॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

maharaj ji ne bataai bhagwan ki sabse badi kamzori ka rahasya

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

kalyug ki chal se bachne ke liye jite Vinayak shubh shubh vighna kare nahi koi vighna kare nahi koi dare kalikaal kasht bhay hare sakal santap haras hari naam japat jai vijay ko prapt hota hai bhagwan naam japak kalyug pharrata hai apni koi bhi kuchal bhajan karne wale ke upar nahi kar sakta chalte phirte uthte baithe raat mein din mein kam karte samay har samay vyakulta purvak hriday se bhagwan ke naam ka jap karo. Anant janmon ke sab paap bhasm ho jaenge. Tab tumhen anand milega. Abhi bhajan mein anand nahi milega. Agar mil raha hai to tumhare paap nasht ho chuke hain.

naveen paap hone na pave aur age badho. Dekho phir anand murti bhagwan tumhare samne jhalakne lagenge. Bhajan karne wale ke bhavna mein prabhu ane lagte hain. Wo sundar rup bas usko phir aur kuch suhai nahi deta. Jab tak yah sthiti na ave tab tak bhajan karte raho. Man mar ke karte raho. Bina swad ke karte raho. Bina bhav ke karte raho. Pahunch jaoge. Apni nirbalta aur bhagwan ki kripa shakti par vishwas rakho. Anubhav karo ki main nirbhal hoon. Meri samarth nahi ki. Itna akash phal bauna akash phal kaise prapt kar sakta hai?

main nirbhal hoon. Lekin mere priyaju bahut kripalu hai. Mere prabhu bahut kripalu hai. Apni nirbalta ka anubhav aur prabhu ki kripa par vishwas. Yah do baten hain aur naam jap ho raha hai. To vishwas kar lo tumhare kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar sab mit jaenge. Apni nirbalta ka aur bhagwan ki kripa ka aur naam jap. Yah bhav ka vishay hai. Apne mein bal ka abhiman na hone pave. Jaise uphante hue doodh mein thanda pani dalo to wo shant ho jaata hai. Aise hi naam japak ke kam, krodh, lobh, moh, mad ye sab shant hone lagte hain.

jitna adhik naam jap karoge utne shanti prapt hoti chali jaegi. Agar bhagwan mein prem chahte ho to bhagwan ki sharan mein hokar bhagwan ka naam jap karo. Kahte raho prabhu main aapka hoon. Prabhu main aapka hoon. Jo kam varsho mein nahi hua wo bahut jaldi ekaek ho jaega. Tum keval naam jap ka niyam lo. Bahut jaldi labh milta hai naam jap se. Bahut jaldi bhagwan ke charnon mein par jao, nishcint ho jao. Bhagwan ki kripa tumhen ghere hue hai. Bas tum keval naam jap karte raho. Kam to bas itna hi hai. Bhagwan ki sharan mein hokar naam jap karna itne se sab beda par ho jaega.

tumhen pata hai bhagwan mein bhi ek kamzori jo sache hriday se bhagwan ka ho jaata hai. Bhagwan use kabhi chhod nahi sakte. Chahe jitna bada paap kar le. Yah bhagwan ki kamzori hai. Yahan kah rahe hain bhagwan ki badi bhari pol tumhen bata rahe hain jo sache hriday se ham to Priya do. Ab usse bade aparadh ban gaye, bade paap ban gaye. Bhagwan use chhod nahi sakte. Surdas ji ne ek pad mein likha hai vimurkh bhay nimish na akpa jab chit tab waise bhagwan ki taraf pith karke sansaar mein chala gaya. Manmani aacharan kiya phir hosh aaya.

phir louta to dekha ki prabhu akripa nahi ki waise hi karuna ki hui waise hi pyar waise hi dular bhagwan ki badi bhari pol hai kamzori jo sache hriday se kah deta hai prabhu main aapka hoon prabhu use kabhi chhod nahi sakte yah baat pakki samjh lo prabhu mein ek kamzori hai wo chhod nahi sakte are bade dayalu kripa sindhu daya sindhu aise thodi kahe gaye hain agar aap sache hriday se pukaro to bahut jaldi aapke netr gochar ho jaenge. Kaun chahta hai bhagwan se milna? Hriday se dekho. Hriday se ham bhog bhogna chahte hain.

ham accha khana chahte hain. Chain se sona chahte hain. Ham jo chahe wo milta rahe. Bhagwan bhagwan ki chah ho gayi jinko unko bhagwan na mile. Aisa ho kaise sakta hai? Bhakt jahan kahin bhi chahe dhire se bole, chahe jor se bole, chahe man se bole, bhagwan apne kano se sunte rahte hain uski baat. Man hi mano bhagwan se baat kar raha to bhagwan man mein baithkar sun rahe hain. Vani se kah raha hai to bhagwan paas baithkar sun rahe hain. Bhagwan tumhari baat sun rahe hain. Vishwas karo. Aisa kabhi mat socho ki main jo bol raha hoon bhagwan nahi sun rahe.

bhagwan se prarthna karo ki he nath aap mujhe mrityu lok mein rakhen ya swarg lok mein rakhen ya narak lok mein rakhen? Apmanit rakhen ya sammant rakhen, dukhi rakhen ya sukhi rakhen? Jaise chaho waise rakh lo. Ek baat hamen de do. Aapka bhajan na chhute. Bhakti yahi mangta hai. Jaise chaho waise rakho. To phir hamen shikayat kya hai? Bhajan na chhute. Hamara bhajan chalta rahe. Prabhu maine na jane kin-kin janmon mein aapke pratikul kya-kya aacharan kiya iska mere ko pata nahi. Par kiya hoga. Main aapse prarthna nahi kar raha hoon ki aap un karmon ko bhasm kar dijiye.

un karmon ka dand mujhe dijiye. Main bhogne ke liye tayyar hoon. Mujhe kisi paristhiti se bhay nahi. Mujhe koi asantosh nahi. Par ek chah hai aapka bhajan na chhute. Yah baten hriday mein baithane ki hai. Je jo janmo karm bas ta Ram pad anurag ho. Aapke naam jap mein, aapke chintan mein mere karmon ka bahut bada register hoga. Kyonki anant janm ho gaye is maya mein. Na jane kaun-kaun se paap karm kiye. Kis-kis paristhiti ke parwash hokar kya-kya karm kiye. Un sampurn karmon se sarvatha rahit karne ke liye main aapse prarthna nahi kar raha.

ki aap hamare anant janmon ke paap nasht kar do. Sab karm hata do. Main ekdam sukhi ho jaun. Nahi mujhe dukhi rakho. Mere karm ke anusaar dand do. Par aapki yad bani rahe. Aapki smriti bani rahe. Aapka vidhan samjhkar mujhe kinchin matra dukh nahi hoga. Aur aapke vidhan ko samjhne ki shakti bhi mere mein nahi. Aap hi denge. To he nath aaj se buddhi lagana band. Keval main aapki taraf dekhuga. Vipatti aayegi to aapki taraf dekhuga. Aapne bheja hai swagat hai. Aao vipatti sampatti aayegi to aapne bheja hai. Swagat hai.

par is vipatti sampatti ke chakkar mein aap na chhut jae. Main dekhun aapki taraf bhi aapka hi sumiran karun. He nath na mujh mein samta hai. Na mujhe tatv bodh hai. Aap chahe to mujh jaise nich ko aisa bana sakte hain ki main duniya ka udhar kar du. Mera udhar. Aap chahe to mujh nich ko aisa bana sakte hain ki main duniya ka udhar kar du. Isliye mere Swami main keval aapka bhajan chahta hoon. Keval aapka chintan chahta hoon. Aapka smaran chahta hoon. Bhagwat smaran samasth sadhno ka sar hai. Bhagwan ko jo yad kar rahe hain unke janm ke janm ke amangal nasht ho rahe hain.

bahut bada hisaab rakha hua. Sab nasht hota ja raha hai. Labh hi labh unke jeevan mein hani shabd hai hi nahi. Satsang ki baat ko pakar lo. Bhagwan ke naam jap smriti se badhkar koi sadhan nahi. Sabki sar baat hai. Har samay jo naam jap karta hai uska naam jap karte hue sharir chhutta hai aur bhagwan ko prapt hota hai. Hamen abhyaas antim nirnay ke liye karna hai. Antim nirnay ka pata nahi kab shwas chhut jae. Isliye har shwas mein ham naam jap karte hain. Apni buddhi mat lagao. Naam jap kar rahe hain. Yah to nahi badla.

hamara yah to theek nahi hua. Hamare andar yah vikar hai. Shanka mat karo. Bas tum prabhu ke hokar unka naam jap karo. Koi bhi kam karo, kahin bhi jao, kisi bhi desh videsh mein jao, bas bhagwan ka naam pakar lo. Bhagwan ke yad karne matra se manushya sansaar bandhan se chhut jaata hai. Y smaran matran janm sansaar bandhnat vimuchte nam tasmai vishnve prabhu vishnve bhagwan ko yad jo karte hain un wo siddh ho jaate hain. Unke sare karya siddh ho jaate hain. Bhagwan ko jo bar-bar namaskaar karte hain, pranam karte hain.

bhagwan ki sharan mein hote hain. Naam jap isse bada koi sadhan nahi. Agar bhagwan ko bhulkar ghar se nikelte ho to khatra hai. Harivansh bina nikasi ho pad nivas shri Harivansh. Ghar se chalo to pehle savdhaan bhagwan ki yad ki wahi bachayenge. Kahan mrityu varan kar le. Aap paidel ja rahe ho. Bilkul savdhaan ja rahe ho. Aap sadak chhod ke kinare ekdam ja rahe ho. Bahki hui gaadi ai mar gayi. Aap gaadi mein ja rahe ho bahut sahi ja rahe ho aur sharab pe truck chala rahe mara chitda ud gaye ham har kadam khtre mein hai mrityu lok mein hamara har minute khtre mein hai isliye har ek kam karte hue kahin jaate hue kahin bhi naam jap bhagwan ka smaran bhagwan ka naam jap tumhen vijay karaega tumhari parajay hoti dikhegi par parinaam mein tumhen vijay dikhayee dega yadi tum naam japak ho.

vriksh ke mul mein pani dene se pure vriksh ko pushti milti hai. Aise hi bhagwan ka naam smaran karne se charachar jagat prasann ho jaata hai. Ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa kare sab koi sampurn dosho ke nash ka upay hai bhagwan ka chintan rag dves ko mitane ka upay hai bhagwan ka naam jap ar hokar bhagwan ko pukaro roz tumhen apne jeevan mein fark dikhayee dega bhagwan ke smaran karne se roz tumhen dikhayee dega ki hamare dosh mit rahe hain. Hamari ashanti mit rahi. Hamari chinta mit rahi hai. Anand badh raha hai.

tumhare samasth avgunnon ka nash ho jaega. Sare sadgun tum mein prakashit ho jaenge. Aur un sadgunan ki raksha bhi wahi karenge. Bas tum chalte phirte uthte baithe hardam prabhu ka smaran karte raho. Dekh lo meri baat man lo. Nahi to pehle apna bal lagakar in dosho ko mitao aur jab yah dur na ho to nirbhal hokar bhagwan ka naam jap karne lago dekho sab dur ho jaenge tumhen koi sadhan dikhayee de raha ho to aur karke dekh lo jab har jana to hamari baat man lena apne bal ka abhiman rakhkar koi bhi sadhna ki jae wo bhagwat prapti nahi kara paegi kyonki sanskriti mul shul pradnana sakal shokdayak abhimaan apni bal buddhi vidya sadhan jati kul varn ashram aadi ka abhiman tyag kar bhagwan ka naam jap karo nischit bhagwat prapti ho jaegi ham aapko batayen varsho mein jo sadhna phal nahi deti wo dino mein dene lagegi yadi ankhon se aansu ki bunde tapke aur mukh mein naam ho naam ka jab aise arth bhav se japna ho aansu chal rahe ho naam chal raha hai bahut bada labh agar aapko anand nahi mil raha bhale varsh lag gaye hain to aapki vijay hogi.

meri is baat mein sandeh mat karna. Aap is sansaar se vijay ko prapt honge. Main apna samjhkar aapse kah raha hoon ki agar nakli bhav se bhi bhajan karne lagoge to uska phal asli milega. Ham man nahi lag raha. Hamari koi shraddha nahi. Par ham Radha Radha rat rahe hain to iska phal hai. Har karm ka phal hai. Iska phal asli milega. Jarur milega. Achut smriti matren bhagwan keval yad matra se prasann ho jaate hain. Smriti matra se ek chij bhagwan se mango ki aapki akhand smriti hamen prapt ho jae. Smriti param shanti deti hai.

smriti param anand deti hai. Smriti kshma udarta ko jagrit karti hai. Sampurn dukho ka atyant abhav bhagwan ki ki smriti se ho jaata hai. Durgunom ko chodna hai tabhi bhagwat prapti hogi. Ham mein bal hai nahi dat ke naam jap karo. Sadgunan ko lana hai dat ke naam jap karo. Sansaar ka chintan chhut jae. Yahi sab shastron ka sandesh hai. Sansaar ka chintan chhut jae. Yahi sab sampraday sab sadhanao ka sar hai. Ki smriti bhagwan ki akhand ho jae. Sansaar ka chintan chhut jae. Aise pukaro jaise chhote bachchhe pe aphat aa jae to maa ko pukarta hai.

aise kam krodh jab aapko satae to bhagwan ko pukaro. Bhagwan ke saath hamara satya sambandh hai aur sabke saath asatya sambandh hai. Na ye hamara bhai tha na hamara bhai rahega. Ye beech mein bhai ban ke aaya hai. Iska koi sambandh nahi. Hamara bhagwan se satya sambandh hai aur sab jagah se asatya hai. Ham apne satya sambandhi se baat karen. Unse milne ki cheshta karen. Dusre ki asha bahut bada hani kar liya hamne. Dusre ka sambandh bahut badi hani. Sabki mamta tag batori mam pad man bandh bar dori. Yah badha hai na dusre ki asha na dusre se sambandh keval apne prabhu se apne isht se sambandh aap sache hriday se bhagwan ki sharan mein ho jao swapna mein bhi tumhen bhay nahi lagega hamne dekha kai jagah swapna bhayava aaya to wahan kisi na kisi rup mein akar bhagwan ne bacha liya swapna mein matlab swapna mein bhi bhay nahi ho sakta bhagwan ka naam jisko pyara lagta hai jo bhagwan ka naam jap karta hai meri baat man lo tumse badhkar bhagyashali aur koi nahi.

kal ek prashnta ne prashn kiya ki murga mans sab khate hain aur bade dhani hai. Bade sukhi hain. Yah kya hai? Kya dhan hona sukh hai kya? Papacharan karte ho. Purv janm ke punya se tumhen kuch chand minute ke liye ye laukik sukh mil gaya hai. To kya tum sukhi hoge? Maroge to dhan le jaoge kya? Parinaam tumhara kya hoga? Durgati ghor nark ki prapti. Viveki parinaam dekhta hai. Aviveki vartman ko dekhta hai. Aveki vartman are bhogo jo hoga dekha jaega. Viveki nahi. Kadam wo rakhne ke pehle parinaam dekhta hai.

wahi buddhiman hai. Wahi vivekvan hai. Samasth siddhiya, samasth sadgun, samasth anand, samasth shanti, samasth gyan bhagwan ke naam mein virajman hai. Isliye koi bhi karya karo. Pehle bhagwan ka smaran karo. Har panch minute mein ek bar smaran karo. Koi bhi panch minute khali na jane pave aur naam se hi sab kuch ho jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi