॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

janie sant ka sang mila hai ya sirf bhid mein baithe ho?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

satsang kya hai? Jin bhogon se hamara antahkaran malin hua, dusht vichar hamare hriday mein ate the, usse hamara antahkaran malin hua. Satsang ki pehchan hai ki tumhara malin karne wala antahkaran ke jo bhog hai aur jo dusht vichar hai unka nash ho jae to aapka satsang hua. Nahi to batsang hai. Satsang nahi hua. Wo batsang hai. Wah keval baten hain. Jis vani ke shravan se antahkaran malin karne wale jo vishay bhog hain, gande bhog hain unka tyag ho jae. Dusht vicharon ka tyag ho jae to jano satsang hua hai.

agar ye nahi to phir satsang nahi hua. Vishay aur bhagwan ek taraf bhagwan ek taraf vishay maya ka prabhav bhagwan ka vismaran vishay ka smaran satsang ka prabhav vishyon ka vismaran aur bhagwan ka smaran hamara prabhu ke saath sat sambandh hai. Usi mein sthit ho jana satsang hai. Main bhagwan ka bhagwan mere satsang ka phal kya hai? Antahkaran ko bigadne wale bhogon ka tyag, dusht vicharon ka tyag aur bhagwan se apnapan ho jana. Main bhagwan ka bhagwan mere. Satsang ka swaroop kya hai? Iske do swaroop hain. Ek jo antahkaran ki shudhi mein karan bankar moksh ki prapti mein sadhan rup hota hai.

yah updesh se hota hai. Ek satsang hua updesh updesh de diya. Ab usko apne aacharan mein utaro aur utar kar bhagwat prapti karo. Aur ek hota hai sant sang. Wo hua satsang updesh ka. Ab ek hota hai sant sang. Jaise bachchha maa ke paas rahta hai. Usko updesh se matlab nahi hai. Wah keval maa ko dekhta hai. Maa ke pavaye pata hai. Maa ke sulae sota hai. Maa ke jagae jagta hai. Maa ki tarah kisi sant ke bhrose aashray mein jo pal rahe hain. Inko kisi sadhan paksh ko lekar ke moksh padvi nahi hai. Ye sang ke prabhav se wahan pahunch jaenge.

do prakaar ka satsang ek vani ke dwara updesh dekar ke antahkaran ko shuddh bankar moksh padvi pradan karna aur ek samipita atho pahar wo sant ki agyaa mein unke samip unke bachchhe ki tarah unko sadhna se koi matlab nahi unko jo agyaa hui bas wahi kar rahe unke samip hai ye sadhan paksh ke nahi sharanagat paksh ke hain ye swabhavic bhagwat prapti ho jaegi jaise pita ki sampatti par putr ka adhikar aise swabhavic ho jaata hai. Dusre ki vishesh mahima hai. Inme pehle ki apeksha dusre ki vishesh mahima hai.

updesh sunkar uske anusaar chalkar moksh padvi prapt karna aur apne ko sarvto bhaven kisi sant ke hath bech dena adhin ho jana. To kah rahe pehle ki apeksha dusra vishesh hai. Kisi sant ke adhin ho jana. Yah bahut badi baat hai. Satsang agar na mile to kya karen? Bade saubhagyshali hain jinko satsang milta hai. Sut dara dhan lakshmi papiyon ke ghar hoe sant samagam hari katha tulsi durlabh ye sadharan baat nahi jo baithkar ke aap bhagwat charcha sunte hain. Ye bade aho bhagwan ki badi kripa ki roz hamen bhagwat charcha kathan shravan ka saubhagya milta hai.

yadi satsang na mile to kya karen? Bada sambhav samasya aa gayi. Ab bhagwan naam ke bina jeevan adhura hai. Bhajan hi hai aur bhajan ho sang bin aur bhajan bina nahi prem. Bhajan bina prem nahi aur sadhu sang ke bina bhajan nahi. To granthon ka aashray le. Dusra upay hai ki jaise ham bhagwat padh rahe to vyas dev ji, Sukhdev ji inka sang kar rahe hain. Ham gita ji padh rahe hain to bhagwan ka sang kar rahe hain. Ham koi vani padh rahe hain sant ki to un sant ka sang kar rahe hain. Granthon ka sahara le. Waise to pragat baat hai lekin jinko pragat mein sant sang na mile to phir granthon ka sahara le.

khub dhyan purvak granthon ko padhe. Uske anusaar chale. Agar koi granth ke updesh se ya sant ke updesh se naam ka hi jap karne lage aur naam ka hi dhyan karne lage. Phir age chalkar usko kisi ki zaroorat nahi. Wo naam hi usko sahi rasta batata jaega. Naam hi uske galat aacharan mitata jaega aur naam hi bhagwat prapti kara dega. Naam mein ruchi hone tak zaruri hai shastr aur sant jiski naam mein ruchi ka matlab hota hai ji nahi sakta bina naam ke. Ab uske liye koi zaroorat nahi. Koi mile ya na mile kyonki jo sant sang ka phal hai use mil gaya.

sab sadhan kar yah phal sundar prabhu pad pankaj priti nirantar nirantar bhagwan mein sthiti hai chintan ke dwara to ab wah khud mahapurush ho gaya hai. Ab use kisi margdarshak ki avshyakta nahi kyonki naam bhagwan virajman hai uske hriday mein. Kushang kya hai? Jis vyakti ke sang se naam chhut jae, bure aacharan achhche lagne lage, bure acharno mein pravriti hone lage, bhagwan ka bhajan chhut jae, wo vyakti, wo vatavran, wo paristhiti, wo vastu, wo vichar in sabko tyag de. Jis vyakti vatavran paristhiti vastu vichar ke sang se bhagwan ka chintan chhut jae burai achchhi lagne lage usi ka naam kusang hai jake sang kumti mati upjey karat bhajan mein bhang tajo re man hari vimukhan ko sang do baten bataai kumti mati upjey bure bhav aur bhajan ka bhang ho jana jo abhang bhajan chahiye nirantar wah ruk jana.

bhajan chhut gaya aur gande vichar aa gaye kisi vastu ke khane se ya kisi vatavran se ya kisi vyakti se ya kisi paristhiti se wah sab kusang hai. Wo vyakti, vastu, paristhiti, vichar wo sab kusang hai jiske sang se bhajan chhut jae aur bhog achhche lagne lage. Bhagwan ki or se chitt vritti hate jiske sang se bhog vishyon mein ruchi badhe jiske sang se wo kusang hai yahi pehchan hai kusang ki pehchan hai bhogon mein ruchi badhe bhagwan se chitt vritti hate kusang ho gaya chahe wo vastu ka ho chahe vyakti ka ho chahe padaarth ka ho chahe paristhiti ka ho bahut savdhaan rahna hamen wo khana nahi wahan jana nahi wah dekhna nahi usse bolna nahi usse sambandh nahi rakhna jisse bhajan chhut jae priy na Ram vaidehi taj tah koti baireesham jya param sneh chahe wo hamara kitna priy rishtedar kyon na ho to kusang ka prabhav kya hai manushya ko unnati ke marg se patan ke marg mein pahuncha dena.

sang ke anusaar man banta hai aur man se aacharan hote hain. To jab kusang hota hai to man ganda ho jaata hai. Phir man gande vichar prakt karta hai. Phir gande aacharan bante hain aur durgati ho jati hai. Kusang ka sidha phal hai durgati. Isliye manushya ko kabhi nich ka sang nahi karna chahiye. Nich mane patan marg wale jo patit gandi baten karen prapanch ki baten karen bhog ki baten karen bhagwan se vimurkh hone ki baat karen wo chahe koi bhi ho dur se hi uska sang tyag kar dena chahiye sadhu aur asadhu mein antar kya hai [gala saaf karne ki aawaz] bahut bada antar hai asadhu ke sang se moh badhega aur sadhu ke sang se gyan badhega asadhu ke sang se bhog buddhi badhegi aur sadhu ke sang se yog buddhi badhegi.

bhagwan mein yog mahatmaon ka samagam bhagwan se milata hai aur jo asadhu hai duratma hai ye narak phuanchte hain. Kyonki narak ke teen dwaar hain. Kam krodh aur lobh. Kama krodha tatha lobha tasma de tr. Bhagwan ne kaha teen narak ke dwaar hain. Agar inme se kam, krodh, lobh koi ek bhi hai to hamen narak pahuncha dega. To waise to hamare andar hai hi agar kusang ho gaya to aur badh jaega. Triwidh naraksad dwaram nashan matma kam krodha tatha lobha tasma dete ta ye atma ka nash karne wale teen bhav hain.

kam krodh lobh aur ye nich purushan ke sang se duski vridhi hoti hai aur ye kriyatmak hote hain aur hamen narkgami hona parta hai. Satsang ki jeevan mein kitni avshyakta hai. Jaise jine ke liye swas ki avshyakta hai. [nak se ki jane wali aawaz] aise hamare jeevan ke liye satsang ki avshyakta hai. Satsang nahi mila. Do minute mein aisi vritti hui. Ganda kam kiya. Aajeevan jail aajeevan jail. Bas do minute sambhalna tha buddhi ko. Nahi sambhal paye aur aisa krit ho gaya. Aise aacharan ho gaye ki thu thu aur sansaar bacha.

aisa kyon hua? Kyonki satsang se rahit buddhi hai. Jeevan mein jaise jine ke liye hamen swas ki zaroorat hai, aise hi hamen satsang ki zaroorat hai. Satsang ki bina satsang ke manushya pashu hai, Rakshash hai. Jo man mein aaya so kar raha hai. Jiske jeevan mein satsang nahi hai uska jeevan adhura jeevan hai. Jaise ham swas ke bina jivit nahi rah sakte. Aise ham satsang ke bina param pavitra jeevan nahi dharan kar sakte. Chahe wo jitni avastha ho jae hamari durvasan satsang se hi nasht hoti hai. Santo ka milna ya unke paas jana ye praarabdh bhagya ki baat hai ya kripa ki?

hamare bhagya bade the to hamen sant mile ya bhagwan ki kripa ho gayi. Sansaar mein ana jana milna bicharna yah sab praarabdh ke anusaar hota hai. Bhagya ke anusaar lekin bhagwan ke premi santo ka milan keval bhagwan ki kripa se hota hai. Bhagya se nahi hota. Binu hari kripa mile nahi santa. Keval bhagwan ki kripa se hota hai. Bhagwan jise apnana chahte hain use sant samagam dete hain. Matlab bhagwan ne hamen sweekar kar liya. Hamen satsang milta hai. Yah praman hai. Bhagwan jise apnana chahte hain, use kripa karke sant samagam dete hain aur jise bhatkana chahte hain, use kusang de dete hain.

bada durbhagya jinko sant sang nahi mila kusang mein bhtak rahe hain. Aise lakho log hain jo sant sang se sudhar gaye. Sudhar rahe hain aur sudhrenge. Aise lakho log hain jo kusang se nasht ho gaye. Kusang sarvatha tyajya sant sang bhagwan ki kripa se kabhi-kabhi vesh dhari se bhi kusang ho jaata hai. Agar wo sacha sant na hua to bahut gadbad ho jaata hai. Hamen lagta hai sant hai to jab ham dekhte hain to kam krodh lobh ke gulam vesh sant ka aur man mariyada sab bhang ho jati hai. Jab bhagwan dravit hote hain, bhagwan kripa karte hain, tab sache sant ka sang prapt hota

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi