kya main apna naam jap aapko de sakta hoon jisse aapka swasthya theek ho jae?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
dinesh ji, Hyderabad se shri Harivansh maharaj aapke charnon mein koti-koti nam Gurudev aapne kaha tha ki ham jo naam jap karte hain wah ham kisi ko bhi de sakte hain. To kya main wo naam jap ke maharaj ji ko de sakta hoon jisse maharaj ji ka swasthya theek rahe aur jo maharaj ji ko kidney ki samasya nahi hamari koi samasya nahi hamari samasya aapka bandhan hai. Aap yadi mukt ho gaye. Parmanand ko prapt ho gaye to hamari samasya ka samadhan ho gaya. Hamari samasya sharir nahi hai. Hamari samasya aapke sharir ka rag hai.
aapki mamta hai. Aapki asakti hai. Aapka agyaan hai. Is samasya ka samadhan ho gaya to hamara samadhan ho gaya. Hamen is sharir ki zaroorat nahi hai. Aur jinko zaroorat hai wo chala rahe hain. Unko kisi support ki zaroorat nahi hai. Samjh rahe hain? Hamen sharir ki zaroorat nahi aur jinko zaroorat hai wah chala rahe hain. Unko kisi support ki zaroorat nahi. Kartum akartum anytha kartum sarv samarth sa ishwar wo ishwar hai. Aapko jo bhav aaya hai ki sant nirog rahe. Sant sukhi rahe. Yahi palat kar aapko prapt ho. Aap nirog rahe.
aap sukhi rahe. Aap bhagwat aradhna paraayan rahe. Aur aap apne naam jap ko aradhya dev ke charnon mein samarpit karen. Usse sarwok mangal hota hai. Jaise ham apna paisa rashtr ke paddhikari ke kosh mein pradhanmantri kosh mein pahuncha den to pure bharat ko pahuncha dega. Garibon ki seva mein jahan jo avshyakta ho aise hamare anant bramhandon ke Swami prabhu hain. Ham apna bhajan unko pradan karte hain. Aapki kripa se aapka ye jo bhajan hua hai aapko samarpit hai. Aap sarve bhavant sukhna sarve sant niram sabka mangal ho.
sab kalyan ko prapt ho to aapka mangal ho gaya. Aapka kalyan ho gaya aur sabke kalyan mein aapka bhajan aaya. Samjh rahe? Aise chalo. Haan bhagwan ki badi kripa hai jo aisi sadbhavna hai par yah sadbhavna sidhe satya mein bhagwan mein lage jakar ke Rohit ji asam se Radhe Radhe Gurudev Radha vallabh shri Harivansh Gurudev Gurudev main aur unke swaroop mein kya bhed hai samudra aur tarang itna bhed hai samudra aur tarang jab tak tarang hai tab tak wah sattavan nahi kyonki samudra se hi uski satta hai. Aisi trange karodon anant samudra mein uthti rahti hai.
lekin ek tarang ki samarth nahi ki samudra ko prakt kar de. Wo samudra mein hi prakt hoti hai. Samudra mein hi atkheliya karti aur samudra mein hi leen ho jati hai. Par hai kaun? Samudra hi to hai na. Vayu ka vikar hone se tarang ho gayi. Vayu ka vikar hata to samudra ho gayi. Par jab tak vayu ka vikar hai tab tak use ham samudra nahi kah sakte. Tarang hi kahenge. Itna antar hai. Maya ke vikar se dehabhmani jeev kahlaya. Dehabiman khatm ho jae. Maya vikar khatm ho jae to leen ho gaya jismen to janat tumhen tumhen ho jae.
wo samudra ho gaya. Wo anand chandra bhagwan ka jo tarangayman ansh tha wo bhagwat swaroop ho gaya. Ye antar jab tak deh bhav hai tab tak jeev deh bhav mita jahan ka hai usi mein sthit ho gaya. Tarang mein vayu hati to ab aap tarang nahi kah sakte. Jab shant samudra hai kaha ja sakta hai na samudra hai jab tak alag hai vayu vikar se usi mein atkeliya kar rahi par uska naam tarang ho gaya aur wo utni samarthyshali nahi hai jitni samarthyshali samudra hai kyonki usmen anant trange hain aur ek bhi tarang samudra nahi paida kar sakti samudra mein anant trange ye anant trange wo samudra hai par tarang jab vayu vikar khatm hua to hua kya samudra hi to hai hi na yah baat hai.
samjh pa rahe hain aap?
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…
- mujhe har kisi mein bhagwan dikhte hain bahut dar lagta hai, kya karun? — Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti dandvat pranam. Bhagwan mujhe yah janna hai ki mujhe har kisi mein bhagwan swaroop dikhayee deta hai. Aap mein bhi bhagwan nazar ate hain. Chinti mein bhi har jagah…
- ekantik vartalaap evam darshan #1397 — vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain…