatma hai. Aapka kalyan ho jaega. Aur ham kahte hain tum hamare shishya ho aur tum hamari avhelna karo andar se to aap narak jaoge. Koi usse labh nahi. Kanthi bandhwa lo, tilak lagva lo aur manmani aacharan karo to aapki durgati ho jaegi.

aapka kalyan nahi hoga. Ham bilkul tiraskaar ham mante nahi aapko aur aap hamare param brahm paramatma ho. Aap param bhagwan ko prapt ho jaoge. Samjh pa rahe hain aap? Jo shastriya baat hai wo yah baat hai. Maharaj ji maine pichle ekantik mein maine aapse pucha tha ki main sakhi bhav mein bhagwan ko prem karta hoon. Phir aapne pushti marg ke bare mein bataya tha. Lekin maine kaha tha ki main aap hi ko sab kuch manta hoon. Aap hi se sab kuch hai. Phir tab aapne kaha tha ki aapko hamko antarik se guru mano.

phir age badho. To wahi main janna chahta tha ki isi marg mein antar dekho agar aap bhajan shuru karo bhagwan aapke bhav ko jante hain. Aap agar unse sakha bhav rakhoge, mitra bhav rakhoge, putr bhav rakhoge, jo bhav rakhoge wo aapko anubhav kara denge. Naam jap karo. Pehle dam ikttha karo. Phir jo chaho kharid lo. Naam wah dhan hai jisse bhagwan ko adhin kiya ja sakta hai. Sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhe Ramu. Ab jo chahoge waise hi bhagwan aapko darshan denge. Jaki rahi bhavna jaisi prabhu murat dekhi tin taisi.

yadi aap bhagwan ko bal rup dekhna chahoge to bal rup mitra rup mitra rup pita rup pita rup Swami rup Swami rup jo chaho jaise chaho to karuna nidhan hai. Wah sab vidhan bana denge. Jo bhav dena hai, jo mantr dena hai, wah sab vidhan bas aap naam jap karna shuru karo. Naam jap adhik se adhik badao. Wah sab age se kar denge. Haan jab bilkul

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi