sharanagati ke 6 lakshan apmen kitne hain?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
jab sadhak yah sweekar karta hai hriday se ki main prabhu ka prabhu mere hriday se yah swikrati hoti hai aur yah bhav jab jor pakdta hai dridta main prabhu ka prabhu mere isi ko kahte hain sharanagati sharanagati kise kahte hain jab sadhak ke hriday yah bhav aata hai ki main prabhu prabhu ka prabhu mere aur jab yahi dridh bhav ho jaata hai yah baat jor ki ho jati hai sab baten dab jati hai mera sarvasv prabhu ka mere sarvasv prabhu isi ko sharanagat kahte hain. Sharanagat mein chinta bhay shok shanka ye nahi hoti. Agar yah hai to abhi sharanagati nahi hai.
sharanagat nishcint hota hai. Jab bhakt apni mani hui vastuon sahit apne aap ko bhagwan ko samarpit kar deta hai to usko laukik parloulik kinchin matra bhi chinta nahi honi chahiye. Hamara jeevan nirvah kaise hoga? Kahan rahenge? Meri kya dasha hogi? Meri kya gati hogi yah chintaen bilkul nahi. Jab ghar se nikle the tab man ne yahi prashn kiya tha kahan rahoge kya khaoge kaise jioge to uttar aaya tha ki jahan bhagwan rakenge jaise bhagwan rakenge jo bhagwan khavaenge pura jeevan ho gaya jila rahe hain chala rahe hain apne marg mein yah chinta nahi honi chahiye nishcint hona chahiye jahan rakenge wo bhagwan ka vidhan hoga.
jaise nirvah karvana hoga wo bhagwan ka vidhan hoga. Ham chinta kyon karen? Ham to bhagwan ke ashrit hain. Bhagwan jaisi vyvastha karen. Bhagwan ke sharan hone par sharanagat bhakt mein ek baat aati hai ki agar mera jeevan prabhu ke layak sundar aur shuddh nahi bana. Bhakton ki baat mere acharno mein nahi ai. Meri vrittiya theek nahi hui. Yah baat nahi ani chahiye. Yah baat nahi ani chahiye. Kyonki ab na meri vrittiya hai na meri bhavna hai na meri asakti hai. Meri bhawnaen aapko samarpit hai. Jaisi gandi vrittiya hai waise aapko samarpit hai.
aur jahan jahan asakti hai wah sab aapko samarpit hai. Bahut saral bhav mein sharanagati se samjh lo. Samarpit kar dena hai. Ham aapse aasakt nahi hata pa rahe hain. To ham aap sahit asakti ko samarpit karte hain. Nath aap dekh lo. Aap chaho ya asakti apne charnon mein laga lo ya is sharir dhari mein laga rakho. Prabhu ab aap sarv samarthyshali ho. Aap dekh lo. Sharanagat hokar meri vrittiya mera bhavna aisa manna hi sabse badi hani ki baat hai. Meri vrittiya nahi rahi. Aapko samarpit hai. Jaise thakur ji ke seva patr ko aap yahi kahte hain ki shri ji ka seva patr hai.
ye shri ji ka chvar hai. Shri ji ka mor chhal hai. To yah shri ji ka seva patr hai. Sharir mera nahi hai. Ab andar ki vrittiya shri ji ko samarpit hai. Hamari bhawnaen shri ji ko samarpit hai. Ab wo jo bhavna denge jaise chalenge samarpit hai. Man, buddhi, indriyan, sharir aadi mein jo merapan hai isi ko to samarpit kiya hai. Man lijiye aaj se ki mera sharir nahi ye shri ji ko samarpit sharir hai. Meri buddhi nahi. Ab shri ji ko samarpit hai. Mera man nahi ye shri ji ko samarpit hai. Ab shri ji ko samarpit man buddhi sharir shri ji jane iska hisaab kitaab.
hamara bas nahi hai aur hamen bhogna tabhi dand parta hai jab ham iske karta hote hain. Jab ham shri ji ko samarpit hain. Bahut hisaab kitaab bilkul barabar rahega. Koi samjhave to aur kuch samjhna mat. Sharanagat ko kisi ki baten zyada anya upasna marg walon ki nahi sunna chahiye. Nahi to usmen fark par jaata hai. To agar ham jo sharanagat sadhan ko nahi sweekar kiye hue hain, sadhan paksh ko sweekar kiye hue hain, unse jab baat karenge to aapki baat kat jaegi. To aapko sanshay ho jaega apni sharanagati par. Isliye isht mile aur man mile mile bhajan ras riti.
tahan nishank hai milie taso kije priti. Bahut sunne wala bhi atma tatv ko nahi prapt hota hai. Isliye apne marg ki baat sune aur Radha Radha sab marg hain. Sab sampraday hain. Sab bhagwan ko pyare hain. Sab bhagwan ke marg hain. Lekin hamne jo bhagwan ka marg pakda hai, bhagwan ne jo hamen pakda hai, wo aashray wala hai. Sharanagati wala hai. Bhagwan ke sharan hone par sharanagat bhakt mein agar yah baat aati hai ki mera jeevan prabhu ke layak nahi sundar shuddh nahi hai. Bhakton mein jo aacharan wo mere mein nahi meri vrittiya kharab hai.
yah theek nahi hai. Jaise bhi ham hai prabhu ke hain. Prabhu hamare hain. Ham in vrityio in sabko prabhu ko samarpit kar diya. Aisa manna dosh hai. Sharanagati mein man, buddhi, indriyan, sharir aadi mein jo merapan hai yahi to bhagwan ko samarpit kiya hai. Ise mera manna galat hai. Ab mera nahi hai. Kyonki jab main bhagwan ki sharan mein ho gaya to sab kuch unke samarpit kar diya. Buddhi aadi mere kahan rah gaye? Is vaste sharanagat ko man chanchal hai, man nahi lag raha hai to us samay sochna hai main to bhagwan ki sharan mein hoon.
ab ye man bhagwan ko samarpit hai. Agar yah nahi lag raha to bhagwan jane. Ab ye man bhagwan ko samarpit hai. Buddhi theek nahi hai. To hamen samjhna meri buddhi kharab nahi hai. Hamari buddhi theek hai. Kya ki main bhagwan ki sharan mein hoon. Yah buddhi to bhagwan ko samarpit hai. Bilkul aram wala, shanti wala aur pakka marg hai yah sharanagati ka. Agar hamari bhawnaen ashudh hai to chinta nahi karni. Nahi karni. Yah bhavna prabhu ko samarpit hai. Ab ismen divya bhav den ya parthiv bhav den. Yah unki baat hai.
kabhi sadhak ko aisa bhav nahi lana chahiye ki meri bhavna ashudh hai, meri buddhi ashudh hai, mera man ganda hai. Meri chitt vrittiya bhagwan mein nahi lag rahi hai. Ismen likha hai aisa bhav kabhi nahi lana chahiye. Kisi karanwash yadi aisa bhav aa jae to usi samay ar bhav se pukaro. Dekho bhagwan ahankaar jagrit ho raha hai. Mera mera mera sab hamne aapko de diya phir bhi wapas le raha hai. Prabhu bachao ye sab aapka hai. Nath ye sab aapka hai. Mera nahi hai. Bas itna kahna hai. Ye theek kar do nahi kahna. Ye sab aapka hai.
aap dekho aapka hai prabhu. Aap jismen raji ho usi mein ham raji. Tabhi to masti aati hai. Masti tabhi aati hai jab bhagwan ka purn aashray ho jaata hai. Prabhu ko pukarna chahiye kyonki ve inke Swami hain. Swami ko sab samarpit man buddhi bhavna chitt vritti sabko mere sarv samarth prabhu main aapki sharan mein hoon. Ab main chinta kyon karun inki? Aur bhagwan ne bhi kah diya tu chinta mat kar. Maa sucha main pavitra karunga matit sarv durgan mat prasad trati mere kripa prasad se tu samasth dosho se mukt ho ja pakki baat hai jo nirdosh hue hain jo mahatma hue bhagwan ki kripa se hue hain is vaste aaj se main bhagwan ke charnon ka bharosa rakhkar nishcint hota hoon na apni chinta hai na apne man ki chinta hai na apni buddhi ki chinta hai jo ban raha hai so bhajan kar rahe hain.
nahi to ham tang pasar kar nishcint hain. Aaj se hamara kalyan bhagwan ki kripa se hoga. Ham bhagwan ke sharanagat hain. Ab nirbhay sharanagat nirbhay hota hai. Bhay do prakaar ka hota hai. Ek bahari bhay saanp se, bichhu se, dushman se, paristhiti se, vipatti se aisa bhay hota hai. Aur ek andar ka hota hai. Ye andar ka bhay bada vichitra koti ka hota hai. Kharab hain. Main sharanagat to hoon. Meri bhawnaen ashudh hai. Mere pata nahi mujhe sadgati hogi ki nahi hogi. Sadhak ko is bhitar wale bhase jarur bahar ka to jo vidhan hai wo hoga.
saanp katna hai to aap chahe jitne upar manjil mein rahte ho saanp wahi pahunch jaega aur aapko kaat lega aur nahi katna to ham sampon ke beech mein rahe senpur mein jaise jaise barsa hui to ek se ek saanp wahan to jangal hai na aise lutte bahar dikhayee dete the phan kadhe khade aise Padmasan lagae baithe hain aise saanp nikal rahe hain bich khapar saanp break se ek sab bichhu to aise jaise jaise chita ganga ka kinara hai. Ek se ek kho hai sab kabhi kisi ko kabhi kisi ko nahi vot katte. Vidhan nahi hai. Agar vidhan ho jae to kaat to hamko ye darna nahi hai.
bahari jo sankat ana hai wo prabhu bachayein aur naya vidhan karen to jo vidhan hai wo hoke rahega. Isse to nishcint ho jao. Jo vidhna ne likh diya chhathe rav ke ank rai ghate na til bade rah nishank ab andar ki baat ko sudhar lo meri vrittiya mere bhav mere yah bilkul nikal dena chahiye andar sochna chahiye apaar bhagwan ki kripa mujhe dubo rahi hai sab kuch kharab hone par bhi hamare upar bhagwan ki vishesh kripa hai yah socho socho yah sochna padega hamare upar bhagwan ki aur isse isse bhagwat prapti ho jati hai.
bhagwat mein ki jo har samay sochta rahta hai ki bhagwan ki hamare upar apaar kripa hai. Prapt sukh dukh ko saman bhav se bhog leta hai aur man aur vachan aur tan se bhagwan ki sharan mein rahta hai. Usko param pad aise prapt ho jaata hai jaise pita ki property par putr ka swayam adhikar ho jaata hai. Man vachan karm se ham prabhu ki sharan mein hain. Hamare upar bhagwan ki bahut kripa hai aur jo dukh sukh ave use saman bhav se bhog le. Aisa adesh tha. Ab mere ko kisi baat ka bhay nahi. Vrityio ko meri manne se hi ashuddhi hoti hai.
bhagwan ki kar dene se shuddh ho jati hai. Aur main vrityio ko shuddh nahi kar sakta hoon. Na kar paya hoon na kar paunga. Is vaste main ab nirbhay ho gaya hoon. Apni vrityio ko bhagwan ko samarpit kar diya hoon. Main ab vrityio ko manunga hi nahi ki meri hai. Man ko manunga hi nahi ki mera hai. Tan ko manunga hi nahi to to tan ke karm, man ka sankalp aur vrittiya ye sab bhagwan ko samarpit hai. Jab vrittiya meri hai hi nahi to main bhay kis baat ka karun? Jab man mera hai hi nahi to main kis baat ka bhay karun?
jab tan mera hai hi nahi to main kis baat ka bhay karun? Ab to keval bhagwan ki kripa hi kripa charon taraf mujhe ghere hue hai. Bhagwan ki kripa se main sarvatra paripurn ho raha hoon. Are badi khushi, badi prasannata sab kuch bhagwan ka ho gaya. Log aisi shanka karte hain ki bhagwan ke sharan hokar agar unka bhajan karenge to dvait ho jaega. Aur shastron mein dwiteeya dwa bhay bhavti dvait se bhay ki prapti hoti hai. Bhay dusre se hota hai. Bhagwan dviti thodi hai. Bhagwan atmi hai. Hamari atma Harivansh pragat parmanand shri Harivansh praman manm.
bhagwan hamari atma hai. Atma [gala saaf karne ki aawaz] main hoon. To main se kya bhay? Bhagwan hamari atma hai. Atma main hoon. To dvait hai hi nahi to bhas kisse bilkul shuddh gyan yah sharir indriyan man yah dviti hai yah prakriti ka karya hai inse sambandh rakhne par bhay hota hai aur inka sambandh to hamne bhagwan ko arpit kar diya to ham nirbhay ho gaye sab kuch bhagwan ko samarpit hai are nishcint ho jao kahe ko jab kah rahe to apne nishcint ho jaate kahe ko jhagda kar rahe ho andar jhagda karte ho prakriti aur purush bhinn hai.
purush hai prabhu aur prakriti hai ye sab. Prabhu ki prakriti hai. Unki chij unko samarpit hai. Kya pareshani hai? Pareshani to tabhi paida hui jab bhagwat vastu ko hamne apni man li. Unki vastu unko samarpit kar dene par koi bhay nahi hai. Bhagwan apni atma hai. Dviti nahi hai. Ham sab kuch bhagwan ko samarpit kar chuke. To ab na bahar ka bhay hamen aur na andar ka bhay. Bilkul nahi hona chahiye. Nirbhay ho jao. Agar bahar saanp katne ke liye aa raha hai to hamen dhyan rakhna hai ismen bhagwan hai aur bhagwan ke shasan se shasit hai.
yadi katna likha hai to ham chahe jitna bhage kaat lega. Aur agar katna likha nahi hai to ham baith jae wahan wo nikal jae. Hamari chati se saanp nikal gaye. Kai aisi ghatnayen hui jinme sampon ka sanidhy raha lekin kabhi kata nahi kyonki vidhan nahi aur jahan vidhan hota hai to jahan yahan ke saanp kaise aa sakta hai wahan saanp ja ke kaat liya hai nirbhay raho bahari ghatna se aur andar ki vritti man chintan ye sab bhagwan ke samarpit ek bar anand se baithkar sab kuch likh do bhagwan ke naam ye le to nishcint ho jao nirbhay ho jao jao aur nishok ho jao.
tisra hai nishok. Jo baat ho chuki hai usko lekar shok karna theek banta nahi. Biti hui baat ko lekar shok karna bhari murkhta hai. Bhul hai. Wo to bit gayi. Uske liye kya shok karna? Jo hona tha ho gaya. Age ke liye chinta nahi karni. Shok nahi karna. Kahin aisa na ho jae. To jo hona hoga wo sab ho jaega. Thoda dhairya rakho. Jo hona hoga wah ho jaega. Bilkul jo nahi hona wah ho nahi sakta. Thoda Shastri shabdon mein sthit ho jao. Jo nahi hona wo ho nahi sakta. Jo hona hai use koi rok nahi sakta.
beparwah ho jao. Shok kahe ko karo. Abhi jo ho raha hai uske liye bhi main chintit nahi. Jo karva rahe hain wo ho raha hai. Age jo hona hoga ho jaega. Piche jo hona tha wo ho gaya. Kya shok karna vichar karke dekho. Bahut sundar prasang sharanagati ka hai. Shok karne ki to koi baat hi nahi. Piche jo ho gaya chodo abhi aur age bhagwan hai mangal bhavan. Ham unki sharan mein to hamara amangal nahi ho sakta. Mangal bhavan amangal hari. Bhagwan amangal ka nash karte hain. Kabhi-kabhi mangal chhupa hota hai amangal kriya mein jise ham amangal man rahe hain usmen mangal chhipa hota hai.
ek bar raja apne mantri ke saath shikar khalne bade avesh mein akar usse chuk ho gayi to pratyancha mein dhilai se wo angootha satta se kat gaya. Angootha kat gaya raja ne to mantri se kaha mantri angootha kat gaya. Unka kaha bahut accha hua bhagwan ne badi kripa wah sharanagat bhakt tha mantri kaha bahut accha hua bhagwan ki badi kripa hui bole murkh kahin ka hamara angootha kat gaya kah raha bahut accha hua bhagwan ki kripa hui uthao isko aur jail mein band kar do bole ye bhi bhagwan ki bahut kripa hui to samjhe ki mantri ka dimaag kharab hai angootha kata amangal hua mantri pad se hatakr jail ki saja amangal hua aur yah kah raha hai bhagwan ki badi kripa bada mangal hua.
mein aisi jadi butiyan thi ki unka angootha jod ke theek ho gaya. Jab angootha theek ho gaya to shikar par phir wo gaye. Aaj unka sanyog aisa bana jhadiyon mein ki unke sainik aadi to piche rah gaye aur wo age nikal gaye. Udhar dusre rajya ke raja ne manushya bali dene ki thani thi. Uske santan ho gayi to narabli ki khoj kar rahe the. To raja hi mil gaye to bole isse badhiya narbal kyon narpati hai ye to raja hai bandi bana liya le gaye wahan to jab snaan aadi karakar bali ke liye le gaye to sarvang pusht hona chahiye bali mein kuch kata nahi hona chahiye to jud to gaya tha lekin angootha kata hua to dikhayee de raha tha to bole pandit ne kaha ye bali yogya nahi hai kyonki ang bhang hai bole chodo dusra pakda jaega jab chode gaye ho tab unko mantri ki yad yad aae.
mantri ne jab angootha kata tha to kaha bahut bhagwan ki kripa bahut accha hua. To accha hua bhagwan ki kripa se angootha kat gaya tha to gardan bach gayi. Yah to hamare liye accha hua lekin wo mantri pad se hat ke jail mein sad raha hai. Uske liye kya accha hua? Bulaya raj darbar mein. Kaha mantri tumne hamare jo angootha kata tha kaha bhagwan ne bahut kripa ki. Accha hua wo to samjh mein aa gaya. Bole kaise sarkar? Bole aisi aisi ghatna ghati. Bole lekin tum mantri pad se hatkar jail mein sad rahe ho. Yah kya accha hua?
bole maharaj sainik ka ghoda chahe jahan ruk jaata main mantri hoon tumhare piche hi hota. Aur jab tum bandi banae jaate to bandi main bhi banaya jaata. Angootha katne mein aap to bach jaate lekin mera gala jarur kat jaata. To bhagwan ne mujhe jail mein rakh diya. Ye bhagwan ki mere upar vishesh kripa hui. To ho sakta hai ghatna amangalkari lage lekin uska parinaam bada mangalmay hoga. Bhagwan mangal bhavan hai. Amangal kar hi nahi sakte. Isliye bhakt nishok ho jaata hai. Jo ho gaya wo hona tha. Jo hoga wo hona hoga wahi hoga nahi hoga.
jo nahi hona wo nahi hoga. Aur jo ho raha hai wo jo karva rahe hain man buddhi se ho raha hai bura ya bhala aap shok ki gunjaysh nahi hai nishok chautha nishank hona nirbhay nishcint nishok aur nishank hona kabhi ye shanka na kare yar mere aise aacharan to hai nahi pata nahi bhagwan ne sweekar kiya hai mujhe ki nahi main sharanagat to apne ko kahta hoon bhagwan ne sweekar kiya hai ki nahi yah kabhi shanka na karen aur ham aapko batayen sharanagat wahi hota hai jisko pehle bhagwan sweekar karte hain. Tumhari baad mein baat aati hai man mein ki main bhagwan ki sharan mein hoon.
bhagwan ne tumhen pehle sweekar kiya hai. Hamari baat man lo. Bhagwan ne tumhen pehle sweekar kiya. Ye jeev mera to us jeev ke hriday mein aa gaya. Bhagwan mere main bhagwan ki sharan mein. Isliye yah kabhi shanka mat karna ki main mere mein koi lakshan to aise aae nahi to mujhe bhagwan ne pata nahi sweekar kiya hai ki nahi yah shanka nahi karni. Nishank yah sandeh na karen ki main bhagwan ka hua ki nahi hua. Bhagwan ne mujhe sweekar kiya ki nahi sweekar kiya. Vishwas kab hoga? Man lo agar shanka bhi ho gayi to jab hanuman ji vibhishan ji ko mile to unko apni sharanagati jo man mein thi pragat mein sharanagati to baad mein hui jo man mein sharanagati thi wo paripakva ho gayi unka jo prabhu moh anugrah kina to tum aae daras dina ab moh bhav bhros hanumanta binu hari kripa mile nahi santa bhagwan ne kripa ki bhagwan ne sweekar kiya to hamen sant samagam mil gaya.
to apne logon ko to praman bhi mil gaya ki main bhagwan ka hoon kyonki hamen sant samagam mil raha hai. Anadi kal se bhatakta hua aaj mujhe bhagwan ki sharanagati mili hai. Main bhagwan ka hoon. Sada rehunnga. Mujhe ismen koi sanshay nahi hai. Apni murkhta vash apne ko bhagwan se kahin alag na man le ki main to sharanagat kaha. Aisi galti mat karna. Keval swikrati se bhagwat prapti ho jaegi. Yah ham hriday ki baat kah rahe hain. Bhagwan keval swikrati ko sweekar karte hain. Rahat na prabhu chit chuk kiye ki karat surat savar hi ki.
bhagwan hriday ki baat ko dekhte hain ki yah mera hua hai bas usse chuk hazaron ho gayi galti karodon ho gayi is baat ko bhagwan nahi dekhte ye mera hai bas nishcint nirbhay nishuk nishank aur pancha hai pariksha na karna pariksha na karna bhagwan ki sharan mein hokar aisi pariksha na karen ki main bhagwan ki sharan mein ho gaya to mere ko kam nahi satana chahiye mere mein krodh nahi ana chahiye aur bhagwan ke ladka hi kam hai putr pradyumn ke rup mein ye bhagwat swaroop hai sab koi sadharan thodi hai pradyumn ji apne ghar ave laut ke to mana karenge kya bhagwan shri Krishna kyon bhagwan shri Krishna ke mahal mein bole kam ka pravesh ho hi nahi sakta nahi sharanagat bhakt ke hriday mein kam ka pravesh ho hi nahi sakta aur bhagwan shri Krishna ke ghar mein pradyumn ka pravesh ho sakta hai.
ho sakta hai na? Isliye sanshay mat karna. Badi unchai mein bhi inka pravesh hai kyonki ladka bachchha hai sab bhagwan ke. Bahut tumhen ham suljhi hui baat kah rahe hain is baat mein pariksha karna ki agar sharanagat hai to hamare andar kam nahi aa sakta. To aapne apne hriday ko bhagwan ko diya na. To bhagwan ke ladka hai wo. Wo aa sakte hain. Ab hamko koi chinta ki baat nahi hai. Updrav karenge, todphod karenge to bap dekhenge dwarikadish ham usko dikh bhagwan ko samarp bilkul nishcint ho jao. Pariksha mat karna.
bahut suljhi hui sharanagati ka vishay chal raha hai. Bilkul aandit raho. Yadi mere mein lakshan nahi ghat rahe santo ke, bhakton ke to main bhagwan ki sharan mein nahi hua. Kyonki agar sharan mein hua hota to mere mein sare sadgun aa jaate. To aapko batayen kabhi kisi ko aisa anubhav nahi hota ki mere mein sare sadgun aa gaye. Agar anubhav hota hai to sharanagat nahi hai. Kyonki sharanagat mein kabhi ahankaar nahi hota. Aur ahankaar ke bina anubhav kaun karaega ki main sadguni hoon. Ahankaar ke bina ye anubhav kaun karaega ki main sadguni hoon.
jab ahankaar rahit ho gaya to usko adhamta nazar aati hai apne mein. Sadgun kabhi bade se bade sadgun aur yah danyata yah dinata bada sadgun hai. Sabse bada sadgun hai. Unmein dainyta rahti hai. Adhamta rahti hai. Jaise hanuman ji gunon ke samudra hain. Vibhishan ji se prichay kya de rahe hain? Asmay adham sakha sun Shabri maiya mein navdha bhakti puri khili hui hai. Sampurn navdha bhakti khili hui hai. Bhagwan stuti mano naudha bhakti ke dwara Shabri maiya ki kar rahe hain. Updesh thodi kar rahe hain kyonki Shabri maiya to bhagwan ke samne hi paramdhaam ja rahi hai.
updesh to use diya jaata hai jo sadhan paraayan ho. Wo to siddh hai. Bhagwan ke samne hi ja rahi. To bhagwan ne mano Shabri ji mein virajman navdha bhakti ki stuti ki. Hamare hriday mein jab tak bhagwan se apnapan nahi hota tab tak yah sab baten rahti hai. Shabri ji kah rahe hain adham te adham adham ati nari tanma main mati mand aghari kabhi unko bhan hua ki mere mein itne sadgun jor ke hain ki sampurn dandkar karan ke rishiyon ka tyag karke bhagwan hamare ghar padhare bhagwan hamare nahi unko ki bhagwan karuna karke aae main to adham te adham adham ati nari isliye bhakt mein sharanagat bhakt mein kabhi nahi ana chahiye ki mere mere mein to sadgun aae nahi jo ana chahiye.
aa gaye hain lekin tumhen anubhav mein nahi hoga kyonki anubhav mein aa gaya to abhiman aa jaega. To tumhen pariksha nahi karni apni apne sharanagati ki. Ye chhah lakshan hai sharanagati ke. Chhathwa hai viparit dharana ka bhavna ka tyag karna. Bhagwan ke sharanagat mein viparit dharana bhi kaise ho sakti hai? Jab main bhagwan ka hoon to viparit bhavna kaise ho sakti hai? Bhagwan ka mera jo paraspat sambandh hai atuut hai akhand hai nitya hai. Viparit bhavna tab aati hai jaise hamne kaha ye mere se galti kyon ho gayi? Kahte the karo sada tin kah rakhwari jin balak rakhe matari aur mere se ye karm kaise ban gaya?
galti ho rahi hai. Sharir bhagwan ko arpit hai. Man bhagwan ko arpit hai aur ye karm bhagwan tum nishcint raho yar. Tum kahe ko chinta kar rahe ho? Jab tum apna adhikar rakh rahe ho man pe, sharir pe to ye viparit bhavna hui. Bahut sundar likha hai. Aapki sari galtiya ab aapki galti nahi. Par ismen dhyan rakhna hai aap hamare sharanagat ho. Ham chahte hain kan pakdo utho baitho. To aapko kan pakdna uthana baitho andar se yahi chalega ki aapko ye karvana tha na isiliye karva rahe ho. Nahi to sab kuch samarpit meri galti kya hai?
main to aapka yantr hoon. Ab yantr ko jaisa tum chalaoge vaisa par aap chahte ho ki main kan pakdu to kan padunga. Aap kahoge ki galti padi bolo to main galti aur aap pitna chahte ho isi bahane se to peet lijiye. Bakaya ye sab aapke rimot se ho raha hai. Main to yantr hoon. Yantri aap ho us samay bhi yahi dhyan rakhna hai. Andar bahar se nahi kahna. Bahar se kahoge to sharanagati ke viparit ho jaega ki ham to aapki sharan mein kan kahe ko pakde. Galti to tumhari hai ya abhadrata hogi. Jab sharan mein hai wo chahte hain ki kan pakdo to pakar lo na.
rimot kah raha hai kan pakdo to fouran pakar leo. Rimot kah raha hai galti mano. Galti mano. Mano na galti hamse hui. Haan hamse galti hui. Aur andar se ki aap dekh rahe ho. Aap khud samjh rahe ho. Ab hamara kya raj hamse galti rahi. Sab kuch to aapko samarpit hai. Ab jaise chaho waise viparit bhavna ka tyag. Jo manushya sache hriday se bhagwan ki sharanagati to bhagwan unke dosh bhi sweekar kar lete hain. Ab viparit bhavna nahi ki mere dosh hai. Gun bhagwan ke to dosh ye purn sharanagati ka hai. Nahi kacchi sharanagati mein gun tumhare samjhe nij dosh bahut nirbhay nishcint nishok hone ki baat hai.
par ismen naam nahi chhutna chahiye. Yah baat pakki man lijiye. Bhajan nahi chhutna chahiye ki bhajan chhod ke ham gandi baten kar rahe hain aur bol rahe ki bhagwan sab karva rahe hain. To phir bhagwan narak ki vyvastha bhi banae. Nahi unke to bhajan nahi chodna hai. Janbujh ke galat nahi karna hai. Ho jae to hamen chinta bhi nahi karni kyonki ham bhagwan ki sharan mein hai. Soi kar dut vibhishan ke sapne Ram na chintne nishcint rahna hai. Nirbhay rahna hai. Viparit bhavna ka tyag karna hai. Upasak ko keval ek karya karna hai.
bahut sundar vishay hai. Isliye sharanagati ke chhah bhav ko dekhkar keval ek karya karna hai. Bhagwan ne adesh kiya hai tasmat sarveshu kaleshu maman yuddh cha do baat hai. Mamma yuddh cha tu sab mera smaran kar. Ye sharanagati ki jad hai. Smaran nahi chhutna chahiye bhagwan ka. Is par koi gunjaysh nahi hogi. Aur yuddh kar ka tatparya hua tum kam dhanda karte ho, vyapar karte ho, nokri karte ho, kisani karte ho karo par Radha Radha Radha Radha bhagwan sara bhaar tumhara le liye aur adesh do baat ka karte hain. Mera smaran karte hue apna kam dhanda karo.
apna jo bhi vyapar nokri kisani karya kar rahe ho mera smaran karte hue karo. Hardam yad karna hamara kartavya hai. Shuddh ho, ashudh ho, achhche ho, bure ho, svasth ho, bimar ho, dhani ho, nirdhan ho, papi ho, punyatma ho, kaise ho, bilkul mujhe iski parvah nahi hai. Tum mere ho. Bas keval do baten karo. Mera naam jap karo aur apna kam dhanda karo. Jisko jo dincharya mili hai apni dincharya ab yah sharanagat hone ki baat sharanagat ka labh ab ye sharan ki baat kah rahe wo to apna chapter chal raha tha ab bhagwan ne hamen adesh kiya ki ye puri srishti meri hai.
maine jo tumhen kam dhanda diya hai wo imandari se karo. Mera smaran karte hue karo. Tum koi bhi ho mere ho. Phir sun lo. Shuddh ho, ashudh ho, achhche ho, bure ho, svasth ho, bimar ho, dhani ho, nirdhan ho, punyatma ho, papi ho, kaise ho? Tum mere ho. Tumko bas ek kam karna hai aaj se. Mamma mera smaran karte hue tumhen jo kartavya karm mila hai shastr ke anusaar manmani aacharan ko kartavya na mana jae. Tasma shastram prmanam te kar vyvasthit man mane adharmik aacharan nahi dharm purvak aacharan karte hue bhagwan ka smaran karo isi mein jeevan ka param labh aur nishcint raho nirbhay raho nishok raho shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…